Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Kia Hamari Achchai Aur Burai Ka Zimmadar Allah Hai?

Religion and Culture   >>  Religious Conflict
 
 
* Noor Clinic *
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:22nd Aug 2009, 6:26pm
 

bewaqoof

pehli baat ka jo aap ne aitraz kia hai, us k jawab main kahoonga...

main ne yeh nahi kaha k yeh thread aap ne start kia hai, jis ne start kia hai us k zehen main confusion thi, to us ne pooch lia, logon k replies se woh mutmaien howa aur khamosh ho gaia.... lekin aap sab jaante hoie bhi jaan bhooj kar aise question karte hain jo k shariee lihaaz se theek nahi hote, aur aise question insaan ko gumrah kar deta hai............... yeh aap mujh se behtar jaante hain lekin phir bhi aisa bol lete hain........

doosri baat.... "Allah ko kia zaroorat thi shaitan ko insan k peeche lagane ki ya shaitan ko paida karne ki" Astaghafirullah.... yeh aap k kahe hoie alfaaz hain aur es ka saboot forum par mojood hai. to kia yeh Allah ko challenge karne k barabar hain ya nahi..................... yeh to aap k lie sirf ek baat hogi, lekin haqeeqat main yeh aap Allah par nauzubillah ilzam laga rahe hain, goya Allah ne shaitan ko paida kar k ghalat kia hai......... astaghafirullah.........

baqi aap ne yeh kaha k agar Allah zalzala ya sailab ko ham par musallat karta hai to ham kuch kehte nahi ...............

hamein kuch kehne ka haq hi nahi banta.............. kisi ko mout dene ka ikhtyaar insan ko nahi dia gaia hai, es lie agar insan insan ko maare to baqaaida kar rawaie ki jaati hai us insan k khilaf jis ne qatal kia hai, lekin Allah k pass poora poora ikhtiar hai. jis tarha Allah k pas yeh ikhtiaar hai k hamein zindagi di hai es tarha hamari zindagi lene ka ikhtyar bhi sirf Allah k pass hai..... es lie Allah se na to gila kia jata hai aur na pooch taaj ki jaati hai...

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:22nd Aug 2009, 7:38pm
 

sab say pheli bat

Sunny

marey khyal say swal karney may koi burai nahi hey,lakin jawab deney waley par farz hey key wo iss sawal ka jawab sahi tareeqey say dey.hum logo may aik yeah hi tu burai hey key hum kuch pochtey nahi har bat may yeah kah detey haien key ji yeah sharai tor par sahi nahi hey Emana kharab hota hey

may yeah samjhti hon key aik musalman ka eman itna storng hona chyea key,asi baton sa kharab hi na ho

agar bewaqoof ney aik sawal kiya hey ya unhey koi confusion hey tu ussey door karien.

bewaqoof app sahi khtey haien key jo log khud appney app ko mar detey haien wo sochtey nahi haien

wasey aqal Allah ney sab may hi dali hey.lakin ab koi ussey use karta hey or koi nahi use karta

ab jasey dunya may koi insan doctor ban jata hey or koi chor

tu janab yeah uss insan ki aqal hi hoti hey jo ussey yeah sab karney ko khti hey

ku key Allah ney sab insano key brian ka structure same hi banaya hey or sab key brian may aik jasey hi chemicals haien

ab aqal ko koi istemal na karey tu wo alag bat hey

or dosri bat agar Allah hi insan say galat karwata hey tu phir Allah ney saza or jaza ka concept ku rakah hey?

or dosri bat jo app ney kahi key bhout say log jahil hotey haien wo quran or hadees ka ilm hasil nahi kartey

tu wo bhi un ki appni hi galti hey

ku key Allah ney tu quran diya hey or kaha bhi hey key,quran hummey iss liya diya hey key hum uss say kuch sekhien

or hamrey Nabi
(s.w.w)ney bhi kaha hey key ilm hasil karo

ab agar koi na ilm hasil karey tu wo uss insan ki appni hi galti hey

naamshahid Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2009  Topic: 6  Post: 116  Age:  33  
Posted on:23rd Aug 2009, 9:30am
 

