Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:3rd Sep 2008, 1:36pm |
|
|
Ramadan Recipes Contest: Ramzan Sehri & Aftar Dishes
hamare forum per kai male/female members aise hai jo behtareen recipes bana sakte hai, mujhe tu kuch bhi pakana nahi aata, albatta sehri aur aftar mai maze maze ki dishes bare shoq se khaana aata hai.
mai yaha per aise members ke darmian contest kara raha hoo, jo Ramzan ke hawale se maze maze ki dishes bana sakte hai.
lehaza muqabla shuru hota hai. members yaha per behtareen dishes pakane ki tarkeeb bataye, next day sab log os ko paka ker khaaye aur phir yaha forum per bataye keh yeh dish kaisi rahi.
|
ash28
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2008 Topic: 7 Post: 347 Age:
29
|
|
Posted on:3rd Sep 2008, 7:54pm |
|
|
Bewaqoof Bhai..... ye kia baat hoi man......Apko yaad hoga k TV per Aik Program lagta tha DJ k nam sy usmy mai b aik Contest tha Khany per jiska Nam tha ...BAJI KHANA KHILA DO... ye tu wohi baat hoi Aap sirf Khany ayen gay...chaly koi respi hi chor dy...pher dekhy hain kon pakaye ga or kon bardasht kary ga..........
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 1:21am |
|
|
Main bhi Main bhi siraf maze maze ki dishes kha sakti hoon paka nahi sakti :)
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 6:03am |
|
|
ok Red Chilli tabhi to aap moti ho rahi hain.
wese maine abhi cooking start ki hai.
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 8:46am |
|
|
re: ramzan dish abhi tak kisi ne bhi kisi dish ki tarkeeb nahi batayee hai, jo log iss contest per depend ker rahe hai keh yaha se recipe read kerke sehri aur aftar tayyar kare ge woh bechare muft mai maare gaye. pata nahi keltne logo ne sehri ke beghair roza rakha hai. aur agar abhi bhi koi kisi dish ki tarkeeb nahi likhe ge tu yaqeenan beshumar log aftar se bhi mahroom ho jaaye ge.
Allah ka shukur hai keh mai iss forum per depnend nahi kerta, warna mujhe bhi sehri aur aftar se mahroom hona perta.
zeb sahib kam az kam aap hi kuch batai. kia aap ko sehri aur aftar ki dish banani nahi aati hai. mera khial hai keh yaha per khawateen ko bhi chatting aur siasat ke sewa kuch nahi aata. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 9:09am |
|
|
Bewakoof kya ap phir khud tayar karenge?? |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 9:41am |
|
|
bewakoof bhai asee bat nahi hey key khwateen ko chatting or siyasat key ilawa kuch nahi ata,pakan tu bhoot kuch ata hey magar iss waqt time ki kami ki waja sey kuch nahi likha
ISHALLAH kal aik achi si recipe likhon gi jo key iftar key liya achi rahey gi |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 2:03pm |
|
|
reshmi seekh kabab chicken mince 500gms
bhuna hua besan _ 3 tbs
khas khaas_ 2 ts
pisa hua garam masala_ 1 tbs
coconut powder_ 1 tbs
white zeera_ 1 tsp
ginger garlic paste_ 3tsp
salt _ 1 tsp or to taste
red chilli_ 1 tbls or to taste( agar haath ajaye tab:)
method:
tamam ashiya ko achi tarah marinate kar k fridge main 1 hour k liye rakh dain after 1 hour nikal kar apni pasand ki shape dain golai main ya long seekh kabab jaisi aur fry kar k ketch up ya dahi ki chatni k sath nosh farmaien:) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 8:05pm |
|
|
Maryam sis aap ki recipe achi hai par is me red chilli kon si wali dalni hai??????
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:4th Sep 2008, 8:49pm |
|
|
Bewakoof mai Lagsanya ki reciepie post karna chahti thi..lekin usme do cheezain aisi chahyen jo mujhe nahi malum ke use urdu ya english me kya kehte hain...islye mai wo yahan nahi likh rahi..
aur koi special dish ka soch rahi hun...jab koi yad ayegi to mai yahan post karungi.. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:5th Sep 2008, 12:04am |
|
|
s4u red chilli ka powder daana hae:) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:5th Sep 2008, 3:00am |
|
|
ok main to koi aur samjhi thi.
