Mo'aqqif vs Mo'aqqif Goi...:) mo'aqqif aur mo'aqqif paisha karna yani mo'aqqif goi do alag bataiin hain ..waqiya hi kabi insan drusat mo'aqqif pr hoty howy b apni baat ko theek sy paish nahi kar sakta ..aur baz oqat aik insan apni ghalt bat ko b barry ahsan tareeqa sy define karny main kaam yaab ho jata hay ...han yeh aik kism ka aik almiya hay
agar aap pakistan k social set up ya social matters main drust ya ghalt mo'aqqif paish karny ki bat kar rahy hain to phir to iss mu'ashry main har daleel baaz oqat be sood si nazar ati hay iss mu'ashry ki simat iss had tak ulat chuki hay k yahan jhot ko sach sabit karna intehaie asan aur sach ko sach sabit karna intehaiee mushkil kaam hay
laiken agar on the whole bat kar rahy hain aur uss main b khas kar deen islam main parr jany waly mukhtlif rakhno ki baat kar rahy hain jin ki waja sy mukhtlif mzaahab wajood main aa chuky hain ...to phir iss bat k liye arz sirf itni si hay k yahan daleel hi kaar gar hay aur rahi baat mo'aqqif ko paish karny ki to aysa hukam kaheen b nahi hay k aik insan kisi aik school of thought main rehty howy dosry school of thought k muqabily main mo'aqqif ko darusat paish na kar sakny par jhoota ho jaye ga ...
nahi balky yahan hukam yeh k apny thoughts ka izhar karo jaisy b kar sakty ho laiken apni baat ko kisi par thopo mat agla manta hay to wa bhala nahi manta to to wa bhala
asal main islam koi la waris mazahab nahi hay yeh ayn fitri deen hay issi liye allah ta'ala ka pasandeeda deen hay lehza aysa ho hi nahi sakta k islam k wajood ko sabit karny k liye koi daleel na ho ..nahi yeh possible nahi hay ..laiken almiya yeh hay k jo dalayel hamain ghair muslim ko dainy thy aur jahan hamari iss salahiyat ki parakh honi thi k aya hum apna mo'aqqif theek sy paisah b kar sakty hain k nahi wahan hum ny aysa kiya nahi..aur na hi wahan aysa karna chah rahy hain
hum kar yeh rahy hain k islam k haq hony ki jitni b daleelain hain wo apis main hi aik dosry muslims ko daity rehty hain jab k islam dushmin hamari issi hamaqat ka faida utha kar ham akaily akaily par apna war kar jata hay
yeh issi trah hay jaisy agar international media par islam k khilaaf kuch likha jaye kuch bola jaye ya islam ki tazheek ki jaye to ham apna mazhabi fareeza samjhty howy apny hi ham khiyaal doston wa logon main iss act k khilaaf ihtejaaj k toor par mobile "sms" kar daity hain likhty hain k hum iss ganony act ki bharpoor mazammat karty hain ..:)) o baba iss sms sy islam dushman ko kia nuqsan puhancha ya wo apny act sy kis had tak baaz aya .? ..iss trah to ham ny ultimately kisi ghair muslim mobile network ki hi "madad" kar di ...!!! aur phir iss "ihtejaaj" k bad yahi samjhty hain k hum ny apna mazhabi fareeza ada kar diya hay ...bassss
yahi hal hamara islam k andar rehty howy islam k bary main min hays-ul-qom ya as a muslim hay ....:)hum apis main hi "sms" kar rahy hain aur ultimately islam dushman "network" ko faida puhancha rahy hain..
yeh khalis falsfiana mozu hai, aur mujhay mehsoos hua jesay is kisam k mozuat aap se bht achi tarhan discus kiay ja saktay hian...:)
aap ki muhabbat hay warna banda iss qabil kahan ...:) |