Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 2:32pm |
|
|
Babar bhai bohat khoob aap yahan kam kam aate hain lekin jab bhi aate hain kamal poetry share karte hain:) |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 2:35pm |
|
|
Shukria Kaisi hain aap, poetry pasand karne ka shukria, aap beijing main rehti hain na??? |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 2:48pm |
|
|
Babar bhai nahi main shere khamoshan main rehne lagi hun:) aap ka bhi shukriya meri sharing bhi aap ne pasand ki:) |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 2:54pm |
|
|
Maryam ye aap ki apni poetry thi? , main samjha kahin se copy ki hae. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 3:04pm |
|
|
Babar bhai aap bhi na baal ki khaal nikalte hain :) maine copy hi ki hae:) |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 3:08pm |
|
|
Maryam ok , waiting for more poetry from u |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 3:58pm |
|
|
qismat Lakeeron k ghanaire jaal main qismat nahi milti
Bohat dhoonda
bohat dhoonda to tab jakar tumhain paya
Jo paya hae to abb dil ko yeh andesha satata hae
Karainge kiya agar JAANA humain tum ne bhula dalaa |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 11:24pm |
|
|
re:S4u zaroor zaroor aik do shair sunaoungi kabhi na kabhi...... :)
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 11:47pm |
|
|
Seemi aunty ke naaam
Tarste The Jo Milne Ko Hamse Kabhi
Aaj wo Kyun Mere Saye Se Katrate Hain…. (Seemi aunty aap aisi ho gayi hain)…..lol
Ham Bhi Wahi Hain Dil Bhi Wahi Hai
Na Jaane Kyon Log Badal Jate Hain… :( (hamari seemi aunty siyasat ko pyari ho gayin hain)
Waqt ke saath halaat
badal jatay hain
Insan wahi rehtay hain,andaz badal jate Hain… (seemi aunty ke andaaz badal gaye
hain…sab kuch badal gaya hai…)
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 11:51pm |
|
|
chilli milli wah ji wah bohat khoob:) |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 11:52pm |
|
|
maryam aunty Thanks aap ko raaz ki baat bata doun waise ye shayeri main ne copy ki hai.... seemi aunty ke liye ....
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 11:56pm |
|
|
chilli milli ji yeh to mujhe pata hae k yeh copy hae:) |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:23rd Aug 2008, 11:57pm |
|
|
Maryam aunty hai to ye copy per is ko main ne apne andaaz se likha hai.....lol |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:24th Aug 2008, 8:36am |
|
|
zaat hamari zaat ka ander bhi koi zaat hoti hai jo tanhaye may bhi tanha hamein honay nahi dayti hum osko choo nahi saktay magar her pall hamein baawer kerwati hai k koi hai k koi hai jo apnay khoon ki gardesh may behta hay hamaray saath rehta hay jo saray mausamoo ko bhi hamaray saath sehta hay hamari zaat kay ander bhi koi zaat hoti hay jo akser neend k sehra may bhi sonay nahi dayti hum apni baybasi per rona chahien to hamein ronay nahi dayti jo dukh milta hay sehnay may ossay khonay nahi dayti hamari zaat kay ander bhi koi zaat hoti hai |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:24th Aug 2008, 8:57am |
|
|
waah waah waah Maryam baji... good work.
