paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2010, 3:30pm |
|
|
Ahle Haq ko mushrik-o-kafir kehna yeh koi naye baat nahi agar koi Ahle haq per tanqeed karta hai aur usee kafir aur mushrik kehta hai tu usse chahe k ALLAh ke reza k leya sabr karee q k Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam se barh kar kon haq per tha kya unn per zulm-o-sutaam nahi kya gaya leken uunhoo ne kalima haq buland karne se kabhi bhi rukee na balkee apne dushmanoo ko bhi islam k dairee mein lee aii.
aur Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ne hum musalmanoo ke rehnumai k leye aur ess akhree zamane mein ahle haq ke pehchan k leye uloome Gaibeyaa se ALLAH ke ataa se humee nishaniya bhi dee hai k kon haq per hogaa
Ahle najad k leye sahab k mutalbee per dua na farmayen k jaante the aur hadeeso k mafhoom se sabit hai k Najad se sheytan ka grooh niklee ga aur fasad pheelai gaa. aur ess ka zahoor ajj hamare samne hai...
aur buzargaan-e-deen ne apne mootabar kitaaboo mein zikar kya hai k sheytan najad se mohabbat karta hai aur uss ne khud ko najdio ka dost kaha hai... |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2010, 3:54pm |
|
|
Wahabi ka aqeeda wahabi k amal se q takrata hai (PART 2) Wahabi hazrat kehte hai k hum poore quran per iman rakhte hai tu phir uss per amal bhi karna chahe...
Qurane kareem ke Surah Maida ke Ayat No. 35 ka tarjuma hai...
sawal yeh uthta hai k jab ALLAH har cheez k leye kafi hai tu waseele ka hukum q aya????
ab Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ka waseela peshc karna anbiya kiram ka waseela pesh karna Auliya kiram ka sahaba kiram ka waseela pesh karna shirk hai tu kya quran hume shirk ke taleem deta hai waseela tu naikoo ka pesh kya jai gaa kese jamaadar ka tu waseela pesh nahi kya jaraha balkee esoo ka waseela pesh kya jaa raha hai jen se ALLAH razee hai...
Wahabio ka dosra aqeeda yeh k jo maar gaya uss se madad mangna shirk hai aur wo nahi suntaa...
ab parhe qurane paak ke Surah Nisa Ayat No. 64
Dua tu kahi bhi mangee ja sakte hai kese bhi masjid mein mangee ja sakte hai phit Rab ne Madina aur wo bhi Masjid-e-Nabawi jaane ka hukum q deyaa?
Agar Anbiya nahi suntee tu Sarkar Salllallaho Alahe Wasallam k pass q bheeja agar wo aam insanoo ke tarha Wafat-e-zaheere k baad sunne samajhne se qaseer hai tu wo kese ALLAH ke bargaah mein shifaat kareengee??? aur jab ALLAH sab kuch karne per qadir hai tu ALLAH ne waha jaane ka hukum q deya???
Kabhi tanhai main zaroor socheega kuch deer k leye firqa bandee se nikal kar ALLAH ne chaha tu app k dil mein hidayat ka noor zaroor jaal uthe gaa aur kaa dil bhi roshan ho jai gaa agar ALLAH ne chaha tu...
Abhi bhi koi waswasa baqi reh gaya hai tu Qurane kareem ke Surah Tehreem Ayat No. 66 ko tarjuuma parhee.
Apne aqal k goore doora kar hum quran aur hadees ko nahi samaj saktee ess k leye hume Sahiul Aqeeda Aleeeme deen se madad lene chahe naa k baat baat per apne samaj se shirk k fatwee dene chahe..
ALLAH mujhe ko app ko aur hum sab ko Sahiul Aqeeda Musalmanoo aur aleeme deen ke suhubat mein rehne ke taufiq ataa farmaye aur har tarha ke gumraaheyaat se bachai... |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6220 Age:
53
|
|
Posted on:15th Apr 2010, 11:05pm |
|
|
sawal-jawab 1: Nabi ke moot 1 aan k leye hote hai ess k baad wo hayat ho jate hai..
Ans: Please quran ya sahih ahadees say above FATWA ko sabit karain... kissi (so called) buzrug k qaul say nahi
2:Ab sawal yeh hai k Hazrat Moosa Alahe salam ko ess duniya se parda farmayen us waqt tu 2500 saal guzar chuke the unhoo ne kese madad farmayeen???
