its wrong "faithfull" aap ghalt mashwara day rahy hain , aap k mashwara ka khulasa hay k quran pak ko maa baap ki raza aur khushi ko khatam karny k maqsad sy parrho , yaani apni duniyavi khaahish poori ho jaye par maa baap ki khushnoodi jaye bhaarr main aur iss k liye aap questioner ko quran pak ka wasta dainy ka mashwara day rahy hain ...strange
yeh kaisi tableeghaat hain , yeh kaisi taleemat hain , aap logon ny islam ko kia samjh rakha hay , kia islam itna hi la waris deen hay k jis ka jo jee chahy islam k name par karta phiry , khuda raa islam ka mask pehan pehan kar islam ko badnam mat karain , aur logon ko islam k name par gumrah mat karain ..thanks
questioner sy b appeal hay k aap maa baap ki raza k sath razi rahain , agar aap ko yeh rishta pasand nahi to aap mangni sy pehly b apny maa baap ko apni marzi sy agaah kar sakti theen agar agah nahi kar saki to abb b kuch nahi bigrra aap abb b apny waldain sy khul kar bat kar sakti hain q k yeh aap ki saari zindagi ka masla hay
iss k baad agar aap k waldain rishta khatam karny aur aap ki marzi par amal karny par raza mand hoty hain to theek warna aap apny waldain ki marzi par razi rahain , yahi aap k haq main behtar rahy ga
dosra yeh k waldain sy apni khahishaat ka izhaar zaroor karain magar apni khahishaat ki takmeel k liye waldain ko force nahi karna chahiye , aur khahish b aysi k jis main waldain aap k nafa nuqsan kok aap sy behtar janty hon .. |