AppkaDost
|
Group: Members Joined: 18th Jul, 2009 Topic: 24 Post: 281 Age:
37
|
|
Posted on:23rd Jun 2010, 4:34pm |
|
|
Riaz Ahmed Goharshai Add: Please Remove It From Noor Forum
Noor forum kay Religion & culture kay index page per aik add aarahe hy "Image of Imam Mehdi Riaz Ahmed Gohar Shahi Can bee visible on Moon" Riaz Ahmed Goharshahi ko muslamanoon kay tamam school of thought aik fitna karar daitay hain jiss nay Khoud Imam Mehdi honay ka jhoata dawa kia hoa hy. Noor forum kay religious page oas ki publicity ka zarea q banna ? Noor Forum per iss ki add samjh say balatar hy....kia admin ya kohee syana bewakoof iss ko explain karay tou raqim ul haroof oas ka mamnoon hoga.....
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:24th Jun 2010, 10:36am |
|
|
Goharshahi admin sy request hey k iss publicity add ko fill foor yahan sy hataya jaye...
iss ka URL link yeh hey...http://www.forum.noorclinic.com/indexcategory.php?act=category&cat=7
main janab "AapkaDost" ka mashkoor hoon jinhoon ny aik aham masala ki janab tuwajjo dilaai.... |
EF Doosra
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 6 Post: 366 Age:
|
|
Posted on:24th Jun 2010, 2:09pm |
|
|
agreed to AppkaDost maiN bHi admin se request karungaa k is add ko foran forum se hatayaa jaeY...................... |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:24th Jun 2010, 3:49pm |
|
|
doosro ke aqeeda per tanqeed kerna sahi nahi hai meri samajh mai yeh baat nahi aati keh log doosre ke mazhab se khofzada kio rahtay hai. agar kisi ka aqeeda hai keh Riaz Ahmad Gohar Shahi hi Imam Mehdi hai tu logo ko kio etraz hai. agar aap onhai Imam Mehdi nahi maantay tu na maanai, lekin jo log onhai maantay hai onhai zabardasti na maan-ne per kio majboor kertay hai.
on logo ka kehna hai keh Riaz Ahmad Gohar Shahi ka image moon per dekha gaya hai, aur woh os ki tasweer bhi show kertay hai. agar aap ko yaqeen nahi aata tu yaqeen na kare. ab agar on logo ne moon per image dekha hai tu onhai khoosh ho lene dain.
hamare yaha fashion ban gaya hai keh apne aqeeda per amal kerne ki bajaye doosre ke aqeeda per tanqeed karain. aaj gohar shahi per tanqeed ker rahe hai tu kal kisi aur per. aray bhai doosro ke aqeeda ki jaan choro aur apne aqeeda per sakhti se qaim raho.
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:24th Jun 2010, 5:11pm |
|
|
No Not At All.. yahan kisi k aqeedy par tanqeed nahi ki gayee bulky kisi k aqeedy ki tash'heer karny par tanqeed ki ja rehi hey...iss liye admin sy aik bar phir request hey k apny mali nuqasan ko pas-e-pusht dal kar iss tash'heer ko fil foor yahan sy hataya jaye ....shukriya |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:24th Jun 2010, 5:58pm |
|
|
mazhabi azadi ka kia matlab hai? re: "aik bar phir request hey k apny mali nuqasan ko pas-e-pusht dal kar iss
tash'heer ko fil foor yahan sy hataya jaye"
iss add ke hatanay se admin ko koi bhi mali nuqsan nahi hoga. kio keh yeh google ad hai agar Gohar Shahi ke website (jis ka ad hai) ko google ad ke liye block ker dia jaaye ga tu waha per kisi aur website ka ad aa jaaye ga. lehaza Gohar Shahi ke ad ko block kerne se admin ka koi nuqsan nahi hai.
lekin mera khayal hai keh yaha per har kisi ko apne mazhab ki publicity ki azadi honi chahiye. mazhabi azadi ka yahi matlab hai. mera taluq Gohar Sahahi ke mazhab ya maslak se nahi hai aur na hi mai on ke theory se agree kerta hoo, lekin iss ka yeh matlab nahi keh mai os ke mazhab per tanqeed karoo aur on logo ki mazhabi azadi salab kerne ki baat karoo.
agar gohar shahi ke maanne wale onhai imam mehdi maantay hai ya samajhtay hai keh on ki image moon per dekhi gayee hai tu ham kio etraz kare, on ka aqeeda on ke saath aur hamara aqeeda hamaray saath. iss dunia mai har mazhab aur har aqeeda ko azadi hasil hai, lehaza Gohar Shahi group ko bhi azadi honi chahiye keh woh apne mazhab ki tableegh kare.
