Mr.NA |
Group: Members Joined: 10th Feb, 2012 Topic: 2 Post: 4 Age:
21
|
|
Posted on:11th Feb 2012, 8:01am |
|
|
HAZRAT YOSUF a.s KI SHADI AZEEZ MISAR KI WIFE SAY HOI THI
ASALAM O ALAIKUM TO ALL MY QUESTION IS,KYA HAZRAT YOSUF ALAIH SLAM KI SHADI AZEEZ MISAR KI WIFE SAY HOI THI TELL ME IF any one knows about it
|
Batman1 |
Group: Members Joined: 25th Nov, 2011 Topic: 0 Post: 222 Age:
26
|
|
Posted on:11th Feb 2012, 9:21am |
|
|
reply walaikum salam.. jahan tak meri knowledge hay to Hazrat Yousaf AS ki shadi azeez misar ki biwi Zulaikhan say nahi hui thi . filhaal mery pas is ka reference nahi hy.. |
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 26 Post: 1907 Age:
47
|
|
Posted on:16th Feb 2012, 3:14pm |
|
|
BAT MAN1
ap ki bat sahi hai k Yousaf AS ki shadi ka koi ais arefrence nhn kiun k jab zulekha ya jo bhi us ka naam tha age main hi bohat feraq tha aur AZIZ e misar ki biwi se kesay shadi ho sakty hai |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 4 Post: 548 Age:
38
|
|
Posted on:17th Feb 2012, 5:19am |
|
|
Mr.NA Hazrat Yousuf a.s ki shaadi zulekha se hui thi aur iss waqiya ka zikr tabari ne apni tarikh mein bhi kiya aur uss ne ibn ishaq se riwayat ki hai k hazrat Yousuf a.s k zulekha se 2 lakray bhi huay thay aur tabari ne unn 2 bachon k naam bhi likhay hain jin mein se aik ka naam MANSHA tha dosray ka naam abhi mujhay yaad nahi aa raha... Aur Yousuf Ali jinhon ne Quran ki english translation ki hai unhon ne bhi iss shaadi ka zikr kiya hai... |
Batman1 |
Group: Members Joined: 25th Nov, 2011 Topic: 0 Post: 222 Age:
26
|
|
Posted on:17th Feb 2012, 6:35pm |
|
|
Mufti aapky pass Quran ki aayat ya HAdees RAsool saw hen is shadi k baray main to btaen?? riwayat to yeh bhi hen k azeezay misar ki bivi gaar main chali gae thi or din raat ibadat krti rehti thi or HAzrat Yusaf AS nay dekha or usay kalma parhaya magar shadi nahi ki
riwayaat to yeh bhi hain k us ny khud kaha k ab mujhy rub mil gya hy main usi ki ibadat main zindagi guzaar dun gi or us nay shadi nahi ki |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 4 Post: 548 Age:
38
|
|
Posted on:18th Feb 2012, 6:08am |
|
|
Batman1 Her baat Quran aur hadith mein nahi hoti aur na hi yeh koi asool hai k jo Quran aur hadith mein na ho lakin history mein ho to woh dhaef ho jaye gi baat....yeh jahilana asool aap ne kahan se liya hai waisay ??
|
Batman1 |
Group: Members Joined: 25th Nov, 2011 Topic: 0 Post: 222 Age:
26
|
|
Posted on:18th Feb 2012, 5:09pm |
|
|
Mufti o bhae Hazrat Yousaf AS k wakiay ki primery source Quran hi hy,Quran hi main is saray kisay ka zikar hy. or Hadees ki is liay baat ki k RAsool saw ny bohot si chezon ki izafi information di hen . or bhi bohot say paigambron k baray men chezain btaen hen jo Quran main nahi hy.. rahi baat history ki to history ki har baat sahi nahi hoti.. or history ka mayar hadees k mayar sy bilkul mukhtalif hota hy.. or history ki jo sub say mashoor kitaab TAreekh tibri hy us k pahly page pr hi Imam tibri ny mukadamay main saaf tor pr likha hy k meny riwayaton ko bagair jaanch partaal k darj kr dia hy ab yeh mohadiseen o mohakik ka kaam hy k isko check kren is liay andhon ki tarhan tareekh ki book main likhi hui cheez ko nahi mana ja sakta jub tak uska sahi hona sabit na ho. |
alirajput |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 2 Post: 1602 Age:
33
|
|
Posted on:18th Feb 2012, 8:31pm |
|
|
Some light on facts of zulekhaa Zulekha ashiq hon gaaye thi hazrat Yousuf (a.s.) pe, aur uss ne unke saath naajaiz relationship rakhne ki koshish ki thi, toh jab kisi ko pata chalaa ya shikayat jho bhi huwi, toh judge ne faisalaa kia jho uss nizam ka judge huwa kartaa thaa, ke agar unki shirt aagy se pathi wi haiN toh hazrat yousuf ghalat haiN, aur agar peeche se pathi hooN, toh ye ghalti sulekhaa ne ki, toh pataa chalaa ke shirt peeche se pathi wi thi....... jisse pataa chal gayaa tha ke zulekhaa ne ye harkat ki thi.... Zulekha ki shaadi hazrat yousuf a.s. se nahiN huwi thi. |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 4 Post: 548 Age:
38
|
|
Posted on:19th Feb 2012, 3:19am |
|
|
Batman1 Meray bhai her dafa jawab mein ne hi denay hain,agar aap sirf Quran o hadith ko hi mantay hain to phir mujhay bata dein k quran o hadith se k kahan likha hai k unn ki shaadi nahi hui... Dosri baat aap ne tarikh tabri ki kahi...Aur uss ne yeh riwayat ibn ishaq se li hai agar mein ghalat nahi hon to ibn ishaq ki book bhi aap k haan authenic hi hai.. http://www.askimam.org/fatwa/fatwa.php?askid=b4428c7575b74eda3b68f49c1758b7ce Uss k baad yeh link bhi aap check ker lein ta k aap ko aik aur ref. bhi mil jaye unn ki shaadi ka... |
|