indo pak main islam ka phailaao re "1. Islam phailane wale: woh kon log thay jin ki wajah se Hindustan mai Islam phaila?"
hindustan main islam philaany k liye koi specific group yahan nahi aya tha , asal main hindustan sy bahar k mumalik k badshahon ny jab iss sar zameen ko fataha kiya to unn k sath hi unn ka apna mahol mu'ashra b yahan muntiqal ho geya , wo log apni saltanat expand kar rahay thy aur apny andaaz-e-zindagi ko yahan mutarif kar waa rahy thy laiken yahan k log samjh rahy thy k islam phail raha hay
yeh baat theek hay k unn badshahon ki dili wabastgiyaan islam k sath hi theen yaani wo khud ko islam ka hamdard hi samjhty thy , unn k andar kuch na kuch islamically zaroor majood tha laiken aaj ki awaam ki trah wo log b apny culture k ghulaam hi thy lehaza unhon ny apna culture yahan promote karna shuro kiya aur log samjhny lagay k islam phail raha hay , pus unn logo ki oladain aur phir oladon ki oladain nasal dar nasal barrti gayeen jis sy muslimano ki tadaad main azafa hota geya
re "2. Islam phailane mai Rokawat Banne Wale: woh kon log hai jin ki wajah se Hindustan mai Islam phailna band "
na to real islam yahan araya tha aur na hi aya hay lehaza iss real islam ko koi rokny wala b yahan nahi tha asal main yahan hindustan sy bahar ka culture aya aur yeh sar zameen har qisam ka culture absorb karny aur ussy promote karny ki salahiyat rakhti hay iss liye ussi culture ko islam samjha geya , bas iss ki rah main rukawat wo log bany ya ban rahy hain jo apny culture k parwarda thy ya hain , jin ko bahar ka sulture pasand nahi ya iss culture par chalna nahi chahty wo log iss rah main rukawat bany
iss k nateeja main madd-e-muqabil ny naara bulanad kiya k islam ka rasta roka jaraha hay , lehazaa islam ko promote karny ki arrmain yahan music type ki chezain mutarif karwaieen gayeen jinahain kabi quwaali aur kabi sofiyana kalam ka name diya
darasal haqeeqat yeh hay k asal islam aik tahreek ka name hay musalasal jaddo-o-jahad ka name hay jab k sofiism inasn ko aik hi simat main jamad wa sakat kar daita hay , aur phir sitam yeh k jo asal sofism hay shaid uss falsafy main itna gand na ho jitna baad main iss k andar dakhal kar diya geya , aur dakhal b iss liye howa k hindustan ka mahsoos culture uss ki rah main khayel tha
re "3. woh kon sa firqa/maslak hai jis ko india mai aman mohabbat aur shaanti wala samjha gaya."
islam salamti ka dars daita hay jo ayn islam ki taleemat par amal paira hay wo aman aur shanti ka hi alambardaar hay jo iss k mukhalif hay wo na to islam ko samjh raha hay aur na hi islam par chal raha hay
re "3. woh kon sa firqa/maslak hai jis ki wajah se Islam per dehshat-gardi ka ilzam laga?"
yeh wohi firka ya mazhab hay jis ny islam ko islam samjhny ki bajaye apny ghar ki jageer samjh liya islam k sab ahkamaat ki tashreeh apni mann marzi ki ki aur ussy islam samjh kar baaqi k insano par zulam dhaany lag gaye , na to islam ki taleemaat pur tashaddad hain aur na islam ka follower pur tashaddad ho sakta hay
yeh wo log hain jo kar to apni mann maani rahy hain laiekn apny iss amal ko islam ka name dy rakha hay , yaani k hat dharm .. |