Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry: Apne Honton par Sajana Chahati Hun - III

Urdu
 
 
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:24th Aug 2008, 11:51pm
 

poetry ki barsaat

 waaah waaah waaah bohat khoob
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3816  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 12:00am
 

waaah waaah

waaah waaah waaah bohat khoob
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:25th Aug 2008, 3:14am
 

Hamzi

wah wah wah bohat khoob:)
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3816  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 3:39am
 

re

karoon to kis se karoon malaal uska
use nahi to mujhe bhi nahi khyaal uska
meri wafa ne banaya hai bewafa usko
kisi adaa perr nahii hai kamaal us ka
yehi to mere naseeb ki khushnaseebi hai
k mujh ko deykh kar sab poochte hain haal us ka
mere urooj ko us k naseeb mein likh dey
khuday_e_paak mujhe sonp dey zawal us ka
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:25th Aug 2008, 3:47am
 

seemi g

bohat zabardast kiya baat hae ji:)
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:01am
 

thanx

all r aplausing
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3816  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:09am
 

maryam baji

Thank u.. :)

Hamzi bhai.. u r welcome.
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:25th Aug 2008, 4:21am
 

seemi baji

bohut hi khob .buhot acha likha
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:27am
 

seemi baji

All the pleasure is mine sis
i really lik ur comments
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:47am
 

Ek Insha Naam Ka Deewana

Us Basti K Ek Ko'Chey Main
Ek Insha Naam Ka Deewana

Ek Naar Pe Jaan Ko Haar Gaya
Mash'Hoor Hai Is Ka Afsana

Us Naar Main Aisa Roop Na Tha, Jis Roop Se Din Ki Dhoop Dahey
Us Shehr Main Kya Kya Gori Hai, Mehtab Ruke Gulnaar Labey

Kuch Baat Thi Us Ki Batoon Main
Kuch Bheed They Us Ki Chit'wan Main
Wohi Bheed Ki Chut jagate They
Kisi Chahne Walay K Man Main
Usay Apna Banany Ki Dhun Main

Howa Aap He Aap Se Be'Gana
Us Basti K Ek Kochey Main
Ek Insha Naam Ka Deewana


Na Chanchal Khail Kawani K
Na Piyar Ki Alhar Ghata'yein Then
Bas Rah Main Un Ka Milna Tha
Ya Phone Pe Un Ki Batein Then

Us Ishq Pe Hum Bhi Hanste They
Be'Hasil Sa Be'Hasil Tha
Ek Rooz Bipharte Sagar Main
Na Kashti Thi
Na Sahil Tha
Jo Bat Thi Un Ke Jee Main Thi
Jo Bheed Tha Yak'sar An'jana
Us Basti K Ek Koochey Main
Ek Insha Naam Ka Deewana


Ek Roz Mgar Barkha'rut Main
Wo Bhadoon Thi Ya Sawan Tha
Dewar K Bech Samandar K
Yeh Dekhne Walon Ne Dekha
Mastana Hath Main Hath Diye
Yeh Ek Kagar Pe Baithey They
Yon Sham Hoyee Phir Rat Hoye
Jab Seelani Ghar Lout Aaya
Kya Raat Thi Wo___Je Chahta Hai Us Rat Pe Likhein Afsanaa
Us Basti K Ek Kochey Main
Ek Insha Naam Ka Dewan





Continue
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:48am
 

Remaning.....!

Haan Omr Sath Nibhane K They Ehd Bohot Paimaan Bohot
Wo Jin Pe Bharoosa Karne Main
Kuch Soud Nahi Nuqsaan Bohot

Wo Naar Yeh Keh Kar Door Hoye
"Majboori Sajan Majboori"
Yeh Wehshat Say Ranjor Hoye
Or '''Ranjoori Se Ranjoori''
Us Rooz Hamain Maloom Howa Us Shaks Ka Mushkil Samjhana
Us Basti K Ek Koochey Main Ek INSHA Naam Ka Deewana

Gou Aag Say Chaati Jalti Thi Gou Ankh Se Darya Behtaa Tha
Har Aik Say Dukh Nahi Kehta
Chup Rehta Tha Gham Sehta Tha

Nadaan Hain Woh Jo Chairte Hain, Is Alaam Main Nadanoon Ko
Us Shaks Say Ak Jawab Mila, Saab Apnoon Ko Sab Be'ganoon Ko
"Kuch Or Kahoo To Sunta Hoon, Is Baab Main Kuch Mat Farmana"
Us Basti K Ek Koochay Mein
Ek INSHA Naam Ka Deewana