|
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Aug 2008, 12:32pm |
|
|
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa Daikh To Gori Kaisay Pukaray Basti Basti Dawaray Dawaray Bar Main Jholi Hath Main Kaasa Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
Dil Main Aag Dabi Hay, Darna Ankhon Main Ashkon Ka Jharna Lab Par Dard Ka Bara Maasaa Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
Kanton Say Chalni Hain Paaon Dhoop Mili Chahray Par Chaaon As Mili Ankhon Main Nirasa Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
Bat Hamari Man K Gori Sab Duniya Say Chori Chori Ghon'Ghat Ka Pat Khol Zara Sa Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
Surat Hay Insha Je Ki Se Baal Paraishan Ankhien Neechay Naam Bhi Kuch Insha Je Sa Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
Soch Nahi Saajan Ko Bula Lay Agay Barh, Seenay Say Laga Lay Tujh Bin Day Isay Kun Dilasa Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
!!Abn-e-Insha!! |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Aug 2008, 12:34pm |
|
|
Yeh Batein Jhoti Batein Hain.....! Yeh Batein Jhoti Batein Hain Yeh Logon Ne Phelaye Hain Tum Insha Je Ka Naam Na Lo Kiya Insha Je Sodaayee Hain
Hain Lakhon Roag Zumaaney Mai Kiyun Ishq Hai Rusvaa Bechara Hain Or Bhi Vaja'hen Vehshat ki Insaan Ko Rakhti Dukh'yara Haan Be'kal Be-kal Rehta hai Ho Peet Mai Jis Ne Jee Haara Par Sham Se Lai Kar Subha Talak Yon Kon Phireya Ga Avaara...?
Yeh Batein Jhoti Batein Hain Yeh Logon Ne Phelaye Hain Tum Insha Je Ka Naam Na Lo Kiya Insha Je Sodaayee Hain
Yeh Baat Ajeeb Sunate Ho Woh Dunya Se Ba'aas Hoye Ak Naam Suna Or Ghush Khaya, Ak Zikr Pe Aap Udaas Hoye Woh Ilm Mai Aflatoon Sunaye, Woh Shair Mai Tulsi Daas Hoye Woh Tees Bars K Hotey Hain, Woh B. A. M. A. Paas Hoye
Yeh Batein Jhoti Batein Hain Yeh Logon Ne Phelaye Hain Tum Insha Je Ka Naam Na Lo Kiya Insha Je Sodaayee Hain
Gar Ishq kiya Hai Tab Kiya Hai Kiyun Shaad Nahi Abad Nahi Jo Jaan Liya Bin Tal Na Sakey Yeh Aisi Bhi Uftaad Nahi Yeh Baat To Tum Bhi Mano Gay, Woh Qais Nahi Farhad Nahi Kiya Hijr Ki Daroo Mushkil Hai..?Kiya Wasal K Nus'k Yaad Nahi?
Yeh Batein Jhoti Batein Hain Yeh Logon Ne Phelaye Hain Tum Insha Je Ka Naam Na Lo Kiya Insha Je Sodaayee Hain
Woh Larki Achi Larki Hai, Tum Naam Na Lo Hum Jaan Gaye Woh Jis K Laambey Gaisoo Hain, Pehchaan Gaye Pehchaan Gaye Haan Saath Humaare Insha Bhi Is Ghar Mai They Mehmaan Gaye Par Us Se To Kuch Baat Na Ki, Anjaan Rahey Anjaan Gaye
Yeh Batein Jhoti Batein Hain Yeh Logon Ne Phelaye Hain Tum Insha Je Ka Naam Na Lo Kiya Insha Je Sodaayee Hain
Jo Hum Se Kaho Hum Karte Hain Kiya Insha Ko Samjhana Hai..? Us Larki Se Bhi Keh Lain Gay Go Ab Kuch Or Zamaana Hai Ya Chori'yaan Ya Takmeel Karein, Yeh Isq Hai Ya Afsaana Hai..? Yeh Kaisa Gorukh Dhanda Hai, Yeh Laisa Tana Bana Hai........?
