Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Which Form Of Government Pakistan Should Adopt?

Politics   >>   Government
 
 
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:7th Aug 2011, 12:07pm
 

Which Form Of Government Pakistan Should Adopt?

Which form of government Pakistan should adopt?

  • Democracy
  • Presidential form of government
  • National Government
  • Technoracy
  • Military dictatorship
  • Civilian dictatorship
  • Khilafat
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 55  Post: 3514  Age:  22  
Posted on:7th Aug 2011, 3:01pm
 

Eagle Fly

In this case we must know politics.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:7th Aug 2011, 4:01pm
 

Democracy

Democracy is a best way of revenge .....asif ali zardari
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 55  Post: 3514  Age:  22  
Posted on:8th Aug 2011, 5:28am
 

Ali

Are you telling to me?
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 55  Post: 3514  Age:  22  
Posted on:8th Aug 2011, 6:48am
 

Ali

My name is wellknown not unknown. Well I don't know the meaning of the above kinds of politics but I wish that in pakistan should adopt that government which serve the country, have power and die for the country. Thank you...................
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 55  Post: 3514  Age:  22  
Posted on:8th Aug 2011, 7:22am
 

Hey!

Every person is interested in one field or many field so what I call my self wellknown in another field not politics. And its not to be shame. Thank you.....................
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:12th Aug 2011, 4:23am
 

re:Khilafat VS Democracy

Zaid Hamid ki baatoun se lagta hy k Pakistan main khilafat ka nizam hona chahiay aur democracy nahi honi chahiay.

  • Aap k khayal main kya Zaid Hamid democracy k khilaf hy?
  • kya Zaid Hamid bhi Sufi Muhammad ki tarah democracy ko kufr ka nizam samjhta hy?
  • kya democracy waqae kufr ka nizam hy aur kya elections main vote dalna gunaah hy?
  • kya hamare mulk main kabhi khilafat qaim hosakti hy?
  • kya koi aisa shakhs mojood hy jise khalifa banaya ja sake?
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:15th Aug 2011, 7:16am
 

Which Form Of Government Pakistan Should Adopt?

mera khayal se Pakistan main jamhooriat ko hee hona chahiay. jab se Pakistan bana hy yahan par jamhooriat sahi tarah nahi Aae. aur jab kabhi bhi loli langri jamhooriat Aae tou use chalne nahi dia gya. agar Pakistan main bhi India ki tarah hamesha jamhooriat rehti tou shayad Aaj Pakistan bhi India ki tarah taraqqi ki rah par gamzan ho chuka hota.
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:51am
 

Meri Nuzzur Meah

originally posted by H/dr_Qasim

Election Pakistan ka koi Solution nahi hay, agur Election hota hay tu pher yeh parties jo abi iqtadar meah hen eno nay or odum muchana hay or nufrat phalani hay ku kay Awaam nay enko next time reject kurna hay haa albuta MQM kay vote bank ko koi khutra nahi ku kay MQM apny Under apny samny kisi ko be Khura hona moqabil hona pussund nahi kurti yeh he waja hay kay MQM ki kisi be party say Suway Iqtadaar kay sumjoota hay mil baant kur khany kay elawa kubi sumjota nahi howa hay, chaay jumaat islamni ho , chay ANP ho , chay PPP ho chay PML N , Q ho, agur en meah say koi be Iqtadar meah hay tu MQM on say apny mohamilaat kisi na kisi tura set kur lati hay lakin jub iqtadar meah nahi hoty pher yeh esa nahi kurty,

Election Pakistan ka solution nahi hay bulky pakistan ka solutioni Hur tura kai political activites pur 10 Years kay leyeh pabundi lugany meah hay, ta kay logo ko sokh chain mily, hur tura kay Political media fight pur pabundi ho, Julsy julooso , hurtalo pur pabundi ho, even kay siyasi biyanaat pur babundi ho, Jissy molk meah chain amaan sukon ho or log apna kam karobar kur sukin,

Press conference kur kur kay ya Telephonic Khitaab kur kay ya on Meida zehreely statement day kur logo meah nufrat payda kurna or onko apus meah lurwaana or murwaana bund ho,

Allah pakistan ko ek essi Emaandar Qiyadat ataa kur day jo en puleet logo ko hutaa kur enko pabund-a-sulaal kur kay Pakistan ki bonyado ko pher say muzboot kury,

Allah ki Russi Allah ka Deen or humara pakistan hay jis pur sub unite ho kur ek ho kur reh sukty hen , lakin agur Rung Nussal, Firqa, Qom , Zobaan , zaat , buraduri meah ek dosry ko tuqseem kur kay Nufraat phalaa kur he agur siyasat kurni hay tu pher pakisan meah aman chain kubi nahi ho sukta pher woh he hoga jo Karachi meah ho ra hay or yeh silisla pory pakistan meah phayil sukta hay, yeh Allah ka azzaab hay, or koch nahi kay musliman musliman ko mar ra hay bai bai ko mar raa hay, Bhai bhai ka doshman hay pakistani pakistani ka doshman hay yeh sub Allah ki sukht narazghi or azaab hay,

