H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:30th May 2010, 3:49am |
|
|
Ali Baba 40 Chor Aur Supreme Court Of Pakistan
Pakistan ek Turaf Deh-shut Ghurdi ki Dul Dul meah phunsaa hay or oski Awaam Menghaai kay chongul meah phunsi hay or Hukamraano nay Corruption ka Bazaar Ghuram kur rukhaa hay or President House meah Ali baba or 40 choro ka Qubzaa hay or dosri turaf Parlamint meah Hizb-a-Iqtadaar or Hizb-a-ikhtalaaf mil bant kur khaa ray hen. Ameer ameer say ameer tur hotaa jaa rahaa hay or Ghureeb ghureeb say ghureeb tur. Mojoodaa Hukomaat or mojooda Sudar-a-Pakistan pakistan ki history meah ek siyaa bab ruqum kur ray hen , Jumhooriyaat meah aamriyaat ki azeem misaal paysh ki jaa rahi hay jis meah sary chor Iqtadaar ki korsi tuk ponchaa deyeh gay.or es wakat pakistan Hukomaat ali baba or 40 chor ka roop dhaar choki hay. Supreme court or Honorable chief Justice of pakistan Pakistan meah rule of law or constitution pur amal duraamud kurwanaa cha-huty hen jub kay Hukomat a Pakistan might is right or apni Taqat kay nushi meah Ferhoniyaat or Qarooniyaat jesi khamiyoon say malaa maal ho choki hay or supreme court say mahaaz araai ki koshish kur rahi hay, Oljuno Meah ghery pakistan ko or Qurzoo meah Jukri awaam ko or Ghorbat Ki chuki meah pisit awaam ko es wakat choro , Ghuddaro, Mufrooro,Qatiloo ki Hukomaat or Leadership nahi cha-yeh, Pakistan Army or supreme court dono ko apni zimadari ka suboot daty howy juld uz juld binaa election kay es leader ship ko budulnaa cha-yeh or koi respectable, Leader as president nominate kurna cha-yeh or choro ko pabund-a-sulaasal kur kay onsy ek tu lotaa howa pesaa wapis leyaa jay or dosra benazeer bhoto kay qutal ki tufteesh remand hasil kur kay kee jay
|
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:30th May 2010, 8:08am |
|
|
awam yahi chahtay hain awam aisay bad diyanat logon ko vote ki taqat se assembly main ponchatay hain aor khud apnay haathon in ko khud pe musallat kartay hain. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:30th May 2010, 12:32pm |
|
|
Democracy VS Dictatorship jamhoriyat (Democracy) jitni b alooda ho akhar kar amriyat (Dictatorship) sy behtar hoti hey..laiken yeh bat Pakistan k mahool ko madd-e-nazr rakhty howey Pakistani awam k liye nahi hey....
mazi main Pakistan k andar jitni b dictatorships aayeen aur jitni dafa b pakistan main democratic adaroon par shab khoon mara geya to jawaz yehi banaya geya k yeh jamhoori idarey apna kam theek nahi kar rehy aur awam ko relief dainy main nakam hain is liye amriyat ki az had zroorat hey k wo pakistan democracy ko take over kry..
LAIKEN...
hum sab ny daikha k iss mazkoora bala agenda ki takmeel ki gharz sy any wali har dictator ship pakistani awam k liye aik bad'treen azab sabit hoi ..kabi 90 days ka keh kr 11 years aur kabi 8 years tak iss pakistani ghareeb awam pr lathiyoon aur bootoon sy zulam kiya jata reha
darasal pakistan main iqtedar main any waly chehrey khuwa wo civil hon ya army ki shakal main hon...hoty sehooni agent hi hain jub inhain apny baap (USA) ki tarf sy ishara milta hey to yeh awam ki "khidmat" krny doorr kar iqtedaar ki kursi par ja baithtey hain ...abi jin agents ki bari hey unn ka "period" khatam nahi howa iss lilye abi na to koi dosri civil Government k any ka amkan hey aur na hi kisi dictator ka "maseekha" k roop main fil haal any ka koi amkan hey... |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:31st May 2010, 4:44am |
|
|
Hats off to Diplomate zabardast aur haqeeqat par mabni tajzeya... well said bro... bahoot khoob... Allah karay zoray qalam aur zeyadah
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:31st May 2010, 10:16am |
|
|
Ali Baba 40 Chor Aur Supreme Court Of Pakistan Good reply by diplomate
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:31st May 2010, 2:15pm |
|
|
Myrizvi Bhai
hawa kuch ziyada hi bhar di gaye hey shaid...lol
waisy yeh to aap ka husan-e-nazar hey warna banda iss qabal kahan......!!! anyways............................ thanks of both myrizvi & qasim brothers ......!!!
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:1st Jun 2010, 8:20pm |
|
|
Re:
Kisi shayar ne kya khoob parody ki hai, aaj k hukmaranon k liye.....
