Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ek sawal...

Non Medical Discussion
 
 
 
dr.innocent Group: Members  Joined: 06th Sep, 2012  Topic: 7  Post: 34  Age:  25  
Posted on:22nd Oct 2012, 4:14am
 

Ek sawal...

Aslam o Allaikum Ek sawal.... Akhir kab tak...? Kal raat mere mamun apne kisi dost k shadi m shirkat k liye ja rahe to raste me gunpoint p un se atleast 60,000 tak ka saman chen lya (mobile+gifts+paise)... Kal raat se me sirf yehi soch raha hun kitne log hain yahan pak m, lakho jin se har roz kitna kuch loota jata he, akhir kab hume in luteron se, zalimo se nijat mileg, akhir kab hum sukh ka sans lenge..? Hum log din ba din mentally depression me ja rahe hain, kitne talented student is tarah k roz baroz hadsat se apna mental power, depression k waja se loss krte ja rahe hn Akhir kab khuda is huqumat ko kharaq karega, jis ne jeena haram kar rakha he hum logo ka... Kia ane wala election me b same hi zalim aenge? Akhir kab tak.....?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:22nd Oct 2012, 11:38pm
 

Dr. Bhai

jab kissi society maiN aksar log doosrouN k haqooqada karna choR daiN, sirf apna haq maangnay ki fikar maiN lagay rahaiN, bunyaadi akhlaaqiyat ko turk karkay sirf apnay zati mofadaat ki fikar main par jayaiN to aisay mo'aashray par Allah ka azaab kissi nah kissi soorat naazil hokar hi rahta hai.... aur agar kissi muslim society k aksar mosalmaan aisa karnay lagaiN to npar dohta azaab naazil hota hai... kia ahlay karachi nay bilkhasoos aur ahlay pakistan nay bil.amoom apni nomaaindagi ka haq bazaryah vote characterless logouN ko nahi dedia hai... kia ham min haisul qaum aisaa nahi kartay chalay aa.ay haiN... kia election kaiN ham sahibay kirdaar logouN ko montakhib nahi karsaktay... aik parlimaani mulk maiN iss qism ki corruption aur looT maar roknay ka wahid tareeqah yehi hai k ham sirf naik, deen.daar aur sahibay kirdaar logouN ko vote daiN...
dr.innocent Group: Members  Joined: 06th Sep, 2012  Topic: 7  Post: 34  Age:  25  
Posted on:23rd Oct 2012, 1:34am
 

Yes

myrizvi bhai me b to yehi kahta hun, akhir kab tak hum aise hi karte rahenge, akhir kiyun hum apne soch ko nahi badlte, ye siastdan hume apas me lara k is ka faida utha k hume hi lootatein hain, ye street crimes, qatal o gharat in k hi chamche karte hn jo election m in ka sath dete hn phr badmashi krte phirte hain k hamara baap betha he, kal lahore airport k andar gore (horse) le k ja rahe the aur hangamaarai hui, yehin hn in k educted members, aur un ka sarbrah kia kahta he in k insult ka badla me lunga, wah kia bat he... Kiyun hum awam ye nai sochte k asul taqat hum me he, hum hamare halat badal sakte hn, kiyun hum in k ghulami kr rahe hn, akhir kab hum khud ko badalenge, kb hum khud p zulam karna chor denge..?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:23rd Oct 2012, 3:21am
 

being a muslim

ham khud ko badalnay ka aghaaz apni zaat say karsaktay haiN... halaat etnay zeyadah kharaab hochukay haiN k behtarikasaar dooor dooor tak nazar nahi aatay... aisay maiN islamic teaching hi hamaiN kissi had tak sakoon day sakti hai, jaisay,,,

1. ham iss dunya maiN just a "short period" k liyeh exam denay aa.ay haiN... iss exam maiN hmari indivisual performance ki bunyaad par hi hamari next life (after death in this world) k for ever achay /boray honay ka inhisaar hai... lehaza ham iss life ko yehi samajh kar guzaaraiN... iss life hi ko sab kuch nah samajh laiN

2. aik sahih hadith k motaabiq naumaulood maiN rooh phoonkay janay say qabal oska RIZQ aur oski AGE likh di jati hai... lehaza hamaiN zeyadah say zeyadah maal k hasool k liyeh pagal honay aur lambi say lambi life period k liyeh "fazool struggle" say avoid karna chaahiyeh. jo naseeb maiN hai, jetna hai aur jab hai, zaroor milega... just do what you can. aur maut say bachna naa.mumkin hai

3. dunyaa to khatam hosakti hai (aur "hamari dunya" to hamari maut k saath hi khatam hojati hai) lekin dunya say zulm, naa.insaafi khatam nahi hosakti. shaitaan aur iskay chelay taa qayamat yeh sab kuch kartay rahengay... ham apni si koshihs yeh karsaktay haiN k khud iss zulm maiN shareek nah houN... plus agar apnay ooper honay walay zulm ko rok sakaiN to zaroor rokaiN...apnay jaan o maal ki hifazat kartay howay maraa jaanay wala muslim shaheed hota hai...lekin agar zulm ko nah rok sakaiN to sabar karaiN...sabar ka bara ajar hai... iss say hamaray gonaah kam hotay haiN

quran o ahaadith ka with tarjumah study karaiN to yeh hamaiN har qism ki sooratay haal maiN hamaiN satisfied honay ka tareeqah batlata hai. Allah ham sab ko deen o imaan o sehat ki salamti k saath zindagi guzaarnay ki taufeeq day aameen
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6346  Age:  35  
Posted on:23rd Oct 2012, 11:32pm
 

