rash |
Group: Members Joined: 23rd Aug, 2007 Topic: 21 Post: 22 Age:
30
|
|
Posted on:24th Oct 2008, 12:47pm |
|
|
Kia Hamari Achchai Aur Burai Ka Zimmadar Allah Hai?
sallam mai ne yaha par ek post pade hai usme leka hai ke allah agar . koi insaan ko jannat me bhejna hoto vo uske peeche ek farista laga deta hai ke vo acche rasta par chale . aur jisko dozak me bhejna hoto uske peeche bhi ek farista laga ta hai ke vo usko bhatkata rahe . agar allah usko bhatkaye tho insaan ke kya majal ke vo accha kaam karsake kya baat sahe hai ya galat muje nahin maloom agar kesi ko pata hai ya koi is forum par pada hai tho pls muje batai thanks......
|
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4173 Age:
|
|
Posted on:25th Oct 2008, 6:12pm |
|
|
rash dear rash brother
actually baat ye hai k insaan k peeche shaitan aur farishta ek saath lage hoie hote hain, aur es k saath saath insan ka apna nafs b hota hai jo k bazahir achi cheez ki taraf maiel hota hai.
farishta insan ko achaie ki taraf kheenchta hai, jab k shaitan insan ko barbadi aur buraie ki taraf kheenchta hai.
es k elawa Allah ne insan ko ek kaamil Aqal aur poora ikhtiar dia hai saath saath options b die hain k flan cheez karoge to saza ho jaie gi aur agar faln kam karoge to jaza etc etc.
ab insan ki Aqal aur yaqeen par depend karta hai k wo shaitan ki baaton main aa kar buraie karta hai, ya farishton ki baat maan kar achaie karta hai?
ab sawal ye paida hota hai k farishton aur shaitan k batoon ko aadmi kese mehsoos karta hai, let me explain.....
jab ek insan koi kaam karne ka irada karta hai aur us ko koie confusion ho k ab kia karoon? to wo yahi kehta hai, k mera dil kehta hai k aisa karoon lekin dimagh kehta hai k wesa karoon, actually ye dil aur dimagh k ideas nahi hote, ye farishta aur shaitan hote hain, ab agar insan apne Aqal se kaam leta hai to wo apne kaam ko ba khoobi sar anjam deta hai nahi to shaitan k baaton main aa kar doob jata hai. |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4173 Age:
|
|
Posted on:25th Oct 2008, 6:23pm |
|
|
in short in short hamari achaie aur buraie ka zima dar ham khud hain. |
asusual |
Group: Members Joined: 28th Mar, 2008 Topic: 2 Post: 27 Age:
26
|
|
Posted on:26th Oct 2008, 5:59am |
|
|
Kia Hamari Achchai Aur Burai Ka Zimmadar Allah Hai? agree with sunny007 hamari achai aur burai ka zimmedar hum khud hain...
|
intimation |
Group: Members Joined: 23rd Oct, 2008 Topic: 2 Post: 9 Age:
31
|
|
Posted on:26th Oct 2008, 6:41am |
|
|
QURAN JAWAB DETA HAI Brothers,Quran jawab deta hai kai,tum per joo bura mushkil waqat ata hai yeh tumhari kartooto k waja say jo tum nai aaa gai baiji hai,MEANS GOOD DEEDS,
Allah kahta hai dosri jaga aur jo achi cheez means Rehmat ati hai acha waqt wo tumhare RAB ki taraf say hi,
Exmple: aap agar apnay Face per Thaper maro to kasoor kis ka hai? Allah ka loo ka kay aap ka???
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:26th Oct 2008, 8:15am |
|
|
re: Allah ne insaan ko sahi aur ghalut dono rastay dekha diay han,saath guide bhi kiya hai Hadees aur Quran se jis ko Practically Nabi(S.A.W.W) ne ker ke bhi dekhaya hai.......Saath Allah ne ye bhi batta diya ke shaitaan tumhara khola aur bara dushman hai,uss ka saath mat daina.Allah ne sahi rah per chalnay ka reward bhi rakha hai jannat ka aur ghalut rah per chalnay ki saza bhi dozukh tu ab ye insaan per hai ke wo kis rastay ko apnay liay choose kerta hai.kuin ke Allah fermatay han ke main insaan ko kisi baat ke kernay ka hukaam daita hon tu insaan ko koi bahot bara faeda daina chahta hon aur jab kisi baat se rokta hon tu ussay kisi bahot baray nuksaan se bachana chahta hon.
