visit agri uni web sites kissi bhi qism ki engg k liyeh basic qualification to F.Sc. hi hoti hai.... agri k liyeh apkay pass F.Sc. maiN math ki baaa.ay biology (botany +zoology) hona zaroori hai... kam az kam 60% marks honay chhaiyeh.... iss criteria k saath ap apply karsaktay haiN.
"merit list" to admission k candidates ki tadaad aur uni ki seats par monhasir hota hai... yani agar seats 100 houN aur applicant 200 houN to sirf top 100 ko admission milega. ap last year ki last %age dekh kar bhi andazah laga saktay haioN k iss saal ketni %age tak ko admission mil sakta hai.
ap agar basic criteria (F.Sc. with biology ith at least 60%) poori kartay houN to apnay pasandeedah college ki website visit karaiN. uni ko visit karaiN, wahaaN k last prospectus ko read karaiN... deger info apko mil jayengeeN... abhi F.Sc. k results aanay maiN koi 2 months baqi haiN. iss dauran ap apna home work poora kar laiN... baaz uni results say qabal hi entry test bhi leti haiN.... lehaza results ka intezaar kiyeh beghair motalleqah uni ki web dekhaiN yaa wahaaN khud visit karkay admission ki details maloom karlaiN... phone karkay bhi info li ja sakti hai |