Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

Chatting
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:14th Oct 2010, 12:44am
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

Asslam o Alikum.
omeed hai k aap sab theik hon ge.Dip uncle bhi aaj kal yahan pr theik se nahi aa rahe to socha inko yahan pakar lati hon:D
jese k sab jante hain k Dip uncle forum k kuch members k fav hain to zahir hai onhe Dip uncle k bare me bhi aur kuch jan'na hoga,apne fav member k bare me.

to nazrein & hazrein aap sab apni seat belt bandh lein kiu k is thread me ab Dip uncle aney wale hain...Welcome Uncle


Uncle,ap taiyar ho lein aap se phir sawalon ka silsila shoro krte hain..:)




Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:14th Oct 2010, 2:00pm
 

s4u Wa Alaikun Aslam

and thanks.......

jab aap ka yeh yeh title daikhain to lagta hey jaisy main koi shair hon , adeeb hon , mosikaar hon , syasat daan hon , koi nuwab hon ya phir koi celebrity hon jo mery sath aik sham manany ka program banaya ja raha hey ...laiken yahan pohancha to pata chala awaien hi awazain di jarehi hain muj main to aysi koi bat hey hi nahi ....:)

khair ....mujy yeh bata diya jaye k aik hi sham main meri jaan khalaasi hojaye gi ya buhat si shamain mujy zehmat main rehna hoga...:))

shaid meri bat sy s4u ko hairani ho laiken main iss qabil nahi hon k mery nam koi din ya sham ya rat ki jaye main aam sa banda hon jaisy iss duniya main deegar karorron afrad hain.....:)..behar haal again many many thanks to s4u..
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:14th Oct 2010, 4:19pm
 

u r welcome

har insan me khamiyaan aur khoobiya hoti hain.to agar aap me koi khobi hai to members wo khobi jan kr khosh bhi hon ge.main aaj kal bore ho rahi thi to socha k kiu na boriat khtam ki jae.is lie aap k sath aik sham guzarne ka socha.dekhein ye sham kitne din ki h:)

to ab sawal shoro kron?
ahum ahum auhm....! to pehla sawal ye hai.

1.aap ka real & full name?
(agar aap btana psand karein to)

2.aap kis city me aur kab peda hoe?time,date,day sab.


3.aap ka star?


4.aap ki taleem?


5.mujoodah peesha?


6.aap kitne bhai behn hain?aur aap kis number pe atey h?


7.is waqt aap kis mulk me rihaish pazeer hain?


8.aap ka koi esa posheda raz jo abhi tak forum members ko pta na ho?


9.aap k nazdeeq ideal personality kesi honi chahiye?


10.apni kis adat se nafrat hai aur kis se pyar?


11.aap ko ghussa kab aur kin baton pe ata hai?last time kab kia?aur kiu kia?


12.kab dil chahta hai aapko akela chor dia jae.koi bhi aap se bat na kare?


13.agar kabhi aap buhot ziyada preshan hon to aap kia krte hain?


14.log agar net pr aap k bare me ghalat raey qaim karein to ghussa ata hai ya nafrat?


15.esa kon sa kam hai jis k lie aap humesha ready rehte h?


chalein abhi in k jawab dein baqi phir




H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6552  Age:  37  
Posted on:16th Oct 2010, 7:30am
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

 Diplomat kafi old member hen lakin apni Negative thinking ki wjaa say Administration ko kafi Auzzeez hen ku kay enki teeli ki waja say thread ghuram ho jata hay aag lug jati hay,, any way welcome to diplomat meri on say request hay phely s4u kay suwaalo kay juwabaat dayin pher meah bhe du char Q kur he longa hur member es forum ko khobsoorti hay or oska ek part or ek kerdaar hay forum pur or diplomat bhe forum kay popular members meah say ek member hen or senior member bun choky hen, lakin agur yeh soch ko + rokh meah budal dayin or Tunkeedi undaz khutam kur dayin tu most popular member bun sukty hen, Bewakoof ki tura Star bun sukty hen,



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:16th Oct 2010, 1:44pm
 

jawabaat

1.aap ka real & full name? (agar aap btana psand karein to)

Diplomate

2.aap kis city me aur kab peda hoe?time,date,day sab.

sialkot , 31 0ct ,1977

3.aap ka star?

Scorpio

4.aap ki taleem?

computer hardware engineering , electronics mechanical, electric mechanical , mobile and laptop mechanical , house wiring , plumber , graphic designer , steel welding , carpenter and also B.A literature

5.mujoodah peesha?

