Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

Chatting
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:25th Dec 2010, 1:09pm
 

continue

lehaza marfat-e-khuda hasil karny k liye hum sab ko apny apny emaan ko aik baar tatolna hoga ho sakta hay hum jis jis school of thought ki taleemat sy chipky baithy hain wo shaid humain marfat-e-khuda ki bajaye khuda sy door hi na kar rahi ho ..bat itni si hay k allah pak ny insan ko aik mehsoos ikhteyaar sonp kar iss duniya main baij diya insan ki tabiyat ki jitni zaroriyaat hain unn ko insan k andar hi pewasat kar diya aur hukam kar diya k jao aur inn sab pehly sy majood insani tabiyat k zaraaye ko kaam main laty howy meri (khuda ta'ala ) ki marfat hasil karo abb duniya main aa ker hum ny kia kiya hum unn hastiyoon k jinhon ny humain asal marfat-e-khuda ata karni thi k hi wajood k bary main shakook-o-shubhaat ka shijkaar ho gaye aur asal pegham ko bhol gaye ..asal pegham kiya tha asal pygham tha insan ka apny bary main jan laina k issy q khalaq kiya geya hay aur baad azan issi insani shanakhat k tehat apny mabood wa khaliq yani allah ta'ala ki shanahat kar laina ....haye forum error....
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:25th Dec 2010, 1:13pm
 

continue

lehaza iss amar (marfat) ko paa lainy k liye kisi book k parrny ki koi khaas zarorat nahi hay iss amar ko samjhny k liye jissy "marfat" ka nam diya geya hay k liye sirf aur sirf quran pak jaisi azeem naimat ko aik bar nahi balky bar baar samjh kar parrhny ki zaroorat hay laiken afsoos hum iss traf dhiyaan nahi daity aur marfat k mafhoom ko samjhny k liye iss duniya main majood apny jaisy hi insano ki tasaneef ko ulat pulat kar daikhty rehty hain ...khair baat kahan sy kahan nikal gayee "maryam" g aap k sawal ka mukhtisar sa jawab yeh hay k main abi marfat-e-haqeeqi sy buhat door hon iss liye shaid aap k sawal ka theek sy answer na kar sakoon ....iss liye sorry for that...
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:25th Dec 2010, 10:01pm
 

Marfat e haqeeqi

baaz aloom aise hotay haiN k jab tak hum basics jantay haiN tab tak lagta hae k jaise bohat kuch jantay haiN lekin jab depth meiN jakar paRhtay haiN to phir mehsoos hota hae k kuch bhi nahi jantay . yani na jan,na hamesha jan,nay pe ghalib hi rehta hae. jazakAllah for nice reply. mazeed sawalat k liye prepare hojayeN abhi se.
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:26th Dec 2010, 7:16am
 

Diplomate

Tauba hae yar. Tum itni bore discussion b kr lete ho. Anyways, I am agree with you. Mera kheyal hae ke maarfat wala subject bht wasee hae. It's beyond than our boundries.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:26th Dec 2010, 7:45am
 

marfat-e-haqeeqi

han bhimiji ki baat b theek hay waqiya hi yeh marfat wala topic hamari dastarst sy bahar hay laiken aysa b nahi k hum iss topic ki branches ko discuss na kar sakain mera khiyaal hay yeh aik mantqi behas hay agar koi iss mozoo main dilchasbi rakhta hay to wo yahan koi thread start kar dy main apni mahdood maloomat ko broye kaar laty howy bharpoor partcipate karny ki koshish karon ga ...insha'allah.

theek hay maryam g main aap k next questions ka muntezar hoon ...:)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:26th Dec 2010, 11:41pm
 

Next Question

aap ne aksar note kiya hoga k jab hum loag guftagu kartay haiN tou to waqt e rawangi Allah hafiz bhi kaha jata hae aur take care bhi. khud se apna khayal rakhna ka kiya matlab hae ya kis tarah se apna khayal rakha jasakta hae ? aap apna khayal kis tarah rakhtay haiN ?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:27th Dec 2010, 1:46pm
 

answer of next question

re : "hum loag guftagu kartay haiN tou to waqt e rawangi Allah hafiz bhi kaha jata hae aur take care bhi."

