|
Bad_Boy |
Group: Members
Joined: 31st Aug, 2009
Topic: 3
Post: 3
Age: 24
|
|
Posted on:8th May 2010, 12:47am |
|
|
Na Mehram Mard Aurt Ka Apis Main Taluq : Islam Kia Kehta Hey ?
meri umar 21 saal hai.mera masla ye hai k mein aik larki se pechle 3 saal se relationship mein hun hum dono aik dosre se bohat piyar karte hain.humara rishta b bohat pak saaf hai.mein aus se shaadi b karna chata hun. peechla hei dino mein na ye ayat sunni "aur pakbaz aurton k liye pakbaz mard hain aur napak aurton k liye napak mard" main poochna chahta hun k humara aik dosre k saath baatein krna aur relationship rakhna jaaiz hai?dosra k mein ais kabil abi nai k shaadi kr sakon aur agr humara aik dosra se baat krna b jaaiz na hua aur mein aus se shaadi b karna chahon aur lekin aus main b 3-4 saal aur lagain gay to hum dono aik dosre se baat kiya begair kesa muhabbat zinda rakh pain gay? jb humara aik dosre se koi rabbta hei nai hoga to hum mubbat kesay zinda rakh pain gay shaadi hone tak?aise main humain kiya krna chahiye?
|
saim1 |
Group: Members
Joined: 23rd May, 2008
Topic: 40
Post: 4355
Age: 32
|
|
Posted on:8th May 2010, 3:29am |
|
|
Bad_boy jahan tak mujhe maloom he
tu Islam may namahram ke sath akele may milna sahi nahi he
ab sirif phone par bat karna kis had tak islami tor par sahi nahi iss ka may sure nahi hon
app wait kare ke hamre (molana )my rizvi bhai kiya farmate haien
note:my rizvi bhai yahan ke aik member haien kafi kuch jante haien,molana tu may ne ase hi mazaq may kah diya unhe
app unke or dosre member ke reply ka wait kare |
Seemi |
Group: Members
Joined: 11th Sep, 2007
Topic: 30
Post: 4946
Age: 24
|
|
Posted on:8th May 2010, 4:04am |
|
|
Bad_boy Aap ka kisi bhi na-mehram larki se kisi bhi qisam ka rishta rakhna jayiz nahin hai..
Kisi bhi muslaman mard ya aurat k liye yeh jayiz nahin k woh shadi se pehlay or baad mein kisi ghair-mehram se kisi bhi qisam ka zehni ya jismani taluq qayam karay.. Pyar sirf mian biwi k darmiyan jayiz hai.. Baqi sab filmon or dramon k qisay hien or in ka haqeeqat se koi taluq nahin hota... |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4217
Age: 32
|
|
Posted on:8th May 2010, 8:32am |
|
|
bad boy agur apko wo lurki pussund hay tu ap NIkah ka paghaam osky parants ko bheaj sukty hen, eskay elawa aap ziyada contact ni ruhkin tu achi baat hay, eskay sath apko jo link deya hay ap osy study kurin ku kay os meah sub batin tufseel say biyaan kur dee ghi hen, agreed with seemi reply too
|
saad awais |
Group: Members
Joined: 24th Jan, 2010
Topic: 6
Post: 55
Age: 27
|
|
Posted on:8th May 2010, 12:36pm |
|
|
BAD BOY SALAM bahi bat ye hain jo tumny sorha soni ya parhi hain wo belkol thek hain wo sorha noor ki ayata hain os main ALLAH pak ny boht c bati k bary main baty hain or wo sorha zeyada tar urto k pardy or in k ahkamt par hain tu bat ye hain bahi jesy dr qasim ny kaha hain k app on k gahr walo sy bat start tu karo tak on k zheen main app ajo k ye hamri beti ka hat mangna chaty hain os ko pasand karty hain tak larki ko b umeed ho or appko b is tarha app is umeed k sahry par hi appni muhbat zenda rkho na k kahwabo ki dunya main rehy kar galt or bori harkty karo or gunha gar ho jao larki ko b samjhao k wo namz parhy gahr walo ko many or app b mano appni bat ko start karo tak umeed ki koi kiran nazar ay inshALLAH |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2485
Age:
|
|
Posted on:9th May 2010, 10:51am |
|
|
agreed wid seemi 1. ab tak jo howaa so howaa...Allah say apnay abeqah amal (aik naa.mahram say rabt zabt) ki maafi maangaiN aur oss laRki say milna julna aur phone par ghair zaroori baat cheet (i.e. love relations) fauran tark kar daiN.