Govt. Service

6.aap kitne bhai behn hain?aur aap kis number pe atey h?

total 6 .mera No. 1 hey baqi muj sy chotty hain

7.is waqt aap kis mulk me rihaish pazeer hain?

Pakistan

8.aap ka koi esa posheda raz jo abhi tak forum members ko pta na ho?

aap k jis b sawal ka main answer karon ga wo mera abb tak raz hi to tha members k liye ...laiken abb kahan...:(

9.aap k nazdeeq ideal personality kesi honi chahiye?

yeh sawal zara sa mubham hey ..mujy theek sy samj nahi i k aap forum members main sy kisi ka pooch rehi hain ya k aap overall pooch rehi hain ..:)

10.apni kis adat se nafrat hai aur kis se pyar?

gussa buhat jald ata hey iss adat sy nafrat hey ....laiken 5 mint main hi sab kuch normal hojata hey aur main sab kuch bhool jata hon iss adat sy pyaar hey

11.aap ko ghussa kab aur kin baton pe ata hai?last time kab kia?aur kiu kia?

jab koi apni hi rakhi hoi cheez na mil rehi ho ya phir koi banda aysi bat kardy jo na qabil-e-qabool ho ....last time main ny aaj hi gussa kiya hey jab mujy aik kam k liye screw driver nahi mil raha tha ...

12.kab dil chahta hai aapko akela chor dia jae.koi bhi aap se bat na kare?

abi tak zindagi main aysa koi moqa nahi aya aur main aysa moqa lana b nahi chahta ...:)

13.agar kabhi aap buhot ziyada preshan hon to aap kia krte hain?

main cigarette noshi karna shuro kar daita hon ..abi last night main ny 2 packet hawa main dhuwaan bana kar urra diye .....hahaha

14.log agar net pr aap k bare me ghalat raey qaim karein to ghussa ata hai ya nafrat?

na hi gussa ata hey aur na hi nafrat hoti hey ...asal main main samjhta hon k main shaid apni baat samjhany main nakam raha hon lehaza preshan aur hiraan hota hon .

15.esa kon sa kam hai jis k lie aap humesha ready rehte h?

batain karny k liye ..khuwa kisi b qisam ki hon matlab kisi b shuby sy hon ...hey na boring kaam .....hehehe

Dr.bhai aap ny jo irshad farmaya hey yeh aap ki apni roy hey jo aap ny mery bary main bana li hey main lakh koshish kar k b apny bary main aap ki bulky kisi ki b roy change nahi kar sakta ...behar haal aap k zehan main jo sawalat samandar ki trah thathain maar rehy hain aap yahan be dharrak ho kar karain ...aap ko kuch nahi keha jaye ga...:)
AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  38  
Posted on:16th Oct 2010, 2:49pm
 

Diplomat !!

Mairay bohat hi fazil dost Dr.Qasim ka yea kehna keh Diplomat aik negative thinking ka hamil skakhs hain yea sun ker mujjay aik na khoushgawar hairat hohee kaheen .....

*Aisa tou naheen keh diplomat ka aik usual say hut ker different point of view rukhnay per in ko yea khattab milla ho q keh baaz ooqat jab app ki approaches aam loaqoon say different hoti hain tab bhi l;oaq app ko negative thinking ka nam daitay?

*Ya jaisay member "bewakoof " apna nick bewakoof kay bawajood bewakoofi ki batain kum karta hy waisay hi mera dost diplomat ,diplomat ka nick rukhnay kay bawajood diplomacy naheen karta.....

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 41  Post: 2020  Age:  28  
Posted on:16th Oct 2010, 3:24pm
 

diplomate

s4u ne apse bht achuy sawalat kiye he aur apne jawab b achy diye he...........ajkal mera ziada waqat kitchen me guzar rha hai to mene socha k apse khane pene k bare me hi shuruwat ki jaye....:)


1.apko khane me kia pasand hai>?
2.konsa drink ap like krty he?
3.din me kitni bar khana khate he?
4.apka din kistrah guzarta hai?
5.ziada waqat kis k sath guzarna pasand krty he?
6.koi aisa din jo apko kbhi b nhi bhola ho?
7.koi aisa waqiya jise yaad kr k apko bht hairat hoti hai?
8.zindge me sabze ziada pyar kisko krty he?
9.koi aisi shaksiyat jisko milne k liye ap betaab he?
10.abhi tk apki life ka hoobsurat din konsa guzra?


bs inkay jawab dydy baqi sawal phir kru gi......:))
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:17th Oct 2010, 6:42am
 

Dip uncle

buhot hi ache jawabat h.abhi to shoro kia h abhi to aur bhi buhot raz khulne baqi h aap k.Ideal personality ka overall pocha h.

chalein aap se aur sawal krti hon.pr aik request k sath aap jawab zara jaldi dia karein:)


16.pasandeedah sweet dish or dessert?


