Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu
Mumps Treatment In Urdu
Mumps Treatment In Urdu
Measles In Urdu | Khasra
Measles In Urdu | Khasra
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Topic Diverted : plarul mariage and men nature

Religion and Culture
 
 
 
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 881  Age:  25  
Posted on:7th Nov 2011, 1:18pm
 

100% agreed with diplomate

as salam oalikum
very nice ans .............. i agreed with u ..main is baat ko aagay barhana chahon gi kay jo sawalat ya situation mera zehan main hai us ki taraf baat lana chaon gi .......kay aaisa b to posible hai na kay her insan ki nature mukhtalif hoti hai koi sober koi sanjeeda koi jolly koi chanchal ........chahay wo mard ho ya orat gender koi b ho per aaisa b to mumkin hai kay baaz okat kisi ki shikhi ko is andazm ain lia jahay kay waqai ye muhy like kar rahi hai jab kay ye samany walay ka andaz ho or ager aaisa na b ho or wo shaks waqai aseer ho jahay ............ye jantay howay b kay wo kisi or ki amanat hai to kasor kis ka .ager wo larki us ko rokay or pazerahi na day tab kis ka kasor ????????

, iss situation main aurat b brabar ki zumma daar hay q k moqa aurat ki tarf sy fraham kiya jata hay tab hi mard hazrat step ahead hoty hain ,

or ager orat kahay kay break up kar do magar wo mard na manay or kahay kay nahi jo hai jaisa hai waisay hi chalnay do to phir ???????????

or ager aaisa ho kay wo mard khud hi sehar main a jahay biona kisi aaisi baat kay jis main koi pazerahi na ho to kai kia jahay .........

ye baat gor talab hai un logon kay lihay jo waqai kehtay hain or dawa kartay hain kay ishq hai rooh ka rishta hai to kia ye waqai rooh ka rishta hai .......meri zati roy ye hai kay her ehsas us paya e takmel tak nahi pohanch sakta jab tak usay jahiz rishtay main na dhal lia jahay ku kay yehi insani fitrat hai or jablat b or mazhab ka takaza b .............. rooh ka rish ta us waqt kahim hota hai jab jismani rishta darmian main na ho .. means kay ager koi ye dawa karay kay mera aap se rooh ka rishta hai or aap meray ander meri rooh main basay ho or raat main us ki banhon main us ki bv ho to ye rishta rooh ka rishta nahi kehlahay ga ........ ye faraib kahlahay ga.....apnay sath b apni bv kay satrh b or us larki kay sath b ......rooh is tarha aloda ho jati hai or kisi kabil nahi rehti is tarha mazed mushkilat hi paida hoti hain is lihay chaye kay insan dorahay per khara na ho or 1 simt mutayun kar lay jo kay islami b ho or socialy b us main koi baat aaisi na ho kay us se insan ki zaat per koi hurf aahay

thanks





info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  29  
Posted on:7th Nov 2011, 4:36pm
 

100% agreed with above replies



quranic arabic main shohar wali aurton ko "muhsanat" kaha jata hai. aur islam main muhsanat se nikah haraam hai. jab nikaah hi haram hai tau "chahat k jazbay" ka sawal hi peda nahi hota. (divorced hona, ya widow hona alag baat hai)

surae nisa ayet 23 main un tamam aurton ka ziker hai jin se nikah haram hai, un main behan, maa, khala, phupho, bhateeji, bhanji, beti, razai maa behan waghera, sab HARAAM qarar di gai hain.

is se agli ayet main, yani ayet 24 main hai "aur shohar wali aurtain bhi (haraam hain).. ... .. "

logical baat hai k islam main har tarhan se husband wife k relation ko protection di gai hai, aur har tarhan se strong marital relations bnanay ka hukam hai. kisi ki "wife" ko hasil karnay ki khwahish karna, aik ghar ko tabah karnay wali baat hai, yani aik admi ko uski biwi se aur uskay bachon ko unki mother se mehroom kia jaey...... jabkeh agar koi woman kisi dusri woman k "husband" se shadi karna chahay, ya koi husband aesa karna chahay tau uski already family ko koi nuksan nahi pohanchay ga.

jo log, kisi ki "wife se shadi" karnay k jazbat rakhtay hain, aur is ghaleez soch ko "mohabbat" qarar detay hain, woh bilkul usi tarhan hain jaisay woh apni saggi behnon, saggi maon, saggi betion se shadi karnay k jazbaat rakhain.