2. agar ap dounouN "real love" kartay houN aur Allah say dartay bhi houN to ap dounouN maiN say kissi ko step-1 maiN koi etraaz nahi hosaktaa
3. phir ap dounouN apnay apnay parents ko apni dili kafiyat /pasand say agaah karaiN... aur onhaiN batlaa daiN k onka rishtah Dhoondtay waqt onkay dili jazbaat ka khayaal rakhaiN
4. ap aglay teen chaar saal tak khud ko shadi k qabil banayaiN...career waghairah yaa jo bhi apkay zehan maiN ho... iss dauran ap dounouN aik doosray ka (milay beghair, love affair chalaa.ay beghair) intezaar karsaktay haiN... aur Allah say dua bhi karsaktay haiN k woh ap dounouN ko milaa day
5. islamic taaleem ki roo say bachelor laRki apnay wali (parents) ki marzi k beghair az khud shadi nahi kar sakti... lehaza laRki ko apnay parents ko iss shadi k liyeh razi karna hogaa........ issi tarah parents bhi apni laRki ka nikaah oss ki marzi k beghair nahi kar saktay.......
yeh bataiN ap aik martabah laRki ko batlaa daiN k aap naa.mahram rahtay howay mazeed 'gonaah' nahi karsaktay... iss relation ko issi tarah continue karkay....... agar laRki k dil maiN bhi apnay deen say mohabbat hogi to woh apki baat maan legi....... agar nahi maanti to ap os laRki ka khayaal dil say nikaal daiN... jo laRki apnay deen say mohabbat nahi karsakti, woh apsay bhi mohabbat nahi balkay flirt kar rahi hogi...
|
saad awais |
Group: Members
Joined: 24th Jan, 2010
Topic: 6
Post: 55
Age: 27
|
|
Posted on:9th May 2010, 1:03pm |
|
|
agreed wid mr rizv
sahi bat hain har kam ka b koi tareqa hai
|
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 85
Post: 1947
Age:
|
|
Posted on:9th May 2010, 4:36pm |
|
|
Surah Noor ka tarjuma aur tafseer parhna Nojawan nasal k leye beshumaar faida mand hai aur nuqsan aur ruswai se bachene mein madad karte hai. Surah Noor ke ayat No: 31 ko Mulaheeza kejea...
اور مسلمان عورتوں کو حکم دو اپنی نگاہیں کچھ نیچی رکھیں (ف۵۶) اور اپنی پارسائی کی حفاظت کریں اور اپنا بناؤ نہ دکھائیں (ف۵۷) مگر جتنا خود ہی ظاہر ہے اور وہ دوپٹے اپنے گریبانوں پر ڈالے رہیں اور اپنا سنگھار ظاہر نہ کریں مگر اپنے شوہروں پر یا اپنے باپ (ف۵۸) یا شوہروں کے باپ (ف۵۹) یا اپنے بیٹے (ف۶۰) یا شوہروں کے بیٹے (ف۶۱) یا اپنے بھائی یا اپنے بھتیجے یا اپنے بھانجے (ف۶۲) یا اپنے دین کی عورتیں یا اپنی کنیزیں جو اپنے ہاتھ کی مِلک ہوں (ف۶۳) یا نوکر بشرطیکہ شہوت والے مرد نہ ہوں (ف۶۴) یا وہ بچّے جنہیں عورتوں کی شرم کی چیزوں کی خبر نہیں (ف۶۵) اور زمین پر پاؤں زور سے نہ رکھیں کہ جانا جائے ان کا چھپا ہوا سنگھار (ف۶۶) اور اللّٰہ کی طرف توبہ کرو اے مسلمانو سب کے سب اس امید پر کہ تم فلاح پاؤ
Tafseer Mulaheeza kejea...
