Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Leucorrhoea
Leucorrhoea | Causes and Treatment
Rheumatic Fever | Ganthaey Bukhar
Rheumatic Fever | Ganthaey Bukhar
Mastitis
Mastitis | Clinical Features | Treatment
Tetanus
Tetanus
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Topic Diverted : plarul mariage and men nature

Religion and Culture
 
 
 
TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 11:51pm
 

Topic Diverted : plarul mariage and men nature

AS SALAM ALA KUM ALL MEMBERS KO MERE SAWAL YAHE KE SHADDI KE PHALE RAAT KO JO KAARE SAKTE HAI KAARE TU BABI KUCH TALKLEEF NAHI HUGI NE

TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 12:52pm
 

SALAAM ALA KUM

SLM, DR SAAB MERE SAWAL YAHE KE MERE SHADDI HUGI 2 SAAL PHALE MEIN EK AUR SHADDI KAARE CHAATE HOON KYA MUJA PHALE BABI SE POCHA ZAOORI YAHE NAHI ISLAM MEIN KYA BAATH NE ZAROORI HAI BABI KO PLZ REPLYYYY
TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 1:31pm
 

SALAAM ALA KUM

SALAM. DR saab, mein yahe pocha ne chachte hoon ke mere shaddi huga hai 2 saal phale mein ek aur shaddi kaare chachte hoon tu mere ko phale babi ko bolo ne zaoori hai yahe nahi hai islam mein kya bolo zaooori hai mein phale bhi sawal kya hoon yahe baath se aap plz muja reply zaoor da
TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 2:06pm
 

sam

salm. mein baab mein bolo dalitu ke mein ek aur shaddi ki hai bolo ke aabi tu bolo zaoori nahi hai bhai dr saab plz reply

TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 2:08pm
 

sam

aabi bolo se wo nahi boli ge ne tu mein baad mein bolo detu islam mein kya bolo ne zaoori hai kya phale babi ko
TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 2:15pm
 

sam

meme khawash hai ke mein do shaddi kaare bolo ke mein sirf yahe pocha ne chachtu ke islam mein phale bibi se pocha ne zaoori hai dusre shaddi ke liye plz reply has u soon mein waqt ke saat bolo do ga ke mein ne ek aur shaddi ki hai bolo ke baad mein hum sab saath he rahge ga plz reply ALLAH HAFIZZZZZZ
TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:4th Nov 2011, 2:18pm
 

sam

SALM, DR Saab mere naam mohammed sameer hai baas mein jana chachte ke islam mein kya phale bibi se ijazat ke zarooat kya bolo
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3152  Age:  35  
Posted on:4th Nov 2011, 5:31pm
 

hahahaahhah

jawab to baad main b diya jasakta hay par iss time above baat cheet parr kar itni hansi aarhi hay k pait main dard shuro ho geya hay ....hahahaha good humor sense by alirajput .....hahahahha .. appreciated ...hahahhaha hansi ruk nahi rahi ..hahaha
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3152  Age:  35  
Posted on:4th Nov 2011, 5:34pm
 

yar alirajput

meri hansi ka kuch karo yaar .......hahahahah hahahha
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3152  Age:  35  
Posted on:4th Nov 2011, 5:48pm
 

dosri shadi k liye pehli BV sy ijazat

1) agar shari tor par koi uzar ho ...jaisa k olaad ka na hona , bv ka apahaj ya zehani mazoor ho jana , ya koi b aysi waja k jis sy azdawaaji masayel main diqqat aati ho to pehli bv sy ejazat liye baghair b aik mard dosri shadi kar sakta hay iss main koi harj nahi hay , just shadi ka bata daina hi kaafi hay

2) laiken agar shari uzar nahi hay , bv naik hay , sahib-e-olaad hay , azdwaaji masayel main b koi diqqat nahi hay to agar mard dosri shadi ki khwahish rakhta ho aur samjhta ho k wo dono bviyon main nsaaf kar saky ga to ussy pehli bv sy ejazat laina hogi

3) shari uzar na hony k bawajood dosri shadi ki zarorat baaz oqaat iss liye b parr sakti hay k koi rishta daar khaaton ki shadi kisi waja sy na ho rahi ho uss ki shadi ki umar nikli jaa rahi ho , koi aysi khatoon jo k duniyawi lehaaz sy laa waris ho uss ka koi aagy peechy na ho , koi aysi khatoon jisy mard k sahary ki zarorat mehaz apna emaan aur izzat bachany ki khatar ho to aysi sorat main aik shadi shuda mard kisi laachaar aur majboor aurat ka sahara ban'ny ki khatar dosri shadi kar sakta hay laiken pehli bv sy ijazat lay kar

4) majboor ya lachaar aurat wala case na b ho tab b agar mard ko dori shadi ki hajat hay to islamically ussy koi mumanat nahi hay just pehli bv ki ijazat darkaar hogi
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 105  Post: 5499  Age:  53  
Posted on:4th Nov 2011, 10:18pm
 

disagrred with Diplomat

1. doosri shadi k liyeh islamic shariyat main (kissi makhsoos maslak maiN nahi) pahli bivi say ijazatlena zaroori nahi. issi baat par islamic scholar ki bhari aksariyat ka ittefaq hai.

