Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Sasural Wale Khush Nahi Hain

Social Problem   >>  Me and My Family
 
 
 
New Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 63  Post: 229  Age:  35  
Posted on:25th Jun 2009, 6:34am
 

Sasural Wale Khush Nahi Hain

AOA. Ap sab logon ka mashwara chata hun keh mein kia karon.

meri shaadi pichlai saal april mein hoi thi. MASHAALLAH mera ab aik beta hai jo isi saal march mein hoa hai. kahani kuch istarhan sai hai keh meri family kafi rich hai, laikin rude nahin hein. we have everything you want in your life. merai jo susral hein woh intahai ghareeb hain aur kafi ujad bhi hein motai dimagh walai. Hum nain yeh faisala kia keh hum jahaiz nahin lain gai aur na hi hum nain lia. Har dafa yehi koshish ki keh unkai mali hallat kharab hain to un per boojh na dala jai. Agar car chai hai kahin janain kai lia to who b provide ki. Matlab keh her tarhan sai saath dia. Uskay baad bhi jab bacha hona tha hum nein socha keh un logon kai halat bohut kharab hein to mein nain aoni wife ko delivery kai liai udhar nahin bheja, aur phir bacha humarai paas hi hoa. Masla yahan sai start hota hai. Bacha normal delivery ki bajai operation cesarean sai hoa. Doctor agar 5 minute bhi late ho jate to masla kharab ho jana tha. Yahan per susral ki taraf sai aitraz kia gia keh app nain doctor ki bajai nurse sai operation kerwaia hai halan kah merai susral walai wahin thai, dosri baat keh operation kerwaia hi kyon. Hamari ghar mein merai abu aur uncle rehtai hein aur un donon mein sai mein hi aik iklota beta hun to jab merai larka paida hoa to sab bohut khush thai sawai merai susral kai. Jo bhi mubarak deta unko jawab tak na daitai. Jesa kai mein nain pehlai bataya hum nain her tarhan sai unki help ki koshish ki laikin unhun nain silah nahin dia. Phir meri wife kai uski maan aur sister nain kaan bherna shuru ker dia. March sai lai ker ab tak meri wife nain mujh sai kuch nahin kaha. Kal aisa hoa keh uski sister hamarai ghar ai, mein office mein tha. Meri ammie kai mutabik jab who ai to sulam dua kai baad usnain meri ammie ko nahin bulaia aur meri ammie uth ker wahan sai chali gain. Shaam ko jab mein ghar aia to ammie nain mujhe bataia keh inhon nain mujhe mukamal ignore kia hai meri bhi koi izzat hai. To tum apni wife ko araam sai samjhana keh apnain ghar walon ko zara samjhai. Menin apni wife sai baat ki to unain kaha keh ammie foran hi chali gain aur meri sister nain kaha keh tumhari ammie nain musalsal mujhe ignore kia. Ab mein to wahan nahin tha phir mein kistarhan judge karon keh kon sahi hai aur kon ghalat. Meri lia bohut mushkil ho gai hai. Mein to sandwich sa ban gia hun. Meri wife nain aur bhi bohut ziada batain kin apnain parents ko defend kernain kai lia aur merai parents ko degrade kernain kai lia jo usnain pehlai kabhi bhi 1 saal mein nahin kit hi.. Laikin usnain yeh bhi kaha keh mera pyar aur ammie ki izzat abhi bhi utni hi hai jitni shuru mein thi. Ab mein to pagal honai wala ho gia hun kal sai kisi cheez per concentrate nahin ker  pa raha. Mujhe batain mein kia karon. Mein ghar mein sakoon chata hun jo keh hai bhi laikin ab mujhe lagta hai keh berbad ho ga. Meri wife izzat to kerti hai laikin who samjhti hai keh uski ammie aur behan sahi kehti hein. Abhi tak to amnai samnai wali larai to nahin hoi. Laikin mujhe dar rehta hai ab. Meri wife nain yaqeen to dilaia hai keh aisa kabhi nahin ho ga. Laikin uski maan aur behan ka koi pata nain.

abhi mein nain ghar phone kia to wife nain kaha her cheez theek hai mein ammie kai saath kitchen mein hun aur app pareshaan mat hon.