agar aurtain surae noor ayet 31 par amal shuru kar dain tau is kisam ki nobat nahi aey gi.
aur surae alahzab ayet 59 main tamam musalman aurton ko ishara kar dia gaya hai k woh apni ideal Nabi e kareem SAW ki betion aur umhatulmomineen ko bana lain.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 105  Post: 5499  Age:  53  
Posted on:7th Nov 2011, 9:36pm
 

mohsenaat

yaani shadi shudah, shauher wali say mohabbat aur shadi ...

yeh to intehayee ghair ikhlaaqi, ghair sharayee baat hai...iska zeray bahas topic say dooooooooor doooooooor ka koi wastah nahi...patah nahi log issay zeraya bahas laa.ay hi kiyouN

baat horahi thi...mard ki aik say zayaf shadi ki soorat maiN pahli biwi say ijazat ki... jo zeyadah say zeyadah mardouN ki aik say zayad shadi tak "wasee" hosakti thi... yeh aakhir maiN sukhan gustaranah baat patah nahi kaisay aur kit=youN aagayee...shayad asal mauzoo ko divert karnay aur maamlay ko confuse karnay k liyeh

Allah ham sab ko confuse honay, confuse karnay say bachaa.ay aur islam k seedhay saadhay maamlaat ko samajhnay ki taufeeq day aameen
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 881  Age:  25  
Posted on:7th Nov 2011, 11:23pm
 

as salam oalikum

yahan baat topic ko divert karnat ya kisi ko confuse karnay ki nahi ye 1 hi tasveer ka dosra rikh hai aap is ko is tarha lain kay ager koi mard dosri shadi karna chahayy or us ka ye case banay kay dosri khaton merried hon to kia karay ye open forum hai yahan sab ko rite hai kay wo apnay tareekay se muhazib andaz main baat karain or us ka jawab pahain kisi ko is tarha aatraz ka koi haq hnahi k ye baat ku ki ya topic divert ku kar dia ........... halakay topic apni digar per hi chal rha hai divert nahi howa balkay aaisa kehnay wala khud topic ko mehdod kar rha hai kindly is per baat karny di jahay takay lobgon ki confussions dor hon
thanks

@ info bhai
jazak allah ........very well explained mashallah ......info bhai main aap ki baat se agree karti hon per asal masla yehi hai kay insan to hai hi khasaray ..... or baaz okat bht kabil bht samajhdari kay bawajood koi 1 aaisi baat ho jati hai jo above cas mai nnay discuss kai waisa hi or akser net world main aaisa hota hai ..... kay mefales se salam dua phir dosti ,phir jazbat ,phir baat mazaed aagay barhti hai is se kai hota hai kay meri apni zato roy ye hai kay aaisi muhabat ka koi wajod h ianhi ye sara sar dhoka hai .......... bagair kisi rishtay kay muhabat kaisi jab kay aap khud shadi kay bandhan main bandhay ho ....... or ye kaisa ishq hai ager samnay wala ye kehta hai kay ye ishq hai or is main jismani koi talab nahi to wo jhota hai .main nai manti kay aaj kay dor main kisi mard kay aaisa jazbat hon gay .......or waqai koi ishq karta hai muhabat karta hai to woh bas wohi hai jo allah or us kay rasool kay naam per 2 logon ki gawahi main us orat ko apnahay ..... (nikah karay ) baki sab khail hai .wakti jazbat hai ji jhag ki tarha baith jatay hain ........... kia aaj kay dor main bina lust kay koi aaisi muhabat kar sakta hai kay apnay b na or muhabat ki shidat ka dawa bkaray ...

thanks





Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 48  Post: 3152  Age:  35  
Posted on:8th Nov 2011, 3:48am
 

hmmm waqiya hi

topic sy hatt kar batain shuro ho gayee hain , laiken yeh aik open forum hay iss liye yahan aysa to hota hi rahy ga , abb jo situation biyaan ho rahi hay iss main mera na to tajruba hay aur na hi koi mushahida iss liye main to iss baat par munasib comments karny sy mazool hon , khair daikhty hain iss situation par mery qabil forum mates k kia kia comments aaty hain ...
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  29  
Posted on:8th Nov 2011, 5:09pm
 

andhi mohabbat


glamour sis aapki baat bilkul darust hai, aur yeh nihayat tafseeli topic hai, jo ajkal bara common issue hai. west main tau "normal" ka darja rakhta hai, lekin east main abhi kuch hayaa baki hai.

aik simple si baat par ghore karain.
aik normal insan apni behan se mohabbat karta hai, apni maa se, apni beti se, apni biwi se....in sab mohabbaton ka unique taste hai. behan se mohabbat ka aur andaz hai, beti se aur, maa se aur, biwi se aur.. halankeh sab apni jagah mohabbatain hain, lekin mukhtalif andaz main..

