|
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
30
|
|
Posted on:14th Sep 2008, 10:04am |
|
|
DoctorPk: Please Guide To Moderators About Moderator Notes
meri aap se request hai ke forum par jo new Moderators banaye gaye hain onhe properr guide kiya jaye ke moderator note kis tarha dena hai aur kya likhna hai.. forum par aaj kal esa dekhne ko mel raha hai ke moderator note proper nehin diya jata esa lagta hai ke woh modertor note nehin balke kisi member ne khud he likha hai.. es ki main waja yeh bhi hai k jin ki english achi nehin woh moderator note nehin likh paate.jis ki waja se woh proper moderator note nehin likhte balke es tarha likh dete hain.like NOTE: DONT DIVERT to lehaza meri request hai ke moderators ko proper guide karne ke sath sath aak list banayi jaye jis mein admin khud moderators note likh de..ta ke jab jahan zaroorat pare to moderators wahan se copy kare aur jahan moderator note dena chahte hain wahan past kar diya kare. thanks.
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
30
|
|
Posted on:14th Sep 2008, 10:23am |
|
|
One More Suggest main ne pehle bhi kaha tha ke forum par aaj kal jo bannar lage hain yeh box shape mein hain jin ka size bara hone ki waja se forum ki shape he badal gayi hai.khass tour par Home General index page ki..ager page open kiya jaye to jo top par links diye hain like
Start New Topic My Profile Select Topic for Index Page Control Penal For Moderator
yeh bhi banners ki waja se sehi show nehin hote balke in ki bhi shape kharab nazar ati hai..jab ke resolution 1024 by 768 pixles hai.jis se forum aak Non Professional lag raha hai.
lehaza meri request hai ke banners ka size chota kiya jaye jis se forum ki shape kharab na ho.
thanks |
rajmallik
|
Group: Members Joined: 04th Jun, 2008 Topic: 23 Post: 750 Age:
27
|
|
Posted on:14th Sep 2008, 2:22pm |
|
|
VEER BHAI AND ADMINISTRATORS haan theek kaha veer bhai khichri pak note bhi sahi nahi diya ja rahay hain maina galti ki thi but ab seekh gaya hoon now i know whts the responsiblities of a moderator and how should he bahave yaha kafi sara members ko under 6month moderator bana dia gaya hai dis is wrong onko guide bhi nahi kia gaya dr pk to asa lag hai sorry 2 say ap koi game khel rahay hooo jisko organise kar rahay hoo forum theek he chal raha tha ab to jab open karo pora page how moderator , policy moderator aisa thread he nazar aatay hain dont mind dr pk |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:14th Sep 2008, 2:25pm |
|
|
ya...vereeeer veeer is rightt dostooooooo... do some things.... thankssssss |
Annie
|
Group: Members Joined: 19th May, 2008 Topic: 0 Post: 233 Age:
27
|
|
Posted on:14th Sep 2008, 4:16pm |
|
|
moderator notes Miss Sooth has posted list of moderator notes which has been accepted by Miss Kali Zuban. Forum Moderators need to use them. Thats simple instead of making it issue.
For Rajmalik... Jo ghalti aap ne ki, wohi ab agar kuch members kar rahay hein tu unhein bhi seekhnay dijiye. Is tarah issue na banaiye.
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
30
|
|
Posted on:15th Sep 2008, 10:54am |
|
|
doctocpk and Kali zuban forum par aak topic hai About Moderator: Please Explain In Detail es ki category change nehin ho rehi..check it..baki sab thread ki categories change ho rehi hain lekin es thread ki nehin ho rehi...lehaza es ki category change kar ke chatting mein convert kar di jaye. |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:15th Sep 2008, 10:58am |
|
|
re: Veer Mere khial mein ye topic Suggetions category mein hona chahye.........is topic mein kissi ne chatting nahi ki Nikama ki help he ki hai.....ye aur baat hai ke Nikama ki samajh mein kuch nahi aaya-- |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:15th Sep 2008, 11:09pm |
|
|
chilliii... yaa a gayaa hai na samaj mai kuch kuch....ummm u baaz nahee atee hooo..
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:15th Sep 2008, 11:10pm |
|
|
Veer
re:to lehaza meri request hai ke moderators ko proper guide karne ke sath sath aak list banayi jaye jis mein admin khud moderators note likh de Sooth ne Moderator notes likh diye hain....tamam Junior moderators ko aab moderator notes dene mein asaani ho gi.....waise agar aap chahen to aap bhi Sooth ki banayi hui list mein se dekh ker moderator notes de sakte hain.... read: Possible Moderator Notes for Moderator Ease
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Feb 2010, 11:16pm |
|
|
doctor pk and admin
meri doctor pk aur admin se request hai ke tamam junior moderators ko guide kiya jaye ke woh moderator note theek se de.
ager kisi junior moderator ko English note dena mushkil lagta hai to woh na de. moderator note ki list bhi hai jo mein attach kar raha hon tamam moderators os ke mutabik note diya kare.
ager esi tarha rang bharange aur urdu wale note melte rahe to forum ka image kharab ho sakta hai.
tamam moderator se request hai ke es link mein diye huye moderator note par amal kare aur in ke ilawa koi style use na kare.
