pervaiz musharaf... Re:- "Pervez Musharraf saheb ne kaha hai keh agar Supreme Court onhai talab kare gi tu woh hazir ho jaaye ge."
yeh banda brra chalak aur dohrey miyar ka insan hey iss ka zahar kuch aur batan kuch aur hey waisy to pakistan main sab hi siyastdanoon ka yehi hal hey laiken yeh sahib unn sab sy 2 hath agey hain
1998 main nuwaz shareef ki Government main Indian Prime Minster ATal Behari Wajpaie ka Pakistan main visit tha yeh sahib uss waqt Pakistan k Chief Of Army Staff they inhain Pakistani P.M ki trf sy order mila k aap ny indian P.M ko Guard Of Houner paish krna hey to in sahib ny Pak P.M ki bat yeh keh kar refuse kar di k janab meri Army Training jis dushman ko samny rakh kar ki gaye hey main uss dusman mulak k P.M ko har giz solute nahi kroon ga..aur iss ny aysa hi kiya ... iss ny Indian P.M ko solute nahi kiya....
uss waqt k media main jab yeh khabar i to pervaiz musharaf ki hubal watni ko buhat sraha geya aur uss ki azmat aur jurat ko salam paish kiye gaye..
LAIKEN
yehi perwaiz musharaf jub 2003 main bahasiyat-e-President Of Pakistan SARC conference main baitha howa tha to wahan iss ny khud sy apny ussi dushman sy jaker achanak musa'hifa kr liya..... jis dushman ko kal tak yeh solute krny ko tyar nahi tha.us sy aaj hath milany ki wja kia bani..
iss bat ki wja yehi thi k 1998 k bad 2003 tak k safar main iqtedar k nashy main bad mast yeh banda iss qadar doghala ho chuka tha k issy apny siwa koi dosra nazar nahi araha tha jahan sy b mal milta utha raha tha...aur iss iqtedar k beja protocol ko tool dainy ki har mumkin koshish mai mashghool tha ..iqtedaar k chin jany k dar sy apna dohra miyar dikhaty howy har dushman ko b galy laga rha tha
aaj b ussi iqtedar k nashy ko mis krty howy apna dohra miyar dikha raha hey aur iqtedar k hasool ki race main shamil hony k liye dobara sy panja azmaie krny ka khuwahan hey ...taham jab tak is mulak-e-aziz main iss bandy ko apny aqa yani amrica ka ishara aur asheer abad nahi mil jati tab tak iss ny Pakistan ki trf mu b nahi krna.... |