@goodman Usma1 ki baat mein dum hai. Boorhian kehti hein aadmi kapehla aur aakhri pakhana bilkul kaalay rang ka hota hai.
Lekin iska ye matlab nahen ke beech beech deegar pakhanay kaalay bhattt nahen ho saktay. Jabke ahsanab ko kam-az-kam 2 martaba kaala pakhana aa chuka hai. Aik 5th September ko aur doosra 6th September ko.
Agar marna hota to 5th September ko he mar chukay hotay.
Kaala pakhana inn sooraton mein hota hai:
1. Qabz. Pakhana aanton mein paray paray sarrta rehta hai (ab ye mat poochna sari hui cheez mazed kesay sarr sakti hai). Aur khushk hota chala jata hai. Aur colour bhi gehray se gehra hota chala jata hai.
2. Aanton mein khoon ka rasao. Agar qabz ho ya aanton ka koi aur infection.
3. Iron ya vitamin B ka tonic lia jay to bhi pakhana kaala ho jayga.
4. Bad-hazmi. Agar kharab cheez kha li to kharab he result ayga. Wese theek cheez khanay ke nateejay mein konsa khoobsoorat bail-bootay baramad hotay hein - khud he samajh jao kharab cheez khanay ke nateejay mein kia hashar hoga. |