(ف56)
اور غیر مردوں کو نہ دیکھیں ۔ حدیث شریف میں ہے کہ ازواجِ مطہرات میں سے بعض اُمہات المؤمنین سیدِ عالَم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کی خدمت میں تھیں ، اسی وقت ابنِ اُم مکتوم آئے حضور نے ازواج کو پردہ کا حکم فرمایا انہوں نے عرض کیا کہ وہ تو نابینا ہیں فرمایا تو تم تو نابینا نہیں ہو ۔ (ترمذی و ابوداؤد) اس حدیث سے معلوم ہوا کہ عورتوں کو بھی نامَحرم کا دیکھنا اور اس کے سامنے ہونا جائز نہیں ۔
(ف57)
اظہر یہ ہے کہ یہ حکم نماز کا ہے نہ نظر کا کیونکہ حُرّہ کا تمام بدن عورت ہے ، شوہر اور مَحرم کے سوا اور کسی کے لئے اس کے کسی حصّہ کا دیکھنا بے ضرورت جائز نہیں اور معالجہ وغیرہ کی ضرورت سے قدرِ ضرورت جائز ہے ۔ (تفسیرِ احمدی)
(ف58)
اور انہیں کے حکم میں دادا پردادا وغیرہ تمام اصول ۔
(ف59)
کہ وہ بھی مَحرم ہو جاتے ہیں ۔
(ف60)
اور انہیں کے حکم میں ہے ان کی اولاد ۔
(ف61)
کہ وہ بھی مَحرم ہو گئے ۔
(ف62)
اور انہیں کے حکم میں ہیں چچا ماموں وغیرہ تمام محارم ۔ حضرت عمر رضی اللہ تعالٰی عنہ نے ابو عبیدہ بن جراح کو لکھا تھا کہ کُفّار اہلِ کتاب کی عورتوں کو مسلمان عورتوں کے ساتھ حمّام میں داخل ہونے سے منع کریں ۔ اس سے معلوم ہوا کہ مسلمہ عورت کو کافِرہ عورت کے سامنے اپنا بدن کھولنا جائز نہیں ۔
مسئلہ : عورت اپنے غلام سے بھی مِثل اجنبی کے پردہ کرے ۔ (مدارک و غیرہ)
(ف63)
ان پر اپنا سنگار ظاہر کرنا ممنوع نہیں اور غلام ان کے حکم میں نہیں ، اس کو اپنی مالکہ کے مواضعِ زینت کو دیکھنا جائز نہیں ۔
(ف64)
مثلاً ایسے بوڑھے ہوں جنہیں اصلا شہوت باقی نہیں رہی ہو اور ہوں صالح ۔
مسئلہ : ائمۂ حنفیہ کے نزدیک خصی اور عِنِّین حرمتِ نظر میں اجنبی کا حکم رکھتے ہیں ۔
مسئلہ : اس طرح قبیح الافعال مُخنّث سے بھی پردہ کیا جائے جیسا کہ حدیثِ مسلم سے ثابت ہے ۔
(ف65)
وہ ابھی نادان نابالغ ہیں ۔
(ف66)
یعنی عورتیں گھر کے اندر چلنے پھرنے میں بھی پاؤں اس قدر آہستہ رکھیں کہ ان کے زیور کی جھنکار نہ سُنی جائے ۔
مسئلہ : اسی لئے چاہیئے کہ عورتیں باجے دار جھانجھن نہ پہنیں حدیث شریف میں ہے کہ اللہ تعالٰی اس قوم کی دعا نہیں قبول فرماتا جن کی عورتیں جھانجھن پہنتی ہوں ۔ اس سے سمجھنا چاہیئے کہ جب زیور کی آواز عدمِ قبولِ دعا کا سبب ہے تو خاص عورت کی آواز اور اس کی بے پردگی کیسی موجبِ غضبِ الٰہی ہو گی ، پردے کیطرف سے بے پروائی تباہی کا سبب ہے ۔ (اللہ کی پناہ) ( تفسیرِ احمدی وغیرہ ) |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2485
Age:
|
|
Posted on:9th May 2010, 7:54pm |
|
|
Jazak Allah paroot bro masha Allah topic say related matter apnay khoob pesh kia hai
|
Bewaqoof |
Group: Members
Joined: 15th May, 2007
Topic: 282
Post: 3724
Age: 38
|
|
Posted on:9th May 2010, 9:08pm |
|
|
apna mazhab aur maslak change kerna
re: "masha Allah topic say related matter apnay khoob pesh kia hai "
Paroot sahib ke baatai hamesha relevant hi hoti hai, lekin on ka lehja etna kharab hota hai keh on ki tamam relevant matter per paani phir jaata hai. Umeed hai keh Paroot sahib apna lehja control mai rakhe tu myrizvi aur ch Babar sahib ko os ka topic sahi aur relevant lage ga. aur apne aqeeda ko nazar saani kerne ka moqa milay ga.
