Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

Chatting
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:27th Oct 2010, 3:34pm
 

Re to Re

re " exactly maiN usi baat ki wajah se aap ko "bewaqoof" bhai samjhi thi :)"

abb yeh mat samj laijiya ga k meri yad'dasht achi hey...main ny tukka lagaya tha jo k fit baitha hey ...:0)

re "jahaN tak sehray ka taluq hae to sar hona chahiye sehra kisi pe bhi saj jata hae :)"

nahi ji main iss bat sy ittefaaq nahi kar sakta g ...q k sar to ghaddy , bandar , aur chouhy ka b hota hey abb unn par sehara sajny sy to raha ....:)) hehe

re "tumhaiN jab milaiN kabhi fursataiN meray dil se bojh utaar do
maiN bohat dinoN se udaas hoN mujhay koi shaam udhaar do"

sach sach bataien aap ny yeh mazzaq to nahi kiya ...:) mera 2 kilo khoon barr geya hey ...:) hehe



zubair uk Group: Members  Joined: 22nd Oct, 2010  Topic: 6  Post: 67  Age:  25  
Posted on:27th Oct 2010, 4:58pm
 

for diplomate

supoz aap islamic republic of pakistan k sadar ban jain to aap sab si pahly 3 kaam kea karin gay..

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:31st Oct 2010, 2:09pm
 

3 kaam

answer to zubair's question

supoz aap islamic republic of pakistan k sadar ban jain to aap sab si pahly 3 kaam kea karin gay..

  1. main apny name k sath sadar-e-pakistan likhoon ga (apny darwazy par , apni muhar (stamp) main , apni stationary main)...:)
  2. apni garri par pakistan ka parcham (flag) lagaoon ga ..:)
  3. sadar-e-pakistan ka full protocol loon ga jaisy majooda sadar laity hain ..:)
maryam aap dobara sy ghayb ho gayee hain aap sy baat cheet main barra maza araha tha laiken aap to dobara disappear ho gayee hain ...:(



zubair uk Group: Members  Joined: 22nd Oct, 2010  Topic: 6  Post: 67  Age:  25  
Posted on:1st Nov 2010, 8:56am
 

diplomate

SIR AAP SI BHE KAR DI PRESIDENT ZOORDARI WALI BAAT.....!

AAP YEH BTAIN K AAP ISS MULK K LEA KUCH KAR SAKTY HAIN YA NAHEEN ?

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:1st Nov 2010, 11:20pm
 

Diplomate bhai

main kahiN ghayb nahi hui ji bas kuch masroofiyaat aisi ajati haiN jin k baa.es yahaN goft O shaneed nahi kar pati behar.haal just read karti rehti hoN . aap tayar rahaiN jald aap se mazeed baat cheet hogi inshAllah .

abhi kuch din se meray zehan meiN aik baat arahi thi k aap pehlay kaise thay jaise ab nahi rahay ? would u like to highlight this issue ? aur pehlay aise kyuN thay jaise ab nahi haiN ya ab aise kyuN hogaye haiN jaise pehlay nahi thay :)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:1st Nov 2010, 12:38pm
 

Diplomat k sath Diplomacy ...hahaha

Maryam g aap ny mujy kis mushkil main daal diya hey aap ny aik hi swal ko ghuma ghuma ghuma ghuma kar mujy hi ghuma diya hey ...:)

acha try karta hoon answer karny ki .....

aap pehlay kaise thay jaise ab nahi rahay ?

kehty hain main pehly kisi zamany main goora chitta bacha howa karta tha laiken abb zara gandami baba banta ja raha hon ...:) yahi tabdeeli i hey

aur pehlay aise kyuN thay jaise ab nahi haiN ya ab aise kyuN hogaye haiN jaise pehlay nahi thay :)

na ma pehly apni marzi sy aysa tha aur na abb api marzi aysa ban raha hon lehaza mera jub ikhteyaar hi nahi to iss bat ko apny alfaaz main describe kaisy kar sakta hon ...:)

