well said bacaha baat to such hai, magar baat hai roswayee ki...
asal maiN jab police kissi mulzim ko pakaR kar adaalat maiN pahli martabah pesh karti hai aur mulzim k khelaaf jurm ki tafseel pesh kartay howay adalat say request karti hai k abhi mulzim say tafteesh karni baqi hai, lehaza issay jail bhejnay ki bajaa.ay "police k hawalay" hi rahnay dia jaa.ay... issi ko urfay aam maiN jismani remand bhi kahtay haiN... aur issi dauran hamari police mulzim par tashaddud bhi karti hai...goya jismani remnad aur police ka tashaddud ham maani sa hogaya hai |