waise aqeeda tu paidaishi hota hai, aur na tu change hota hai aur na hi change kia jaata hai. lekin myrizvi sahib ke mutabiq insaan ko aqal aur mutaala ko istemal kerte huye apne liye sahi aqeeda ka intekhab kerna chahiye. meri nazar mai Paroot ka aqeeda sahi hai, lehaza umeed hai keh myrizvi sahib bhi jald hi Paroot ke aqeeda aur maslak ko apna le ge.
meri theory ke mutabiq kisi ko apna mazhab aur maslak change nahi kerna chahiye. lekin myrizvi ki theory hai keh agar sabit ho jaaye keh apna mazhab aur maslak ghalat hai tu ose change ker lena chahiye. lehaza umeed hai keh myrizvi sahib apne mazhab aur maslak ko change ker ke Paroot ke mazhab aur maslak ko apnane per sanjeedgi se ghor kare ge.
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4217
Age: 32
|
|
Posted on:9th May 2010, 9:13pm |
|
|
aqeeda or Muzhub Muzhub ko ap koi bhe naam day layin lakin agur apka Rasta mostaqeem hay tu apko koi problem nai lakin agur apka rastaa Suraat a mostaqeem nai tu pher apko zuroor sochnaa chaiyeeh lakin bewakoof mujy ap aqeeda or emaan kay mohamily meah kafi damaa dol nuzur aty hen, very confuse
|
Bewaqoof |
Group: Members
Joined: 15th May, 2007
Topic: 282
Post: 3724
Age: 38
|
|
Posted on:9th May 2010, 9:29pm |
|
|
Confuse kon hai? re: " lakin bewakoof mujy ap aqeeda or emaan kay mohamily meah kafi damaa dol
nuzur aty hen, very confuse
"
poori dunia myrizvi, ch Babar, Paroot, Diplomat, Dr. Qasim ke darmian munazra dekh ker achchi tarah jaanti hai keh confuse kon hai.
kia aap log yaqeen se keh sakte hai keh agar dunia ke non-muslim iss mubahisa ko read ker le tu woh Islam se ketne mutaasir hoge. agar koi non-muslim musalman hone jaaraha hoga tu in logo ke mubahisa ko dekh ker musalman hone se qabal hi musalman hone se toba ker le ga. in logo ne aqeeda ke andar khamio ko jetna ujagar kia hai ose read ker ke koi bhi musalman nahi ho sakta.
mai koi confuse nahi hoo, mai tu paidaishi musalman hoo, aur martey dam tak musalman rahoo ga. mera aqeeda paidasihi hai, jo myrizvi ya Paroot ke dalail ka mohtaj nahi. Aqeeda paidaishi hota hai aur woh change nahi hota. sirf kamzor eeman wale aur confuse hazraat hi mobahisa, monazira kerte hai aur phir kamzor eeman wale aur confuse log hi apna paidaishi aqeeda change kerte hai.
mujhe yaqeen hai keh myrizvi, ch Babar, Paroot, Diplomat,
Dr. Qasim mai se koi n koi jal apna aqeeda change kerne wale hai. aur agar aqeeda change nahi kerna hai tu phir yeh log fazool bahas kio kerte rehte hai. aik aisi bahas jis ka na sir hai na pair. aur jis ka na koi nateeja nikalne wala. haa nateeja yeh nikalta hai keh in logo ke bahas mobahisa se Islam ke andar mojood khamio ka dunia khasoosan non-muslim ko pata chal jaata hai.