Taqdeer Allah ne likhi hai her insaan ki laikin sirf Dua wo cheez hi jo taqdeer ko bhi badal sakti hai.Islam sirf humara deen hi nahi humari pori zindagi hai jis per hum sahi chal ker khud ko un shaksiyat ki oonchayioon tak pooncha saktay han jo Allah ne aik muslim ke liay mayaar pasand kiya hai. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 96 Post: 4608 Age:
36
|
|
Posted on:26th Oct 2008, 8:58am |
|
|
i agree to Sooth..and i want add something more..
Allah ne humain dono Raste dikha diye hain,aur kaha hai ke agar ache aur naik kam karoge,apni Zindagi Islam ke tehat guzaroge,aur gunahon se parhez karo ge to Jannat me jaoge,aur Shaitan ke piche lagoge to yaqeenan wo humara khulla Dushman hai,aur wo humain Dozakh ke raste tak lekar jayega.
ye aisa hai,jaise ek mother apne bache ki parwarish karti hai,aur use Namaz sikhati hai,use sikhati hai ke Namaz ,use Islam ke mutabik Zindagi guzarna sikhati hai.ab agar wo bacha bada hokar ghalat Rasta ikhteyar kar leta hai ,ya Shaitan ke behkawe me ata hai,to isme uski Mother ka koi kasoor nahi hai.Mother ne apni bache ko puri taleem di hai,aur sahi aur ghalat ki tameez bhi di hai.ab us bache ko apna rasta khud ikhteyar karna hai,ke wo Jannat ki taraf jata hai ya juhanam ki taraf |
peace full |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 30 Post: 437 Age:
22
|
|
Posted on:26th Oct 2008, 10:07am |
|
|
my reply burai shetan karwata hai aur achai insan jab koi acha kaam karne ki koshish karta hai tu Allah uski madad karta hai aur wo us ache kaam me kamiyaab hota hai..baki bura kaam insan shetan ki baaton me aaker khud karta hai insan ko Allah ne dimaag dya hai k wo achai aur burai ko samjh sake. in short ache kaamon me Allah ki madad hoti hai jab k bure kaamo me shetaan ka haath hota hai.
|
Tehseen |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2007 Topic: 52 Post: 385 Age:
29
|
|
Posted on:26th Oct 2008, 10:47am |
|
|
replay salam
insaan apney achey burey ka khud zeymedaar hota hey,insaan ka apney Nafs pe kaboo hey to wo achey kaam kary gaa , ab yey bat k wo Farishtey wali to bhai aap ko pata hey k sheytaan insaan k dil k sath lipta hota hey aur wo aus ko gud-dudata hey bury kam karney k liyey ab ager aus ka emaan salamt hey to wo yey kaam nhi kary gaaa , ALLAH PAK NEY ISAAN KO yey khitiyaar dia huwa hey k wo achey yaa bury kaam karyy , ab yey kioe Chess to nhi k jis ka dil kary apni marzii sey chaal chal dey , ab ALLAH PAK ney insaan ko yey ikhtiyar dey dia hey k wo achey kaam karte hey ya buryyy ager asaa hi kamsaad hota to phir har ik k sath acha hota/ bura hi hotaaaa
insaan apney haaal aamal ka ENd mein jawab dey ho gaaaa
jahan taak bury ki bat hey to jaab insaan buraie mein bohat agey nikaal jata hey to phir sheytaan b aus ki buraion sy pahaan mangta hey |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 6:07am |
|
|
re: zimmadar kon? yes! hamari achchai aur burai ka zimmadar Allah hai, Allah ki marzi ke beghair ham kuch nahi ker sakte. |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 41 Post: 2145 Age:
34
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 6:49am |
|
|
bewaqoof sahi bat hey key Allah chahey tu hum uss ki marzi key bina chal bhi nahi saktey
lakin Allah ney insan ko aqal bhi tu di hey
acha or bura rasta bata diya or phir hum may aqal dal di,
aqal di hey Allah ney rakhney key liya nahi,balkey ussey use karney key liya
mera app say aik sawal hey
key agar may app say kahon key agg may khud ko jala laien,tu kiya app jal jaien gey?