17.pasandeedah rang?


18.pasandeedah libas?aur kis kism ka pehn'na?


19.pasandeedah country aur city?


20.pasandeedah program?


21.pasandeedah mosam aur aapki zindagi pr is k asrat?


22.pasandeedah kitab?shair,sheer/ghazal?


23.aap ki hobby?


24.rishon k bare me apki raey?sab se pasandeedah aur qareebi rishta?


25.apni batein kis se share krte h?


26.aapki life ka sab se ziyada surprising moment kab aur kia tha?


27. apni zindagi ka sab se khoobsurat & unforgetable memory btaein?


28. aap kitne bhai behn h?


29. shadi love marriage hai ya arrange?


30. kitne bache h?


baqi sawal tyar krti hon ap jab tak in k jaWabat dein:D





Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:17th Oct 2010, 7:15am
 

to hasna

1.apko khane me kia pasand hai>?

salan + roTi

2.konsa drink ap like krty he?

pani sprite main mila kar ..:)

3.din me kitni bar khana khate he?

3 bar

4.apka din kistrah guzarta hai?

aam admi ki trah .

5.ziada waqat kis k sath guzarna pasand krty he?

jo mil jaye ussi k sath..:))
6.koi aisa din jo apko kbhi b nhi bhola ho?

jab mujhy school main dakhal karwaya geya

7.koi aisa waqiya jise yaad kr k apko bht hairat hoti hai?

main ny apni age k 20 years jo kuch hasil karny main sarf kar diye wo hasil ho jany k baad main uss sy kuch khaas faida nahi ly saka ..bass iss par hairat hoti hey

8.zindge me sabze ziada pyar kisko krty he?

apni maa g ko

9.koi aisi shaksiyat jisko milne k liye ap betaab he?

abb tak to koi nahi laiken kal klaan ko irada ban b sakta hey ...;-)

10.abhi tk apki life ka hoobsurat din konsa guzra?

zindagi k tammam din khobsorat hoty hain bass inn dino main humain khobsorti talash karni parrt hy jo baaz oqaat tlash karny k bawjood b nahi milti laiken baaz oqaat tlash kiye baghair hi mil jati hey ....laiken hum sab apni apni zindgi main dino ki khobsorti ko tlash hi nahi karty ...shaid aik main b aysa hi hon..:(
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:17th Oct 2010, 10:20am
 

to s4u

16.pasandeedah sweet dish or dessert?

Kheer (meri maa g k hathon ki bani hoi) russ malaiee and phal Mango yum yum

17.pasandeedah rang?

sky blue , parrot green , light pink

18.pasandeedah libas?aur kis kism ka pehn'na?

pants shirt + suit (occasionally)

19.pasandeedah country aur city?

Pakistan . Sialkot , Lahore

20.pasandeedah program?

cartoon shows and sitcoms

21.pasandeedah mosam aur aapki zindagi pr is k asrat?

winter ,bcoz winter main mera complexion fair ho jata hey ..:) yani main gora baba ban jata hon ....hehehe

22.pasandeedah kitab?shair,sheer/ghazal?

mujhy shairi ka shoq aik umar main raha hey laiken koi khaas shair ko main specific nahi kar sakta matlab sab hi buhat achay hain ...jahan tak books ki bat hey to mera taste iss silsly main b badalta rehta hey jo achi kitab mily ussy parr b laita hon ...fil haal "zero point" by javed chuhdery zair-e-nazar hey aaj kal

23.aap ki hobby?

yeh sawal asal main organised persons sy kiya jany wala hey q k aysy afraad ki life main aik tarteeb hoti hey laiken meri life be tarteeb si hey iss liye hobby jaisy kaam ki meri life main kabi koi gunjaiesh hi nahi bani ...so no hobbies

24.rishon k bare me apki raey?sab se pasandeedah aur qareebi rishta?