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4217
Age: 32
|
|
Posted on:9th May 2010, 11:01pm |
|
|
bewakoof please zura ap apna aqeeda a islam explain kurin zura humin b puta chuly apka paydayshi aqeedaa . paydayshi aqeeda keya hota hy, jo pab dada ka muzhub? apnaa lo jesaa b sahi gult ? insaan ko zuror apni islah kurni cha-yeh , meah ek muslim hon or wo aqeeda or on chezo py emaan or ehtaqad rukhta hon jo Nubi pak kay time taah wo nahi jo bhad meah logo nay shukul he bighaar k rukh dee or kisi ek he shuksiyaat say aqeedut ki intahaa meah gomraahi kay undyroo meah chuly gay,
ap sub topics meah jaa kay daykho kon bay-hess kur raa hay yaa tu ap dosro ko Qayil kurin kisi duleel kay sath , ap ki soch montashir hy, koi ek thosss aqeeda ap meah ka nai chay wo paydayshi ya jesa bhe or meah esy agree ni kurta ky paydayshi aqeeeda ya muzhaab change ni ho sukta , jub muzhab change log kur laty tu aqeeda keya chaez hay, agur kisi ka aqeeda gult Quran or sonut or Toheed say tukraao kur ra hy or non islamic hay tu wo ghult hay,or agur insan ko puta or ehsaas ho jata hy tu osy zuror sahi rah ke turaf anaa chayeeh abi cahy koi bhe ho, jaha bat non muslim ki ho rahi tu non muslim fiqaahi ikhtalaaf ki turaf ni aty wo islam ko sumajty hen or sumujna cha-hayt hen ap ka aqeeda mom ki naak ki turaa hy jis ko jidur caha ho mor lo , |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4217
Age: 32
|
|
Posted on:9th May 2010, 11:09pm |
|
|
re mujhe yaqeen hai keh myrizvi, ch Babar, Paroot, Diplomat, Dr. Qasim mai se koi n koi jal apna aqeeda change kerne wale hai. aur agar aqeeda change nahi kerna hai tu phir yeh log fazool bahas kio kerte rehte hai. aik aisi bahas jis ka na sir hai na pair. aur jis ka na koi nateeja nikalne wala. haa nateeja yeh nikalta hai keh in logo ke bahas mobahisa se Islam ke andar mojood khamio ka dunia khasoosan non-muslim ko pata chal jaata hai.
Q na kurin jub onko achi raah or achi bat or suchi bat or wo russi mil jay jiska Allah nay Quran meah kaha or Allah ki rusi ko muzbooti say thaam lo or Tafurkaa na kuro,
abi yaa hur kisi nay dad dat eeent ki musjid bunaa rukhi, Huzrat Ibraheem alaysalam nay Taro ko dekha, sitaro ko dikhaa , chand ko dakha , soruj ko dakaa , or sochaa , keya en meah sy koi mera Rub ho sukta , Allah nay onko Hudayid say Nuwazaa or wo chony howy Bunday thay Allah kay or ono nay Bot purussti jo bab dada ka muzhub taa osy chor deya or Allah or toheed pay emaan muzboot or wo Allah ky burgozeeda bundy they, !400 sal phely sub non muslim tay bab dada moshriq or bot purusst tay keya ono ny apna muzhub ni chora or islam qubool keay,? keya indo pak meah HIndo sikh, ni tay jino nay Islam qubool keya, keya aj soni shiyaa or shiyaa soni ani ho ray ? Aqeeda pay kisi pay zor or zuburdusti koi nai hay Allah ny dono rasty Butaa deye hen or prophets tuk bus ponchaa dena he taah aj humary samny hen seedi raah or tehri raah or agur hum meah say koi essy kumzoor or ghyr shuri Aqaayd rukhta hy tu osy zuror sochna cha-yeh Deen a islaam ki turaaf ayin, soni shiyaa , wahaabi , dubundi etc say hut kay deen a islaam ek rasta QURAN OR SONNUT KA RASTA |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4217
Age: 32
|
|
Posted on:9th May 2010, 11:12pm |
|
|
RE
HUM meah say koi bhe perfect nahi hay lakin hum ko zuror koshish kurni chaa-yeh or Quran or Hudess pay ghor or fikur kurni caha-yeh deen ki assul ki turaf ayin islam ko etnaa moshkil naa bunayen kay log deen a islam say motanufir ho jayin. Allah hum ko Hudayit Ataa kury or suchi or sedhi raah pay chulny ki tofeeq ataa furmay . Aqeeda kay le-yeh Kulma ,Emaan-a-Mofussul or Emaan-a-mojumul or 6 kulmay kafi hen jin pay humara emaan hay or ye he aqeeda a islam hay
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2485
Age:
|
|
Posted on:9th May 2010, 11:45pm |
|
|
paroot ka aqeedah aur bewaqoof howay tum dost jiskay, dushman oska aasman kiyouN ho lol