ab zara sochain k koi insan in mohabbaton ko "mix" kar de.. biwi wali mohabbat behan ko denay lagay (ab yeh behayai ki inteha hogi), behan wali mohabbat maa ko (gustakhi), maa wali mohabbat biwi ko (zulm)... ham aesi "mohabbat" ka tasawwur bhi nahi kar saktay....arsh kanp uthay ga.. isi tarhan koi aurat apnay shauhar wali mohabbat bhai ko de, bhai wali baap ko, baap wali betay ko,... tau kia hoga?


is halat ko kaha ja sakta hai "aqal ka ulat jana"

yahan tak sab ko asani se samajh a jaey gi. isi context main agay barhain, aur ghore karain keh...aik mohabbat woh hai jo Allah se ki jati hai, aur sirf roohani taluk se hai. jin logon ki aqalain ulti hui hain, woh log Allah wali mohabbat ghair Allah ko denay lagtay hian, us mohabbat ko kia kahain gy? shirk ? (see albaqrah 165)

aik mohabat woh hai jo peghambaron se, umhatul momineen se ki jati hai... woh bhi "spiritual/roohani mohabbat" hi hai. jis k laeeq peghambaron k siwa aur koi nahi ho sakta. har musalman mard/aurat Nabi-e-kareem SAW se, umhatulmomineen se, binaat e Rasool SAW se, aur un k followers se mohabbat kartay hian... yeh woh mohabbat hai jo roohani taluk se rooh main samai hui hai...
jin logon ki aqalain ulat chuki hain, unki "roohani mohabbat" bhatakti rehti hai, aur kisi se bhi mix ho sakti hai, aur woh "typical andhi mohabbat" hoti hai jo kisi se bhi ho sakti hai, jis par "ikhtyar" nahi hota, jissay hakeeki lafzon main "besharmi k jazbaat" kehna chahiey... (jab aqal ulat chuki ho, tau ikhtyar kesa ho? )

aesi mohabbat ka "shikar" honay walay, chahay jo bhi daway kartay phirain, woh hakeekat main Allah Talah ki define ki hui haddon se barhnay walay, nafarman log hain, jo apni "ulti aqal" k andheray main sari dunia k nizam ko ultanay main masroof hotay hain. aur khud ko "naik" samajhtay phirtay hian.

quran e kareem main jagah jagah is "zehni bimari" ka ishara mojud hai. dekhiay sura e furqan ayet 43..(mazeed references yaad nahi)
sura Nisa ayet 88 par ghore karain, "..arkasahum bima kasabu....." meaning, unhay ondha kar dia/ultaa dia us k badlay jo unhun ny kia...(ondha kar denay wali ayat bahot sari hain ref yaad nahi)
yeh Allah Talah k ghazab ka ishara hai k kisi insan nay aesay gunah kiay, jo had se barhay huway hon aur un ki us nay tauba na ki ho, na sharminda ho, tau Allah Talah uski aqal ko ulta kar detay hain k ussay gumrahi ki raah main taskeen aur hidayet ki raah main bechaini mehsus hoti hai, jis sy woh mazeed ghalat raston par barhta chala jata hai.

insan k dil main mohabbatain bhi imanatain hain.. yeh imanatain is duniawi zindgi ki azmaish hain. jo in imanaton ko inkay asal haqdaron tak khalis halat main pohanchatay hain, wohi mohabbat ka haq ada kartay hain.. jo in imanaton ko "ghalat insan" k hawalay kartay hian, woh khianat karnay walay, zulm karnay walay log hain.
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 881  Age:  25  
Posted on:8th Nov 2011, 9:49pm
 

jazak allah info bhai

as sal maolikum

main is jawab ki tawaka isi id se kar rahi t or isi id ka reply hji daikhna chahthi thi :).....very impressive words mashallah

insan k dil main mohabbatain bhi imanatain hain.. yeh imanatain is duniawi zindgi ki azmaish hain. jo in imanaton ko inkay asal haqdaron tak khalis halat main pohanchatay hain, wohi mohabbat ka haq ada kartay hain.. jo in imanaton ko "ghalat insan" k hawalay kartay hian, woh khianat karnay walay, zulm karnay walay log hain.