Roy..> rishty har insan ki zindagi main buhat aham hoty hain kuch rishty insan ko qudrat ki tarf sy bany banay milty hain jaisy maa , baap , bhai , behan , baiti , baita etc.... aur kuch rishty insan ko paida hony k bad iss duniya main khud bnany hoty hain jaisy friends , lovers , wife , husband etc har rishta iss liye b aham hita hey k insan ki kaam yaabi ya nakaami dono ka inhesaar inhi rishton par hota hey ...aik aur bat b hey k duniya main har rishta ka aik na aik naim-ul-badal zaror majod hey laiken maa , baap ka rishta aysa rishta hey jis ka koi mutbadal nahi hey ....sab rishty aik baar toot jaien to dobara ban sakty hain laiken maa , baap aik hi baar milty hain dobara nahi ...

issi liye mera pasandeeda aur qareebi rishta maa baap k sath hey baap abb iss duniya main nahi hain iss liye ziyada qurbat aur unsiyat maa k sath hey ..i love my mom ....:)

25.apni batein kis se share krte h?

khasoosi batain jaisy job , preshani , khushi , kaamyabi , nakami etc related apni maa g sy aur amoomi batain jaisy khana peena , din bhar ki baton sy related batain apni wife aur apny friends sy ...:)

26.aapki life ka sab se ziyada surprising moment kab aur kia tha?

mery liye har new any wala moment surprising hota hey uss ki waja yeh k agar sab kuch mujy meri koshishon ya aqal k bal booty par milta to main aaj iss duniya ka sab sy kanghaal admi hota ..laiken aysa nahi hey mujy jo b mila hey khuda ki anayet aur karam k sabab mil raha hey iss liye yeh sab moments mery liye surprising hi hain

27. apni zindagi ka sab se khoobsurat & unforgetable memory btaein?

iss waqiya ko aap khobsorat b keh sakti hain laiken meri nazar main yeh waqiya khobsorti sy kahen barr kar hansi k laiq hey....baat kuch iss trah hey k main ny B.A exams k liye Punjab University Lahore k address par apny admision forms bazriya registered post dispatch / submit kiye ...sab friends k roll No. waqat par masool hogaye laiken mera roll No.aur date sheet time par na mil saky ..mujy taswasheesh hoi to main ny uni sy confirm kiya to pata chala k mery forms uni pohanchy hi nahi thy ..form baijy howey 3 mah guzar chuky thy main pereshan hogeya

main ny in written post department k khilaaf aik complaint lodge kar di aur khud bag dhorr kar k Lahor k hi aik post office sy imtehan k 5 din pehly apny forms talash kiye aur baad azaan uni main khud ja ker aik request (dispatch date dikha kar) ki aur roll No. hasil kiya aur exam dy diya..

main pass hogeya 2 saal baad meri B.A ki degree mery ghar pohanch gayee jab Exams siye howy 4 saal guzar gaye to mujy postal department sy aik letter mosool howa jis main tahree tha k..

" aap k admission form hamary aik post man ki ghaflat ki waja sy gum ho gaye hain hum aap sy appeal karty hain k aap new forms mufat main punjab uni k name rawana kar sakty hain aap sy dues charge nahi kiye jaien gy q k humain aap ka career azeez hey ...aur iss k sath hum apny post man ki ghaflat par aap sy mu'aafi b mangty hain ...we are extremely sorry ...by..> chief post master GPO Sialkot....."

28. aap kitne bhai behn h?

main yeh ooper bata chuka hon

29. shadi love marriage hai ya arrange?

arranged

30. kitne bache h?

2 phool si baitiyaan hain ..masha'allah
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:18th Oct 2010, 5:17am
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

diplomate bhai : aap k topic maiN abhi tak participate to nahi kar saki lekin read kar k bohat acha lag raha hae umeed hae s4u k sath baqi sab ki boriyat bhi khatam hojayegi .
wese mujhay aap k name pe aitraz hae bcoz i agree with aap ka dost bhai k aap diplomacy nahi kartay :)
inshAllah jald hi yahaN aap se du ba du hamkalaam hoNgi .
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:18th Oct 2010, 2:33pm
 

thanks maryam g

re : "inshAllah jald hi yahaN aap se du ba du hamkalaam hoNgi "

mujy uss din ka besabri sy intzaar rehey ga...:)

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:18th Oct 2010, 3:56pm
 

Dip uncle

masha Allah kia hi khobsurat andaz me reply kia h....ati hon thori dair me mazeed sawalon k sath
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:18th Oct 2010, 3:58pm
 