Mr Bewaqoof Sahib

How is it Possible ap bari asani k sath keh rehe ho k humare Achaye aur Buraye ka Zimma Daar ALLAH hai how is it possible muje prove kr k dikhaye, yaar q bewaqoofo wali batain krte ho,

yeh baat b galat hai ALLAH ne Insan ko her chhez pe complete Ikhtiar diya hai, maine apni aik post mai yeh b likha tha k insan k pass complete ikhtia nahi hai, Hazrat Hussain R.A k se kisi ne poucha k insan ko kitna ikhtia hasal hai, AP ne farmaya apni aik leg oppr othayo us ne utha de aur phir kaha ab dosri b uthao us ne kaha yeh possible nahi hai tou is per AP ne farmaya insan ko sirf itna ikhtia hasil hai, is se ziada nahi

Insan ko jo ikhtiar hasil hai wo us k apne Aamal per jo us ne krne hai, chahe wo wrong side pe jaye ya phir right way per yeh is ki marzi hai, insan ko ikhtiar nahi hai k wo kisi ko Rizq distribute kr sake, insan ko ikhtia hasil hai k wo achaye aur buraye k mutaliq souch sake insan k pass ikhtiar nahi hai k wo ALLAH TALAH ki zat ka ahata kr sake yeh us ki aqal ki dastras se bahir hai,

Mr. Bewaqoof muje aik baat btayo agar ap k parents ap ko kehe k galat kaam kro aur us k baad ap ko punishment b dai tou kia wo insaf kr rehe hai tell me, tou Toba nauzbillah Qiyamat wale din ALLAH Talah humare sath na insafi kr ga, phir unho ne janat aur dozakh q banye hai, agar wohi hum se kaam krwa raha hai tou, tou phir hum se hisab kis chhez ka, phir is duniya mai Nabi bhejna ka maqsad b nhai tha,

yaar plz koi logical baat kia kro apne username se related batain na kia kro, ALLAH TALAH tou sahi Insaf krne wala hai phir wo kaise na insafi kr sakta hai mai tou hiran ho as a Muslim ap ne yeh baat kaise ke di

Mr Bewaqoof Sahib

Baqool apke ALLAH TALAH Aqal dalta hai tou thei hai mao apki baat pe 100% agreeh ho muje aik baat btao agar ap ne robot banaya aur us ko maine purchase kr liya us k baad mai is robot ko ap k khalaf istamal krta ho is robot se mai apki dhulayee krwata ho is mai aisi programing kr deta ho jo k possible hai tou qasoor kis ka ap ka ya mera ap ne is ko banaya is ko use mai kr raha ho, chalo yeh baat b chor do mai yeh ap k khalaf use nahi krta balk kisi aur k khalaf use krta ho phit tou us person ko chaye k wo ap ko abuses kre muje nahi q k is ko banay ap ne hai is ka istamal mai kr raha ho

kuch samj mai aya k nahi, insan ko aqal ALLAH ne di zaroor hai laiken wo sheitan k behkawe mai aa kr aisa krta hai aur ap keh rehe ho k ALLAH ne krwaya maine aik thread mai ap k khalaf kuch lika ap ne us ka aik aur new thread banaya muje per creticise krne k liye phir tou ap k pass ikhtiar hi nahi hai k ap muje kuch kehe ap k baqool her kaam ALLAH karwata hai tou phir ap us insan ko q marte ho jis ne bura kaam kia tell me

q k satin mean shaitan ne ALLAH ko khulla challenge diya hai k wo ap bando ko galat side pe le kr jaye ga, kasoor ap ka nahi hai asal mai apki aqal waha tak nahi jati jaha tak use jana chahye hota hai sorry for using arsh words ap ne baat hi aisi ki hai jis k liye muje kuch hars words use krne par rehe hai

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:23rd Aug 2009, 1:04pm
 

namshahid

kuch samj mai aya k nahi, insan ko aqal ALLAH ne di zaroor hai laiken wo sheitan k behkawe mai aa kr aisa krta hai aur ap keh rehe ho k ALLAH ne krwaya maine aik thread mai ap k khalaf kuch lika ap ne us ka aik aur new thread banaya muje per creticise krne k liye phir tou ap k pass ikhtiar hi nahi hai k ap muje kuch kehe ap k baqool her kaam ALLAH karwata hai tou phir ap us insan ko q marte ho jis ne bura kaam kia tell me

good point yaar......