Election whaa hon jahaan Essy duramy baaz siyasat daan na hon jo hur wuqat apny apny morchoo meah bath kur masoom logo ko lurwaty murwaty hen, aaj ki Siyasi partis PML N ko niqaal kur baqi sari apny Jaiyaalo ko use kurti hen, or on say Gyr Qanooni kam kurwati hen,

Last meah yeh he kahon gah kay Election pakistan kay problems ka solution nahi hay, agur Election ho be jaty hen tu ap ess thread meah dobaraa aa kur meri yeh post purna or mujy bataana kay Election nay kam khurab keya ya theek keya,

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:52am
 

agreed with Qaism bhai

originally posted by myrizvi

election pakistan k problems ka solution nhi hai


magar

pakistan k problems ka solution kiss maiN hai aur yeh kaisay achieve hoga...yeh hai one million $ ka sawaal ???
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:52am
 

jamhooriat ko chalte rehna chahiay

originally posted by eagle fly

main doctor sahab ki is baat se agree nahi karta. meri nazar main Pakistan k tamam masail ka hal jamhooriat main hy. Pakistan jab se bana hy yahan jamhooriat sahi tarah Aae hee nahi kabhi. jab kabhi luli langri jamhooriat Aaee bhi tou usay chalne hee nahi dia gaya, kabhi Ayub Khan, kabhi Yahya Khan, kabhi Zia.ul.Haq tou kabhi Musharaf sahab fauji inqilab barpa karte rahe. kya hamare masail hal hoe in fauji dictators k daur main? Pakistan k taqreeban tamam masail k zimadar fauji dictators hyn. India ki misal sab k samne hy wahan halat jaise bhi houn magar Army ne kabhi takeover nahi kia shayad yehi waja hy k Aaj bharat Pakistan se Aage hy. agar hamare haan bhi jamhooriat chalti rehti tou Aaj hamari halat itni badtar na hoti jitni Aaj hy.

MQM ko kyun saath milana parta hy har hukoomat ko? is ki waja ye hy k karachi main MQM ka hold hy aur wahan woh har tarah k halat paida karne ki salahiat rakhte hy. Pakistan k total revenue main se 70% revenue karachi generate karta hy. Karachi Pakistan ka ab tak woh wahid shehar hy jo puray Pakistan ko palta hy. is liay koi hukoomat nahi chahti k Karachi k halat kharab houn is liay MQM ko saath milana parta hy. magar MQM ki bhi a'ajeeb nafsiat hy is ka jamhoori hukoomatoun k saath guzara nahi fauji dictators k saath is ki khoob nibhti hy. BB houn ya Mian sahab donoun ne is k khilaf operation kiay magar har dafa'a ye mulk o qaum ka'azeem mufad main in k saath mil jati hy. aur kuch a'arse ba'ad hee in se girl friend ki tarah ruthna shuru kar deti hy jab k musharaf daur main ye khoob maze se musharaf sahab k saath chalti rahi shayad waja ye hy k pura Karachi is k under thaa.

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:53am
 

Jumhooriyat

originally posted by H/dr_Qasim

Eagle Fly Mujy Loooli lungi jumhoriyat abi be hay , essi leyeh next time bhe jub Election hongy tu looli lungi jumhooriyat he humara moqudur hay esi leyeh mujy jumhooriyat pussund nahi pakistan kai , India India hay Pakistan Pakistan hay India ko pakistan say match ni kurin, Indian logo ka mind or hay jub ka yaa ka kay logo ka mind or hay ya bun ghiya hay ya bunaa deya ghiya hay ess leyeh yaa Jumhooriyat essi he aayghi jo loli lungri he hogi,

Koi Be Party pakistan kay mofaad meah kam nahi kur rahi , Hukomat kurty hen or pakistan meah koi or Surtaan payda kur kay pakistan ko or Zaheef or bemaar kur kay chuly jaty hen even kay KHuzana be khali kur kay jaty hen taa kay dosri hukomat ko muzaa ajay hukomat ka

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:53am
 

jamhooriat nahi tou phir kaunsa nizam hona chahiay?

originally posted by eagle fly

"Election Pakistan ka solution nahi hay bulky pakistan ka solutioni Hur tura kai political activites pur 10 Years kay leyeh pabundi lugany meah hay"

agar elections Pakistan k problems ka solution nahi tou Aap k khayal main phir Pakistan k problems ka solution kis main hy? political activities par pabandi kaun lagae ga? kya Aap ye samjhte hyn k Army ko aik baar phir takeover kar lena chahiay?

