mardouN ki chati par baal to mardangi ki elaamat hai... yeh kissi mard k kam aur kissi k zeyadah hotay haiN. islami taaleemaat iss baray maiN khamosh hai...
lehaza issay shave karnay ya nah karnay maiN mardouN ko azaadi hai... agar koi bahoot eyadah problem horahi ho to issay shave /trim kia jasakta hai... warnah bila wajah aurtouN ki tarah chest ko hair-clean banaanay kia zaroorat hai. aur phir waisay bhi agar aik martabah in baalouN ko shave /trim kardia jaa.ay to phir yeh mazeed sakht /hard /zeyadah ghanay nikaltay rahengay...lekin agar un-shaved /untrimmed rahay to soft aur aur aik had say agay nahi baRhtay.
wallaho aalam bissawab |