aap nay theek kha .main nay ye baat is lihay yahan discuss ki ku meri nazron kay samnay recently aaisa howa hai or 1 female apna hastabasta ghar or 2 kids chor kay gahi hai .........baray betay ki age 12 sal thi us wakt jab ynhon nay gha chora.or wo bacha school tak janay se katranay laga yani maa ka naam laina us bachay kay nazdeek gali thi ......mujay is baat per hairat howi kay mashalah 2 bachay itni mukamal family or itna dashing husband or jis kay sath bhag kar shadi ki wo us kay passing b nahi tha to ye kaisay ishq hai muhabat hai ya hawas hai kia hai kay us time un masom bachon ka chahra samnay nahi aaya hoga or hairat ki baat kay husband b itna chahnay wala kay us ko jab ilm howa kay kisi or main involve hai or talak chahti hai to us shaks nay aakhirm ian us orat kay pairon per sir rakh dia kay na jaho chor kar.phir b wo na mani or talak lay li is kay baad idat main thi or idat ki mudat pori kiye bina hi ghar chor kar bhag hai .ku kay us ko is baat ka ilm ho chka tha kay us kaa husband halala waigara kay chakar main hai ............

main aap ki tamam baat se agree karti hon per 1 sawal jo zehan main uber kar sanay aata hai wo ye hai kia us orat nay sahi faisla kia kay apnay hsband ko chor dia or dosra nikah kia .? kia ye aacha hota kay wo us ki b.v rehti or us ki hotay howay b us ki na hoti or kia ye munafikat na hoti kay us kay hawalay apna jism kar day per dil main koi or ho ?????? main kabhi kabhi sochto hon un aunty kay baray main to kabhi kabhi bht nafrat hoti hai or kabhi kabhi aaisa lagta hai kay wo kia karti ???????kaisay rehti unchahay shaks kay sath .jab kay wo kisi or ko chahti th .main janti hon kay is ka impact kids per un ki life per bht hi ziada negative para o ga or us ki family shohar ki izat uchli hai wo sab main agree karti hon nahi us per koi debate ki zarorat hai na dalel baat sirf us sawal ki hai jo mai nnay pocha hi ???????? kai us ko chahye tha kay wo munafikat karti aaisa to islam main b jahiz nahi .kuch din pehlay main 1 shaks se baat howi wo councling karta hai to unhon nay bataya kay 40% to 50% couples aaisay b hain jo 1 dosray se dili lagaho nahi rakhtay or or na hi jazbahi hum ahangi hoti hai but during tha sex wo log apni pasand ka partner choose kar laitay hain ya assume kar laitay hain us waqt wo role play kar rahay hoty hain jab main nay un se kha main nahi manti to kehtay hain beta abh aap nay dunia nahi daikhi aap is lihay nahi manti ............ ye to sara sar zana hai na soch main koi or or sath kisi or ka .is sorat main un aunty nay jo kia kia wo sahi tha ?ab un ka baita 15 sal ka ho gaya hai ........ab wo kabhi kabhi nahi balkay akser apnay kids ko yad kar kay roti hain kay main un ko kaisay daikhon ......n kay husband nay b dosri shadi kar li hai per ab b wo ager kabhi un ko miltay hain to ruktay zaror hai ye b muhabat hai ya baygairti hai kay 1 orat chor kar bhag gahi or phir b wo shaks us ka aseer hai

thanks



info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  29  
Posted on:9th Nov 2011, 5:32pm
 

khudgharz/selfish log mohabbat nahi kartay, zulm kartay hain



aap nay aik case ko describe kia hai. jis andaz se aap yeh sab pooch rahi hain yeh bahot saray tafseeli topics hain jinhain ma koshish karon ga k sab topics aik hi post main cover ho jain.

wesay tau main unmarried honay ki wja se marital relations par ziada nahi janta. lekin apnay life partner se sex kartay huway kisi na-mehram ko assume kar lena... uffff... mujhay kuch samajh nahi aa rahi is par kia kahun.. is se ziada besharmi ki inteha kia ho sakti hai.... khaiti main wesa hi poda ugta hai jaisa beej dala jata hai.... mujhay yeh maloom hai k sex karnay se pehlay naik saleh aulad honay ki dua mangi jati hai, aur us k liay shetan se panah mangi jati hai..... jo couple "na mehram" ko assume kar k sex kartay hian, khiti main beej hi beghairti ka botay hian.. us beej se poda nikal aya tau woh kis kisam ka ho ga?

yakeenan yeh assumption soch ka zina hai jo shetani asar se hoti hai. aur yeh tau sex main shetan ko "bhi" shamil karnay wali baat hai.
kia istarhan peda honay wali aulad naik/saleh/farmanbardar/shetan se mehfooz ho gi?