Maryam sis

welcome...ji ji aap bhi yahan in se mazey mazey k sawal karein takey boriat kuch saloon k lie buhot dor chali jae:)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:18th Oct 2010, 4:41pm
 

s4u g

re : "takey boriat kuch saloon k lie buhot dor chali jae:)"

s4u g kaheen aap k kehny ka mtalb yeh to nahi k main yahan sanjeeda answers ki bajaye lateefy suna raha hon ...:)..:P..hehe ...jo aap yahan sy boriyat ko door bhagany ki bat kar rehi hain ..:)

waisy main yahan apni danisat k mutabiq sanjeeda answers karny ki hi koshish kar raha tha abb tak... laiken agar aap ko phir b lagta hey k main funny answers kar raha hon to chlo aysy hi sahi main abb aap k aynda sawalat k funny answers hi kar doon ga tak aap k sawalaat ka bharkas nikaal sakoon ...:))) aur aap ki boriyat b door karsakon... hehe

agar aap sanjeeda jawabat ki khuwa'haan hain to phir bata dain ..kaheen main waqiya hi funny answer na kar donn...:P
 
waisy mujy az had khushi ho gi k "bewaqoof" aur "maryam sis" iss thread main sawalat k sath bharpoor shirkat karain ...q k main dono ka fan hoon ..:)



s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:19th Oct 2010, 1:49am
 

Dip uncle

نہیں جی اب ایسی بھی کوئی بات نہیں . آپ کے جوابات اچھے لگے اس لیے کہا میں نے . آپ بس ایسے ہی جواب دیتے رہیں . فورم کا مسئلہ حل ہو جائے پھر میں مزید کچھ سوال کرتی ہوں . ویسے انکل چاہیے تو یہ تھا کہ آپ جن کے فین ہیں آپ ان کے بارے میں جاننے کے لیے سوال کرتے . اُلٹا وہ آپ سے کریں 



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:19th Oct 2010, 10:04am
 

aik panth do kaaj

re "انکل چاہیے تو یہ تھا کہ آپ جن کے فین ہیں آپ ان کے بارے میں جاننے کے لیے سوال کرتے . اُلٹا وہ آپ سے کریں


haan baat to aap ki b theek hey laiken asal main mera maqsad yeh tha k wo muj sy pehly sawaalaat karain to issi bahany bewaqoof b wapis forum par aa jaien gy to main unn sy b unn k bary main pooch loon ga...aur maryam aapi sy b baat cheet ho jaye gi issi bahany ...:))



sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4646  Age:  39  
Posted on:19th Oct 2010, 8:52pm
 

diplomate

my question to you..

kabhi apse koi aisi ghalti hui jis pe ap aj tak sharminda hain ??

kaunsi batain apko pareshan karti hain ,??

kabhi kisi se Muhabbat ki apne ? Shadi se pehle ?
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:20th Oct 2010, 5:39am
 

Dip uncle

31. NFC kese join kia?

32. aap kis 2 members se milna psand karein ge?

33.aap ko agar yahan ka Admin aik week k lie bna dia jae to aap kia kia changing laein ge?

34.
is forum pr aap ko kia chez buhot achi lgti h?

35. is forum ki sab se bari burai?

36. kia aap ne apne kisi aziz,doston ko is forum k bare me aaj tak btaya?

37. ye btaein k aap donu husband & wife me ziyada larai jhagrey ki shrowat kis ki traf se hoti h?....:-P

38. kia kabhi esa hoa k ghalati aap ki na ho aur aapko sorry krna pare?

39. life me paisa zarori hai ya mohabbat?hai to kiu?

40. zindagi k koi ese pal jinhe aap wapis dohrana chahein?

42. Ghar ka koi esa kam jo aap buhot shoq se krte hon,aur koi esa kabhi bhi jis pr aap buhot hi ghussa ata ho aur krna bhi prta ho?

43. kis kism k log aapko buhot jald attract krte h?

44. net pr relationship bnanae k bare me aap k khayalat?

45. apni shakhsiyat ko 6 alfazoun me byan karein
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7887  Age:  56  
Posted on:22nd Oct 2010, 2:16am
 

yeh shaam aur tera naam

choTay bhayya...jab say apkay saath iss shaam ka aghaaz howa hai tab say main login hi nahi ho parahaa...halaaNkay dil bara chaah rahaa thaa aap say do do haath ops mera matlab hai do chaar batain karnay ko...

kafi arsay k baad ap hi ki tip par login hogaya houn...insha Allah anqareeb ap say tafseeli guht o shaneed hogi...agar loginnnnnnnnn errrrrrrrror phir nah ayaa to
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6  >>
 
 
 
Pakistani Driver Honesty In Dubai  How To Fill Out A Job Application  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us