uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:21st Jul 2008, 3:37pm |
|
|
Abhi Wo Dard Baqi He Abhi Wo Dard Baqi He Agarche Waqat Marham He Magar Kuchh Waqat Lagta He Kisi Ko Bhool Jane Main Dubara Dil Basane Main Kuchh Waqat Lagta He Main Kese Ik Nai Ulfat Main Apni Zaat Gum Kar Doon K Mere Jisam-o-Jan Main Abhi Wo Fard Baqi He Abhi Us Shakhas Ki Mujh Par Nigah-e- Sard Baqi He Abhi To Ishaq K Raston Ki Mujh Par Gard Baqi He
Abhi Wo Dard Baqi He Abhi Wo Dard Baqi He |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:21st Jul 2008, 6:32pm |
|
|
usay apnay farda ki fikr thi usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e khal tha woh jo us ki subah e urooj thi wohi mera waqt e zawal tha
mera dard kesay woh janta meri baat kesay woh manta woh to khud fna k safar mein tha usay rokna b muhal tha
kahan jao gay mujhay chor k main yah pooch pooch k thak gaya woh jawab mujh ko na day saka woh to khud srapa sawal tha
woh jo us kay samnnay aa gaya wohi roshni mein naha gaya ajab us ki haibat e husn thi ajab us ka rang o jamal tha
dam e wapsi usay kya huwa na woh roshni na woh tazgi woh sitara kesay bikher gya woh to aap apni misal tha
woh mila to sadion k baad b mere lab pay koi gila na tha usay meri chup nay rula diya jisay guftagu mein kamal tha
mere saath lag k woh ro diya mujhay faqt itna woh kah saka jisay janta tha main zindagi woh to sirf wekhm o khayal tha |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:21st Jul 2008, 7:09pm |
|
|
Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota Hum ne auroun ko na youn dukh mein pokara hota
Jitni siddat se main wabasta tha tum se Farhat Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!
Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye main nahota tu koi aur tumhara hota
Aur hum baith k khamoshi se roye jate Sham hoti kisi darya ka kinara hota
Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki kis tarha ojdha hoa shehar gawara hota
Chand hota k meri Jaan sitara hota Hum ne ik tere siwa dil se otara hota
Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:21st Jul 2008, 8:10pm |
|
|
zara tum sham hone do ... main tittleon ko sula doun ga,zara tum sham hone do ... main jugnuon ko jaga doun ga,zra tum sham hone do ... mari num ankhon ko,na tum dekho haqarat se ... main tumko b rula doun ga,zra tum sham hone do ... tumhen qaedi banaya hy ...apni ankhon ki hsrat ka ... rehayi b dila doun ga....zra tum sham hone do ... kahan aghaz hota hay,kahan anjam hota hy ... hunar sare sikha doun ga... zra tum sham hone do ... jo tum ne hum se pocha hy kahan hogi tmhari sham ... jahan hogi bata doun ga,zara tum sham hone do ... |
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:21st Jul 2008, 8:38pm |
|
|
ufffffffffffff yah her kaam kayliay shaam honay ka intizaar kayoun kerwa rahay hain, kia subah ko aloo cholay baichnay say fursaat nahi hay iss liay? lolzzz |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Jul 2008, 8:56pm |
|
|
baarishein nahin ruktin baarishon k mosam mein Tum ko yaad kernay ki aadetain puraani hein
ab ki baar socha hey aadetain badal daalein phir magar khayal aya k aadetain badalney sey baarishein nahin ruktin |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Jul 2008, 9:13pm |
|
|
meray humsafar, tujhay kya khabar meray humsafar, tujhay kya khabar yeh jo waqt hai kisi dhoop chaa-on’ k khail sa isay daikhtay, isay jhailtay meri aan’kh gard se att gai meray khuwab rait mai kho gaye meray hath barf se ho gaye meray bay khabar tere naam per wo jo phool khiltay thay hon’t per wo jo deep jaltay thay baam per, wo nahi rahey wo nahi rahey k jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya wo hawa chali wo kisi sham aisee hawa chali k jo barg thay sar-e-shakh-e-Jaan’, wo gira diye wo jo harf darj thay rait per, wo ura diye wo jo raaston ka yakeen thay wo jo manzilon k ameen thay wo nishan-e-pa bhi mita diye! maire humsafar, hai wohi safar magar aik moor k farq se tere hath se maire hath tak wo jo hath bhar ka tha fasla kai mosamon mai badal gaya usey naptey, Usey kat tay mera sara waqt nikal gaya nahi jis pe koi nishan-e-pa mery samnay hai wo rah guzar meray chahrah ger meray durd ki tujhay kia khabar ye jo raig-e-dasht-e-firaaq hai meray raaston’ mein bichee hui kisi morr pay ye rukay kaheen’ ye jo raat hai meray chaar soo magar is ki koi shajar nahi na he chhaa-on’ hai na samara koi main nay chhaan daykha shajar shajar meray chahrah ger meray durd ki tujhay kia khabar |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:22nd Jul 2008, 9:45pm |
|
|
Mohsin at his best
Ye Kis Nay Hum say Lahoo Ka Kharaj Phir Manga.... Abhi To Soay Hain Maktal Ko Surkhoro Kar ke ....