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:54am
 

Eagle Fly

originally posted by H/dr_Qasim

meah tu yeh he chahata hon ek sub Siyasat dano ki dokaano ko taaly lugaaon or enki buk buk roz ki bund kuro or pakistan ki bonyadoo ko muzboot kurny kay leyeh 10 saaal Ek program pur kam keya jay jisy re-build Pakistan ka nam deya jay jis meah Energy crises, pur kam keya jay New Dams Dundy kay zor pur bunay jain, Kala bagh dam bunaya jay, Pakistan ko next 20 years kay leyeh Do gunaa ziyada bejli payda kurny wala country bunaya jay taa kay humari Industry chuly or Pakistan ki mahashi halat theek ho, 

Pakistan ki mojooda siyasat Dad Dad Eant Musjid wali Siyasat hay, woh log jo nation meah Nefaaq payda kurin onko apus meah lurwain or Unity ko tar Tar kurin woh Leaders nahi hoty on meah Country ko muzboot bunany ke ehliyat nahi hoti bulky essy log molk ko naqabil a tulaafi noqsaan daty hen,

Army bashuk ay no problem lakin Dams ka 5 Years Program lay kur, Ten years meah pakistan ko Energy crisis free buna dain, yeh kam jumhooriyat nahi kur sukti , agur kur sukty hoty tu aj kala bagh dam buna hota or aaj humary woh musail na hoty jo abi hum face kur ray hen

Energy crisis pakistan kay hur Furd ko motasir kur ray hen, Mujy pakistan kay Kisi be political leader sy dil chusbi nahi hay, mujy apny Wuttan pakistan say Lugao humdurdi or Peyar hay, mujy Nufrat hay on logo say jo Nufrat phalain , mujy nufrat hay on Logo say jo Logo ko tuqseem kurin rung nusul qom zoban ki bonyaad pur, mujy en Jehli Leaders say sukht nufrat hay,

Democracy On countries meah chul sukti hay jin meah Education hay humary han pury likhay jahil chul pher ray hen,




eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:54am
 

army aur us ka dunda

originally posted by eagle fly

"Army bashuk ay no problem"

Aap ki baatoun se lag raha hy k Aap ye kehna chah rahe hyn k bootun wale phir se takeover karain, PTV se qaum mere aziz hum watno ki Aawaz sune jae aur army phir se apna danda chalae.

Army apni barrocks main hee achi lagti hy. Army ka kaam sarhadoun ka difa'a karna hy mulk par hukoomat karna nahi. Army ne jab bhi takeover kia hy hamesha masail hee create kiay hyn. lisaniat aur firqawariat bhi hamare fauji dictators k hee tuhfe hyn. ye jab bhi Aate hyn Muslim League ko tor kar ya jor kar aik King party banate hyn aur phir mulk ka bera gharaq karte hyn. mulk main soobiat, lisanait aur firqawariat ko phelane ki bhi kisi had tak zimadar hamari army hee hy.

Army bhi agar Aagae tou lagta hy k kabhi kala bagh dam nahi bana sake gee. kala bagh dam par agar sab tayyar nahi horahe tou doosre dams tou bane ja sakte hy. agar ye hukoomat na.ehal hy tou zaruri nahi k har hukoomat na.ehal ho. Aaj agar issues par siasat nahi hoti sirf qurbanion par hoti hy tou is ki bhi zimadar army hy. Aaj agar humare india k saath relations kharab hyn tou jahan aur log zimadar hyn tou hamari army bhi us ki kafi had tak zimadar hy.

"Democracy On countries meah chul sukti hay jin meah Education hay humary han pury likhay jahil chul pher ray hen"

humari qaum educated hogi kaise jab budget ka 75% budget hum army ko de den ge.

main apni army k khilaf nahi magar jahan hum siasatdanoun par tanqeed kar sakte hyn waheen hum apni army par bhi tanqeed kar sakte hyn . no doubt hamari army aik muhib.e.watan army hy magar meri nazar main in ka mas'ala ye hy k in ki nazar main in se ziada koi aur muhib.e.watan nahi shayad isi ki waja se masail paida hoe.