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:5th Sep 2008, 10:07am |
|
|
dahi pakoriyan DAHI PAKORIYAN
is k liye ap thora sa besan leyn....us mein salt to taste, red chillie powder aur sookha dhaniya daal ker aur pani daal ker paste bana leyn....na itna patla ho aur na hi bohat ziada garha....bus garha hona chahiye....
phir oil garam keryen aur phir us k bad barey barey gol surakhon wali charniyan jis se dahi bhalon ki pakoriyan banatey hain....ye market mein sanchay easily mil jatey hain....is per besan dalyen gi to wo neechey goil mein girta jaye ga....
aur is tarhan ap in pakporiyon ko fry ker leyn....
phir dahi ko achi tarhan phaint ker us mein salt, red chillies, black peppr, chaat masala hara dhaniya, green chillies, thori si bareek kati hui pyaz ayr tamater, chahyen to aaloo bi daal saktey hain...ye sub cheezeyn mix ker k is mein pakoriyan bhi daal deyn....
bilkul dahi bhalon jesi pakoriyan tayar ho jayen gi....mazey ley ker khayen..... |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:5th Sep 2008, 10:09am |
|
|
wow that nice recipie Chhef bhai. |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 62 Post: 7599 Age:
33
|
|
Posted on:5th Sep 2008, 10:13am |
|
|
ok zeb bahi app nay bohat achi recepie dee ha.............very nice yaarr |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:6th Sep 2008, 3:50am |
|
|
Acha contest hai.... Kash... Male Members ko Judge bana kar Sarey Recepie chakne ka mauqa bhi diya jaatah...... :)
Red Chilli Aunty
- Main bhi siraf maze maze ki dishes kha sakti hoon paka nahi sakti :)
yah kamal ho gaya App ki & Bewaqoof Bahi ki statement eak jaisey hai.... Abb tou mujhey shak hai k... kahein app... Bewaqoof tou nahi hain na... (lolzzz)
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:6th Sep 2008, 2:25pm |
|
|
creamy fruit chat fruit: apple , pear ,banana, gauva, palmgrinate, dates sab phal lekar chote chote cubes main kaat lain .dates ki guthli nikal kar usse bhi darmiyan se kaat lain ,annar cheela kar saf pani se dho kar nithar lain aur fruit main mix kar dain.
abb 2 packs fresh cream k lekar us main 2 tbs sugar aur 1 tspblack peper k dalain aur fork se achi tarah mix kar lain jab cream thori patli hojaye to sara fruit us main mix kar dain aur dates ki guthli nikaal kar us main bhi cream ki filling kar k dal dain .last main thorra sa dry fruit garnishing k liye spread karain .mazedar creamy fruit chat tayyar hae.
jo log cream pasand nahi karte woh fruit main orange juice ya tang daal kar thorri dair k liye rakh dain fruit apna juice khud chorr dega .yeh chat bhiachi banti hae. |
ash28
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2008 Topic: 7 Post: 347 Age:
29
|
|
Posted on:7th Sep 2008, 7:57am |
|
|
Home b roast....30 mints
sab sy pehly Chicken Legs ko Safe ker ly or Quantity Apny Family k mutabiq Rakh dy....isky bad Legs ko jahan meat zayada hota hai 2 jaga sy halka kat laga ly.. isky bad Shan Chickn powdr ko pani (adha Glass) mai achi tarah mix kery 1˝tbs & ˝salt for 12 Leg pes...ab aik aik leg ko us paist mai rakh ker achi tara usper paist lagaye or lagay hovy kat mai b daly isky bad sab legs ko alehda bertan mai 5-7mints k leye freezer mai rakh dy.... or 2 egs wid black paper mesh ker ly or fry pane mai oil ko garam kery....ab legs ko egg mai dip kr ky fry kerly 10-13mints mai legs brown ho jaye gi...ab inhy aik tray jis mai tissu laga ho rakh dy...Ready tu Eat ur Home B roast...wid any kind of ketchup,myonies or salad....
|
noor123
|
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 81 Post: 801 Age:
29
|
|
Posted on:7th Sep 2008, 8:26am |
|
|
mujhe egg role banai atyi hai mujhe egg role banai atyi hai |
ash28
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2008 Topic: 7 Post: 347 Age:
29
|
|
Posted on:7th Sep 2008, 9:39am |
|
|
noor123 tu banaye egg role intzar kesa.... wesy egg role.....?
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 >> |
|