2. bahoot say momaalik maiN including pakistan, land of the law yeh hai k pahli biwi say ijazat k beghair doosri shadi nahi ki jasakti

3. aik say zayad shadiyaaN bila kissi sharayee uzr k bhi ki jasakti haiN. doosri teesri yaa chauthi shadi k liyeh kissi uzr, condition /shart ki zaroorat nahi.

4. aik say zayad shadi ki soorat maiN har biwi say adal karna laazmi hai. yaani sab k saath mosaawee husnay salook...waqt, aur dunyawi sahooltaiN, sab ko baraabar baraabar deni hongi. aisaa nah karnay waly k liyeh sakht waeed hai

wallaho aalam bissawab
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3152  Age:  35  
Posted on:5th Nov 2011, 3:23pm
 

agreed with myrizvi bro

re "1. doosri shadi k liyeh islamic shariyat main (kissi makhsoos maslak maiN nahi) pahli bivi say ijazatlena zaroori nahi."

main apni pehli statement wapis laita hon aur iss baat par main myrizvi bro sy agree karta hon k dosri shadi k liye pehli bv sy ijazat laina islamically zarori nahi hay taham akhlaqi tor par poocha ja sakta hay ...aagy bv ki marzi k wo haan kary ya naa kary ....waisy wo naa hi kary gi ..:)) lol

main ny jo pehly tahreer kiya hay yaani bila uzar-e-shari dosri shadi k liye pehli bv sy ijazat laina zarori hay wo ghalt hay , jo my rizvi keh rahy hain wo theek hay main ny abi iss silsaly main apni maloomat ko update kiya hay to maloom howa k main ghalat tha lehaza main questioner aur readers sy sorry karta hon

agreed with wadda praa :))))
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 26  Post: 1907  Age:  47  
Posted on:6th Nov 2011, 1:50pm
 

telash

islam ne biwi ko husband k beraber k haqooq diyay hain lekin kuch muamlat main main husband ko berteri hai
jesay talaq ka haq ya 4 shadiyon ki ijazat

is main biwi se ijazat k hukam nhn lekin aik bat jo zaruri hai
woh yeh k
merd k dooseri shadi ki koi wajah honi chahyay yani real reason

ager biwi haqooq puray nhn ker rahi apnay mizaj ki wajah se ya sehat ki wajah se ya kisi bhi wajah se
koi aur lerki/khatoon pasand aagai hain
ya aik biwi se zaruret puri nhn ho rahi

in sab halat main pehli biwi ko itelaa dena is terah zaruri hai k ager biwi ki kotahi ki wajah se dooseri shadi ker rahay hain to usay moqa milay apni islaah ka

lekin ager wajoohat dooseri hain tab bhi biwi ko inform kerna zaruri hai yeh nhn k biwi ko logon se pata chalay
kiun k biwi aik trust ka rishta hai usay cheat kernay wala na khush reh sakt ahai na sukoon se

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 105  Post: 5499  Age:  53  
Posted on:6th Nov 2011, 11:35pm
 

wehshi

samaji etbaar say yeh afzal hai k 2nd marriage ki peshgi info 1st wife ko dedi jaa.ay...aur agar peshgi nah de sakay /dena chaahay to baad maiN hi dede... to yeh samaji relatioship k etbaar say behtar hai

lekin shariyat k qawaneen ki roo say aisaa karna shauher par laazim nahi...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 105  Post: 5499  Age:  53  
Posted on:6th Nov 2011, 11:47pm
 

Jazak Allah nikkay praa g

bahoot bahoot shokarya... k jab apko HAQ maloom howa to apnay osay qabool karlia... Allah ham sab ko HAQ ko talaash karnay aur ossay qabool karneki taufeeq day. aameen

miyaan-biwi samaji relationship:
yeh dunya ka sab say "qareebi" rishtah hai. issi rishtay par dunya ki "baqaa" ka inhesaar hai. lehaza yeh rishtah jetna behtar ho, apas maiN jenta trust wala ho, aik doosray say behtar dealing wala ho, otna hi behtar hai.