Ae Watan K Zaleel Hukmrano Sare Raqbay Tumare Lie Hain Kothioon K Talabgar Ho Tum Daalroon($) K Paristar Ho Tum O Zalalat Ki Zinda Misalon Saray Jhagray Tumhare lie Hain Tum Hi Se Hai Budget Ka Khasara Khao Mil K Ab Haq Tum Hamara Aey Jahannum ki Zinda Nishano Sare Fund Ab Tumhare Lie Hain Aey Muqadas Matti K Ghadaaro O America Ki Wafadar Yaro Aaj Jitni b Hain is Jahan Mein Lanatain Sb Tumare Lie Hain Dedicated to Current Leadership of all….. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:2nd Jun 2010, 12:01am |
|
|
Re:
i think is thread main sab ki jurrat ki daad dena paRegi :) beshak pak k awaam par hukmaraan azaab ki tarah musallat haiN lekin kiya aisa nahi lagta k yeh azaab e Illahi ban kar musallat haiN ? har shikast khoorda qaum ka yeh vateera ban jata hae k wo apni khamiyoN ka zimadaar hamesha doosroN ko qaraar detay haiN . mera khayal hae k jab tak awaam sahi nahi hoti koi hukmaraan sahi aa hi nahi sakta. corruption sirf govt level pe hi nahi har level pe hae bas jis ka jahan zor chalnay wali baat hae . inferaadi quwwat hi ijtemaai quwwat banti hae bas zaroorat apnay apnay mohaasbay ki hae k phir hasb e haal kuch aur hoga (inshAllah)
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:6th Jun 2010, 2:01pm |
|
|
Re: Touba hae bhai. Kitne dil jale bethay hain yahan. Watan ki muhabbat main itne jazbati ho jaate hain ke pta hi nahin chalta k RULE OF LAW hota hae ya ROLL OF LAW. Mera kheyal hae iss hakoomat ko poora haq hae ke yeh apna time poora karay kyun ke isay hum logoon ne hi apne oper musallat kiya hae. Inn logoon ke bar bar aane ki wajah hi yeh hae ke inhain time poora nahin krne dia jata aur kisi shab-e-khoon ke baud yeh dobara hero bn ke aa jate hain. Agar time poora krne dia jaye you inhain b ehsaas ho ga ke hum ne apne ache kamoon ki wajah se hi dobara awam ki adalat main jana hae. Doosra rasta inqilab aur bay laag ehtsaab hae jis main doodh main pani daalne walay se le kar Chief Justice tk har corrupt bnda pakar main aaye. Mgr aisa kon hae jo yeh kaam kr skay. Agar aesi shakhsiyat hi hamaray paas nahin hae tou behtar hae isi system ko moqa dain kyun ke no doubt logoon ko sab ki haqeeqat ka pta chal raha hae. Logoon ko pta chal raha hae ke kon kitni corruption kr raha hae aur kon kharab pati leader 5000 rupees tax de raha hae. Yaqeenan next elections main awam aise logoon ko reject kr de gi. |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:6th Jun 2010, 2:30pm |
|
|
re Mera khiyaal hay yaa mostly logo kay pas at least Edit permission mojood hen so agur apko koi spell mistake nuzur aa he jati hay tu edit meah jaa kay Brah kuram ap osy correct kur deya kurin , yahaa log ek cheez ko correct kur sukty hen lakin ni kurty , ek choti see cheez ko correct keya jaa sukta hay lakin some time ek choti see bat kay leyeh mod note tuk day deya jata hayl.
|
mustmust
|
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2008 Topic: 12 Post: 149 Age:
29
|
|
Posted on:27th Oct 2010, 9:07am |
|
|
Ali Baba 40 Chor Aur Supreme Court Of Pakistan Abi Murjeena ki zuroorat hay jo en 40 choro kay mutko meah Tail ondayil kur enko aag lugaa day, or ek inqilaabi tubdeeli aay or koi Inqilaabi soch ka sucha leader aay, humko Gheeduro ki zuroorat nahi, Leaders ki zuroorat hay, woh leader jo
- Nation ki awaz ho
- woh leader jiska focus he Education or Health pur ho
- woh leader jiski soch , jiski soba or shaam apni awaam ki khidmat meah gozry
- woh leader jo mahelo meah rehny wala nahi ho
- woh leader jis meah Iqtadaar ki hiwaas na ho
- woh leader jiska muqsad he apni nation ki bonyaadi zuroriyaat ki asaani say Turseel ho, koi bhooka na soy,
jub kay humary yeh Naam nehaad leaders , ek collation governament meah hoty howy be apus meah dus-o-gurabaan hen, apni awaam ko bewakoof bunaa ray hen , mutlaab any pur apni zaati advantages kay leyeh Ghudy ko baap bunaa laty hen, ek dosry ka khoon kurty hen, lasho pur Siyaasat kurty hen, dono hatho say Qom kay khuzaany ko lot kur es molk ko noksaan ponchaa ray hen, Mojooda hukoomat ki Ghyr sunjeedghi ki inthaa hay, adam-a-Tahufozz , serf ek Ehsaaas bhe dilaa dati es awaam ko kay onko apny Tahufoz ka ehsaas ho, log apny ghuroo meah apny ap ko mehfooz nahi sumajty, pory country ka bayra ghurk kur kay rukh deya hay, industry sumayt, enki bay hisi, la purwaai, ayaashi, ghyr sunjeedghi, corruption ko dakh kur awaam or mohib-a-watan pakistani khoon kay aansoo roo ray hen , Allah kury Ali baba chaless choro sumayt Funaah ho, or es molk ko chain nuseeb ho, humko leaders ki zurorat hay Ghedurs ki nahi , PPP, MQM, ANP, PML N yeh sub colation partners hen lakin apny apny mutlab kay leyeh ek table pur or awaami problems ka jub time ataa hay solve kurny ka yeh apni siyasat chumkaaty hen, yeh sub es molk say fare nahi hen , es awaam say fair nahi hen, eno Ali baba or chaleess choro say tushbee dana bilkol theek hay,
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|