Agar app koi sawal kerna chatai hein to ker lain laikin iska hal bhi please batain

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:25th Jun 2009, 7:55am
 

Ghareelo Masla

thoda wait karee ess ka haal tu tajarba  kaar members he bataingee. behter haal !!!
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1949  Age:  47  
Posted on:25th Jun 2009, 10:57am
 

New

aissa koi ghar khali nahi jo in musail ka shikar na ho kuch musail to insan apny liye khud creat ker laita he aur kuch un wanted chuly aty hein ...aap ne jiss turah apny susraal waloon ko  un ki ghurbat daikh ker unn per kissi kisam ka bhoj nahi dala ya aap un ka wessy bi khiyal kerty hein to ye aap bohat acha kerty hein ..aap aik lumhye k liye ye hi soch lein k uger aap ki wife ki juga aap ki faimly member mein se koi hoti to wo log aap k liye kiya sochty...aur aap per kiya guzerti...

ub aap ko apny buchy aur apni wife se haqiqi tour per humdardi honi chahiye na k aap idher udher ki batoon per dhiyan rukhein ye jo musail aap ne uper biyan kiye hein in ki koi haqiqat nahi he bulke aik rah humwar ho rahi he aap ki future ki life ko barbadi ki turaf le jany k liye mery bhai uger ye aag aap k ghar ka rukh ker gaee to..

issy na hi aap k susral waly bhuja sukein gay na hi aap k ghar waly iss ko khutam ker sukein gay uger iss aag ko controle kerna he to wo siraf aap ne aur aap ki wife ne kerna ...iss turah ki batein her ghar mein hoti hein laiken zindgi aap ne basar kerni he na k dusroon ne aap ki juga life basar kerni he..

aap apny buchy k musqabil k bary mein sochein aur apny liye aur apni wife k liye sochein aur koshesh kerein k aap apni wife ko khush rukh sukein ussay kubi bi uss ki ghurbat ka ehsas mutt dilayein apna rawiya apny susral waloon k liye munasib rukhein wo khud hi shirminda ho ker aissi herktein chorh dein gay..

aur apny ghar waloon se kahein k mein her 5-minutt k bhad aap ki ye murghoon wali lurhaee ka faisla nahi ker sukta uger aap sub mery humdered hein to meri khatir aissy musail ko ignore kerein aur mujy jeenay ka haq dein ta k mein apny mustiqbil aur biwi buchoon ka kuch soch sukoon..

 

pleaase aap meri kissi baat ka bura mutt janiye ga ye sub aap k huq ki batein hein Allah hafiz.

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2267  Age:  32  
Posted on:25th Jun 2009, 12:01pm
 

New

hehehe... Shadi karna bhi bare Dil jigre ka kam hota hai.. iska matlab yeah nahe ke tum bakre ke dil jigra khana shoro kardo..lolz.. Welcome to the board..   .. i mean you are married...  Mard bechare in maslon main zaroor parte hain..... wese to raja saheb ne bari valuebale baten kahen hain... main kuch add karna chaho ga... as your wife said every thing fine and she is in kitchen with mom... this shows your wife does wana to cooperate... to yeah jo womens hain am tor per lar ker dobara sula ker leti hain aur mard bech main bure bante hain...ager aise hi sisla chalta rahe ke larai aur sula hoti rahe then dont worry... But if thigs get serious then make sure u justify between mom and wife... dono ko unka haq do ..  haq talfi kissi ke bhi na ho... even though your mom is wrong still respect her ... apni ankhen khule rakho... apni wife se kaho ke mom bari hian to unki respect karo aur unki her bat per jawab mat do.... New person ko kuch na kuch to adjust karna hi parta hai... chahe wo bevi ho ya office main new job ho.. hamesha kuch na kuch to nainsafi milti hai... But had se ziada naisafi per action zaroor lo... ager mom ki adat hai bolne ki to wife ko chahe ke ignore karti rahe...thats my friend few advices ...
koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  26  
Posted on:25th Jun 2009, 3:00pm
 

