Relations Between India And Pakistan
Pakistan aur India k ta'aluqat hamesha kharab hee rahain hyn. jab zara behetri Aati hy tou phir kisi na kisi waja se dobara kharab hojate hyn. - Aap k khayal main kya waja hy Pakistan aur India k relation hamesha kharab rahain hyn?
- donoun main se kaun fasad ki jar hy? India ya Pakistan? ya donoun hee aik doosre ko fatah chahte hyn?
- kya donoun taraf ki Army in kharab relations ki zimadar hy?
- kya donoun taraf k danishwar in kharab relations k zimadar hyn?
- kya angraiz Pakistan aur India ko larwane k zimadar hyn?
- kya Kashmir ka masa'ala hal kiay beghair Pakistan aur India Aapas main dostana ta'aluqat qaim nahi kar sakte?
- agar India aur Pakistan main ta'aluqat behter hojaen tou in main ziada faida kis ka hoga? India ya Pakistan?
|