A: Hazrat Moosa AS zameen par nahi balkay aasmaanouN maiN 'aalamay arwaah' maiN Hazrat Muhammad PBUH ko milay thay. meraaj Nabi kareem SAW ka aik mojzaa thaa... jiss k dauran bahoot see 'anhono', Allah k hukm say 'honi' howi thee. Allah k hukm say nabi kareem SAW nay deger ambeyaa AS samait hazrat Moosa AS say face to face molaqaat ki thee. issi molaqaat k dauraan Moosa AS nay namazouN maiN takhfeef karwanay ka mashwarah dia tha jo ap saw nay 5 namazouN tak 'qabool' kia magar iskay baad mazeed takhfeef karwanay k mashwaray ko 'qabool nahi kia'
Nabi kareem saw nay kabhi iss zameen par rahtay howay kissi saabeqah faut shodah Nabi AS ko 'madad' k liyeh pokara ho to sabit kijyeh jaisaa k aik firqah k log kia kartay haiN :)
3:enn wahabio se sawal hai k Qabar per jaa kar salam q karte hooo.???
A: Salam iss liyeh kartay haiN k Allah k Nabi saw nay aisaa karnay ka wazah hukm dia hai ... kia Aap saw nay aisaa hi hukm faut hojanay walay ambeyaa /buzrugouN say madad maangnay k liyeh bhi dia hai???
4:aur jab murde nahi sun sakte tu esse jaga salam karna sunnat q hai kya yeh hadeeso se sabit nahi???
A: murday suntay haiN yaa nahi ... yeh aik alag abahs hai...... hum salaam iss liyeh kartay haiN k Nabi kareem saw nay iska wazah taur par hukm dia hai....
wazah rahay k jiss baat ka quran -sunnat maiN wazah hukm maujood ho, wahaaN hukm ki wajoohaat jannay k liyeh aqal use nahi ki jaati k hum aisaa kiyouN karaiN aur kiyouN nah karaiN... yahaaN samaa-o-ataa'at ki jati hai..... aur jinn batouN ka HUKM hamaray PEER/ FAQEER/ BUZRUG etc detay haiN wahaaN hamaiN laazman AQAL use karni chhaiyeh yeh dekhnay k liyeh k 1) yeh baat quran o sunnat say matched hai yaa nahi 2) yeh baat aqal k motaabiq hai yaa iskay bar.aks.... coz hum quran, hadees aur ajmaa e ummat hi ISLAM maiN SANAD ka darjah rakhti hai koi indivisual x y z nahi
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:16th Apr 2010, 12:43am |
|
|
Re: hum muslims ka aik almiyah yeh bhi hae k jo wafat pa gaye unhain lekar baith gaye aur jo taleemat thin unhain bhool gaye . Nabi pak salalaho alhay wasallam ka farman hae
" woh hum main se nahi jis k haath aurzuban se doosre muslims mhfooz nahi " Quran pak main hum logon ki 6 khaslitain bayan hui hain k insaan baRa zalim hae,
baRa jahil hae, baRa jald baaz hae, baRa jhagRaloo hae, baRa nashukra hae .
in sab baton k bawajood bhi hum apnay aap ko pata nahi kiya samajhtay hain . aik topic main aik member ne kaha tha k kiya shaheed ki biwi bewa nahi hoti ? kiya unhain dafan nahi kiya jata ? kiya un k bachay yateem nahi hotay ?
aik aur baat k wafat panay ka inteqal karnay ka matlab hae k aik duniya se doosri uniya main inteqal kar gaye yani wahan chalay gaye . maut k baad aik aur zindagi start hojati hae lekin woh is duniya se connected nahi .
Allah pak ne kahan pe farmaya hae k Main akela kafi nahi ? ya Allah pak ki madad k liye kisi aur ki bhi zaroorat hae kyun k Allah pak akela sab ko atta nahi kar sakta ya Allah pak ko aur itnay kaam hain k wahabiyon ki Allah pak sun leta hae baqi aqaid walon ki doosron se sunwa leta hae :) myrizvi bhai ki baat itni comrehensive aur mudalil hoti hae k wahan aur reply ki zaroorat nahi rehti lekin logon ki soch pe afsos kar k mujhay reply karna parta hae kabhi kabhi :) |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
38
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 6:25am |
|
|
Maryam Aap to aaj jazbati he ho gai hain :) yaqeenan aap k reply se bohat farq parrta hae chahay kabhi kabhi he kyun na ho.
jo log Allah ko chorr k dar dar bhatak rahay hain woh Allah k muqam se waqif he nahi hain unho ne apnay khaliq ko pehchana he nahi hae unho ne Allah ko apna Rubb mana he nahi hae . in logon ki to halit ye hae k Allah ko chorr k Allah ki makhlooq ko apna rubb bana liya hae, Olad bhi murday se mangi ja rahi hae, sehet bhi murday se mangi ja rahi hae, riziq bhi murday se maanga ja raha hae......agar ye shirik nahi hae to pata nahi shirik kis ko kehtay hain. agart qabar parasti shirik nahi hae to bechara hindu aisay he badnam hae agar ek murda kisi ki taqdeer ka malik ho sakta hae to butt kyun khuda nahi ho sakta ??? ye sari wus'atain muslmaan k liye he hain ???
