Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Hajj Karna Manah Hai!

Politics   >>   Government
 
 
ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  30  
Posted on:8th Jul 2010, 8:54am
 

Hajj Karna Manah Hai!

Salam To All Friends! 
Dosto mery Topic ka title may b doston ko achha na lagy but najaanye keon aaj ki ye news parh kar ( IS SAAL SARKARI SCHEME KE THROUGH HAJJ KARNY WALON KI APPLICATION OUN KE LIY MAKHSOOS KARDA KOTY SE 15000 KUMM MOSOOL HOI HAIN AUR YE KE IS SAAL QURRA-ANDAZI NAHI HO GI) mery zehan mein is ke siwa koi title aaya hi nahi. 
Dosto Allah nay harr sahab-e-haasiaat Muslim per zindgi mein aik baar HAJJ farz kiya hai. aur mery khayal se shaaid hi koi Musalmaan aisa ho ke jis ke dil mein Allah ka ghar dekhhnay ki Khawahish na ho. 
Dosto hamary haan ka culture ye raha jin logon ko Allah ki zaat nay ziyada maal-o-dolatt se nawaza hai wo to jabb chahain HAJJ kar lety hain. But Majority aisy logon ki jo apni saari zindgi HAJJ ki Khawahish ko poora karny ke liy aik aik paisa jamha karty hain aur apni omar ke aakhri hissy mein ja kar oun ko HAJJ ki saa'adatt naseeb hoti hai jabke aksar to log HAJJ ki Hasratt dil mein liy Duniya se hi chaly jaty hain. 
So kehny ka maqsadd hai ke aaj se 3 , 4 saal pehly takk halaat aisy thy ke herr saal sarkari koty se ziyada Hajj darkhastain Hakoomat ko Mosool hoti thin. Log jaisy taisy b kar ke Paison ka bandobast kar lety thy. lekin aaj Hakoomat nay Hajj Karaayoun mein itna Ezaafa kar diya hai Logon ki ye halat ho gaai hai ke oun ke pass itny wasaail hi nahi rahy ke wo Hajj par ja sakain. 
Dosto kaya Jammhoriatt isy kehty hain ke jis mein Hakoomat nay mehangaai, berozgaai, aur pata nahi kin kin cheezon se Awaam ka jeena to pehly se hi dobarr kar rakhha tha lekin aub oun se oun ki Zindgi ki sabb se bari Khawahish (Hajj karny ki Khawahish)ko poora karny ka Haqq b Chheen liya hai. 
Dosot kaya Hakoomat nay Awaam ko seeda seeda nahi keh diya ke HAJJ KARNA MANAH HAI?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:8th Jul 2010, 1:16pm
 

sarkari hajj

1. Hajj darkhast wasool kertay waqt kaha gaya tha keh jin logo ne pichlay 5 years mai hajj kia hai woh darkhwast nahi de saktay. jis ki wajah se beshumar logo ne darkhawst nahi di.

2. aksar log ab sarkari kota ke bajaye private kota ko tarjeeh de rahe hai.

3. machine readable passport ki sharait ke wajah se bhi beshumar log hajj per nahi jaa sak rahe hai. kio keh machine readable passport ka hasool bhi mulk ke beshtar hisso mai kafi dushwar hai. aur ose haasil kene ke liye logo ke paas extra time nahi hai.

4. sarkari fee mai izafa ki wajah se bhi log sarkari ke bajaye private hajj ko tarjeeh de rahe hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:9th Jul 2010, 4:57am
 

agreed

wid Bewaqoof points
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:9th Jul 2010, 3:29pm
 

Hajj Kurna asaaan nahi

Esko esi leeyeh khaaa ghiyaa hay Saahib-a-Istitaahaat he Hujj adaa kur sukty hen , Saudi arabia meah bhe Hujj ek wakat meah bot asaan thaa bunda 500 SR kay under Hujj kur letaa thaa Lakin abi saudia meah agur koi bhe Binaa agent kay or Binaa Tusreeh kay saudi governament passpourt office ki permission kay binaa hujj pay nahi jaa suktaa or jo bunda ek baar hujj kur leta hay wo 5 yeras tuk dobara hujj adaa ni kur sukta.

