Iss topic ka maqsad yeh hai keh pregnancy say pehla kaa period, jo pregnancy ke success kay liya bohot important hota hai, uss mein kin kin baaton ka khayal rakhna chahye, unka baaray mein discuss karna hai.
Pregnancy ke misaal aik building jaisi hai. Jis tarah kisi bhee building ke mazbooti kay liye uski strong foundation ( bunyaad) rakhna bohot zaroori hai, issi tarah pregnancy say kuch months pehla kaa period bhee pregnancy ke success kay liya bohot important hai.
Unfortunately, most women ko patah hee nahin chalta keh woh pregnant ho gae hain, jab tak unka period nahin miss hota. Iska matlab hai keh pregnancy kay first few weeks , jis mein baby kay body parts ke bunyaad parr rahe hote hai, aur jis mein kaafi baaton ke ahtiat zaroori hai, woh saara period baghair ahtiat kay guzar jaata hai.
Almost 20% pregnancies ( 1 out of every 5 pregnancies ) first few weeks mein he zaya ho jaate hain, aur iska result mein jo bleeding hoti hai, mother yeh samajh rahee hoti hai keh periods waqt say pehla aa gaye, jabkeh haqeeqat mein woh miscarriage ho raha hota hai. Kiyonkeh pregnancy kay first few weeks mein baby kay vital organs ke bunyaad par rahe hoti hai, iss liya early pregnancy mein ihtiat nah karna say baby mein birth defects , particularly brain aur spinal cord kay birth defetcs bhee ho jaatay hain, jo thorri see ihtiat karnay say prevent kiya jaa saktay thay. Issi liya yeh bohot zaroori hai keh pregnant hona say pehla hee kuch baaton ka khayal rakh liya jae takeh pregnancy ke success kay chances increase ho jain.
Aaian daikhta hain keh woh kiya kiya baatain hain aur kiya kiya ahtiati tadabir hain jinka pregnancy say pehla khayal rakhna aik healthy pregnancy kay liya bohot zaroori hai.
1). Folic Acid: Folic acid aik vitamin hai jo green leafy vegetables mein paya jaata hai, aur iska role baby kay brain aur spinal cord kee normal development karna hai. Agar pregnancy ka waqt Folic Acid levels low hon gay to baby mein brain/spinal cord kay birth defects aur even miscarriage kaa risk barrh jae gaa. Iss liya zaroori hai keh pregnancy plan karna say atleast 1 month pehla say daily Folic Acid supplementation start kar dee jae, takeh jab pregnancy start ho to iss waqt tak body mein Folic Acid levels normal ho gae hon baby ke normal growth aur development kay liya.
2). Iron levels/Anemia : Anemia (khoon kee kami) bohot zyada common hai, aur low iron levels aur anemia bhee early pregnancy say pehla properly treat hona chahyain, warna low birth weight aur even miscarriage kaa risk barrh jaata hai. Anemia kaa diagnosis aik simple blood test kay zarya kiya jaata hai, aur agar blood test mein anemia patah chala, to uska proper treatment karna chahye iron supplements ke shakal mein. Waisa iron meat products, apples, baked potatoes, spinach waghira mein bhee bohot hota hai. Prenancy plan karna say several weeks pehla apna blood test karwa lain takeh pregnancy kay start hona say pehla pehla anemia properly treat ho jae.
3). Avoiding Certain Medications: Bohot see aisi medications hote hain jo early pregnancy mein baby ko nuqsaan ponchaa saktee hain. Aisi medications ke list bohot barri hai, aur inn mein pain /headcahe medications say laikar antibiotics waghira aur doosri kae medications aur hormonal treatments aa jaatay hain. Early pregnancy kay doraan inn medications kaa isteemal baby kao hurt kar sakta hai. Iss liya zroori hai keh agar aap ko shak hai keh shayed aap pregnant hain, to koi bhee medication apni doctor say poocha baghair nah use karain, warna aap anjaana mein apna baby ko nuqsaan poonchaa saktee hain.