yeh aysy jumly hain jo hum kisi ka ihsaas karty howy kehty hain jis ka ihsaas dil main ho ussy chalty chalty hum ya to allah hafiz kehty hain ya phir take care ka word use karty hain

inn dono jumlon main bazahir lenguage ka farq hay aik jumla english lenguage ka hay aur dosra arbic zuban ka laiken haqeeqat main inn jumlon ki gehraiee apny andar aik khaas qisam k mafhoom ki tarf ishara karti hay ...yeh thread jo k chating category ka hay iss main aysy falsfiyana aur mantqi andaz main likhny ka koi khas faida nahi ho ga q k yahan buhat kam members visit karty hain iss liye baat ko hawa main zaya karny k muteradif hoga main insha'allah jald hi iss topic sy realated aik new thread start kar k inn jumlon ki wazahat karny ki koshish karon ga ..insha'allah

aap apna khayal kis tarah rakhtay haiN ?

main apna khiyaal nahi rakhta aksak doston aur ghar walon ka muj sy yahi gila wa shikwa rehta hay k main apna khiyaal nahi rakkhta ...:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:28th Dec 2010, 2:58pm
 

hasool e khushnoodi

aap ki baat read kar k aik waqia yaad agaya .

hazrat Maulana Shah Ismael Shaheed RA aik roz dehli meiN wa.az farma rahay thay. ikhtetaam e wa.az par jab hazaar haa logoN ka majmaa muntashir hogaya tou aik dehqaan doRta huwa aya aur aap se arz kiya k " maiN aap ka wa.az sun,nay k liye baRi door se hazir e khidmat huwa tha lekin yeh meri bad.qismati hae k aap wa.az khatam kar bethay haiN " AAp RA ne farmaya "maiN tum ko bhi wohi wa.az jo hazaroN admiyoN ko sunaya tha lafz ba lafz phir suna deta hoN " dehqaan ne arz kiya " k aap mehaz aik admi ki khatir is qadar takleef kyuN gawara farmatay haiN ?" AAp ne farmaya " pehlay bhi aik ko khush karna maqsood tha aur ab bhi usi aik ko khush karna hae "(yani Allah ta.ala) chunache AAp ne pehlay ki tarah khaRay hokar tamam ka tamam taveel wa.az az sar e no dohra kar us dehqan ko sunaya.


Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:28th Dec 2010, 5:28pm
 

re

main aap ki baat ko bakhoobi samjh geya hon ..laiken phir b iss thread main aap k above sawal ka answer karny ki himmat nahi ho pa rahi ..aap aik new thread start karain main wahan tooty phooty alfaaz likh doon ga ...uss ka aik aur b faida hoga wo yeh k kuch members mery naam sy mahsoos iss thread main jankty b nahi iss liye aap aur mery siwa teesri ki roy ya nuqta-e-nazar k any ki tuwaqqo nahi hay ..

laiken aik new non chatting thread main yaqeenan buhat sy members apna apna azhaar-e-khiyaal karny zaroor tashreef laien gy ..aur iss trah aik sy ziyada roy any k sabab maloomat main azafy ki ummeed hay ..ummeed hay aap meri baat samjh gayee hon gi...thanks
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:2nd Jan 2011, 2:40pm
 

sawal hazir hae

"future planning" maiN muslim youth professional education, achi job /business, achi biwi, acha ghar, khush.haali etc tak hi kiyouN "mahdood" rahtay haiN. kia onhaiN nahi patah hota k yeh poori life to mahaz aik "examination centre" hai....... issi EC ko sab kuch kiyouN samajhtay haiN......yeh onkay Imaan ki kamzori hai yaa quran o sunnat say aagaahi nah hona"

aap ki khuahish k mutabiq sawal hazir hae is pe aap sair e hasil reply karaiN . is sawal ki tarah sawal kanandah ko bhi yahaN paste kar diya jayega :) takay debate bhi hosakay.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:2nd Jan 2011, 2:53pm
 

Dip uncle: ap se aik request ap pls is ka answer Info Bhai k bad dena

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:2nd Jan 2011, 5:56pm
 

abb meri tarf sy jawab b hazir hay...:)

above sawal myrizvi bro ki traf sy info bro ko poocha geya tha meri khahish thi k main b iss sawal ka answer apny alfaaz main karon...meri khahish par maryam g ny yeh sawal uss thread sy utha kar yahan paste kardiya laiken sath main s4u ki khahish thi k main apna answer info bro k answer karny k baad karon ..iss liye main intezaar main tha k info bro answer kar lain phir main karta hono abb unhon ny answer kar diya hay iss liye main b iss sawal k answer main apny tooty phooty alfaaz tahreer karta hon

yeh raha info bro ka answer...