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:27th Jun 2010, 2:06am |
|
|
Aqeeday ka ehtram agar Muslimah kazzab ka daawa tha k woh nabi hae to Sahabah Karam (R.A) ko kya pareshani thi ??? Hazrat Abu Bakar (R.A) ne us k khilaf jihad kyun kiya, aor usay kyun qatal kiya gaya , us k is daway aor aqeeday ka ehtram kyun na kiya gaya ? Bewaqoof Saab is ka jawab dain gay ????
Islam sabhi mazaahab k aqeeday ka ehtram karta hae aor ek islami riyasat main aqliyyat ko poori azadi k sath apnay mazhab pe amal karnay ki ijazat hae, laikin mazhab aor fitnay main farq hae, Mirza Ghulam Ahmed Qadiyani ya Riaz Ahmed Gohar Shai jaisay log fitna hain , in ka koi bhi aqeeda na qabil e bardasht hae na qabil e ehtram. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:27th Jun 2010, 11:14pm |
|
|
re: Riaz Ahmed Gohar Shahi
re: "Hazrat Abu Bakar (R.A) ne us k khilaf jihad kyun kiya, aor usay kyun qatal kiya gaya"
kia Hazrat Abu Bakar (R.A) aur on ke faisley se 100% musalman agree kertay hai? kia Hazrat Abu Bakar (R.A) 100% musalmano ki nazar mai qabil-e-ehtaram hai?
re: "Mirza Ghulam Ahmed Qadiyani ya Riaz Ahmed Gohar Shai jaisay log fitna hain , in ka koi bhi aqeeda na qabil e bardasht hae na qabil e ehtram."
kia in dono mazahib ke manne walo ki nazar mai bhi yeh dono mazhab fitna hai? agar in dono mazahib ke manne wale bhi kisi mazhab like Wahabism ko fitna qarar de de tu kia Wahabism bhi fitna kehlaye gi. kisi bhi mazhab ke fitna hone ka kia criteria hai?
|
KHOKHAR786
|
Group: Members Joined: 25th Jan, 2010 Topic: 30 Post: 122 Age:
29
|
|
Posted on:27th Jun 2010, 11:54pm |
|
|
bewqoof bhai ya ur question and filasfi r authitic bt its not true
bcos islam aur musliman ka criteria sb maktaba fikr k paas ek hi hai .
allaha taala ko ek manna aur hazoor HAZRAT MUHAMMAD S.A.W ko akhri nabi manna .
ye donon sharait lazim hein jo AAP S.A.W ko nahi manta wo musliman nahi hai .
agr aap ko iss k ilawa koi islam ya musliman hony k bare mein ilm hai tu pls zaroor bataye . |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:27th Jun 2010, 12:20pm |
|
|
Ajeeb Swal... Re:- "kia in dono mazahib ke manne walo ki nazar mai bhi yeh dono mazhab fitna hai?"
kamal hey....kabi aysa b hota hey k jo jis mazhab ka pairo kaar ho uss ko fitna samjy...!!!!!!! agar fitna samjy ga to wo uss mazhab ka pairo kaar nahi rehy ga...aur gar pairo kaar b ho aur fitna b samjy to phir wo kaisa pairo kaar ho ga?? |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:27th Jun 2010, 5:16pm |
|
|
fitna aur sachcha mazhab re: "kamal
hey....kabi aysa b hota hey k jo jis mazhab ka pairo kaar ho uss ko
fitna samjy."