new

new aik bat main kehna chahungi i know apko buri lagey gi lekin jo mujhe laga wo keh rahi hun, jese ke apne kaha ke aap buhut rich hain aur apka susral buhut gharib aur apne jahaiz nahi maanga etc etc, so yahan mujhe ap main thora ghuroor nazar aaya, aap ye keh na rahay hon lekin kahin na kahin apke dil main ye difference zaroor hai aur aap is difference ko madd-e-nazar rekh kar hi apne halaat ko soch rahain hain,

dekhiye shadi shuda zindigi main buhut se compromises karney partey hain aur buhut berdasht karna parta har cheez ko positively sochna parta hay takey sukh chain bana rahay, insan aik waqt main do mukhtalif raston pe nahi chal sakta wese hi sabko aik sath mukammal tor pe mutmain nahi rekh sakta kaheen na kaheen oonch neech hojati hai aur isi ko balance karney ka naam shadi hay kuch mano kuch manwa lo, jab do families aik rishtey main jurti hain tu ikhtilafat bhi hotay hain lekin bat sari ye hay ke ap unhain handel kese kartey hain, hamesha third party ban kar sochain har pehloo pe ghaur karain aur bil waja kisi ke baray main ghalat raye na kaim kar lain.

sabse pehle apne kaha ke apke susral walay operation se naraz howey tu aisey buhut se gharaney hain jo aisa kehtey hain isliye nahi ke wo koi jhagra ya besukooni chahtay hain, isliye ke unhain apni beti ya behen ki sehat ki fiker hoti hay aise main ap ka farz hay ke unko aram se daleel de ke mutmain karen aur ehsas dilayen ke ap bhi unki behen beti se utna hi pyaar kartey hain aur uska bura nahi karenge,

rahi bat ye ke delivery ap logon ne apne haan karwayi tu ho sakta hay ke unhain laga ho ke aapne unhain nicha dikhaney ya is zimmedari keliye NA-ehel sochtey howey aisa kya, unke self respect ko thes pohnchi ho, behen betion ka mamla buhut nazuk hota hay aur is baray main har larki ke parents sensitive hotay hain, ap unko bhej saktay thay aur sath khamoshi se koi madad bhi ho sakti thi jese ke hospital main pehle se naam likhwa ke kuch advance payment. is tereh unki laaj bhi reh jati.

AIk bat main yahan zarur kahungi ke plz aisa met socha karen ke apke susral walay apki biwi ke kaan bhar rahay hain, apki biwi bhi insan hay uske paas dimagh hay jazbat hain wo behter samjhti hay ke usey kya karna hay, is tereh soch ke ap apne aur apni wife ke beech doorian paida kar rahay hain plz aisa met keren abhi tu naye rishtey ki shuruwat hay abhi se aisi batain dil main na layen aur agar hain bhi tu apni wife se khul ke discuss karen, apka kehna usey bura nahi lagaay ga jabke apka dil main rekhna usey dukh zarur pohnchaye ga

In the end kisi ke bhi kehne pe apne kisi bhi rishtey ko katehrey main na khara karen sochain aur faisla karen, aur ye bhi sochain kya apna sahi kar rahay hain ya nahi

Im very sorry agar apko meri koi bat buri lagay tu

nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  34  
Posted on:25th Jun 2009, 10:37pm
 

acha...

ohhh mr new  tum  nay bhee small isuuess ko maslaa banaa howaa hai.... these are commom factors in all married life in joint family...I tell u simple very simple slution that dont do nothing ..dont think anything..ignore all that bull shit and keep on going with ur life ... parents and wife kay maslay aisaay hee howa kurtay hain, hur ghar main hotay hain, years and years  chaltay rahaay gay for nothing .....mur bhee gaya tu ya sudhray gay naheee..khair just keep quite and dont listen any thing from any one...
Komos Group: Members  Joined: 15th Jun, 2009  Topic: 3  Post: 95  Age:  43  
Posted on:27th Jun 2009, 9:13am
 

new

Dear new

wa kia bat hai tum to mara apna city say ho bilkul fiker mat karo asa hota hay sub k sat waqat k sat sub kuch teek ho jay ga bus apany bachay k taraf dehan do or bv ko sumjao k ab us per tumhara haq ziaday hai or apna parents or behan bahion ki baton ko bus suna karo or hud ko namaz main mashgool rakah karo k is tara Allah ki rehmatain shamil ho jati hain

