aanab |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2011 Topic: 11 Post: 105 Age:
23
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 3:05am |
|
|
Problem Regarding Baby Pregnancy assalam-o-alaikum ....kia haal hain aap k? meray sath ek tragedy hogae :( shadi k theek 16 months bad mujy pregnancy hue, r mein n meray husband bohat kush thay lekin ye kushi b adhuri he reh gae ... sb sahe jarah tha r taqreeban meri pregnancy ko 23 weeks hogaye thy , ek raat mujy boht side pain r fever raha dosray din mein checkup k liye gae to doctor ne btya k apkay baby ki ander he death hogae ...cord accident :( ... kheir Allah ki jo marzi ho .. ajkal aisay issue kafi sunnay mein aarhay hain. kahin baby theek se grow nahe krha to kaheen time se pehle he pedaish , to ye kis waja se aisa horha hai ki c cheez ki defficency ki waja ya r koe waja hoskti hai iski ? plz thora guide karein ta k next time khyal rakhein in sb baton ka ..r ek baat aor ab mujy 2nd pregnancy k liye kb tk wait krna chahiye ? means kmeri doctr ne kaha hai k 3 months tk dubara baby na ho ? iski ki kia waja hoskti hai /? |
aanab |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2011 Topic: 11 Post: 105 Age:
23
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 3:12am |
|
|
''ATTH RAA ''
ek baat aor kuch logon ka ye b kehna hai k aortoon mein ek bimarii " athh raa " k naam se b hoti hai jis waja se ye sb hota hai , r unka ye b kehna hai k is bimari k injections b lagtay hai during pregnancy ... kia aap ki knowldge mein aisa kuch hai to plz btyae ga ... shukria .
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 10:26am |
|
|
Aanab:
Walaikum Salam! Dear sister, Bohot afsos hua sun kar. Allah taala aap ko sabar ata karain, ameen. Aanab, shayad aap ko yeh sun kar herat ho keh cord baby ki neck ka around aa jaana aik bohot common problem hai, aur shayad uss say bhee ziada herat aap ko iss baat say ho ge keh most cases mein iss cheez ki wajah say baby ko koi harm nahin pohonchta. Bohot rarely aisa hota hai keh iss wajah say baby ki death ho jae. Kehna ka matlab yeh keh aap ka loss apni jagah, magar iss baat sa pareshaan nah hoon keh kaheen aisa nah ho keh yehi cheez dobarah nah ho jae. Aisa dobarah hona ka bohot bohot kam chance hai, inshallah. Second yeh keh iss cheez sa bachna ki koi ahtiati tadabeer bhee nahin hain as such. Magar aik cheez jo aap kar saktee hain future mein, woh yeh keh jab aap baby ki movements feel karna shorow ho jaeen, uska baad agar baby ki movement feel hona mein kaafi difficulty mehsoos ho then you can go and get yourself checked out. Miscarriage ka baad body ka physically aur emotionally ready hona zaroori hota hai, magar iska lia koi khaas time duration nahin hai. Kuch aisa miscarriage ka causes hota hain jinka baad zara ziada arsa wait kar laina chahye, magar generally speaking 3 months are ok in your case, maybe you can try even sooner if you like. I am sorry, magar mujha nahin patah ATTHRAA kia hota hai. Bohot si aisee cheezain aur deficiencies hoti hain jo pregnancy ko effect kartee hain, aur pregnancy say pehla hi unka proper treatment karwa lia jae to healthy pregnancy ka chances barrh jjaatay hain. Iska lia aap ko apna aarticle ka link dobarah day raha hoon: Health Tips: Before You Become Pregnant http://www.forum.noorclinic.com/thread.php?topic=26762
|
aanab |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2011 Topic: 11 Post: 105 Age:
23
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 3:51pm |
|
|
Aameen ...