Maryam g main janta hon aap ny jis sense main muj sy sawal kiye hain aur aap jo jan'na chah rehi hain main ny waisy jawab nahi diye aur aysa main ny jaan booj kar kiya hey ...main ny aysa q kiya hey abb yeh mat pooch lijiye ga ..aap ki meharbani hey ..:))...waisy aap itemnaan rakhain mujy aap k sawalat ki bharpoor samj ageye hey aur agar kaheen forum sy hat kar aap sy baat cheet ka moqa mila to aap k iss swal ka ussi sense main answer karon ga jis sense main aap ny sawal kiye hain ..fil haal majboori hey..:)

Zubair Bro ..aap k sawalat ka asan sa jawab yeh hy k apny mulik k liye kuch karny ki khatar bandy kal sadar hona hi zarori nahi hey ...har banda apny apny muqam par rehty howey apny mulik k liye buhat kuch kar sakta hey ...jis bandy ki jitni istedaad hogi wo utna hi kar ly to yehi uss bandy ki saadat hogi

apni bat k liye aap ko aik qurani waqiya sunata hon ummeed hey meri baat mazeed clear ho jaye gi aur asani sy samj main ajaye gi

Hazrat Ibra'Heem (a.s) ko jab Namrood ki tarf sy lagayee gayee aag main phaika geya to aik chuonti (ant) apni nanni munni chounch main pani ka aik hafeef sa qatra uthaye aag ki tarf ja rehi thi ta k aag par daal saky...kisi ny daryafat kiya k aag itni shadeed hey k iss ki tapash 16 meel (mileage) tak mehsoos horehi hey ...tumhara uthaya howa aik qatry sy b kam pani iss aag par kia asar kary ga...??

chuonti yeh sun kar boli mujy iss bat ki parwa nahi hey k mera ley jaya geya pani kia asar karta hey mujy iss bat ki parwa hey k kal hashar k din (judgment day) allah k samny mujy sharmindha na hona parry k main ny allah k Nabi (a.s) ki jan bachany k liye akhar apni tarf sy kia koshish ki ...?? ...allah ho akbar

lehaza zubair bro bat yeh k humain apny apny muqam par rehty howey apmu mulik ki behtari k liye koshish karni chahiye ....allah hum sab ko iss ki tofeeq wa shaoor dy ameen..
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:4th Nov 2010, 5:10pm
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

aap kahaN ghayb hogaye haiN ji ?

aap ko syssat se kis had tak dilchaspi hae ?

javed chaudhry k columns kab se read kartay haiN ?

dil ka mehram honay ka kiya matlab hae ?

agar aap ko aap k father se aik din spend karnay ka moqa mil jaye to woh day kaise spend karaiN, aisi konsi hasrat feel kartay haiN jo un ki life meiN na keh sakay un se ?

father ki death se pehlay aur un ki death k baad life meiN kiya farq lagta hae ?
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 79  Post: 1425  Age:  36  
Posted on:4th Nov 2010, 5:25pm
 

Maryam sis

please mere ooper walla y topic mein reply karain please.i m waiting.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:5th Nov 2010, 1:49am
 

Zahey Naseeb ...

aap kahaN ghayb hogaye haiN ji ?

main ghayb nahi hon g ...yaheen maraa maraa phirta hon g bus replies sy aviod kar raha hon g..awein hi...aur mazy ki baat yeh hy k aik mah main mujy myrizvi bhai ki trah aik baar aysa dora zaroor parrta hey jub mera replies karny ko dil nahi karta ...shaid wo dora aaj kal parra howa hey....hehe

aap ko syssat se kis had tak dilchaspi hae ?

pakistani hony k naty sy sysi batain karny main utni hi dilchasbi hey jitni har pakistani ko hey aur honi b chahiye ..laiken syasat main any main koi dilchasbi nahi hey ....:)

javed chaudhry k columns kab se read kartay haiN ?