lekin es ka jawab aap ko bewaqoof sahb se nahi milega.....

ab yahan par woh phans gaia hai aur jahan woh phans jaata hai, to raah-e-faraar ikhtiaar kar leta hai.....

aur aisa kaam kis ka hota hai............................................. u know better.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:23rd Aug 2009, 2:48pm
 

re: mera jawab

re: "lekin es ka jawab aap ko bewaqoof sahb se nahi milega.....ab yahan par woh phans gaia hai aur jahan woh phans jaata hai, to raah-e-faraar ikhtiaar kar leta hai....."

mai rahe farar kio ikhtiar karooga, har aik ki tarah mera bhi apna aqeeda hai, jo ke zaroori nahi keh os se sab agree kare. mai kisi ke aqeeda ko bura nahi kehta aur na hi kisi ki khushamad kerta hoo keh mere aqeeda ko tasleem kar lo, aqeeda koi scientific fact tu nahi keh ose se poori dunia ko agree kia jaa sake. aqeeda ka tu matlab hi hai keh beghair saboot ke maano aur phir aik doosre se bahas karo"

yaha per aik member rash ne sawal kia aur os per mai ne jawab de dia jo keh yeh hai: "yes! hamari achchai aur burai ka zimmadar Allah hai, Allah ki marzi ke beghair ham kuch nahi ker sakte."

ab agar rash ko mujh se kuch aur poochna ho ga tu mai ose bhi jawab de dooga. aap logo ko bhi jo jawab dena hai woh rash ko mukhatib ker ke de, agar mai sawal karoo tu mujhe mukhatib ker ke jawab dena.

mere paas har sawal ka jawab hota hai lekin mere paas etna time nahi keh mai har aik ko infaradi tor se jawab doo. aur waise bhi sab jaante hai keh mai yaha kisi aik member se maghaz maari kerne nahi baitha aur woh bhi aise member se jis ke maa baap ne ose reply kerne ki proper tameez nahi sikhayee ho. jawab dene ki bajaye personal gaali galooch per utar aate ho.

Note: mai har kisi ko reply kerne ka paband nahi hoo, mai pehle bhi keh chuka hoo keh mai sirf apni baat kerta hoo, generally doosro ke reply read hi nahi kerta, iss liye aksar aisa bhi hota hai keh koi mujh se mukhatib hota hai aur meri nazar os post per nahi perti. aur agar per bhi jaaye tu mai aise member ko reply kerne se gurez kerta hoo jo keh badtameezi per utar aate hoo, aur asal topic se hat ker personal comments aur gaali galooch shuru ker dete ho"

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:23rd Aug 2009, 3:16pm
 

re

har kisi ko jawab nahi dena ya kisi ka reply read hi nahi karna, haqeeqat se aankhein churane k mutaraadif hai...................
naamshahid Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2009  Topic: 6  Post: 116  Age:  33  
Posted on:24th Aug 2009, 4:32am
 

Asslamo Alaikum

Mr. Bewaqoof i think yeh baat humare darmian ho rahi hai ap k pass koi right nahi hai kis k parents k bare mai kuch keh sake agar ap k pass tameez hai tou phir bar bar aise words use krne se gurez kre q k agar mai ap k parents ko kuch nahi keh raha tou ap k pass b right nahi hai

jo b baat krni hai muje se kro, ap bohat se batain fazool mai keh jate ho mai b kehna chaho tou keh sakta ho laiken bewaqoof nahi ho kisi k parents ko kuch kaho so ap aik limit mai rehte hove baat kis kro usy cross krne ki koshis na kia kro

haideri Group: Members  Joined: 29th Aug, 2009  Topic: 12  Post: 114  Age:  30  
Posted on:8th Jul 2014, 6:27am
 

haider

Hamare ache bure amal ka malik Allah he
Han hum ache bure amal k khud zimedar hain
Ache bure amal Allah hi ne peda kiye hain
Achi buri taqdir b Allah ne banahi he us ki taraf se hoti he
Or Allah ne hum eradeh ikhteyar ki azadi di he
For Detail Click On Page No: 1>>
 
 
 
 
Pakistani Driver Honesty In Dubai  Medical School Admission Story  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014