Aameen ... shukria Bhai mein ne apka article dubara read kia hai IN SHAA ALLAH mein agay in sb baton ko b follow karonge ... acha ek baat aor doctor ne mujy "Rubilla'' ka injection lagaya tha jo k unhon ne kaha tha 3 MONTHS tk effective hoga . ta k next pregnancy me koe complication na na ho ,r ye kaha tha k 3 MONTHS tk baby na ho abi 2 months nahe huay complt . to agr is doran mujy pregnancy hojati hai to koe problem to nahe hoge na ?
|
Mr.s zee |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2012 Topic: 5 Post: 42 Age:
22
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 3:58am |
|
|
Oh bot dukh hua apka post parh k anab Waalekumuslam hw r u? aanab sis bot dukh hua apka post parh k I knw k kya cnditon hti jb ye khushi dor hojati, qk me b aisi tradgy sa guzr chuki mean mera 2 tym miscrg ho chuka :( Allah pak apko bot jald ye khushi naseb farmai amensumamen. r han aj kal bot ziada aisy cases ho ry jisy dako mscrg sunny me ara, bs Allah pak sb ko ye khushe dai amensumamen r meri infrm k mutabq 0ne m0nth ka tym daty k 0ne m0nth intrcors sa avoid krna chahye ta ky jo tor phor hui wo tek hojae... apk lia bot dher duae... t,c alot |
aanab |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2011 Topic: 11 Post: 105 Age:
23
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 5:18am |
|
|
mr.s zee Alhamdulillah mein theek hon sis ap kc hain? ..hmm bs jo ALLAH ko manzoor is mein b Allah ki koe na koe maslihat hoge ,insan kia kr sakta hai ... Aap ki duaoon ka bohat bohat shukria ,Allah Paak apko b ulad jesi nemat se jald nawazy Aameen ...
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 9:30am |
|
|
aanab sorry for ur baby... Allah pak k pass kisi cheez ki kami nahi hai inshaAllah wo phir se dyga ap Allah se healthy aur zindagi wali olad ki kasrat se dua kia kre.
ajkal yeh cheez buht aam hogai hai itni omedo k bad Allah pak aas lgata aur prhi kisi waja se toot jati hai aik bat ap humesha zehn me rakhna k is dunia me jo b hota hai jb tk Allah na chahy kuch b nhi hosakta hur kam me uski koi na koi maslehaat zarooor hoti hai dear.
Allah pak hur kisi ko nahi azmaish me dalta aur jinko dalta hai wo Allah unkay ziada qareeb hota hai.isliye ap hur haal me Allah ka shukar ada kre jitna shukar ada kregy sabbr kregy wo apko utna hi rehmat aur naimto se nawazta rahyga.inshaAllah |
Mr.s zee |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2012 Topic: 5 Post: 42 Age:
22
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 12:47pm |
|
|
Aanab Thank u 2 dear sis, me 2 f9 Alhmdulilah. r yup ap ne thek kaha is me b Allah pak ki koe maslehat laxmi hoge bs Allah pak agay behtr kry amensumamen. |
aanab |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2011 Topic: 11 Post: 105 Age:
23
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 12:55pm |
|
|
hasna sis.. thank you hasna sis .bs duaoon mein yaad rakhiye ga:) ..aap ne sahe kaha hr haal mein ALLAH ka shukr ada krna chahiye , mujy Apne Allah se koe shikyat nahe hai bs Duaa hai k ab ALLAH mujy jald nayik r sehatmand olad se nawazay Aameen.. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 10:57pm |
|
|
Aanab:
Dear sister,
Jaisa keh mein an apna article mein mention kia, Rubella injection ka baad 1 month tak wait karna chahye keh pregnancy nah ho. Pehla yeh recommend kia jaata thaa keh rubella injection ka baad 3 months tak wait karna chahye, magar ab 1 month ka wait enough consider kia jaata hai.
Bohot si duaian aur best wishes aap ka lia :)
|
aanab |
Group: Members Joined: 14th Dec, 2011 Topic: 11 Post: 105 Age:
23
|
|
Posted on:11th Jan 2013, 10:59am |
|
|
psychdoc bahi thank you soo muchh bhaiya ...GOD bless You :)
|
|