.........................

jis couple ka aap nay zikr kia, unka case kafi pechida hai, aur un aunty k ilava unkay husband bhi kuch kam nahi hain.

duniawi zindgi ka aik asool samajh lain, k jis duniawi khwahish main had se ziada shiddat peda ho jaey, woh zehar ban jati hai. aik admi 10/15 din ka bhooka ho, us k samnay achanak uska pasandeedah khana rakh dia jaey, tau possibility hai k jis andaz se woh khaey ga woh khana us k liay zehar ban jaey ga, jo yahan tak us k liay dangerous ho sakta hai k uski death hi ho jaey. isliay is kisam k admi ko halki liquid diet di jati hai, k pehlay "normal" halat main aey.

isi tarhan, har woh cheez jiski kisi insan ko shadeed tareen khwahish ho, agar usay mil jaey tau us k liay zehar ban jati hai.. yeh dunia ka asool hai. .. yeh baat wazah rahay k kisi cheez ka khwahish karna ghalat nahi hai.. lekin khahish main had se ziada shiddat ikhtyar kar lena, k us cheez ko kisi bhi qeemat par zaroor hasil karna hai, yeh ghalat hai......dunia main kamiabi us cheez main milti hai, jiski khahish normal level par ho.

maslan, koi cheez pasand aey, tau ussay hasil karnay ki koshish ki jaey, lekin sath hi dil main yeh jazba rakha jaey k agar hasil ho gai, tau Allah ka shuker, na mili, tau Allah ki hikmat, Allah kuch aur achi cheez inayat farma daingay jo faidaymand hogi, aur Allah ki raza main ham razi..

maximum successful couples woh hotay hian, jin main "pyar" bhi normal hota hai.. yani shadi se pehlay ya tau aik dusray ko janay beghair shadi hoti hai, ya agar aik dusray ko pasand kartay hon tau Allah Talah k bharosay par hotay hain, k mil gayay tau Allah ka shuker, na milay tau Allah ki raza...

aksar couples, jin main shadi se pehlay ya shadi k bad "had se ziada pyar" ho, tau us main pagalpan a jata hai, aik dusray k baray main possessiveness itni ziada ho jati hai k mamooli baton main shak o shubhat, ilzam tarashain aur junooni baatain involve ho jati hain... jis se bewaja ki ghalat fehmion se apas main be-zari peda ho jati hai aur separation tak baat pohanch jati hai.

ya had se ziada "khud sapurdgi" ho jati hai jo "pooja" ki tarhan mehsus honay lagti hai, aur couple main se koi aik, apnay partner ka "hath bandha ghulam" ban jata hai jo apni self respect bhool jata hai aur dusray ko khush rakhnay k liay har had se guzar jata hai. aur aesay insan ki respect us k life partner k dil se khatam ho jati hai.. insan usi ki izzat karta hai jo apni self respect ko qaim rakhtay huway us se mohabbat karta hai...

.......................

un uncle ka mamla aesa hi lag raha hai. jo admi apni biwi k paon main apna sar rakh de, i cant imagine, yeh tau biwi ki pooja karnay wali baat hui, aur uski biwi kabhi uski izzat nahi kar sakti.

jabkeh un aunty k liay, i am felling short of words.. jo aurat apnay bachon se mohabbat nahi kar sakti, woh kia janay mohabbat kia hoti hai? woh kia kisi se wafadari kar sakti hai? woh kia janay husband main aur na-mehram main kon mohabbat k laeeq hai.

insan ka dil Allah Talah k ikhtyar main hota hai. Allah Talah jis k dil ko chahay jahan bhhi pher dy. Islam, haqdaron ko unka haq pohanchanay ka deen hai.. jis shakhs ka haq sab se pehla hota hai, ussay tarjeeh di jati hai... un aunty k liay har lehaz se sab se pehla haq, balkeh un par pooray ka poora haq un k husband ka tha.. is k bawajood unhun nay yakeenan ghalat direction ikhtyar ki tau "unkay aashiq" ko agay barhnay ka hosla hua, jo husband ki khianat thi... aur jab woh "shetani jazbat" bharak uthay (shetan ka pasandeedah kaam husband wife main separation karwana hai) tau bajaey iskay, k unhay apni ghalti ka ahsas hota, unhun nay ghalti ko legal darjah denay ka faisla kar lia.

agar un aunty k husband main koi aesi baat thi jo unhay pasand nahi thi, tau un aunty k liay behtareen solution yeh tha k woh apnay husband ko change honay ya apni khaami ko darust karnay ki baat karti.. aur agar dil husband se uchaat ho gya tha, tau unhay chahiey tha keh Allah Talah se tauba karti maafi mangti k Allah unka dil wapas apnay husband ki taraf pher de.. qk dil Allah k ikhtyar main hotay hian... bahot hi bechaini thi tau bhi apnay mother father se baat kar letin.... (hath main dard ho tau dard ka ilaj kia jata hai, hath ko kaat kar phaink nahi dia jata)....un par har lehaz se haq husband ka tha, tau unhay chahiey tha k husband se relation main "kharabi" ka treatment karnay ki koshish karteen, apni "ulti hui aqal" ko seedha karwati ya apnay husband ki napasandeedah baat darust karwati...

