rozah 1. raat sehri khanay k baad dil say rozah rakhnay ki niyyat karna. niyyat k beghair rozah nahi hota. (hadees) lekin niyyat dil k iraaday ka naam hai...namaaz yaa rozah k liyeh zobaan say words k zariyah niyyat karnaa sunnat say saabit nahi hai... besaumay ghadin nawaito min shahray ramadan ... wali mash'oor niyyat k ilfaaz hadees say saabit nahi hai... yeh kissi indian molvi ka karnamah hai, jo arabi bhi nahi jaanta hoga...as rozah AAJ rakaha jaraha hota hai aur iss maiN kal k rozay ki niyyat hai
2. agar sehri k waqt koi fard naa.paaki ki haalat maiN ho tab bhi sehri khaa kar rozah start kar sakta hai...rozah start karnay k liyeh paak hona zaroori nahi hai... rozah rakh kar baad maiN ghusal kia jasakta hai
3. din maiN rozah ki haalat maiN ehtelaam (discharge ) ho jaa.ay to rozah nahi Tootega... albattah agar koi jaagtay maiN jaan boojh kar discharge karay to rozah TooT jayega...
4. sooraj gharoob hotay hi iftaar karna... iss maiN taakheer nahi karna... Allah humma inni laka somto wa elaika tawakkalto wa alaa rizqeka aftarto ... rozah kholnay ki yeh niyyat bhi sahih hadees say saabit nahi hai
wallaho aalam bissawab |