insan "jahil" peda hotay hain.. har insan ko "ustad" ki zarurat hoti hai.. ....

insano ki tarbiyat ma aik balance hota hai "infaradi taleem" aur "ijtemai taleem"..

bachpan ma infaradi taleem walidain k hath ma hoti hain aur ijtemai taleem school k reham o karam par...... age k sath sath "infaradi taleem" ka level bhi barhta rehta hai... samajhdar honay par "aik ustad" bhi tarbiyat karta hai, us k ilava "bahut saray" ustad bhi tarbiyat kartay hain....., aur dono kisam ki tarbiyat ma aik balance hota hai, k bacha jawan honay k bad "kyun, kisliay" ka jawab samajh kar de sakay.......

society as a whole, apnay education system ki pedawar hoti hai....hmara education system "infradi ijtemai" k buniadi balance se hi mehroom hai, tau hmari generations "khud ro jaribootian" hi banain gi........jin ka qibla "zahiri chamak damak" hai, jo "bachgana pan" hai..

woh alag baat hai k jawan honay par har insan ma "achai burai" ki samajh peda ho jati hai, lekin bahot kam hotay hain jo "lashauri hissay ki aesh o aram parast soch" se bahir niklna pasand kartay hain.....

***********************************************************


insan iss duniya main baija geya to uss ki khilqat main allah talah ny apni pehchan aur apni pehchan k baad apny hukam ki tameel aur baad azaan tameel karty howy wapsi ka maqsad rakh chorra

iss maqsad k liye allah ny insan ko aik behtreen deen sy nuwaza jis ka aghaz allah ny insan k zameen par any k sath ho kar diya ..insan ki khilqat k waqt allah ny har insan sy aik wada liya ..wada yeh hay k shanakhat-e-khuda , marfat-e-khuda , ta'ayeed-e-khuda , amal bar hukam-e-khuda..abb iss duniya main insan ko sha'oor k sath dark karny aur aqal sy sochny jaisy mu'amlaat main ba ikhteyaar bana diya

insan iss duniya main aya apni khilqat k maqsad ko talash karny laga jis ny maqsad paa liya wo iss sary nizaam sy chipak geya aur jo maqasad-e-khilqat ko na paa saka wo dar badar ki thokarain khany laga

sawal chunk muslim insan k bary main hay iss liye main kul insaniyaat sy baat ko samait'ty howy muslims par ajata hoon

jub iss insan jisy hum muslim kehty hain ny deen islam ka intehaab kiya to wahan iss ki 2 raye ban gayee No. 1 Maqsad ..No. 2 Faida..(main already kaheen zikar kar chuka hon ..maqsad vs faida ka laiken yahan iss bat ki wazahat b kar daita hon)..khair bat ki tarf ata hon ..jin ahbaab ny deen ko maqsad k tehat adopt kiya unn ki nazar main "goal" sirf khuda tala ki shanakhat tha ya marafat-e-alahi ..yani wohi wada jo alam-e-arwah main har insan ny apni khilqat k waqt apny khaliq sy kiya hay

jjin ahbaab ny deen ko faida ki gharz sy chuna unho ny b kuch bura nahi kiya laiken unn ka "goal" sirf faida hasil karny ki hadd tak mehdood reh geya wo apni sari zindagi main mazahab ho ya aam zindagi uss main apna mufaad hi talash karty rahy ..

maslan jis trah hum aam zindagi main koi b kaam karty hain jaisy hum taleem hasil karty hain k humain koi aala job mily gi ..taleem k baad aala job ka mil jana taleem hasil karny ka maqsid nahi hay bulky taleem hasil karny ka faida hay issi trah karobaar ho ya koi services hum pehly uss main apna faida zaroor daikhty hain ..