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2109  Age:   
Posted on:1st Sep 2011, 6:55am
 

Pakistan kay Mofaad meah

originally posted by H/dr_Qasim

Ess wuqat pakistan kay mofaad meah Yeh he hay kay Army Takeover kury or Hur turah ki political activities pru 10 years kay leyeh pabundi lugaa day, or 5 Mega Projects pur kam kurry,

  • Dams , Solar power, Wind Power pur kam keya jay, dams bunay jain,, or rental power ka khatima kury jo Awaam ko Tail say Tail day ray hen, ess Wuqat sub say bura problem Energy crisis hen, jis say hur tubqa motasir ho ra hay pakistan ki Industry tubaah o rahi hay ghureeb ka choolaa thundaa pur ghiya hay, Surmaya dar ka Paysaa dao pur lug choka hay, Log barooz ghar hen or woh najayz tureeqy say short cuts kay zuryeh pasaa kumany y ki koshish kur ray hen crime rate meah ezafa ho ra hay , log khod kushiyaan kur ray hen, Bejli ki aankh muchooli nay logo ko cher chery pun ka shikaar kur deya hay log bay araam hen na kam na karobar na ghur meah sukoon, oper say aay roz ki mahengaai , Or Humary Siyasat daan keay kur ray hen? New province ka propganda, Lessniyaat , apny Aqtadaar ko duwaaam , or next election kay leyeh phely say hera phayri ki tiyaariyaan, Koi Law nahi koi justice nahi , ess leyeh Yeh Jumhooriyat be ek Laahnat hay , Koi be leader ess laike nahi kay osy pakistan ki bag dor osky hath meah dee jay,
  • Pakistan meah Jub Energy crisis py qabo pa leya jay tu pher next step Industry ki bahali ka hay , small industry ko furogh deya jay, Exports ki tadad ziyada say ziyada ke jay
  • Technical colleges ziyada say ziydaa bunay jain ta kay Intermediate pass boys and Girls ko Technical skills sikhay jain or pakistan say baher jobs kay leyeh onko bheja jay ta kay ziyada say ziyada pasaa pakistan meah hay,
  • Two nation theory or pakistan kay founders pur tunkeed or kechur ochaalny walo or Nation meah Nifaaq payda kurny walo lessaniyat ka Fitna payda kurny walo ko Baaghi kuraar dyea jay or onko arrest keya jay or essy logo ki Nationality he cancil kur dani chayeh jo Anti pakistan hon anti pakistan ideology hon,
  • Corruption kay khatima kay leyeh looota howa pasaa wapis keya jay or corrupt logo ka ehtasaab ho, en leaders ka be


Yeh jumhoriyat tu Pakistan ko 30 years aagy laay gahi hay or muzeed Puttur kay dor ki be yeh sayr kurway gahi , En siyasat dano nay pakistan meah khana junghi ki planing kur rukhti hay, zolfiqar mirza nay yeh be btaya hay kay Jo Natio kay trailer karachi meah say Ghaib howy hen onko Babar Ghori nay Ghayib kurwaya hay, ess Inkashaaf pur aghur socha jay tu yeh ek planing kay tahet karachi meah Weapons kay umbaar lugay jaa ray hen labya jasi sorat haal payda kur kay pakistan ko torny kay, Essi Political party ko tu meah kehta hon Ban keya jay pakistan meah,

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:1st Sep 2011, 8:07am
 

Ya pher

Pakistan meah Just two Political parties hon sub choti choti parities en dono parties meah zum ho jain taa kay Fitna fusaad Logo ko tuqseem kurny ka silsila kum ho khutam ho, Pakistan Muslim League ek ho jay or MQM or PPP ek ho jay or baqi parties en dono parties meah zum hojain ta kay Nation kay jo party be iqtadar meah aay woh lori Lungri na ho woh Araam say Apny munshoor pur kam kur suky,

Essi tura ya pher IRan ki tura Sudaarti nezaam ho koi political party na ho, Pori nationi apny leyeh ek President ka entakhaab kury, es tura Country meah Unity ho sukti hay jetni ziyadea political partiyan honghi Otna ziyada fitna or fusaad hoga, Ek mamooli councilor be apny Mohuly meah yeh he kam kurta hay woh Zat buraduri ka mohamila othaata hay logo ko tuqseem kurta hay or apus meah lurwaa kur apna vote bank burhata hay, ek gaon meah sub log peyar say reh rey hoty hen lakin yeh democracy logo ko doshman bunaa dati hay , ek mohaula meah log tuqseem ho jaty hen, ek dosry kay khilaf nahry bazi or laurai jughraa mar kotaai qutaal o gharut huwaai firing hoti hy,

Yeh sub cheezain pakistan jasy country meah mamool ki bat hay es time pakistan ko muzboot kurna sub say ziyada zurori hay, Unity bot zurori hay or pakistan meah energy crisis ek essa Problem hay jo pakisan ko Tubah o burbaad kur kay rukh day gah,

Bejli or pani dono ky leyeh es time Dams ki zurorat hay or next 50 years ki planing ki zurorat hay , yeh sub koch en hokumrano say tu nahi lugta yeh esaa kurin gay , next election meah be eno nay Ekhtayarat ki jung kurni hay, lurna hay ek dosry ki jor tor meah lugy rehna hay or pakistan kay issues wesy he rehny hen, mujy kisi siyasat dan say koi humdurdi nahi hay mujy humdurdi apny pakistan or pakistani awaam say hay,

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to apply for an australian visa  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014