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3418 Age:
36
|
|
Posted on:3rd Feb 2010, 12:22pm |
|
|
veer you are not admin or admin releated person....lehaza aap ko aysi koi request krney ka b koi haq nhi hey
Mod note urdu main hoo ya english main uss ka maqsad sirf matlaqa member ko guide / warn krna hoota hey ...jis andaz ko member samj reha hoo aur uss ko ussi andaz sy mod note diya jaye to ussy samj aye gi aur note dainey ka fayda hosakey ga..basoort-e-deegar mod note ka na to koi fayda hooga aur na hi matalqa member iss ki parwa krey ga
aap daikhtey hain k iss forum per 80% sy ziyada sawalaat roman urdu main kiye jatey hain aur kam-o-baish itney persent hi replies ya ordenery post b urdu main hi hotey hain..iss waja sy agar kisi member ko koi baat samjaney ya warning dainey ki gharaz sy note urdu main dy diya jata hey to uss main koi mazaiqa nhi hey..maqsad member ko guide krna ya warn krna hoota hey ta'k forum ka mahool khraab na hoo aur forum rawaan dawaan rehey..
mod note urdu main dainey ka matlab yeh nhi k moderator ko english nhi aati ..bulky urdu waly note ka mehaz matlb aur maqsad matalqa member ko baat samjana / guide / warn krna hota hey
aur sab sy barrh kr yeh k aysy mod notes per kabi admin ya forum owner ny kabi koi mana nahi kiya ya kisi kism ki koi guide line nhi di...iss liye braye karam aap b iss baat ko masla na banaye... |
Guide
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 813 Age:
40
|
|
Posted on:29th Nov 2013, 7:17am |
|
|
noor clinic forum moderator and permissions 1. Forum ke kaii members ke paas Edit/Delete aur Block ki permission mojood hai. yeh tamam members ka noorclinic staff se koi taluq nahi. aisay members jin ke paas permission hoti hai ham onhai moderator kehtay hai.
2. jis tarah yaha sawal kerne walay aur jawab dene wale members per lazim hai keh woh apna original name aur id kisi ko nabatain osi tarah yaha per moderator ko bhi permission nahi keh wo yaha ke members per apne aap ko disclose karain keh woh moderator hai.
3. moderator banney ke liye request ki zaroorat nahi hoti, noorclinic per jo members kuch arsa guzar letay hai, members ke sawalo ke relevant jawab detay hain aur forum ki policy ko kafi had tak samajh lete hai onhai moderator bana dia jaata hai. koi bhi moderator Paid nahi hai aur kisi ko bhi paband nahi kya jaa sakta keh woh pabandi se apni duty anjaam dain.
4. moderator ki asal zimmadari yeh hai keh agar woh kahi per abusive aur slang words dekhain tu ose delet/edit ker dain. aur agar koi abusive post kerta hai tu ose Block ker dain.
5. agar koi member apna email id ya mobile number post kerta hai tu ose Edit/Delet/Block ker dain. a) jo member bilkul new hai aur forum rule se waqif nahi on ka email/mobile ko sirf edit ker dain aur moderator note dain keh yeh yaha allow nahi. b) agar moderotor note ke baad bhi woh email/mobile dain tu onhai Moderator Warning dain ke onhai block ker dia jaaye ga. c) agar woh warning ke bawajood na maanain to phir onhai Block ker dia jaaye.
6. tamam moderator hazraat se guzarish hai keh agar woh khood forum rule se waqif nahi tu phir behtar hai keh woh sirf apne post ko edit karain, doosro ke post ko haath na lagain aur na hi onhai moderator note/warning dain.
7. kisi bhi moderator ko iss baat ki ijazat nahi ke woh zaati ikhtelaf ki bunyad per kisi ke post ko edit karain aur isi tarah yeh bhi ijazat nahi keh zati dosti ki bunyad per kisi ke saath reyaat karain. agar aisa karain ge tu on se moderator ki permission le li jaaye gi.
|
Guide
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 5 Post: 813 Age:
40
|
|
Posted on:29th Nov 2013, 9:52am |
|
|
moderator and permissions tamam moderator se darkhast hai keh woh oopar wala mera post carefully read karain. member se bhi darkhast hai keh woh kisi qisim ka mashwarah dena chahain tu yaha de saktay hai. on hi ke mashwarah ki roshni mei forum ke rules bantay hai.
|
|
|
|