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 7:13am |
|
|
re: Allah zimmadar hai re: "key agar may app say kahon key agg may khud ko jala laien,tu kiya app jal jaien gey?"
ji haa agar ilm nahi ho ga tu zaroor kood jaao ga, jaisa ke kuch log khoodkash bomb ke zaria apne aap ko khatam ker dete hai, onhai ilm nahi keh iss tarah apne aap ko khatam kerna khoodkashi aur doosro ka qatal hai, agar on mai aqal hoti tu woh kabhi bhi aisa nahi kerte.
dunya mai aqal bhi Allah taala deta hai, jis ko chahe de aur jis ko chahe na de. aap jis ilm aur aqal ki baat ker rahi hai Allah taala ne sab ko barabar barabar nahi di hai. Hazrat Musa (A) ne aag ka gola sirf aur sirf iss liye mu mai dala tha keh onhai aqal nahi thi.
re: "acha or bura rasta bata diya or phir hum may aqal dal di"
kab bataya? kaha bataya?
agar aap ka yeh kehna hai keh Quran aur Hadeth mai bataya gaya hai tu phir aap ko khood hi maloom ho ga keh Iss dunya mai ketne logo ne Quraan aur Hadeth ki study ki hai. yaha logo ki majority likhna parhna hi nahi jaanti woh Quran aur Hadeth kaha parhe ge. aur jab nahi parhe ge tu phir ham kaise keh sakte hai keh onhai achcha aur bura rasta maloom hoga. |
mna1978 |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2009 Topic: 15 Post: 383 Age:
34
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 7:18am |
|
|
AstaghfriuALLAH Insnan Ki har achai aur buraee ka zimadar sirf aur sirf insan khud hai...
Ap kay kehny ya ya matlab hai kay agar koyee Insnan Daka Dalta hai to us ka Zimadar (NauzubiALLAH) ALLAH hai... Y aagar koye rape kary to us ka zimadar bhi (NauzubiALLAH) ALLAH hai...
Aysa Nhi...
INSNAN koye aam cheez nhi... Tamam mukliqat main Sab say Ashraf Hai aur ya sab is Aqal ki waja say hai...
Ya zindage sirf aik Imtehan hai... aur ALLAH aik Usatd ki Ma'nid...
Agar koyee student Imtihan main pass na hoo to is main ustd ka koyee amal dakhal nhi...
ALLAH sab kuch karsakta hai magar... Kisi ko Gumrah nhi kar sakta.... Haan Agar woo Chay to us ko hedayet zaroor day sakta hai magar woo bhi us kay kisi Naik Amal ki waja say.. because ALLAH sab say bara AAdail hai aur woo sirf Insaf karta hai...
please close this topic
Modurators say request hai kay is thread ko close kar deya jayee... because is thread main loog jany, injany main kuch aysi batain kar rahy hain kay joo sharee lehaz say sahy nhi... aur is tarha kam ilm aur samaj waly loog gumrah ho rahy hain...
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 7:36am |
|
|
Allah ki marzi ke beghair kuch nahi ho sakta re: "Insnan Daka Dalta hai to us ka Zimadar (NauzubiALLAH) ALLAH hai... "
Insaan ka dil aur dimagh Allah ne banaya hai, os ke andar koi bhi insaan Allah ki marzi se kuch nahi dal sakta, lehaza daka ka khayal bhi koi shakhs apni marzi se nahi daal sakta. Allah chahe tu os ke dil aur dimagh mai yeh baat dal sakta hai keh daka dalna gunah hai. agar Allah anti-daka khayal daal de ga tu woh kabhi bhi daaka nahi daale ga. Allah ki marzi ke beghair koi kuch nahi ker sakte. |
mna1978 |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2009 Topic: 15 Post: 383 Age:
34
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 8:54am |
|
|
Bewaqoof Bahi Baat ko ghomany Phirany ki koyee zaroorat nhi... Bas ya batyeen kay Daky Ka zimdar Koon... INsnan Ya ALLAH...
Agar hamary har Amal ka zimdar ALLAH hai to Jaza Aur Saza Ka concept keyon...