issi trah deen main any k baad b hum ny apna faida talash kiya to humain mehsoos howa k agar hum namaz parrain gy to itna sawab (faida) mily ga rozy ka yeh faida hay hajj ka yeh faida hay deegar islamic ebadaat ka yeh faida hay waghaira waghaira..bus muslims ki kaseer tadad faida k hasool ki gharz sy deen sy chipak gayee jo apny aap main koi buri baat nahi hay laiken behas yeh hay k muslim ko faida ki gharz sy deen main ana chahiye tha k ya maqsad ki khatar.....khair

myrizvi bro ka sawal chunk hum jaisy faida prast muslims k bary main hay to iss ka jawab yeh hy agar aaj b muslims deen ko maqasad samjh kar iss ki tarf raghib ho jaien to yaqeenan na to quran sy doori aur na hi Rasool (s.a.a.w) wa aal-e-Rasool (a.s) sy doori ki nobat ya marhala aye ga..aur na hi aysy masayl paida hongy k jin k baad humain aysa lagy k hamari simat shaid drusat nahi hay ...jahan tak swab ya faida ki baat hay to wo to allah ka wada hay apny insan sy k main (Allah) kisi insan ki zara barabar b naiki zaya nahi karoon ga

wallah ho ilam bis-sawab

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7734  Age:  55  
Posted on:3rd Jan 2011, 3:25am
 

faidah parast muslim!

bhai meray...apnay aik to apnay apko khud define kia hai k ap kia haiN, lehaza iss par to koi kalaam nahi kar saktaa...ap apnay aap ko ham sab say zeyadah jaantay hongay........ phir apnay meray oThaa.ay gaye sawaal ka mokhaatib bhi apnay aap ko qaraar day liaa.....mujhay iss par bhi koi etraaz nahi, halaaNkay main nay aap say nah to sawaal kia thaa aur nah "ap k baray" maiN sawaal kia thaa :)......... apnay sawaal say motalliq apna point of view pesh kardia......... yeh sab say achi baat ki hai....... aik open forum maiN aisaa hi hona chhaiyeh....... sanjeedah issues par discussions /mokaalmah kartay howay 'topic' ko target karna chaahiyeh nah kay 'afraad' ko.

jazak Allah bhai n thanx for replying me n my question :)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:3rd Jan 2011, 3:45am
 

jazak Allah

rizvi bhai . hope u did'nt mind :)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7734  Age:  55  
Posted on:3rd Jan 2011, 4:05am
 

not at all

balkay mujhay to iss baat ki khooshi hai k apnay aur Diplomate bhai nah meray sawaal ko "aham" jaantay howay issay zeray bahas laa.ay. Dip bhai ko mera reply onkay 'reply k text' k hawalay say tha. maiN waisay bhi 'mind nahi karta houN...sirf "reply" kartaa houN :):):)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:3rd Jan 2011, 4:12am
 

sounds great :)

mera khayal hae k aap ka har question aur har reply hi bohat "aham" hota hae aur logoN k liye aik sanad ka darja bhi rakhta . yani woh us ko as it is maantay haiN.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:3rd Jan 2011, 1:40pm
 

az rahy tafan'nan...)

myrizvi bro pehly to shukriya k aap ny iss thread main aik lambby waqfa k baad qalam kaari ki ..uss k baad aap sy main aik shikwa karny main haq bajanab hoon k aap jaisi ilmi shakhsiyat sy aysy comments ki bikul tuwaqqo nahi thi ...halan k iss sawal ka amswer karny sy pehly main ny ba zabta ijazat b talab ki thi jis par "info" bro ny to green signal day diya tha laiken aap ny shaid sarf-e-nazar sy kaam liya tha ..

iss k baad b main itni jaldi apna reply karny k mood main nahi tha laiken issi sawal ki janab muhaterma "maryam" sahiba ny meri tawajjo dila di ..iss tawajjo k baad na to sawal aap ka raha aur na hi main aap ki ijazat ka muhtaaj raha..q k abb sawal muj sy ho geya tha aur yeh sawal aap ny nahi bulky "maryam" ny kiya tha

main ny aap ko answer nahi kiya aur na hi maryam ko answer kiya hay main ny just iss sawal par apny alfaaz main comments kiye hain ..iss liye mera mukhatib / target koi aik ya yahan k members har giz nahi thy aur na hi hain ..bulky main ny aik musliman ki baat ki hay aur muslim hony ka dawa aap b karty hain main b karta hon sab members b karty hain sab islamic duniya b karti hay ..

khud ko mukhatib karny sy kam az kam yeh faida to hota hay k na to kisi ki tarf ungli uthti hay aur na hi kisi ki dil azari hoti hay main ny b issi nuqta-e-nazar sy answer k akhri pehra main khud ko mukatab kar liya ..agar aap ko iss baat ka ranj hay k aap ko mukhatib q nahi kiya geya to theek hay jahan jahan main ny word "hum" use kiya hay wahan wahan aap khud ko tasawar kar lain ..shaid iss trah aap ki tashaffi ho saky..:)

aur ho sakta hay k aap ko mukhatib nahi kiya geya iss liye aap ny iss question k answer ko aik debate ki shakal dainy ki bajaye ya apny comments karny ki bajaye meri tahreer par hi comments kar diye hain...:))
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:10th Jan 2011, 2:06pm
 

diplomat ji...