Anaarki or Ghonda ghurdi

Causes

1: Laa Qanooniyaat
2: Bay Ensaafi , Ensaaf ka na hona
3: Corruption or Corrupt Leadership ki Hukomat
4: Islam say Dooori
5: Wusayel ka Ghayr Monsufaana Estumaal
6: Unemployment
7: Mahengaahi
8: Technical Education, skill ky bujay Degree pur Diploma pur ektifaa kurna
9 : Energy Crisis
10: Industries ka na hona
11: Taleem ki kumi Turbiyaat ka Foqdaan


Jub jis molk meah Sudar say lay kur ek Thaly waly tuk Zurdari batha ho tu os Haraam ki kumaai sy purwarash pany waly be Hulal kam kurny waly nahi hoty . Leaders nay hur edaary neay apna kerdaar adaa nahi keya , Pakistan tu bun ghiya lakin choroo kay hath meah Aghiyaa. abi karachi meah keya ho rha hy? tumam political parties jo Hukomat ky muzy loot rahi hen woh he Qutal o Gharat kurwaa rahi hen , siyaasi assar rusoookh ka estimaal hay , jub hur thaany meah SHO tuk apni murzi ka siyasi partiyaan lugai ghe tu keya hoga?

Jub tuk mojrim jo jorm ki suzaa nahi mily ghi woh be ebrut naak suza tuk tuk juraim pur qabo pana namomkin hy , essy juraim jo mohashury meah fitna fusaad burpaa kurin amaan o sukon burbaad kurin onky suzaa Mot ky siwaa honi he nahi chaiyeh ku kay Allah nay Fitna ko qutal sy ziyada sungheen or khutar naak Quraar deya hay. ess leyeh Bhuta khoor, Target killers , Dakhoo, choor , or woh log jo mutahuod bar Juraym ky mortakib ho choky hon onko Qutal kur deya jay.

Punjab meah Shebaaz Shureef farmoola kafi kamyaab ja rhaa hy agur karachi meah bhe esi tura essy Juraym pasha logo ko Police moqablo meah Qutal kur deya jay jo Qanoon or Police or adaalat ko chukmaa day kur nikaal aty hen or pher dobara Jorm ka ertikaab kurty hen active ho jaty hen onko police kay hathoo qutal kurwaa deya jay.

esky elawaah essy qanoon bnany ki zurorat hy jis meah Mojrim ko suzaa mily lakin karachi ki hukomat jo Khichri nomaa Hukomat hy eno nay aag or Khoon ka bazaar ghuram kur rkhaa hy . Karachi jessy city meah tu tumaam or hur qissum ki siyaasi surghurmiyaooon julsoo , raliyoon pur humashaa ky leyeh pabundi lgaa dani chayeh , taa ky soch cahain sy log apna kam kur sukin . Serf Media ko estimaal kurin .

Jub tuk Hokmarana chor hen or Qatil hen woh ensaaf ky tuqaazy kasy pory kurin gy?




Hayya Group: Members  Joined: 09th Apr, 2012  Topic: 0  Post: 20  Age:  37  
Posted on:24th Oct 2012, 2:12pm
 

Ek sawal

yeh sawal iss waqt sirf kisi fard e wahid k zehan maiN nahi balkay shaoor rakhnay walay sab logoN k zehnoN maiN hae. aaj kal election discussion chal rahi hae to maiN sochti houN k aik vote ki kiya ehmiyat hae ?

aik paRha likha, ba.shaoor shakhs = aik un paRh aur soch samajh se balatar shakhs

donoN ki vote value same hae. jab illiterate ppl kisi ko vote kartay haiN to us maiN mulki mufaad madd e nazar nahi hota. apni choTi si zaroorat k poora honay k waday par woh kisi ko bhi vote kar detay haiN. PR ki base pe voting ki jati hae.

hum log bohat asaani se apnay hissay k gonnah doosroN ki jholi maiN Daal detay haiN. yahaN aik reRhi wala bhi utna hi corrupt hae jitna k ewaan e sadar maiN baiTha MNA . just levels ka farq ajata hae har koi apni bissat aur apnay level k mutabiq corruption karta hae.

humaray mulk maiN is waqt tarbiyat ka itna fuqdaan hae k paRhay likhay logoN maiN bhi yeh kami dekhnay ko milti hae. plz khawateen iss muamlay maiN to apna haq ada karaiN. mulk ko achi soch achi nasal ki zaroorat hae .

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6346  Age:  35  
Posted on:25th Oct 2012, 7:27am
 

hayaa

Masha Allah Aap nay Bahot achi baat ki hay , Vote ki Ehmiyaat ka andaza logo ko nahi hy or Olamaa nay Vote kay bary meah logo ko btaya be nahi hy kay eski ehmiyat keya hay, Huzrat Immam Hussain ruzi Allah tahala nay apni Jan Quraban kur dee lakin ek naa-aahel or bud kerdaar Insan ki Hukomat Qubool kurny say enkaar kur deya, Vote ka aghur sahi or jayz estimaal hony lugy tu yeh bud diyaanat or chor log eqtadar meah na aaa sukin,

vote , Qom , buraadri , muslaak , siyasi parti ki bonyaad pur deyeh jaty hen chayyee ketna he bud diyaanat or chor ku na ho woh apny mofadaat ky lyehe vote daty hen jo Qomi mofaad meah nahi hota ,




1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012