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:30th Jun 2009, 3:44am
 

new

jani dont u worry

aisi choti choti bateyn hoti rehti hain

ye just misunderstandings hain

ek bat to ye k jub us ki behen tumhare ghar ayi to us ne ye feel kiya k tumhari ammi ne ignore kiya aur tumhari ammi ko laga k wo ignore ker rhi hai....so it shows that it is just misunderstanding...dono mein se kisi ka kasoor nahi hai.....ammi ko samjha do k bhool jayen...ainda aisa nahi ho ga

second thing...jo bat operation wlai hai...ya agar wo ap logon se sahi behave nahi kertey to us ki tension mat lo....ap jitna usey feel kero gay utna hi ziada ap ko feel ho ga k wo ziada ker rahey hain....take it lightly....phr dekho...sub kuch kese settle ho jata hai

just enjoy ur life happily with ur wife and with ur family members...

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:30th Jun 2009, 10:07am
 

salam

ap wife ko zura kum wha jany deya kurin lugta hy ap ny humdurdi kur kur k apni respect he khrab kur d , some time isnaan kurta humdurdi hy or wo surdurdi bun jati hy es leye wife ko ap ko tujgeee dyna chaiye lykin husband wife meh jo lurai howa kurti hy wo parants ke or sosraal ki un bun py he howa kurti hy so ap purshaan ni ho hota ye hy k es sary chukar meh murd py chaara pista hy , apki ami apki wife ap k sosraal waly tenooo zima daar ho sukty hen kisi na kisi jugaa gulti jo b kury osy gult kayin chay wife ho chay mother ho chay sosraal waly ho ,

abi apki wife apki wife phly hen or onki bayti bahd meh es leye on ko ap k mohaamilaat meh taang ni luraani chaieye delivery ap ny kurwaai jessy b acha he keya na apni turaf sy ,apki wife hen agur onyn khuch hota tu ziyada ap ka noksaan ta ku k baby ki mother or on k gur walo ny tu biyaa k dy dee ,

parants ko chaieye k jub byata byati ko shadi kur d ya kur k dy d tu onyn apny mohamilaat ko khod deal kurny dyin or jahaa mushwary ki zroorat pury mushwara dyn onka huk hy direct disturb ni kurin .

so ap apni wife ko sumjayn or wife ko ziyada waha na jany dyin onko gur meh musroof kurin hota hy hy k wife jub apny gur jati hy tu khuch log nasumaj bytiyoo ko putiyaan b purhaaty hen or apni bytiyoo k guro meh modaakhilaat kurty hen or ye modakhilaalat lurky waly burdash ni kurty especilly lurky ke mother yani wife ki saas.

so ye saass bahoo wala chukar hy hur murd eska shikar hy dono turaf khosh rukhin or puryshaan ni ho ,ortyn raai ka pahaaar bnay rukhti hen khuch na khuch issu chulta rehta hy murd choti choti bato meh ni olajty .

so mery bai dont worry

 

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4304  Age:  38  
Posted on:13th Aug 2009, 9:52am
 