apse ma aik sawalon ka majmua poochna chahta hun..... umeed hai aap kuch ghalat nahi samjhain gy aur as usual khulay zehan se jawab dain gy.....:).....shaid mera sawal apko ajeeeb o ghareeb hi lagay, us surat ma aap par munhasir hai k beshak aap jawab na dain...:)...

sawal :

kisi se sawal poochnay ki azadi kis had tak honi chaiey? kia inferadi ya ijtemai pasmanzer, sawal poochnay walay par, jawab denay walay par asarandaz hona chaiey? ijtemai pasmanzer ma (public area ma) jazbati mozuat par tabadla e khiyal/sawal karna maqsood ho jaey tau kia criteria hona chaiey? woh bhi us surat ma jab dono farik apnay moakkif par dattay rehtay huway apna moakkif hi darust honay ka dawa karain? ap k khiyal ma aesi surat ma, jab 2 statements apas ma mutasadim hon, tau kia dono bayak wakt darust ho sakti hain? agar nahi tau darusti ki kasoti kia honi chaiey?

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:11th Jan 2011, 3:58am
 

zahy naseeb.....:)

tha yaqee'n k aye gi yeh raata'n kabi....unn sy howey gi mulaqaata'n kabi...tha yaqee'n.....................:)

Info g ..aap k sawalat mujy qatan ajeeb-o-ghareeb nahi lagy ..balky ajeeb-o-ameer lagy hain ..:)

shaid main aap ki towaqqo'aat k ayn mutabiq inn sawalat ka answer na kar sakon taham try karny main kia harj hay yehi soch kar ageya hon yahan ..:)

kisi se sawal poochnay ki azadi kis had tak honi chaiey?

azadi sy kia murad hay ? waisy iss bat ka diesct taluq sawal ki qisam ya shakal sy hay..ya phir jis bandy sy sawal kiya jaye uss k attitude sy hay ..:)

inferadi ya ijtemai pasmanzer, sawal poochnay walay par, jawab denay walay par asarandaz hona chaiey?

infradi pas manzar aur ijtemaiee pas manzar do alag haltain hain , baaz oqaat ijtemaiyat infadaiyat par ghalib hoti hay aur baaz mu'aamlaat main inferadiyat ijtemaiyat par ghalib hoti hay ..iss ghalba ko sawal sy ya jawab sy b jorra ja sakta hay aur nahi b jorra ja sakta ...:)

ijtemai pasmanzer ma (public area ma) jazbati mozuat par tabadla e khiyal/sawal karna maqsood ho jaey tau kia criteria hona chaiey?

public area main agar iss forum ka zikar kiya jaraha hay to yahan k criteria sy bakhobi waqif hain ...agar public area sy murad kuch aur ho to phir wahan ka mahol par depend karta hay ...:)

woh bhi us surat ma jab dono farik apnay moakkif par dattay rehtay huway apna moakkif hi darust honay ka dawa karain?

moaqqaf ki drustagi tab tak hi wajood main rehti hay jab tak dleel majood rehti hay aga daleel khatam hojay to moaqqaf drurt hony k bawjood b drust nahi rehta iss liye aysa ho hi nahi sakta k do mukhalif batain drust ho ...aik jaisi do batain to drust ho sakti hain chahy alfaz ka farq ho ya andaz-e-biyan ka farq ho laiken do mukhtlaf batain kisi sort drust nahi ho sakti unn main aik theek hogi ya dono ghalt hongi..mu'amla sara logic ya daleel ka hota hay ...:)

ap k khiyal ma aesi surat ma, jab 2 statements apas ma mutasadim hon, tau kia dono bayak wakt darust ho sakti hain?

arz kiya na k daleel par ya logic par depend karta hay ..:)

agar nahi tau darusti ki kasoti kia honi chaiey?