ALLAH Sab kuch kar sakta hai... Keya ALLAH koyee aysi cheez bana sakta hai jis ko woo Khud na toor saky... ALLAH ka har Mazhar Kisi Nizam, Kisi Logic kay tehat hai... ALLAH kay Mozay bhi ajj kal ke sceince ki nazar main possible hain.... because woo sab aik nizam aur logic kay tahat hain... ALLAH sab kuch kar satka hai isi leya us kay aik Insnan ko banaya jo zameen par ALLAH nay Khalefa hai... App ko pata hai Khaleefa koon hota hai jis kay pas athourity hoty hai... ALLAH nay Insan ko Aqal Aur athourity de hai is leya woo apni marzi karta hai... |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4173 Age:
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 10:01am |
|
|
mna1978 agar jaane anjaane main kisi k moon se aisi baatien nikal jaie jo sharee lihaaz se darust na ho to us ko samjhaya ja sakta hai...
lekin es forum par sirf ek member bewaqoof hi hai jo jaan booj kar aise sawalat kar rahe hain jo k sharaee lihaaz se theek nahi hai..... aur yeh pehli baat nahi howa, kaie threads main es sahb ne Allah ko challenge kia hai........ Allahu akbar.....
bas bewaqoof se itna kahoonga k shaied us ko yeh baatien abhi samaj na aaye lekin mout k baad waali zindagi main un se poocha jaiega, k us ne apni aqal ko misuse q kia gaia, apni zuban ko misuse q kia.......... tab pata chalega k us bewaqoof k kie gaie amaal ka zimadar bewaqoof khud hai.... es waqt bewaqoof ko samjhana bhains k aagey bhin bajane k barabar hai..... |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 10:41am |
|
|
achai aur burai ka zimmadar kon? islam main do firqa aise guzray hain jin main se aik insaan ko qadri samajhta hae yani k insaan jo kuch karta hae us pe poora ikhtayar rakhta hae aur har achai burai ka malik woh khud hae aur zimmadar bhi
jab k doosra firqa aisa hae jo insaan ko jabti samajhta hae yani insaan jo kuch karta hae us pe is ka koi ikhtayar nahi aur sab kuch jo awal din se likha gaya hae usi par amal karta hae. isliye yeh nazriya jabri kehlata hae jis ka itlaq bewaqoof bhai har aik par kartay hain:)
insaan ko Allah pak ne na mukamal ikhtayar diya k jo dil chahay karay agar aisa hota to duniya main koi shakhs kisi doosre ko 2 waqt ki roti bhi na khanay deta aur jo dil main ata karta.
isi tarah us pe jabar bhi nahi kiya k har faisla kar k usay kath putli bana diya k abb insaan ka khud pe akhtayar hi nahi k achai burai main tameez karay. Allah pak se shaitan ne kaha tha mera Tujh se waada hae k qiyamat tak aulade adam ko bhatkaonga k is ki waja se main jannat se nikla to Allah pak ne farmaya k phir mera bhi waada hae k jab jab mera banda mujh se muafi mangay ga main ussay muaf kar donga . to Allah pak to itna raheem O kareem hae k choti choti baaton pe muaf farma deta hae to woh kyun chahe ga k us k banda dozakh main jalain ?
isliye Allah pak ne insaan k andar zameer ki surat main aisa purza fit kar diya hae k agar koi usay na bhi bataye tab bhi insaan burai ko bura janta hae aur achai ko acha samajhta hae.
bewaqoof bhai ki logics unhi pe apply hoti hain lekin aksar thek bhi hoti hain:) yahan un se main agree nahi karti kyun k woh sirf aik firqa ka zaviya nazar bayan kartay hain . insaan agar chahay to achai ka rasta ikhtayar karay warna burai ki taraf raghib hojaye yeh us ki will power pe depend karta hae milna us ko utna hi hae jo naseeb main hae bas avail karnay k tareeqay halaal aur haram hain jo ussay khud choose karna hain |
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4173 Age:
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 11:17pm |
|
|
maryam didi well said.. jazakallah.....
bohot khoob explain kia aap ne... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 11:22pm |
|
|
re: God is great re: "lekin es forum par sirf ek member bewaqoof hi hai jo jaan booj kar aise sawalat kar rahe hain jo k sharaee lihaaz se theek nahi hai...."
yeh thread mai ne nahi kisi aur ne shuru kia hai. aakhir aap mujh per jhoota ilzam kio laga rahe hai.