iss ka matlab yeh hua keh os mazhab ke manne wale ise fitna nahi balkeh sachcha mazhab samajhtay hai. jab fitna ke bajaye woh ise sachcha mazhab samajhtay hai tu iss ka matlab yeh hua keh woh becharay apni jagah sahi hai. lehaza kisi ke fitna keh dene se on ka mazhab fitna nahi ho jaaye ga. fitna sirf aur sirf ose kehtey hai jis mai niyat mai fitna hota hai. jab in logo ki niyat mai fitna nahi hai tu phir yeh mazhab fitna kaise hua.
jaha tak iss mazhab ko nahi maanne wali baat hai tu phir doosre mazahib khasoosan Wahabi mazhab ko bhi dunia ki 99% se ziadah log nahi maantey. kia 99% se ziadah logo ke nahi maanne per Wahabi Mazhab ko fitna qarar dia jaa sakta hai, bilkul nahi. lehaza kisi bhi mazhab ko fitna qarar dena darasal os mazhab se nafrat aur taasub ke sewa kuch nahi.
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:27th Jun 2010, 5:54pm |
|
|
fitna....
Re : - "jab in logo ki niyat mai fitna nahi hai tu phir yeh mazhab fitna kaise hua."
niyatoon k akhwaal khuda ta'ala janta hey ya phir jis ki niyat ho wo janta hey dosra nahi jan sakta....behar haal fitna ka jahan yeh matlab hota hey k aap kisi doosrey ko bilawaja tang karo ya aap sy koi bilawaja tang ho.....waheen fitna ka aik matlab yeh b hota hey k aap khuda ki "aik" rassi ko mazbooti sy thamny ki bajaye aik nai rassi ki daryafat kar lo ...khuwa niyat kaisi b q na ho laiken haqeeqat main yeh rahna aur fitna hi ho ga....
aur doosri baat yeh k koi b mazhab apny pairo karon k liye fitna nahi hota aur na hi uss mazhab k pairo kar apny mazhab ko fitna samjty hain bulky agar koi b mazhab fitna ho to wo doosroon k liye fitna hota hey .....doosrey mzaahab k followers k liye fitna hota hey apny followers k liye nahi....
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:29th Jun 2010, 8:51am |
|
|
mazhabi fitna re: "aur
doosri baat yeh k koi b mazhab apny pairo karon k liye fitna nahi hota
aur na hi uss mazhab k pairo kar apny mazhab ko fitna samjty hain bulky
agar koi b mazhab fitna ho to wo doosroon k liye fitna hota hey
.....doosrey mzaahab k followers k liye fitna hota hey apny followers k
liye nahi...."
agree with Diplomat Iss ka yeh bhi matlab hua keh ikhtelafat ki wajah se kisi doosre mazhab ko fitna kehne se woh mazhab fitna nahi ho jaata.
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:1st Jul 2010, 2:11am |
|
|
Bewaqoof kia Hazrat Abu Bakar (R.A) aur on ke faisley se 100% musalman agree kertay hai? kia Hazrat Abu Bakar (R.A) 100% musalmano ki nazar mai qabil-e-ehtaram hai?
jee haan Hazrat Abu Bakar (R.A) k is faislay ko sabhi muslmanoo ne tasleem kiya tha , ek sahabi (r.a) bhi aisa nahi tha jis ne ye kaha ho k Muslima Kazzab k khilaf lashkar rawana karna ghalt faisla hae.us waqt koi ek bhi "Altaf Hussain" nahi tha jo jhooti nubuwwat ko defend karnay aa jata. aor ye baat jaan lain k nubuwwat ka dawa karnay walay Muslima Kazzab k khialf ye lashkar Hazoor Pak (PBUH) apni zindagi mubarak main he tashkeel de gay thay aor Hazrat Usama (R.A) ko is lashkar ka ameer muqarrar farma gay thay. abb agar aap main himmat hae to Hazoor apk (PBUh) k baray main bhi aisay he remarks de dain.