jiss (kay) aqeeday ko koi Bewaqoof pasand / recommend karay, woh aqeedah ap say ap mashkook hojata hai.... haaaa haaaaaa
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4217
Age: 32
|
|
Posted on:9th May 2010, 11:57pm |
|
|
myrizvi bai
essi bat say apko munaa keya taa lakin ap ek serious topic meah luteefy sonaany ky mood meah hen,
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2485
Age:
|
|
Posted on:10th May 2010, 12:20am |
|
|
Qasim Bai yeh lateefah nahi aik moqah mahal k motaabiq zabaan zad khaas o aam misrah hai jo topic k ain motaabiq hai... ap misrah aur lateefah maiN farq ko feel karaiN.... sirf haaa haaa karnay say koi sanjeedah baat lateefah nahi ban jaati...... haaa haa to maiN nay Bewaqoof k dukh ko kam karnay k liyeh likha thaa lol
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 154
Post: 4217
Age: 32
|
|
Posted on:10th May 2010, 12:30am |
|
|
bewakoof ka dokh
ku onko kon sa dokh hey etny kumzoor dil ka malik nahi onki soch or fikur ka dayiraa kar kafi wuseeh hay, meri bat pay kafi burhaam howy hen confuse wali pay halaa kay on ki post ko aap dakhin true religion wali tu osy bhe lugta hay, jub hum apny ap ko muslimaan kehty hen tu humara ye emaan or aqeeda bhe honaa cah-yeh kay ek islam he ek sucha or true or scientific religion hay, dosry muslak kay ikhtilaf hen or rahyin gay ku kay alag alag school alaag alaag taleemi nizaam, alaag alaag mahaashi halaat en sub ka subbub hen, Islam musaawaat kaa durs detaa hy lakin mussaawat humary aas paas kayin be nai hy jis ki lathi oski bheenss wali baat hay , agur ek Islaahi mohaashira or ek islamic Hukomat ho jis meah Mussaawaat ho buraaburi ho tu kisi bhe muzhab ka insaan os jugaa sukoon say reh sukta hay, hum ko jo koch apny erd gerd nuzur ataa hy ye alag alag system alag alag culture, alag alag Qubeely alag alag Mudrusy , school ki wajaa say h y, Musawaat ho tu ameer ghureeb ek he pury ameer ghureeb he ek saa kahay peyeey lakin esaa koch b ni hy
Bewakoof bat ko rud kur tu daty hen na apna aqeeda paysh kurty hen na kisi ki baat sonty hen, or meah ny last week say en muzhubi behss mobaisssy meah purna chor deya ta lakin aj jany ku meah nay reply kur deya
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2485
Age:
|
|
Posted on:10th May 2010, 10:16am |
|
|
Dr Qasim ki pareeshani kissi bhi insaan ka asal aqeedah woh nah hotaa jiska woh elaan karta phiray...aisay bahoot say log jahannam maiN phainkay jayengay jo dunyaa maiN khud ko mosalmaan balkay bara aur axha mosalmaan honay ka dawaa kartay phirtay haiN... kissi bhi insaan ka asal aqeedah /mazhab woh hotaa hai 1) jiss par oska dilli imaan hotaa hai 2)jo oska imaan hota hai, woh waisee hi bataiN karta hai 3) aur jaisi batai karta hai onhi ar amal karta hai... kissi ka dilil imaan to koi doosra jaan hi nahi saktaa albattah baqyah 2 cheezaiN wazah hoti haiN. net world maiN kisi ka personal amal bhi nazar nahi aataa...... magar oski bataiN hi ossay jannay k liyeh kafi hoti haiN..... Bewaqoof samait yahaan har aik ko bhi oski tahreerouN k ainay maiN easily janaa pahchana jasakta hai... jaisay Dr Qasim k baray maiN har aik bah khoobi jaanta hai k woh aisaa muslim hai jo sirf aur sirf quran o sunnat ko authority tasleem karta hai.....baqi xyz koi bhi ho, ketna bara bhi ho, agar osi bataiN quran o sunnat say match kar jayaiN to Theek warnah onki bataiN phainknay k qaabil haiN.... magar Bewaqoof samait yahaaN k bahoot say log yeh imaan nahi rakhtay... woh apnay apnay maslak aqeeday k taabay haiN... woh apnay apnay molvi, apnay peer, apnay allama, apnay zakir ki bataiN suntay haiN aur onhi ko authority maantay haiN quran o sunnat onkay nazdeeq saanvi hasiyat rakhti hai. iss tarah dekha jaa.ay to bewaqoof confused hargiz nahi, albattah woh sahihul aqeedah logouN ko confuse karnay k mission par gaamzan hai issi liyeh Bewaqoofi ki chadar oRhay howay hai aur confusion say bhari bataiN karta hai...hope k Dr qasim ki pareeshani ab door hogayee hogi
|
|