Ghambeer family problem

This Topic Is Posted By New (topic no 15622 - deleted)

meri last post read kijia Sasural Wale Khush Nahi Hain

masla aur kharab ho raha hai. asal mein meri shaadi merai mamoon nain karwai thi khandan sai bahir. merai mamoon aik peer (baba) type bandai hain. aur meri wife aur mera susraal unkai mureed hain. mein peer waghera ko kam hi manta hun aur unkai peer khanain per jaata bhi nahin hun. shaadi kai baad apni wife kai saath aik dafa gia to unhon nain seedha mujhe aur wife ko ghar kai andar janain ko kaha (ghar bhi saath hi hai) mein nain apni wife ko mana kia tha keh tum nain wahan ab nahin jana hai. kyonkeh mujhe nahin pasand keh meri wife peeron kai agai jhuke aur unkai pairon mein baithai go keh merai mamoon usai ghar kai andar jannai ka hi kehtai hein. pichlai mah mera beta bimar hua to kuch din baad meri wife nain kaha keh mei maikai jana chati hun. mein nain kaha theek hai aik raat reh ao. wahan ja kar merai mana kernain kai bawajood woh merai mamoon ki taraf gai aur mujhe betaia bhi nahin. mera beta bimar tha to uskai lia dua kerwanain gai thi. ab mujhe merai mamoon ki family nain bataia keh meri wife wahan gai thi. mujhe bohut ghusa aia. mein nain apni wife sai baat ki to meri asal baat per nahin ati thi balkeh meri ammie kai khalaf boli jaati thi keh unhon nein apko mana kia hai keh mamoon ki taraf nahin jana waghere waghera. usko mana kernain ki aik wajha yeh bhi thi keh meri 4 mamoon kai ghar saath saath hi hain aur merai batai ki birth per woh ai aur gifts aur paisai waghera diai. to uslia bhi usko mana kia tha keh na jai kyonkeh sab mamoon phir gift waghera dain gai to abhi to woh dai ker farigh hoai hain. 2-3 roz mein naraz raha phir hamari sulah ho gai.

ab phir usain zid lagai hai keh mein nain jana hai app nahin lai ker jain gai to apni ammie kai saath chaali jaoon gi. phir is baat per ai keh chalain mein nahin jaati to mujhe sair kerwa laia karein mein nain kaha theek hai. phir 1-2 din baad apni baat sai mukar gai aur kaha main nain to sair ka kaha hi nahin. mein nain to udhar mamoon ki taraf hi jana hai. phir is baat per ai keh chalo theek hai 2-3 month baad chalai jaia karein gai. merai to mamoon ka ghar hi hai na koi baat nahin main nanin ammie ko bhi bata dia to ammie kehti koi baat nahin mein tum logon ko mana nahin kerti. ab ajj woh phir is baat sai mukar gai aur kehti hai keh mein nain 1 month baad janain ka wadah kia tha. werna mein apni ammie kai saath her month jaia karon gi

ab meri samjh sai bahir hai keh mein kia karo. pehli baat to mujhe yeh batain keh meri marzi kai khilaf woh mamoon ki taraf gai yeh usnain ghalat kia na??  ab mein kia karon.

aik baat aur bhool gia keh meri wife nain yeh bhi kaha keh jahaiz na lai ker koi ehsaan nahin kia. yeh baat usnain direct tpo nahin kahi laikin baton baton mein indirect kahi hai aur yeh bhi kaha keh meri ammie nain shaadi kai thorai din baad 2 chairs and table ka kaha keh banwa ker dain halan keh jaha per hum lakhon ka jahaiz chor saktain hein waha per 2 kursian aur table nahin banwa saktai. mehndi bhi ikathi ki takai un per iska boojh na parai. baraat bhi hamari 500 sai oper honi thi laikin ham sirf 150 banda lai ker gai. uska bhi usnain keh dia keh sirf ghar walai akar nikkah nahin ker saktai thai.

mein to hiran hon keh aik banda hamdardi karai aur woh log oper sai taang rakhtai hein

fari pari Group: Members  Joined: 05th Apr, 2009  Topic: 3  Post: 95  Age:  25  
Posted on:15th Aug 2009, 6:35am
 

acha

aapko chaiye k apni biwi pr apna rooaab rakhain ,, bs ye baat kaafi hai agr wo achi hui to sab theek ho jaye ga wrna mujay to wo achi nahi lag rhi.. aap usko gussa kia kren ,ye cheez b zroori hoti hai zra
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013