Agar aap ko Hazrat Abu Bakar (R.A) se zara si bhi aqeedat hoti to aap aisay remarks na detay, Hazrat Abu Bakar (R.A) kisi Fiqah k imam nahi hain k un k baray main ye baat ki jaye k kuch muslman unhain mantay hain kuch nahi mantay , aap aisi fazool baat kar k sirf yahan forum pe tamasha dekhtay hain.
aap ki zehni halit ye hae k jo koi bhi uth k Islam k naam kuch bhi bakwas kar de aap usay aqeeda samjh k us ka ehtram karnay ka dars dena shuru kar detay hain. aap kufer ko bhi Islam sabit karnay ki koshash kartay hain, aap kufer ko bhi Islami Firqa sabit karnay ki koshash kartay hain, kabhi Qadiyaniyat aor kabhi gohar shahi. aor aap k baray main yahan log theek he kehtayb hain k aap is forum ko 'kamyab" bananay k liye aisay remarks detay hain aor aisay topic create kartay hain. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7704 Age:
55
|
|
Posted on:1st Jul 2010, 3:11am |
|
|
Hazrat Abu Bakar RA say nafrat kiyouN??? kia iss liyeh k onhouN nay "munkereenay zakaat" say JEHAAD ka hukm dia thaa...... kia aj bhi "munkereenay zakaat" hi hazrat Abu bakar RA ka moqaam o martabah kam karnay aur onhaiN mutanaaze'aa banaanay k darpay haiN... wazah rahay k Nabi kareem saw nay tamaam sahabah RA maiN hazrat Abu Bakar RA ko hi apna "janasheeN" banaanaa chaahaa thaa... aur aap saw k baad mosalmaanouN nay aap hi ko khaleefah e awwal muntakhib kia thaa |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:1st Jul 2010, 8:37am |
|
|
aik swal?? "aj bhi "munkereenay zakaat"
kia aap bta skty hain k islam ka konsa firqa zakat ka munkir hey?? |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:1st Jul 2010, 7:24pm |
|
|
kafir ka certificate re: "aap kufer ko bhi Islami Firqa sabit karnay ki koshash kartay hain, kabhi
Qadiyaniyat aor kabhi gohar shahi"
kia yeh dono apne aap ko musalman nahi samajhtay? aap tu shia ko bhi kafir samajhtay hai. kia aap ke paas ikhtiar hai keh jise chaha musalman qarar de dia aur jise chaha kafir. yeh tu Allah Taala hi jaanta hai keh aap ka mazhab (Wahabism) sahi hai ya ghalat. waise ham Wahabi ko kafir nahi samajhtay jab keh mere kai jaanne wale khullam khulla Wahabi ko bhi kafir kehtay hai.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7704 Age:
55
|
|
Posted on:2nd Jul 2010, 3:13am |
|
|
"khud ko mosalmaan samajhna" kia musalmaan "honay" k liyeh khud ko "mosalmaan samajhna" kafi hai???
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Jul 2010, 4:34pm |
|
|
muslim aur non-muslim ka certificate re: "kia musalmaan "honay" k liyeh khud ko "mosalmaan samajhna" kafi hai?"
yes! agar koi apne aap ko musalman samajhta hai tu phir kisi ko bhi haq nahi pohonchta keh ose non-muslim kahe. mujhe yaad hai keh jab mujhe pehli dafa pata chala keh mai musalman hoo tu os waqt meri age 3 ya 4 saal thi. kia koi mujhe non-muslim keh sakta hai? jabkeh 3-4 years ki age mai mujhe kia maloom ke musalman kia hota hai?
kia hamare mulk mai kisi ke musalman hone ka certificate dene ka haq sirf aur sirf aik makhsoos firqa ke paas hai jo buzargan-e-deen ke dargaho (like Data Darbar Lahore) mai dhamaka kerta phir raha hai.
|
EF Doosra
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 6 Post: 366 Age:
|
|
Posted on:2nd Jul 2010, 5:02pm |
|
|
Bewakoof bHai kia hamare mulk mai kisi ke musalman hone ka certificate dene ka haq sirf aur sirf aik makhsoos firqa ke paas hai jo buzargan-e-deen ke dargaho (like Data Darbar Lahore) mai dhamaka kerta phir raha hai.
Aap baghair saboot k ye kaisaY keh saktaY hyN k ye data darbaar par hamlaa karnaY walouN ka taluq aik khaas firqaY sY hY................ |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|