aqali wa mantaqi daleel jo ahl-e-ilam wa ahl-e-aqal k nazdeek qabil-e-qabool ho...:)

main ny apni samjh k mutabiq inn sawalat k answer kar diye hain agar info ji aap ko lagy k main theek sy answer nahi kar saka to aap k nazdeek inn sawalt ki babat jo behtreen jawabat hon yahan paish kar sakty hain ..iss trah mery knowledge main b izafa ho ga ..thanks for participating here ...:)
info1234 Group: Members  Joined: 27th Nov, 2009  Topic: 14  Post: 600  Age:  31  
Posted on:12th Jan 2011, 10:53am
 

nice replies....:)

diplomat bhai ap k replies dekh k bari khushi hui....aur aap sharminda na karain.. :) ........ kia ma aur kia meri tawakkuat.....hahahahahhaha...aur ma hamesha ki tarhan mazrat karta hun k meri urdu achi nahi hia....shaid ma urdu ma apni baat theek se samjha nahi pata qk ilfaz ka chunao meray liay mushkil ho jata hai...

yeh khalis falsfiana mozu hai, aur mujhay mehsoos hua jesay is kisam k mozuat aap se bht achi tarhan discus kiay ja saktay hian...:)

"public area main agar iss forum ka zikar kiya jaraha hay to yahan k criteria sy bakhobi waqif hain ...agar public area sy murad kuch aur ho to phir wahan ka mahol par depend karta hay ...:)"

yahan public area se murad koi bhi public area... chahay yeh forum ho ya koi bhi jagah, jhan public gathering ho......... is kisam ki jaghun par, agar koi jazbati mozu chir jaey, tau kia karna chaiey? jesay is forum par bhi bari garma garmi dekhi gayi hai, aur aesa zahir hota raha hai k yeh log amnay samnay ho jain tau aik dusray k gareban phar dalain gy........ aur jin mozuat par jazbat is had tak pohanch jatay hian, woh mozuat hmaray muashiray ma discuss hona naguzeer ho chukay hain..... un par khamoshi ikhtyar nahi ki ja sakti... aur jab un par behas chhiray gi, tau jazbat ghalib ain gy, aur jhagra fasad ki nobat ey gi....... ap k khiyal ma aesi surat ma aik aam insan ko kia karna chaiey? kia kisi jazbati mazu par, jazbat se mawara ho kar aqli o mantaqi behas karna koi faida pohancha sakta hai?

moaqqaf ki drustagi tab tak hi wajood main rehti hay jab tak dleel majood rehti hay aga daleel khatam hojay to moaqqaf drurt hony k bawjood b drust nahi rehta iss liye aysa ho hi nahi sakta k do mukhalif batain drust ho ...aik jaisi do batain to drust ho sakti hain chahy alfaz ka farq ho ya andaz-e-biyan ka farq ho laiken do mukhtlaf batain kisi sort drust nahi ho sakti unn main aik theek hogi ya dono ghalt hongi..mu'amla sara logic ya daleel ka hota hay ....aqali wa mantaqi daleel jo ahl-e-ilam wa ahl-e-aqal k nazdeek qabil-e-qabool ho...:)

qabil e tehseen hai........ :)

lekin ap se guzarish karon ga k aap issay mazeed wazeh karain....

farz karain AA nay DD k 50 hzar chori kar liay....... adalat ma AA nay apnay "dalail" se sabit kar dia k us nay chori nahi ki, aur DD apni baat wazeh na kar saka........ is surat ma "dalail" ki kia hesiat reh gayi? aik admi apni baat ziada achay tareekay se wazeh kar sakta hai, aik admi apni baat sahi se bian bhi nahi kar sakta.......... is surat ma dalail ki kasoti kia honi chahiey ?

is ma koi shak nahi k darakht ki hi jarain hoti hain, aur haq k sath hi dalail hotay hian........ lekin aik admi haq par honay k bawajood apni kamzorion k bais dalail na de sakay, aur dusra admi batil dalail de kar haq ko chhupa de, is surat ma aik aam insan ko kia karna chaiey?

kia aap k khiyal ma yeh sab hmari muasharti pecheedgion ki bari wajah nahi hai? mujhay tau apnay muashiray ma insanon ki taqseem k peeechay yehi sab nazar ata hai...apka is baray ma kia khiyal hai? kia kisi zahiri haqeeqat par shak karna, aur shak k jawab ma uthnay walay sawalon k jawabat talash kar k asal haqeeqat tak pohanchnay ki koshish karna, khoobi hai ya khami hai?

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6  >>
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Get Visa For Japan  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us