4). Childhood Immunizations ( hifaazati teekyay): Pregnant hona say pehla itmeenan kar lain keh aap kee childhood immunizations complete hain. Agar koi shak ho to aap ke doctor mukhtalif tests kay zarya yeh bataa saktee hain keh aap kay hifaazati teekay complete hain yaa nahin. Iski importance yeh hai keh agar aap ko bachpan mein hifaazati teekay nahin lagay, aur khudanakhuawsta aap ko early pregnancy mein infection ho jaata hai to bohot say aisa infections haain jo miscarriage aur birth defects cause kar daitay hain. Khas tor par important Rubella Infection ( German Measles) hai. Agar kisi wajah say aap ko bachpan mein MMR vaccine ( Measles, Mumps,Rubella) nahin lagee hai to apni doctor say mashwara karain. Agar aap ke doctor decide karain keh aap ko yeh vaccine lagnee chahyee to vaccine lagna kaa baad laazmi hai keh atleast approximately aik month ( 28 days to be exact) tak aap pregnant nah hon, warna vaccine bhee baby ko hurt kar saktee hai, agar vaccine lagaana ka foran baad pregnancy ho jae. Iss liya yeh vaccine lagna ka baad atleast 1 month tak pregnant nah hon. Pehla iss ke duration 3 months thee, magar ab approximately 1 month ( 28 days) ka waiting period bhee sufficient consider kiya jaata hai.
5). Avoiding Xrays: Agar aap ko kisi wajah say kabhee Xray karwaanay kee zaroorat ho, aur aap ko shak ho keh aap pregnant hain to Xray karwaana say pehla doctor ko batta dain keh aap pregnant hain, otherwise Xrays baby kay liya nuqsaandeh ho sakti hain. Generally, normal Xrays mein jitni radiation hoti hai woh baby ka lia itni ziada harmful nahin hoti, haan CT scan mein radiation ki high dose use ki jaati hai, iss lia ahtiaat behtar hai.
6).Healthy Eating Habits: agar aap already healthy eating habits follow nahin karteen to yeh zaroori hai keh pregnancy say several months pehla say apni eating habits ko healthy banain, fatty /fried foods/ desserts ko avoid karain; fruits, vegetables, high fiber foods, chicken, low fat milk/yogurt, brown bread waghira kaa isteemal zyada karain. Agar aap obese (overweight) hain to apna weight loose karain. Koshish karain keh pregnancy say pehlay hee aap apni physical fitness kaa bhee khayal karain aur thorri bohot exercise bee start kar dain, iss say aap ko pregnancy mein bohot help milla gee.
7). Sleeping Habits: Pregnacy say pehlay hee apni sleeping habits ko improve kar lain, aur koshish karain keh approximately 7-8 hours ke uninterrupted sleep liya karain. Din bhar kay kam aur activities ke wajah say body mein jo tor phor hoti hai, sleep kay doraan uski repair hoti hai, iss liya proper sleeping habits bohot zaroori hain.
8). Stress Reduction: Agar aap ke life mein koi stress hai, to iss say nah sirf aap kay pregnant hona kay chances kam ho jaatay hain, aur agar pregnancy ho bhee jaati hai to stress kee wajah say pregnancy mein complications develop ho jaati hain. Apna stress level ko kam karna seekhain. Iska liya Progressive Muscle Relaxation (PMR) aur Deep Breathing bohot effective hain, aur in 2 techniques ka zarya, jin mein sirf 5 minute ka time kagta hai, aap apna stress level bohot kam kar saktee hain.
9). Avoidance Of Certain Pets: Kuch gharoon mein pets paalna ka riwaaj hota hai. Pregnant women kay liya zaroori hai keh woh cats say door rahain. Cats kay andar aik parasite ( germ) hota hai jisko Toxoplasma Gondii kehta hain. Yeh parasite pregnant women mein aik infection cause kar sakta hai jo pregnancy mein bohot harmful hota hai. Iss liya pregnant women kay liya zaroori hai keh woh cats ko bohot zyada avoid karain.
10): Avoiding Constipation: Constipation pregnancy kay liya harmful hoti hai. iss liya agar aap ko constipation ke problem hai to pregnancy plan karna say pehlay hee high fiber diet start kar dain, aur fruits/vegetables aur water ka isteemal zyada karain. Ispaghol Husk bhee constipation ke liya bohot helpful hai, aur pregnancy mein safely use kiya jaa sakta ai.
Yeh baatain jo mein nay mention kee hain, inpar amal kar keh aap apni pregnancy kay liya aik healthy foundation provide kar saktee hain. Aur jaisa keh mein nay pehla kaha, aik strong building kay liya aik strong foundation hona zaroori hai, issi tarah inn cheezon par amal kar keh aap apni pregnancy kay liya aik healthy foundation provide karain gee.