Ab Aagay Ka Tehqeeq Nahi Go Suntay Ko Hum Sunnay Thay
Us Naar Ki Jo Jo Baatien Thi Us Naar K Jo Jo Qissay Thay
Ek Shaam Jo Us Ko Bulwaya Kuch Samjhaya Becharay Ne
Us Raat Ye Qissa Pak Kia Kuch Kha Hi Lia Dukhyaray Ne
Kia Baat Hoyee Kis Tor Hoyee Akhbar Se Log`on Ne Jana
Us Basti K Ek Koochay Mein Ek INSHA Naam Ka Deewana


Har Baat Ki Khoj To Khoj To Theek Nahi Tum Hum Ko Kehnay Do
Us Naar Ka Naam Muqam Hai Kia...? Us Baat Pe Parda Rehnay Do

Hum Se Bhi TO Soda Mumkin Hai. Tum Se Bhi Jafa Ho Sakti Hai
Ye Apna Bayan Ho Sakta Hai Ye Apni Katha Ho Sakti Hai
Wo Naar Bhi Aakhir Pachtayee Kis
Kaam Ka Aisa Pachtana........?
Us Basti K Ek Koochay Mein
Ek INSHA Naam Ka Deewana






!!Abn-e-Insha!!
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:49am
 

Yeh Waqt Bhi Kitna Zalim Hai

Itne Bars Ki Doori Or Mehjoori K
Afsoon'e'Safar Men Lipta Howa

Ek Shakhs Achnak Aan Mila
Ma Us Ko Dekh K Shishder tha
Wo Mujh Say Siwa Hairan Mila

Yeh Waqt Bhi Kitna Zalim Hai
Iss Hijar Ma Kia Kia Roye Thay Hum
Iss yaad Ma Kia Kia Khoye Thay Hum

Kuch Dair To Dono Chup Say Rehai
Phir Uss Nay Kaha."Tum Kaisay Ho?"
Or Ma Nay Kaha.....
"Bas Acha Hon"

Phir Us Nay Kaha,

"yeh Itnay Dinoo k Baad Ka Milna Khub Raha,
Koi Purana Dost Milay To Dil Ko Bhala Sa Lagta Haai
Yeh Shehr To Bilkul Badal Sa Gaya Hai.....Acha Ab Men Chalti Hon"

Phir Main Ne Kaha,
"Main Sham Samay Har Roz Yahan par Aata Hon
Jab Waqt Mile Tum Aa Janaa
Iss Waqt Mujhai Bhi Jaldi Hai...................Acha Ab Main Bhi Chalta Hon!"

Yeh Waqt Bhi Kitna Zalim Ha...!




Amjad Islam Amjad
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3816  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:54am
 

Hamzi bhai

Good collection.. keep it up.
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3816  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 4:54am
 

for our CJ

چیف تیرے جانثار           بیشمار، بیشمار

salmi Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2008  Topic: 4  Post: 28  Age:  31  
Posted on:25th Aug 2008, 5:22am
 

Faraz ki yad mein

charag jalany ki rasm tu purani ho gai 'Faraz'

tery sheher k log ab  insaan jalaty hain 

salmi Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2008  Topic: 4  Post: 28  Age:  31  
Posted on:25th Aug 2008, 5:34am
 

keh do na

Nahi acha koi mobhim ishara saaf keh do na

kahan tak do gy tum sath hamara saaf keh do na

Judai ki tarha darya bhi apny sath chalta ha

nahi milta kinary se kinara saaf keh do na....

Bahaany apni majborion k kio aa ker sunaty ho,

kasoor is mei ni koi tumhara saaf keh do na...

hamain tanhi k tanny to mat do gair k agy,

k ham b dhoond le gy koi sahara saaf keh do na...

hamary hath ki aksaer lakeerien milti julti hain,

nahi milta magar apna sitaara saaf keh do na....

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3816  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 5:52am
 

Salmi bhai

Faraz sahab abhi masahALLAH baqaid e hayat hien.. aap ne abhi se un ki yaad manana shoro kar di... :)  

by the way, nice poetry
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3816  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 5:53am
 

re

Koi Tum say pooochay kon hon main

Tum keh daina koi khaas nahi

Ik dost hai kacha paka say

Ik jhoot hai Adha sacha sa

Bus koi bahana Acha sa

Dukh sukh ka aisa sathi hai

Jo door na ho kar pass nai

Koi Tum say Poochay kon hon mai

Tum Keh daina koi Khas nahi
salmi Group: Members  Joined: 23rd Aug, 2008  Topic: 4  Post: 28  Age:  31  
Posted on:25th Aug 2008, 6:41am
 

re;

Aisy dikhaee dena hazaron k dermiyan

Sajta ha chand jaisy sitaron k dermiyan 

 logon k beech reh ker bhi rehna yun Munfarid!

jesy gulab hota ha kanto k darmiyan

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1070  Age:  29  
Posted on:25th Aug 2008, 9:16am
 

seemi baji

nice sharing

salmi
last one is quite good

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16  >>
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to apply UK student visa  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us