nearly 5 years sy ...uss sy pehly hasan nisaar , abdul qadir , mannu bhai etc laiken abb sirf javed chaudhry ...waisy aaj kal aik new comer hain am'maar ch. unn ko b kabi kabi mu maar laita hon ....:)

dil ka mehram honay ka kiya matlab hae ?

buhat acha swal hey agar youn keha jaye k jub sy yeh interview nami thread start howa hey tab sy ly kar abb tak iss sawal ko agar behtreen sawal keha jaye to be-jaa nahi ho ga.....iss bat ka sady lafzon main aur mykhtsir sa jawab yehi banta hey k jis dost / fard ki koi b baat khaa wo buri hi q na ho dosry ko buri na lagy ussy hum dil ka mehram keh skty hain ..:)

agar aap ko aap k father se aik din spend karnay ka moqa mil jaye to woh day kaise spend karaiN,

apny walid ki bharpoor khidmat kar k.....kash aysa moqa mil saky...:(((

aisi konsi hasrat feel kartay haiN jo un ki life meiN na keh sakay un se ?

heart touching question ..i m now in very very terrible and emotional condition may b i m not able to answer of said question ...sorry maryam sis..i m really sorry....:((((

father ki death se pehlay aur un ki death k baad life meiN kiya farq lagta hae ?

yeh life abb life rahi hi nahi hey to farq kia btaoon .............:((((
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:6th Nov 2010, 2:51pm
 

i,m sorry

meray sawalat ki wajah se aap ka dukh taza hogaya . asal meiN aaj kal ki generation sab se ghair eham jo cheez samajhti hae woh un k parents haiN . even k koi apnay parents k mutaliq apni zimadariyoN ko zimadari hi nahi samajhta. jin k parents ya donoN meiN se koi aik is duniya meiN nahi wohi is dukh ko samajh saktay haiN . specially jab insaan khud is martbay pe fa.iz hojaye to parents ki qadar ati hae. i hope k silent reader aap k replies se bohat kuch learn karaiN.ge .

khair ji "dil ka mehram "meiN to aap ne samandar ko koozay meiN band kar diya hae :)

daboya mujh ko honay ne
na maiN hota to kiya hota

aap ka jawab kiya hoga ji ?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:6th Nov 2010, 4:55pm
 

its ok now ...

maryam sis aap sorry na karain nahi to mujy phir sy dukh hoga ...:)

"meray sawalat ki wajah se aap ka dukh taza hogaya "

aap shaid believe na karain main jab aap k swalat k answer kar raha tha especially last three questions ka to meri ankhon sy zaro qitaar ansu jari ho rehy thy aik aysa moqa b aya jab mujy rumaal sy apna key board saaf karna parra ..

laiken now its ok ...yeh aik qudarti amal hey jo insan iss duniya main aya hey ussy aik na aik din wapis apny malik-e-haqeeqi k pas lot kar jana hi hey aur jab sab ny jana hi hey to un k jany par dukh kaisa ..? main iss haqeeqat ko manta hon....!!! laiken hum shaid kisi k jany par dukh ka izhaar na karty hon laiken jany waly ki waja sy jo rishty ka khala paida ho jata hey asal dukh uss waja sy hota hey...aur yahi dukh mujy b hey jo sari umar khatam nahi hoga even kam b nahi hoga ...khair mujy koi haq nahi k main apny dukh ki waja sy aap ko preshan karon ...sorry for that

han g to maryam sis aap ny poocha hey k ..

"daboya mujh ko honay ne
na maiN hota to kiya hota"

ans..:- wohi hota jo manzor-e-khuda hota ...:))))))



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:6th Nov 2010, 4:58pm
 

aur haan

kozy main darya kaisy band ho geya main to soch raha tha k aap mery uss answer par aik aur counter question kar dain gi k main ny yeh kaisa "maajoon" qisam ka answer kar diya hey ..hehe laiken aap ny to tareef kar dali ..kia baat hey sis aap ki b..:)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:7th Nov 2010, 9:54am
 

nice kalam ...