re: "aur yeh pehli baat nahi howa, kaie threads main es sahb ne Allah ko challenge kia hai........ Allahu akbar....."
mai Allah ko challenge kaise ker sakta hoo, kia mai Allah mia hoo ya os se bhi bari hasti, mai tu Allah ki aik mamooli makhlooq hoo. jise Allah jab chahe khatam ker sakta hai.
insaan aur Allah mai bahut farq hai, agar koi insaan kisi ka ghar gira de aur ose halak kerde tu koi nahi kahe ga keh yeh sahi hai, lekin jab Allah taala zalzala laa ker lakho ghar gira dete hai, aur lakho logo ko maar dete hai jis mai boorhe bachche aurat mard jawan naik aur bad sab hi khatam ho jaate hai tu sab khamosh ho jaate hai, lekin kia Allah ke iss action se aap khoosh hote hai.
isi tarah agar koi country biological bomb gira ker logo ko halak kare tu os county ke khelaf sab bolte hai, lekin Allah taala bioligical organism (bacteria aur virus) ke zaria lakho logo ko halak kerte rahte hai lekin iss per sab khamosh rahte hai, kio keh Allah se darte hai. lekin Allah ke iss action se koi bhi khoosh nahi hota.
isi tarah Allah taala toofan, sailab, wabai amraz, aur beemario se logo ko halak karte rahte hai, iss action se bhi aap khoosh nahi ho sakte. Allah apne action se ghareeb ameer boorhe bachche aurat mard naik aur bad sab ko halak ker deta hai. shareef, naik, kamzor, bache, beguah ki halakat per kia aap khoosh hote hai? aap Allah ki dar se kuch nahi kehte. aur kehna bhi nahi chahiye. mai bhi Allah se darta hoo, kio keh Allah ka kuch nahi pata keh kis ke saath kia salook kar baithe.
mere kehne ka matlab yeh hai keh iss dunia mai jo kuch bhi hota hai (khooshi aur gham) sab ke peeche Allah ka haath hai. lehaza Allah se sab hi darte hai, aur mai bhi darta hoo, ham aik pistol ya gunman ko tu challenge nahi ker sakte bhala Allah ko challenge kaise ker sakte hai. |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 12:48pm |
|
|
re: bewaqoof......ghalat bilkul ghalt dunya mai aqal bhi Allah taala deta hai, jis ko chahe de aur jis ko chahe na de. aap jis ilm aur aqal ki baat ker rahi hai Allah taala ne sab ko barabar barabar nahi di hai. Hazrat Musa (A) ne aag ka gola sirf aur sirf iss liye mu mai dala tha keh onhai aqal nahi thi.........
aap ny apni iss post main jahan hawala k tour pr jo mundrja bala baat tehreer ki hey main iss sy kully aur mukamal tour pr inkar aour ikhtelaf karta hoon......waja yeh hai k..... nabi khuwa hazrat adam,hazrat nooh,hazrat moosa ya phir hum sab k aqa Muhammad (peace be upon him) hoon wo nabi hi hoon gy aour chahey wo nbi maa key shikam mubarik main hoon ya dunya main bwaqtey pedaish hoon..kisi b halat main hoon wo khuda k nabi hi hoon gy......aour khuda k nabi hoon aour un main aql na ho huwa wo aik bachey hi kion na hoon... ye baat kisi tour bi qabiley qabool nhi iss tarah to hum nabioun (a.s) ki tohin kartey hain "Nouzo billah"...
iss zimn main arz hai k jab hazrat moosa (a.s) ny aag ka goola moon main rakha to naouzobillah kisi na aqli ki waja sy nhi ...bulky poori marfat aour hukmey huda wandi sy aisa kia ......tamam waqiya app k zhn main hi hooga iss liye yahan tehreer nhi karta laiken agr app ki tabieyat ny gwara kia to inshallah main ye hazrat moosa ka aag ka gola moon main rakhney ka waqiya yahan likhoon ga....phir app andaza laga laina k aya hazrat ka ye iqdam kam aqli tha ya k hukimey huda wandi ki pairvi (aour hukimey huda ki pairvi ka itlaaq kisi diwany majnu ya haqiqi bewaqoof(app nhi) pr nhi hoota balkey aik zee shaour pr hi hoota hai...... |
|