lekin yeh bhi haqeeqat hai k sab say zeyadah laRayee jhagra inhi do rishtoun k mabain /ki wajah say hota hai... issi liyeh Allah nay in 2 rishtouN maiN shauher ko "ameer" k darjah par faaiz kia hai k dunyawi maamlaat maiN agar baham 2 roy houN to shauher ki roy maani jayegi

issi tarah yeh bhi haqeeqat hai k dunya main koi bhi biwi (i.e. 99.99%) apni "saukan" ko khooshi say bardaasht nahi karti... hatta k ambeyaa AS ki biwiyaaN bhi (jo dunyaa maiN behtareen aurtaiN hoti haiN), baham raqabat /chapqalish ka mozaahera karti howi nazar aati haiN

lehaza agar 1000 shauher apni biwiyouN say 2nd marriage ki ijazat talab karengay to shayad hi koi aik do biwi aisi hogi jo khushi say ijazat dedegi... jabkay dunya main (ausatan) 48% mard aur 52% aurtaiN haiN... goya overall 4% "ezaafi khawateen" haiN... ab yey izaafi khawateen osi soorat main "ghar wali" ban sakti haiN jab at least 4% mard 2nd marriage karaiN.

issi liyeh Allah nay apni shariyat maiN mardoun ko yeh "open" permission di hai k woh jab chahain upto 4 shadi karsaktay hain...lekin har shadi k baad oss khatoon ki sari zimmah daari oThana hogi aur zaraa si bhi kami par osay iska jawaab dena hoga, saza bhoagtni hogi
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3152  Age:  35  
Posted on:7th Nov 2011, 6:17am
 

re : miyaan-biwi samaji relationship:

first of all , thanks

re "Allah ham sab ko HAQ ko talaash karnay aur ossay qabool karneki taufeeq day. aameen"

summa aameen , main b apny smait aap aur sab k liye yahi dua karta hon ..ameen

re "yeh dunya ka sab say "qareebi" rishtah hai. issi rishtay par dunya ki "baqaa" ka inhesaar hai. lehaza yeh rishtah jetna behtar ho, apas maiN jenta trust wala ho, aik doosray say behtar dealing wala ho, otna hi behtar hai."

main aap ki iss baat sy 100 % agreed hon , laiken mery zehan main yeh baat aati hay k jab hum iss rishty ko itna aham samjhty hain k issy duniya ki baqa taswar karny lag jaaty hain to phir iss rishty k tootny ya torrny ko aik mazaq q samjh rakha hay ? rishta itna strong k duniya ki baqa ka zamin aur iss rishty ka break up itna weak k mazaq main b roo pazeer ho jaye ? aysa q hay ? myrizvi aap kia kehty hain iss bary ?

re "issi liyeh Allah nay apni shariyat maiN mardoun ko yeh "open" permission di hai k woh jab chahain upto 4 shadi karsaktay hain"

laiken aik mard ko 4 shadi ki ijazat hony k bawjood yeh tanbeeh wa alahi hadayet hay k sirf jinsi taskeen , ayaashi , sexual desire ki full filling yaa takabbar ka azhaar (k main mard hon mujhy 4 shadi ki ijazat hay) waghaira ki khatar pay darpy shadi na ki jaye , 4 shadi k liye kam az kam koi solid wa shari reason b to hona chahiye , aysa nahi k mard ka kisi aurat par g lalchaye to wo ussy apny nikah main lay lay k 4 shadi ki ijazat to hay na ....myrizvi aap iss bary kia kehty hain ?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 105  Post: 5499  Age:  53  
Posted on:7th Nov 2011, 6:30am
 

meri naaqis roy

- k sirf jinsi taskeen ,
+ jaiz jinsi taskeen main kia borayee hai...

- ayaashi
+ shadi karkay "ayyashi" karna manaa hai yaa gonaah hai?

- sexual desire ki full filling
+ jaiz tareeqay say, hisaaray nikaah k ander aisaa karna kia gonaah hai?

- yaa takabbar ka azhaar
+ takabbur to gonaahay azeem hai, khaah kissi bhi amal maiN ho, khaanay main, pahannay maiN, makaan main ... takabbur say mashroot to har jaiz kaam bhi baaisay gonaah hai... even yeh k apni ebaadaat par bhi takabbur karnaa,,, shaitaan nay yehi kia thaa....