Yeh Batein Jhoti Batein Hain Yeh Logon Ne Phelaye Hain Tum Insha Je Ka Naam Na Lo Kiya Insha Je Sodaayee Hain
!!Abn'e'Inshah |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Aug 2008, 12:40pm |
|
|
Suna Hai...! Suna Hai Log Use Ankh Bhar K Dekhte Hain So Us K Shahar Main Kuch Din Thahar K Dekhte Hain
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharaab Haaloun Se So Apne Aap Ko Bar'baad Kar K Dekhte Hain
Suna Hai Dard Ki Gaahak Hai Chashm'e'Naazuk Us Ki So Hum B Us Ki Gali Se Guzar Kar Dekhte Hain
Suna Hai Us Ko Bhi Hai Sher'o'shaayari Se Zouq So Hum Bhi Mojaze Apne Hunar K Dekhte Hain
Suna Hai Bole To Baatoun Se Phol Jhaarte Hain Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhate Hain
Suna Hai Raat Use Chand Tak'taa Rahataa Hai Sitaare Baam'e'Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
Suna Hai Hashr Hain Us Ki Gazaal Se Aankhein Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar K Dekhte Hain
Suna Hai Din Ko Use Titaliyaan Sataa'ti Hain Suna Hai Raat Ko Jugno Thahar K Dekhte Hain
Suna Hai Raat Se Bar Kar Hain Kaa'kulein Us Ki Suna Hai Shaam Ko Saaye Guzar K Dekhte Hain
Suna Hai Us Ki Se'yaah Chash'magi Qayaamat Hai So Us Ko Surmaafarosh Aankh Bhar K Dekhte Hain
Suna Hai Us K Laboun Se Gulaab Jharte Hain So Hum Bahaar Par Elzaam Dhar K Dekhte Hain
Suna Hai Aainaa Tamasaal Hai Jabiain Us Ka Jo Saada Dil Hain Ban Saanvar K Dekhte Hain
Suna Hai Jab Se Hamaail Hain Us Ki Gardan Main Mizaaj Or He laal'o'Gauhar K Dekhte Hain
Suna Hai Chashm'e'Tasawar Se Dasht'e'Emkaan Main Palang Zaave Us Ke Kamar K Dekhte Hain
Suna Hai Us K Badan Ke Taraash Aise Hain Ke Phol Apni Qabaayen Katar K Dekhte Hain
Wo Sarv'qad Hai Magar Be'gul'e'Muraad Nahi Ke Us Shajar Pe Shagufe Samar K Dekhte Hain
Bas Ek Nigaah Se luTataa Hai Qaafilaa Dil Ka So Rahain'ravaan'e'Tamana B Dar K Dekhte Hain
Suna Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai Bahisht Makeen Udhar K Bhi Jalve Edhar K Dekhte Hain
Ruke To Gardishein Us Ka Tawaaf Karati Hain Chale To Us Ko Zamaane Thahar K Dekhte Hain
Kaha'niyaan Hian Sahi Sab MubaalaGe He Sahi Agar Wo Khuwaab Hai Taber Kar K Dekhte Hain
Ab Us K Shahar Main Theh'rein K Kouch Kar Jay'ein 'Faraz' Aao Sitaare Safar K Dekhte Hain....!
!Ahmed Faraz! |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Aug 2008, 12:43pm |
|
|
Jab Ke Baat The .....!!!! Main Nay Kaha Tha Dil K Safar Main Yun To Bohat See Manzalain Hain..
Lakin
JAANAA.....
Tum Say Aagay Koi Nahi Aaj Magar Majboor-e-Safar Hoon....!!!!
.
Ahmad Faraz (my most fav) |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:24th Aug 2008, 12:44pm |
|
|
Dukh Fasana Nahi...! Dukh Fasana Nahi K Tujh Say Kahain Dil B Maa'na Nahi K Tujh Say Kahain
Aaj Tak Apni Bai Ka'le Ka Sabab Khud B Jaana Nahi K Tujh Say Kahain
Bay Tarah Haal'e'Dil Hai Or Tujh Say Dost'tana B Nahi K Tujh Say Kahain
Ak Tu Harf Aashna Tha Magar Ab Zamana B Nahi K Tujh Say Kahain
Qasid!Hum Faqeer Logon Ka Ek Thikana B Nahi K Tujh Say Kahain
Ayee Khuda Dard'e'Dil Hai Bakh'shish'e'Dost Aab'o'daana Nahi K Tujh Say Kahain
Ab To Apna Bhi Uss Gali Main Faraz Ana Jana Nahi K Tujh Say Kahain
Sacha Shair Pori Ghazal Ka..
Dukh Fasana Nahi K Tujh Say Kahain Dil B Maa'na Nahi K Tujh Say Kahain
!!Ahmed Faraz!! |
|