Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Aik Sham Diplomate Ke Naam

Chatting
 
 
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:14th Nov 2010, 6:51am
 

1 more

agar aap ko forum ki taraf se award meiN koi khataab diya jaye to aap apnay liye konsa khataab pasand karaiN.ge jo aap ki id k sath lagaya jaye ?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:15th Nov 2010, 12:40am
 

no reply?

aap ka dora kab khatam hoga ji ?we r waiting for your reply .
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:15th Nov 2010, 2:11am
 

to s4u

aap abb hajj par chali gayee hain allah aap ka hajj qabool farmaye aur aap ko hajj ka asal mafhoom samjhty hoye manasik-e-hajj ada karny ki tofeq ata farmaye ...ameen

main aap k questions ka ansewr zara late kar raha hon iss liye sorry wapisi par parr lijiye ga...:)

52: kisi k dil me ghar krne ka asaan tariqa?

agar bat duniyavi faida lainy ki hay to phir asan tareen tareeqa yeh k kisi ki har jaiez najaiez baat par han main han milaty jao ..iss trah aap duniyavi faidy k liye kisi k b dil main ghar kar sakty hain ...abdi faida k liye aur parameters hain ..wo aap poochain gi to bata doon q kwo asaan nahi hain iss liye abi asaan tareen tareeqa bataya hay..:)

53: aksar log dosron ki bat ka ghalat matlab nikalte hain.esa kiu krte h aapki roy?

ghalt matlab nikalny waly ka qasoor kam aur baat karny wala ka qasoor ziyada hota hay iss ultimately matlab ghalt hi nikaly ga ...:)

54: kabhi chichorra-pan kia ? (lol)

buhat dafa kiya ..:)) jab majooda ID sy meri forum par arrival hoi thi aap tab ki meri posts nikal kar daikh lain mera khiyaal hay aap k iss question ka buhat khood answer mil jaye ga ...:)

55:rikshaw & truck k piche jo dialouges likhe hote h on me se apna fav btaein?...:))

buhat sy faverat hain...:) unn main sy chand yeh hain ..."tu lang jaa saddi khair eey"..."jalny waly ka mu kala"..."horn do rasta lo" etc etc ....hehe

56: koi esi shrrat jo abhi tak yad kr k hansi at ho?

banda agar "shart" jeet jaye to sari zindagi hi yaad rehti hay aur agar haar jaye to bhool jati hay...lehaz fil haal mujy sari shartain bhool chuki hain ..:)

57: agr aap ko is age me kisi se love ho gya to aap chupaein ge ya phir pyar kia to darna kia?

hahaha..abb isss sawal ka kia answer karon..:) khair bat to chupany wali hi hogi q k iss age main bandy ko apni izzat barri azeez hoti hay...:)) hehehe

58: best friend se bilkul frank hona chahiye ya phir kuch limit ho?

bilkul frank hona chahiye ...q k best friend ka matlab kia howa agar frank hi na howey to...agar frank nahi howey to matlab best friend nahi hay..:)

59: aap ne ab tak ki zindagi se kia seekha?

main abi aap ko nateeja nahi day sakhta q k main abi tak seekhny k marhaly main hoon aur jab zindagi sy uktaa jaon ga aap tab poochiye ga yeh sawal ..main abi zindagi sy uktaya nahi hon ..:)

60: aap k nazdeeq khobsurti ki kia tareef h?

khobsurti bazat-e-khud aik tareef hay ..:) abb tareef ki mazeed tareef kia karni hay g..?..:)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:15th Nov 2010, 2:18am
 

to maryam

aap ko late ans karny par mazrat .....:!! aur aap jis kami (myrizvi) ki waja sy afsurda hain allah aap ki afsurdagi jald door kary ...ameen

agar aap ko forum ki taraf se award meiN koi khataab diya jaye to aap apnay liye konsa khataab pasand karaiN.ge jo aap ki id k sath lagaya jaye ?

yeh sawal main aap sy karta hon k agar koi aysa chance ban jaye k forum admin mujy koi khitaab dainy lagy aur sab members ki roy poochay to aap apni tarf sy kia roy dain gi..??

agar mujy khud apny bary main roy daina parri to main yeh roy doon ga k meri ID k sath "members" ki jaga munkisar-al-mizaaj (ghair mustiqal mizaaj) likh dain jo meri asal shanakhat hay
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:15th Nov 2010, 2:20am
 

dora

"aap ka dora kab khatam hoga ji ?we r waiting for your reply ."

main aaj sy phir barasta "Athopiya" aur "Mala Kund" sy hoty howey "Chechnya" k doory par nikal raha hon ummeed hay aik do din main wapis ajaoon ga...:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:15th Nov 2010, 2:34am
 

hahahahahaha

maiN aap k isi khataab k haq maiN vote de doNgi :) yani munkisar-al-mizaaj (ghair mustiqal mizaaj :)


Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:15th Nov 2010, 2:38am
 

barri siyaani hain aap b..:)

kaisa aik hi line main sra matlab poora kar diya hay...:)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:15th Nov 2010, 2:41am
 

ji bilkul :)

jab banda baRa ho jaye to sayana bhi ho hi jata hae :) yani koi aur baRa bhi sayana hae meray ilawa ?:))
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:15th Nov 2010, 1:07pm
 

jab banda baRa ho jaye to sayana bhi ho hi jata hae :)

maryam g ...aap ko marfat ki aik baat batata hon ..umar bharrny sy baaz log bzurag banty hain aur baaz log baaby banty hain ..:)

bzurag aur baaby main buhat farq hota hay ...bzurag insan apni jawani main b ban sakta hay laiken baaby sirf aur sirf apny bharrapy yani umar k bharrny sy hi banty hain ...iss liye main ny aap ko aap ki bzuragi ki waja sy siyana keha tha na k barry hony ki waja sy...:))
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:15th Nov 2010, 1:18pm
 

nice

baat se baat nikalti hae to bohat si aisi bataiN samnay ati haiN jo hum pehlay se nahi jantay isi tarah knowledge baRhta hae jaise abhi abhi aap ne marfat ki baat batai. yeh bilkul Thek hae aik dam mujhay Raja bhai ka khayal agaya :)
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:15th Nov 2010, 1:26pm
 

aik dam mujhay Raja bhai ka khayal agaya :)

acha ...kia wo bzurag hain yaa baaby..?..:) aap ka kia kehna hey iss bary main .?
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:15th Nov 2010, 1:35pm
 

khamoshi maiN bhalai hae

woh pehlay hi bohat naraz haiN mazeed hojayeN.ge meray jawab k baad :) isliye aap khud samajh jayeN :) mujhay Hitman ki baat yaad agai jo unhoN ne Raja bhai se poochi k aap k andar bacha chupa huwa hae ya aap kisi bachay k andar chupay huwe haiN :))

yeh baat sirf Raja bhai ki narazgi khatam karnay k liye aur unhaiN batanay k liye (he is every where even in our chats) ki hae warna Raja bhai bohat hi samajhdar haiN jo humaray sath humaray age fellows ki tarah hi treat kartay haiN :)
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5402  Age:   
Posted on:17th Nov 2010, 1:52am
 

thanx

aap k answes kafi ache lage.

sorry sawal number 56 kuch youn tha "koi esi shrarat jo abhi tak yad kr k hansi at ho?"
pr typing mistake hoi.shrarat ki shart lag gai...lol

aur jazak Allah aapki dua k lie.s4u jahan bhi ho jin halaat me bhi ho wo koi na koi rasta dhond hi leti h forum pr ane ka.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:17th Nov 2010, 9:10am
 

Haji s4u g..:)

sab sy pehly to aap ko hajj ki adaygi ki buhat buhat mubarik qabool ho aur sath main eid-ul-azha ki khushiyan b allah dobala kary..:)

sawal number 56 kuch youn tha "koi esi shrarat jo abhi tak yad kr k hansi at ho?"


main bachpan sy hi shararti nahi tha aur na hi abb ban paya hon ...han yeh bat aur hay k meri baaz sanjeeda harktain b dosron ko sharartain hi lagteen hain ..:))
ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 26  Post: 1412  Age:   
Posted on:18th Nov 2010, 2:27pm
 

Diplomate insan

mere ilm mein nahi tha k yahan par aap jesi ilmi wa fikri shakhsiyat se sawalo jawab ki nashist jaari hai ;) , aur jese hee muje pata chala yahan doRa hua aaya taa k kuch sawalat aap k gosh guzaar kar sakooN ...


zindagi meiN kis shakhsiyat ne aap par sab se ziada assar dala ??


Zindagi ka koi aisa waqeya bataeiN jo yad kar k abhi bhi dartey heiN ?? (shaadi k ilawa...lol)






ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 26  Post: 1412  Age:   
Posted on:18th Nov 2010, 2:27pm
 

oh

oh


ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 26  Post: 1412  Age:   
Posted on:18th Nov 2010, 2:29pm
 

sir se aik aur sawal...

aap ko 56 crore ka 4th hissa kab miley ga ??? :PPPP
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:20th Nov 2010, 12:18pm
 

Ozi Bachy...:)

apny sawalat ka jawab direct ghar aaker pooch laina ...yahan q zehmat kar rahy ho ..:) bachu aysy tagrry jawab doon ga sari zindagi yaad rahain gy..:)) hehe
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  31  
Posted on:24th Dec 2010, 4:14pm
 

diplomate bhai

aap ko marfat se dilchaspi kaise hui ? is hawalay se kon kon si books read kar chukay hain ? marfat kin bandoN ko hasil hoti hae ?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:25th Dec 2010, 1:00pm
 

masha'allah

marfat sy dilchasbi..? marfat aik aysa amal hay jo umar k bharrny k sath sath tajarbaat wa mushahidaat k azafy k sabab parwan charrta rehta hay ....asal main iss amal ko aik mahsoos direction dainy ki zarorat hoti hay ...for example kuch logon k tajarbaat wa mushahidaat unhain yeh sikha daity hain k iss duniya main paisa kaisy kamana hay ..lehaza un ki marfat paisa kamany k sab tareeqoon main top par chali jati hay ...issi trah kuch log kisi k khiyaalat ko parr laity hain , kisi k face ko daikh kar uss ki androoni halat ka andaza kar laity hain , etc etc aur issi trah hum sab ka apna apna vision ban jata hay jo k darasal hamary uss amal ki nishandahi kar raha hota hay jisy hum marfat kehty hain ...isi trah khuda ki marfat b hay ...laiken yahan hum sab aksar dhoka kha jaty hain hum samjhty hain k har time allah , allah karty rehny sy shaid marfat-e-khuda hasil ho jati hay laiken aysa nahi hay ...yahan marfat k apny pemany hain apny asloob hain apna mydaan hay jahan hum tajurbaat ya mushahdaat k balboty par nahi bulky apny amal wa kardaar k zriye yeh sabit karty hain k humain allah ki kitni marfat hay ...haye forum error.............
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6  >>
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to find job in Dubai  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us