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 12:04am |
|
|
Mohsin
Jis ko tufaa'n se ulajhnay ki ho aadat mohsin Aesi kashti ko samander bhi dua deta hay
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 2:26am |
|
|
zabardat seemi bohat ache ashaar hain aap mazeed participate karen
uetian & Hamzi aap dono ne bhi kamal poetry send ki hae specialy barishon k mausam main aor hamzi aap ki fav bohat hi nice hain
veer bhai aap bhi apni mazeed poetry send karen aap to ache khase poet hain |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 6:27am |
|
|
Bashir badar Kabhi youn bhi aa meri aankh main, k meri nazar ko khabar na ho
Mujhe eik raat nawaz day, magar us k baad sehar na ho
Woh barra Raheem O Kareem hae,mujhe yeh sift bhi atta kare
Tujhe bhoolne ki dua karon, to meri dua main asar na ho
mere bazuon main thaki thaki ,abhi mehwe khawab hae chandni
Na uthay sitaron ki palki, abhi aahaton ka guzar na ho
yeh ghaza hae jaise haran ki aankh main pichli raat ki chandni
Na bujhe kharabe ki roshni kabhi bechiragh yeh ghar na ho
Kabhi din ki dhoop main jhoom k, kabhi shab k phool ko choom k
younhi sath sath chalen sada,kabhi khatam yeh safar na ho
Mere paas mere habib aa zara aor dil k qareeb aa
Tujhe dharkano main basa loon main k bicharna ka koi dar na ho |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 7:28am |
|
|
Maryam Baji zabardast hai yeh.... kya baat hia..
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 7:29am |
|
|
Aitabar Sajid Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein Kuch Roz rahey Gi Bechaini Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga Pani Mein Safeena Sulgey Ga Rafta Rafta ......... Dheerey Dheerey ....... Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi Ik Zakh'm Bharey ga Chahat ka Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ? Tum Khud Socho Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ? Tum Khud Socho !
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 7:40am |
|
|
seemi g bohat hi achi nazam hae |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 7:46am |
|
|
Aitabaar Sajid
Aitabar Sajid ki Kitaab "mujhay koi shaam udhaar do" se
Tumhain jab kabhi milain fursatain,mere dil
se bojh utaar do
Main bohat dino se uddas hon mujhay koi shaaam udhaar do
Mujhay apnay rooop ke dhoop do k chamak sakain mere khal-o-khad
Mujhay apnay rung main rung do, mere saray zungg utar do
Kisi or ko mere haaal se na gharaz hai na koi wastaaa
Main bikher gaya hon samait lo, main biger gaya hon sanwar do
Mere wehshaton ko berha diya judaiyon kay azaaaaab nayy
Mere dil pe haath rakho zara, mere dherkanoo ko qarar do
Tumhain subha kaise lagi kaho,mere khwaishon kay dayar kee
Jo bhali lagi to yahen rahoo , isay chahaton se nikhaar doo
Wahan gher main kon hai muntazir kay fiker ho dair sawair kee
Bari mukhtasir see ye raaat hai isay chandniii main guzaar do
Koi baaat kerni hai chaand say kisi shaakhsaar kee ooot main
Mujhay raastay main yahen kahen kisi kunj-e-gull main utaar do!!
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 7:55am |
|
|
seemi g yeh meri fav hae zabardast |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:23rd Jul 2008, 8:10am |
|
|
My favourite Poem, By Faraz
میرے تن کے زخم نہ گن ابھی میری آنکھ میں ابھی نور ہے میرے بازوں پہ نگاہ کر جو غرور تھا، وہ غرور ہے ابھی تازہ دم ہے مرا فرس نئے معرکوں پہ تلا ہوا ابھی رزمگاہ کے درمیاں ہے مرا نشاں کھلا ہوا تری چشمِ بد سے رہیں نہاں وہ تہیں جو ہیں، مری ذات کی مجھے دیکھ، قبضہء تیغ پر ہے گرفت ابھی مرے ہاتھ کی وہ جو دشتِ جاں کو چمن کرے یہ شرف تو میرے لہو کا ہے مجھے زندگی سے عزیز تر یہ جو کھیل تیغ و گلو کا ہے تجھے مان جوش و گرز پر مرا حرفِ حق مری ڈھال ہے تیرا جور و ظلم بلا سہی مرا حوصلہ بھی کمال ہے میں اسی قبیلے کا فرد ہوں جسے ناز صدق و یقیں پر ہے یہی نامہ بر ہے بہار کا جو گلاب میری جبیں پر ہے احمد فراز
|
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Jul 2008, 2:32pm |
|
|
seemi good choice sis @pinki sis it feel good if u post ur english poetryin some english poetry thread well they r really nice is it urs or ur collection good choice BTW |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Jul 2008, 2:34pm |
|
|
Kaho ab kia kaho tum se Kaho ab kia kaho tum se,
Batao kia likho tun ko ,
Muje tamheed do koi,
Muje Umeed do koi,
Naya ek lafz ho koi,
Jahan se baat chal nikle!
Meri mushkil ha hal nikle,
Batao lehja kesa ho ?
k tum se baat karni hai ,
Kaho abb kya irada hai?
Muje izhar karna hai,
K tum ko ye batana hai,
TUM AKSAR YAAD ATE HO !!! |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Jul 2008, 2:43pm |
|
|
Meri Aakhri Aaram Gaah...:) Kisi Khamoshi Main
Kisi Sarsabz Darakht Ki Chaaon Taley
Wehshaton Se Door
Phoolon Ki Khushboo’on Main Rakhna
Naram Mitti Ki Gaud Main Jab Main So Jaun Gi
Meri Zaat Ko Apni Duaaon Ki Hisaar Main Rakhna
Rona Nahin Bikhar Nahin Jana
Beetey Meethey Lamhon Ko Dohrana
Aankhen Nam Hon Tau Bhi Muskarana
Aakhri Saans Main Mere Maathey Per
Apney Hiddat Aamez Bosey Ka Lams Rakhna
Gawahi De Du Jab Main Uss Zaat-E-Barhaq Aur Uss K Mehboob Ki
Aur Rooh Parwaz Kar Jaye Meri
Meri Aakhri Aaram Gaah Main Mujhey Bauhat Pyaar Se Rakna!!!!!!!!! |
|