maryam sis aap ny kia khoob kalam yaad kar diya hey ....:)

na tha kuch to khuda tha , kuch na hota to khuda hota
dhaboya muj ko hony ny , na hota main to kia hota

howa jab gham sy yuon be-hiss , to gham kia sar k katny ka
na hota gar juda tan sy , to zaanu pey dhara hota

hoi mud'dat k ghalib mar geya , par yaad ata hey
wo har ik bat pey kehna , k youn hota to kia hota
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:7th Nov 2010, 12:02pm
 

nice kalam .

bohat hi khoobsurat kalaam hae jazakAllah :)

wese agar aap ko kaha jaye k koozay se dariya ko nikal daiN to phir us sawal ka jawab kiya hoga ?:)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:7th Nov 2010, 4:34pm
 

acha koshish karta hoon...:)

Maryam sis aap darya ko koozy sy bahar q niklwana chah rahi hain pehly hi pakistan main selaab aya howa hay ..:)

khair aap k uss sawal ka jawab mohsin naqvi ki aik buhat payari nazam sy dainy ki koshish karta hon...shaid main aap k sawal ka theek answer kar sakoon..!! iss nazam ka pehla aur akhri shair aap k sawal ka perfect jawab hay....ghor kijiye ga...:)

Wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hay
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hay

Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shouq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaar karna hay

Hawa ki zadd main jalaaney hain ansooon key chiraagh
Kabi yeh jashan sar-e-raah guzaar karna hay

Wo mukra key naye waswason main dhal gaya
Khiyal tha keh usay sharmsaar karna hay

Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut main kabi
Khud apnay jism ko bey barg-o-baar karna hay

Tery furaaq main din kis tarh kaT'tey apnay
K shughal-e-shab to sitaarey shumaar karna hay

Chalo yeh ashq hi moti samajh kar baich aye'n
Kisi tarh to humein roz gaar karna hay

Kabi to dil main chupay zakhm bhi numayan hon
Qbaa samajh key badan taar taar karna hay

Khuda khabar..! yeh koi zidd ya shauq hay "Mohsin"
Khud apni jaan key dushman say pyar karna hay
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:8th Nov 2010, 5:04pm
 

well explained :)

Dil Darya SamundroN DoN.gay, kon dilaN diyaN Janay Hu
Wichay beRay, wichay JheRay, Wichay WanGH Mohanay Hu
chodaN tabak dilay dey Andar, Jithay Ishq tamboo Wang tanay Hu
Jo dil da mehram ho.way Bahu, So-yo Rab pachanay Hu
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:9th Nov 2010, 2:36am
 

Dip uncle

If your life was a book, what would be the title ?



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:10th Nov 2010, 11:14pm
 

acha swal hay...:)

re : "If your life was a book, what would be the title ?"

ans is .."hahahaha" agar aap iss haqeeqat ko dark kar sakain to iss jawab ko buhat maani haiz paien gi ...otherwise , aap b hahahaha kar daina...:)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:10th Nov 2010, 12:12pm
 

mazeed ...mazeed

talkhi-e-ayaam ko b hans k pe ja "nasir"
gham k sehny main b qudrat ny maza rakha hay..!
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:14th Nov 2010, 4:48am
 

oho dip uncle

ye kia bat hoi...theik se btaein na.

acha mazeed sawal.

52: kisi k dil me ghar krne ka asaan tariqa?

53: aksar log dosron ki bat ka ghalat matlab nikalte hain.esa kiu krte h aapki roy?

54: kabhi chichorra-pan kia ? (lol)

55:rikshaw & truck k piche jo dialouges likhe hote h on me se apna fav btaein?...:))

56: koi esi shrrat jo abhi tak yad kr k hansi at ho?

57: agr aap ko is age me kisi se love ho gya to aap chupaein ge ya phir pyar kia to darna kia?

58: best friend se bilkul frank hona chahiye ya phir kuch limit ho?

59: aap ne ab tak ki zindagi se kia seekha?

60: aap k nazdeeq khobsurti ki kia tareef h?

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6  >>
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How To Get Visa For China  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us