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3213 Age:
35
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 12:48pm |
|
|
Hazar Nazar aur Alim ul Ghaib Re : "maut k baad aik aur zindagi start hojati hae lekin woh is duniya se connected nahi" .
main iss baat sy agree karta hoon taham aik baat mazeed karna chahoon ga k mout-o-hayat k bary main yeh jo falsfa bayan kiya geya hey wo sirf aur sirf insan k uss "jussa" sy talaq rakhta hey jisy hum "jism" "nafas" ya "wajood" ka naam daity hain ...iss falsfey a qatan taluq insan ki rooh sy nahi hey q k insan ki rooh ka taluq insan k marny k baad b iss jahan main qayem rehta hey
mazeed yeh k yeh baat aam insan k bary main hey jo k har waqt gunah ki lapait main rehta hey jahan tak baat hey sarkar-e-doalim (s.a.a.w) k bary main to sab sy pehly hmain aap (s.a.a.w) k bary main apny concept ko clear karna hoga...jo log aap (s.a.a.w) ka rutba aur muqam apny brry bhai jitna ya hum jaisy aam insan k miyaar-e-zindgi ko zahan main rakh kar aap (s.a.a.w) ka miyaar samjty hain ya ikhtraam karty hain wo kisi sorat b nabi pak (s.a.a.w) ki shan aur miyaar ka dark kar hi nahi sakty
Quran Majeed ki surah No.105 (Sorah Al Feel) ki pehli ayat main irshad-e-bari ta'ala hey..
Bismi Allahi alrrahmanialrraheem. 'Alam tara kayfa faAAala rabbuka bi-as-habi alfeel. tarjuma >kia (Ey Muhammad <s.a.a.w>) aap ny nahi daikha k hum ny hathi waloon sy kia salook kiya"
khuda ta'ala apny nabi(s.a.a.w) ko is aya majeeda k zariye wo waqt yad dila reha hey jub "Ibraha" ny Kaba pr hathi bardaar lashkar k zeriye hamla kar diya aur khuda ta'ala ny apny ghar ki hafazat karty howy iss hathi bardar lashkar pr ababeel (prinda) k zariye kankriyoon (stones) ka hamala kiya aur nateeja main "Ibraha" k lashkar ko shakasat hoi...
yeh waqiya uss waqt ka hey jub Aap(s.a.a.w) ka zahiri wajood mubarik iss duniya main nahi aya tha aur aap(s.a.a.w) ki zahiri hayat-e-tayba ka iss duniya main abi aghaz nahi howa tha Jo sarkar-e-doalim (s.a.a.w) apny zahiri wajood main na any sy qabal b hathi bardaar lashkar ki shakast ka haal daikh sakty hain kia wo sarkar-e-dojahan(s.a.a.w) iss zahiri wajood k iss duniya main any pr aur aker chaly jany k baad iss duniya main hony waly waqiyaat ko nahi daikh sakty..yaqeenan daikh sakty hain q k aap(s.a.a.w) hazar-o-nazar aur alim ul ghaib hain..aur iss baat ki guwahi khud Quran Majeed iss mazkoora aya majeeda k zriye prov kar raha hey....(walla ho ilam bis-swab) |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 3:15pm |
|
|
Jaha se chale the wahe kharee hai... !!! murday suntay haiN yaa nahi ... yeh aik alag abahs hai......
jes baat ka jawab nahi wo behes alag ho gaye.... Wah Wah... Kya baat hai!!!
app k pass jawab nahi leken main ne de deyaa
yeh amal sunnat hai ess se kese ko aiteraaz nahi naa he yeh pocha gaya hai k sunnat hai ya nahi leken jab yeh sunnat hai tu ess k bar khelaaf aqeeda galat he hogaa.
Har sunnat mein hekmaat hai yeh alag baat hai k sab sunnaton k hekmaat musalmaan nahi jaante...
ess sunnat se saaf zaheer hai k Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ne harf-e-nida YA k sath qabar waloo ko salam kyaaa.
Jab 1 aam musalmaan ke quwat-e-samaat barh jate hai tu Auliya ke kya shan hogee phir sahaba ke kya hogee phir Anbiya ke kya hogee Phir Imam-ul-Anibiya ke kya hogeee.
app ne amal ko tu maan leya leken apna aqeeda durust nahi kya yeh kaha ka islam hai k jes cheez per amal karte ho leken aqeeda nahi rakhte...
App ka aqeeda hai k jo ess duniya se gaya wo tu kese ke awaz nahi sun sakta leken ess hadees se saaf zaheer hai aur yeh tu sirf 1 aam musalmaan ke baat hue hai.