- (k main mard hon mujhy 4 shadi ki ijazat hay)
+ beghair takabbur k bhi iss option ko use kia jaakta hai

- 4 shadi k liye kam az kam koi solid wa shari reason b to hona chahiye
+ kia yeh solid reason nahi k Allah nay mardoun ko ijazat di aur mardoun say zeyadah aurtaiN paidaa keeN.... kia nauzo billah Allah nay aurtaiN zeyadah "kissi aur maqsad" k liyeh paidaa keeN haiN

- aysa nahi k mard ka kisi aurat par g lalchaye to wo ussy apny nikah main lay lay k 4 shadi ki ijazat to hay na .
+ wot do u mean bay lalchaa.ay to woh oss say shadi karlay ... shadi nah karay to kia karay, osay "rakhail" banaa lay? ...girl frnd banaa lay? ... yaa kissi par dil aa.jaa ay to sharayee tareeqay say osay shadi ki offer day ... woh qabool karlay, oska wali razi ho jaa.ay to baqaidah gawahoun ki maujoodgi maiN mahar moqar.rar karkay oss say shadi karlay.... agar laRki /oska wali razi nah ho to phir to woh oss say shadi kar hi nahi saktaa, islamic tareeqay say...aisi soorat main oska dil ketna hi lalchaa.ay...ossay oss laRki say door rahna hoga... mahram naa.mahram ki had maintain rakhni hogi as per islamic shariyat....
Aks-E-mehr Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 3  Post: 38  Age:  26  
Posted on:7th Nov 2011, 7:00am
 

DOSRI SHADI

AS SALAM OALIKUM

nice information for us .thanks bro........1 general case main yahan define karon gi kay ager mard b shadi shuda hai or oart or dono apni apni azdawaji zindagi se mutmahin hain means kay wo mard apnay ghar main apni bv se or wo orat apnay ghar main apnay husband se mutmahin hai or is sorat main ager us mard ka dil us shadi shuda khaton per a jahay to is baat ki islam ijazat daita hai kay un ko wo apni life main shamil karain ................ may b its very rare but it may b happen and a very sensitive social issue and also related to our religion........

AKS-E-MEHAR
Aks-E-mehr Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 3  Post: 38  Age:  26  
Posted on:7th Nov 2011, 7:06am
 

DOSRI SHADI OR SOKAN


ager orat apni sokan se jealous hoti hai to kia ye fitri takaza nah ihai kay wo apni muhabbat main exclusion chahy..........shareing kon bardasht kar sakta hai .i think koi b bakhushi shareing bardasht nahi karay ga haan jabran karay to or baat hai per bakhushi nahi .ku kay jis kay sath zindagi guzarni ho us kay lihay exclussion kay jazbat b rakhay jatay hain .............its my thinkin may b u people not agree so plz dont criticize this b.c its just my personal opinion ..........

ASK-E-MEHAR
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3152  Age:  35  
Posted on:7th Nov 2011, 1:01pm
 

situation

re "ager us mard ka dil us shadi shuda khaton per a jahay to is baat ki islam ijazat daita hai kay un ko wo apni life main shamil karain"

agar aysi sorat paida ho jati hay to phir mard akaila zumma dar nahi hay , iss situation main aurat b brabar ki zumma daar hay q k moqa aurat ki tarf sy fraham kiya jata hay tab hi mard hazrat step ahead hoty hain , khair asyi situation main islam ka nuqta nazar jan'ny sy pehly aisi situation ko create karny k bary islam ka nuqta nazar zehan main hona zarori hay

amooman aysa hota hay k male n female (married unmarried) apis main pehly rawabat bana laity hain phir baad main kisi sy poochty hain k aya yeh islam main jaiz hay , ya islam iss bary kia kehta hay waghaira , kabi b rawabat banany sy pehly islam ka nuqta nazar nahi poocha geya , yaa phir agar islam ka nuqta nazar maloom ho tab b uss par dhiyaan nahi diya geya

aksar aysa hota hay k jab bahmi ghalti ki waja sy aisi critical situation paida ho jaati hay to phir islam sy iss ka rah-e-hall pochny ki koshish ki jaati hay

amooman tuwaqqo b ki jati hay k kaash islam sy hamari marzi ka hi hall nikal aye laiken aysa uss sorat main hota hay jab koi b amal islam k mutabiq kiya geya ho aur agar uss main koi mushkal agayee ho to phir uss ka hall islam k mutabiq hi nikalta hay , laiken agar koi b kaam siry sy hi ghalat aur islamic taleemaat k against kiya geya ho to phir uss main aany wali mushkal ka hall islam main uss trah ka nahi niklata jis trah ka insan aspect kar raha hota hay

lehaza main samjhta hon k kisi b kaam ko start karny sy pehly uss kam k bary islam ka nuqta nazar zehan main hona zarori hay , kaam karny ya ho jany k baad islam ka nuqta nazar jan'na goya apny aap ko shelter dainy k maano main aata hay
1 2  >>
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us