Hur saal Hazaaro log illegal tureeqy say Hujj saudia meah adaa kurty hen yani binaa agent kay. last year Dammam say Hujj pay jany ka khurchaa sauida meah 3000SR thaa total jismaeah hotel, or Tent or Governament fee or agent ki fee or transport fee shamil hay 3000Sr riyal pay kurny kay bhad personal khurcha 2000 Riyal ho jaty hen or total 5000SR yaha rehty howy bundy say khurach ho jaty hen Qorbaani milaa kay jub kay omra 150 meah ho jata hay.

Meah nay 2004 meah hujj adaa keya thaa os wakat meah nay 1200 SR agent ko adaa keyeh thy jo kum say kum khurcha tahaa jo aaj 3 gonnaa bur chokaa hay, or os wakat mera sara khurach saudia meah 2000SR howa sara jo kum khurcha nai hay, so saudia meah kaam kurny waly pakistani bhe abi asaani say saudia meah hujj adaa ni kur sukty

Esi turaa pakistan meah bhe Hujj pay aany walo kay leyeh koi khaas asaani ni hoti, hur saal Hujj Kuraayoo meah ezaafa keya jata hay or hur saal hum son ty hen humari Qomi air line Khussaary meah jaa rahi hay.agur Hukomat-a-wakat apna khussaara pora kurna cha hati hay tu Hur pakistani ky international traval suwaay PIA kay kisi dosri air line pay jany pay pabundi lugaa day serf PIA sahooolat furaaham kury 

Jetny point or causes Bewakoof nay yahaa biyaan keyeh hen yeh sub wujoohat bhe hen.esi tura agur hukomat Hujj application or sara process Tv pay news papers pay sara process koch maah phely say he btana shoro kur day tu log phely say tiyaari kur bhe layin.

Humari Hukoomato kao apni personal Khich khich say time ni milta wo Nation kay problem ko keyaa sumjayin gay keya time dayngy.




ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  30  
Posted on:11th Jul 2010, 7:24am
 

Kaya Ye Sahi hai?

Friends mujy aik baat ki samajh nahi aati ke aakhir ye Hakoomat keon logon ky liy koi asaani peda nahi karti? agar is baat ko maan b liya jaye ke chonke Hakoomat nay ye condition rakhhi thhi ke aik baar Hajj kar leny ke baad 5 saal takk hajj ki Application nahi de sakty to ous ke peechhy to yehi wajha ho sakti hai ke Application bohat ziyada Receive hoti thin. jis ki wajha se bohat sary log Hajj per jany se mehroom reh jaty thhy. Kaya Hakoomat nay ye condition lagaany se pehly ye baat study nahi ki ke harr saal new Applications kitni hoti hain aur repeated kitni hoti hain?


Kaya Hakoomat nay Sarkari kota fix karty waqt ye nahi socha thha ke kaya itna Kota poora b ho ppaye ga ke nahi?


Aub aaty hain private Kota ki tarf, to Mohtaram jin logon ke pass Sarkari Kota ki fees Pay karny ke liy sources nahi hain wo Private Kota se Hajj kaisy karain gay?


Ous ke baad baat aati hai Passport ki to kaya Hakoomatt ki ye condition sahi hai ke Passport machine readable hi allowed hai dosra nahi chaly ga? Haalan ke pechhly kitny saalon se aik proper System chala aa raha tha ke logon ko Hajj ke liy aik Special passport milta tha jo sirf Hajj ke liy hi use hota tha. Aap hi bataain Machine readable Passport ki aakhir zaroorat hi kaya thhi? kaya ye Sirf aur sirf Awaam ko Preshaan karny ka hi aik tareeqa nahi?


Dosto Akasr kamyaab Hakoomatain apny Awaam ke liy jitna ho sakta hai harr mamly mein oun ke liy outni hi asaaniyaan peda karti hain.


Aap apny hamsaaye India mein hi dekhh lain Halaan ke wahan Hindo Logon ki Hakoomat hai but wahan is saal jitny Paison mein 2 log Hajj kar sakty hain Hamarai Hakoomat outny Paisy aik Fardd se charge kar rahy hain.

Kaya aik Muslmaan Moolak ki Muslmaan Hakoomat ko aisa karna chahiye?
Kaya ye Sahi hai?
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Singer In UK  How to take professional photography  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014