lekin Allah Talah ki tamam hadain paar kar k na-mehram ki taraf qadam barha dena, zulm aur khiyanat ki inteha thi.. aur is kisam ki harkat karnay walon ko "dil k jazbaat se majboor" nahi kehna chaiey, balkeh "apni nafsiati taskeen k liay khudgharz/selfish/andhay kehna chahiey".... aur selfish logon ka anjam yehi hota hai jo un aunty ka hua... un k liay bhi yakeenan woh shakhs zehar ban jaey ga jis k liay unhun nay khwahishat main shiddat ikhtyar ki...


info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  29  
Posted on:10th Nov 2011, 3:42am
 

parastish

meri ooper wali post main aik kami reh gayi hai, jissay main add kar raha hun..

"...jis duniawi khwahish main had se ziada shiddat peda ho jaey, woh zehar ban jati hai..."

yeh statement sirf "duniawi khwahishat" k liay hai...
khwahishat main shiddat , yeh parastish ban jati hai.. aur parastish sirf aik zaat ka haq hai...... parastish siwaey Allah k aur kisi ka haq nahi, agar Allah k siwa kisi aur ki ki jaey tau is se bara zulm koi nahi hai... (zulm means kisi ko us k haq se mehroom karna )

lehaza, dunia main jin "khwahishat main shiddat" honi chahiey, woh sirf Allah Talah ki raza hasil karnay se associated honi chahien... namaz parhna, rozay rakhna, ibadat karna, Nabi-e-kareem SAW ki sunnat uar shariyat par amal karna, in amoor main shiddat honi chahiey takeh "Allah Talah" ki parastish ka haq ada ho...

inhay chora jaey tau parastish duniawi khwahishat main peda ho jati hai....
duniawi mamlaat sirf us limit main rakhnay chahieyn, jis limit main Allah Talah k Rasool SAW nay samjhaey hain...
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 13  Post: 881  Age:  25  
Posted on:10th Nov 2011, 6:05am
 

info bhai

as salam oalikum

re :mujhay kuch samajh nahi aa rahi is par kia kahun.. is se ziada besharmi ki inteha kia ho sakti hai....

yup u r rite ..........is se ziada baysharmi ki intiha kuvh nahi .yeh rooh ki alodgi hai ........aaisay logon kay dil siah or rooh aloda ho jati hai .per jab main nay is baray main suna tab mujhay b yakeen nahi aaya tha per aisa hai is dunia main sab hota hai ............jism ki gandagi ko to pani se dhya ja sakta hai per rooh ager 1 batr aloda ho jahay na to is ko asal halat main lana ya pak karna bht mushkil hai ,,,

re : jo aurat apnay bachon se mohabbat nahi kar sakti, woh kia janay mohabbat kia hoti hai? woh kia kisi se wafadari kar sakti hai?

actualy wo muhabat kisi or se nahi sirf apnay aap se karti hai apni zat se karti hai ...........wo us dosray shaks se b muhabayt ka dawa karti hai to jhoti hai lku kay us ka maksad sirf apni khwahish ki taskeen hai apnay aap ko mtmahin karna hai ........


golden words by info bhai

"insan ka dil Allah Talah k ikhtyar main hota hai. Allah Talah jis k dil ko chahay jahan bhhi pher dy. "

bay shak ........... aaisa hi hai .......per dil per muhar lag jahay to ....kia un masosm bachon kay lihay is baat se bari koi or zilat hogi kay un ki maa chali gahi or hamaray samnay aaisa howa hum us shaks ki baybasi or us ka ujra howa ghar daikhtay rahay .......is kay baad un aunty kay jin kay 2 baitay thay .us dosray shaks se olad howi or wo olad allah nay baiti di per wo bach na saki or ajeeb si halat main paida howi wo bachi jaisay koi chora chora sa kar day (allah maaf karay or hum sab ko apni hifz o aman main rakhay ,dushmanon or shaitanon kay shar se bachay ameen ) or is kay baayd un uncle ki to dosri shadi ho gahi perab b hairat is baat p hoti hai jab akser okat wo uncle apni dosri bv ko apni pehli bv ka hawala daitay hian kay tum se aachi to wo thi .........or un aunty ko dosri b baiti howi wo thek thi bilkul per un ka kai gaya un ko un kay pehlay husband ab b like kartay hain or wo apnay dosray husband kay sath mazay se reh rahi hai bina kisi pashaymani kay ...........

magar khair aakhirat to hai na .baz okat allah zalimon ki rasi ko daraz kar daita hai shayad ye b wohi hai ....

thanks

info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  29  
Posted on:10th Nov 2011, 12:12pm
 

marital relations

glamour sis walaikumsalam, and welcome

".... hairat is baat p hoti hai jab akser okat wo uncle apni dosri bv ko apni pehli bv ka hawala daitay hian kay tum se aachi to wo thi....."

wakai herat hai abhi tak...(cant find words to say anything )

aesay cases par nazar rakhna achi baat hai jo social destruction ka sabab hain... in cases ko khatam karnay ka pehla step yeh ho ga, k inki root cause ko gehrai main samjha jaey.. phir apnay se youngsters ki aesi tarbiyat ki jaey k woh kabhi aesi tabahi ka shikar na hon...aurton k hath main society ka future hota hai.. agar hamari females ko yeh causes aur realities samjha di jain, tau mojuda daur k baray baray problems "mustaqbil" main jar se khatam ho chukay hon...

jahan complicated ghaltian hun, wahan complicated baatain hi honay lagti hain.... agar deen par chala jaey tau simple life rahay, jis main na to moTi baatain karnay ki zaroorat paray, na koi behas....ab jo yeh topic itni tafseel main discuss ho hi chuka hai, tau issay conclude bhi yahin kar lena chahiey...

lehaza ab main yahan simple marital relation par kuch likhnay ki zarurat mehsus kar raha hun, jis k bad thread main "side topic" khatam ho jaey.

.................

CRUX :

aik husband ko apni wife se kesi mohabbat karni chaiey?

Jistarhan keh Nabi-e-kareem SAW nay azwaj-e-motahrat se mohabbat farmai.

Aik wife ko apnay husband se kesa hona chaiey?

Jesi azwaj-e-motahraat Nabi-e-kareem SAW k sath pesh ati then.…jesi k Hazrat Fatima tuzzehra RA pesh ati then sayyedena Ali kaw k sath.

In marital relations ka asal raaz “ahsan karna” tha.. ahsan karna yeh hai, k apna haq chore kar dusray ko “dia” jaey, yani denay wala hath… wife apnay husband ko khushi “dena” chahti hai, aur husband apni wife ko khushi “dena” chahta hai. Isi tarhan aik dusray ko “dozakh se bachanay ki fiker”

Jabkeh ajkal k marital relations main “apna haq mangnay" k siwa aur kuch nahi hota… wife apni khushi husband se “mangna” chahti hai aur husband apni khushi wife se “mangna” chahta hai. Kia issay mohabbat kaha ja sakta hai?

Yeh baat wazeh rahay, k “ahsan karnay” aur “parastish karnay” main bahot bareek lakeer hai..

Allah Talah ki raza hasil karnay k liay apnay husband/wife ki khushi k liay apna haq chore dena, yeh ehsan hai… is jazbay main barish jesi thandak aur roshini jesi taseer hoti hai..jo hidayet hi hidayet hai..sakoon hi sakoon hai.. aur “jannat” ka khushgawar “rasta” hai.

Aur Allah Talah se ghafil ho kar, apna “sab kuch” apnay husband/wife ko samajh lena, aur apni dunia/akhirat bhula kar, us ki har jaiz/najaiz se be parvah ho kar us k “qadmon main gir parna” yeh parastish hai.. aur is jazbay main aaag jesi hawas aur andheray jesi wehshat hoti hai… jo tabahi hi tabahi hai..

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 105  Post: 5499  Age:  53  
Posted on:10th Nov 2011, 10:48pm
 

Islam aur shiddat pasandi

1. islam bilamoom "etedaal ki raah" ki talqeen kata hai... ibaadaat maiN bhi aur dunyawi maamlaat maiN bhi. islam "mohabbat" maiN bhi "etedaal aur adal" sikhlata hai, khaah yeh mohabbat Allah say ho, Rasool Allah saw say ho, insaanouN say ho, yaa dunyawi maamlaat say... Allah ki mohabbat maiN Doob kar biwi bachouN /waledain ko bhool janaa (k onka haq adaa nah hosakay)... yeh bhi aik "Allah ki mohabbat maiN shiddat pasandi" hi ki aik qism hai, jissay islam "allow" nahi kartaa... yeh Allah ki mohabbat hi ka taqazah hai k woh zeyadah say zeyadah namaaz paRhay aur zeyadah say zeyadah rozay rakhay.... aik sahabi RA mohabbat ki issi shiddat ka shikaar thay...woh din ko rozay rakhtay aur raat bahar namaazouN maiN mashghool rahtay aur "biwi ka haq" ko bhool baiThay...biwi nay ameerul momeneen say shikayat ki to iss sahabi RA ka rozah toRwaakar biwi k pass haqooqay zaujiyat k liyeh zabardasti bheja gayaa...

Albattah Allah aur Allah k rasool ki mohabbat baqya tamaam "mohabbatouN" say zeyadah /tarjeeh par honi chaiyeh k kissi aur ghair Allah ki mohabbat Allah aur oskay Rasool ki mohababt par ghaalib nah aasakay.

2.taaham har qism ki "shiddat pasandi" HARAM ya manaa nahi hai go k shiddat pasandi ko bilamoom encourage nahi kia gaya hai... "ashaabay soffah" sirf aur sirf Allah k deen seekhnay ki "shiddat pasandi" maiN "masroof" rahay onhouN nay dunyaa k jhamelay nahi "paalay" ... yeh bhi to aik tarah say "shiddat pasandi" thi jissay darbaaray resaalat saw nay "allow" kia ... warnah onsay kahaa jasakta thaa k deen bi seekho, rozgaar bhi kamaa'o, shadi bhi karo...sab kuch balanced aur etdaal maiN karo...sirf aik hi kaam ko "shiddat" say nah karo

3.dunyaa maiN jetni bhi taraqqi howi hai, ejaadaat howay haiN, baray baray kaam howay haiN, woh sab k sab apnay panay shauq /mission maiN "shiddat pasandi" ka nateejah haiN... aik muslim bhi (bunyaadi faraiz ki adaigi k baad) kissi bhi dunyawi jaiz project /shauq /mission maiN "shiddat pasand" ka mali mozahira kartay howay koi baRa kaam karsakta hai... masalan F.Sc. ka koi taalib ilm agar mulk bhar maiN TOP karnay ka iradah /shauq rakhta hai to yeh aik jaiz shauq hai... issay paanay k liyeh ossay shiddat say din raat "kitaabi keeRa" banna parta hai... agar woh basic faraazi namaaz, rozah aur haqooq ul ebaad etc ko tark nahi kartaa to woh apni neend qurban karkay, samaji taqreebat ko avoid karkay, dostouN k saath tafreeh choR kar din raat paRhta hai tab Top karta hai...oski yeh shiddat pasandi "ghair islami" to nahi

qissah mukhtasar k jaaiz kaamouN maiN shiddat pasandi MANAA /HARAAM nahi hai agar iss say oska koi farz nah chooT rahaa ho aur woh samaaj k liyeh nuqsan dah nah ban rahaa ho

PS: yeh meri zaati roy hai. iss say ikhtelaaf ka haq sab ko haasil hai.
(wallaho aalam bissawab)



info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 606  Age:  29  
Posted on:11th Nov 2011, 2:42am
 

jazakAllah rizwi bhai

mashAllah very well said...

jo kami/confusion meri writing main reh gai thi, woh ab rizwi bhai k above reply se bilkul balance ho chuki hai..

islam main poray ka poray dakhil hona chahiey.. haqooqulllah aur haqooqulibad dono behtareen tareekay se ada kiay jain, tab hi "ibadat" ka haq ada hota hai. Nabi-e-kareem SAW k ilava hamaray samnay khulfa-e-rashideen ki roshan misalain mojud hain, jinki "wives" hoti theen, aur sab khush rehti theen.
TALESH Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 15  Age:  32  
Posted on:17th Feb 2012, 7:32pm
 

TALEESH

salaamalakum
mere wife mere baath nahi sounti hai mein ne kaafi time uska bolo aasi nahi kaare wo thik hai bolo baad phir wo kaam hum do mein pyar kaafi hai liken mere baath ka khayal nahi rakthi muja pasand nahi hai
jab mein ke aap aasi nahi kaare tu mere ko thik nahi hai bolti mein kya mere samage mein aare hai mein aur ek shadi kaare ne chatu hoon plz aap mere maad kaare mein mere wife se kuash nahi hoon mere ek beti bhi hai 2year ke mein kya kaare bolo muja aabi baath bhi kaare ka dil nahi bolrha plz reply hau soon ALLAH SAB KO NAIK BAANEYE AMEEN IM WATTING Y REPLYYYYYYYYYY ALLAH HAFIZZZZZ

alirajput Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 1602  Age:  33  
Posted on:17th Feb 2012, 7:55pm
 

miyan bivi ka jhaghraa

kyun ke aap ki 2 saalana beti haiN, aap ko bohot kuch sochna hoonga kisi dusri bivi ko ghar laane se pehle, unka ghar alag hona chahye, aap Equal rights de unhe. Aur kia aap 5 waqt namazi haiN? Nahin he toh pehle aap na emaan darust kare pir shaadi ka sochnaa. Aap ki dusri shaadi ke baad ye bivi aap ki baat manegi ya aap se mazeed nafrat karengi...... ye bhi sab sochle.
1>>
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us