App ne mujh se refernec manga aur app ne khud without referenc deye accept kar leya k Hazrat Moosa Alahe salam ne madad ke ess ummat ke...
app ka aqeeda tu yeh hai k jo maar gaya yani ess duniya se chala gaya ab chahe alaam-e-barzaag main ho ya kahe bhi ho uss se madad mangna tu shirk hai aur na wo madad kar sakta hai jo ess duniya se chala gaya naa k alam-e-arwaa mein tu phir app ne kese yeh madad maan lee aur kese ess madad ko accept kar k 5 namaze parhte hai...????????????????
ess thread ko karee nigraane karne wala koi wahabi mod ne mere unn qurani ayato ko delet kar deya jo yaha post ke the...
App ne abhi tak Surah Nisa ke Ayat 64 ka tarjuma aur tafsse dil k ankho se dekhe aur parhee...
وَمَاۤ اَرْسَلْنَا مِنۡ رَّسُوۡلٍ اِلَّا لِیُطَاعَ بِاِذْنِ اللہِ ؕ وَلَوْ اَنَّہُمْ اِذۡ ظَّلَمُوۡۤا اَنۡفُسَہُمْ جَآءُوۡکَ فَاسْتَغْفَرُوا اللہَ وَاسْتَغْفَرَ لَہُمُ الرَّسُوۡلُ لَوَجَدُوا اللہَ تَوَّابًا رَّحِیۡمًا ﴿۶۴﴾
او رہم نے کوئی رسول نہ بھیجا مگر اس لئے کہ اللّٰہ کے حکم سے اُس کی اطاعت کی جائے (ف۱۷۵) اور اگر جب وہ اپنی جانوں پر ظلم کریں (ف۱۷۶) تو اے محبوب تمہارے حضور حاضر ہوں اور پھر اللّٰہ سے معافی چاہیں ا ور رسول ان کی شِفاعت فرمائے تو ضرور اللّٰہ کو بہت توبہ قبول کرنے والا مہربان پائیں (ف۱۷۷)
(ف175)
جب کہ رسُول کا بھیجنا ہی اس لئے ہے کہ وہ مُطَاع بنائے جائیں اور اُن کی اطاعت فرض ہو تو جواُن کے حکم سے راضی نہ ہو اُس نے رسالت کو تسلیم نہ کیا وہ کافر واجب القتل ہے۔
(ف176)
معصیت و نافرمانی کرکے۔
(ف177)
اس سے معلوم ہوا کہ بارگاہِ الہٰی میں رسول اللّٰہ صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کا وسیلہ اور آپ کی شفاعت کار بر آری کا ذریعہ ہے سیّدِ عالم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کی وفات شریف کے بعد ایک اعرابی روضہء اقدس پر حاضر ہوا اور روضۂ شریفہ کی خاک پاک اپنے سر پر ڈالی اور عرض کرنے لگا یارسول اللّٰہ جو آپ نے فرمایا ہم نے سُنا اور جو آپ پر نازل ہوا اس میں یہ آیت بھی ہے وَلَوْاَنَّھُمْ اِذْ ظَّلَمُوْا میں نے بے شک اپنی جان پر ظلم کیا اور میں آپ کے حضور میں اللّٰہ سے اپنے گناہ کی بخشش چاہنے حاضر ہوا تو میرے رب سے میرے گناہ کی بخشش کرائیے اس پر قبر شریف سے ندا آئی کہ تیری بخشش کی گئی اس سے چند مسائل معلوم ہوئے
مسئلہ: اللّٰہ تعالی کی بارگاہ میں عرضِ حاجت کے لئے اُس کے مقبولوں کو وسیلہ بنانا ذریعہ کامیابی ہے
مسئلہ قبر پر حاجت کے لئے جانا بھی '' جَآءُ وْکَ '' میں داخل اور خیرُ القرون کا معمول ہے مسئلہ: بعد وفات مقبُولان ِحق کو( یا )کے ساتھ ندا کرنا جائز ہے
مسئلہ:مقبُولانِ حق مدد فرماتے ہیں اور ان کی دعا سے حاجت روائی ہوتی ہے۔
apne dil se poche k q yaha apne gunahoo ke maghfirat k leye waseela pesh karne ka aur Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam se madad talab karne ka kaha gaya hai
?????????????????????????????????????????? |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 3:18pm |
|
|
Diplomat App ne kafi ache wazahat keeee.
ALLAH chahe tu zaroor hidayat meel sakte hai...
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 3:22pm |
|
|
Wahabi ka amal Wahabi k aqeede se q takraata hai...(Part 3) Wahabi firqe ka aqeeda hai k Nabi hazeer nazir nahi aur bawastaa Nabi Auliya jese ALLAH chahe yeh karamat deena wo hazir nazir nahi ho sakta..
tu phir sawal uthta hai k Farishto ko kese hazir nazir jaaante hai...
phele bhi yeh post ke gaye leken yaha mojood kese wahabi ne jawab dene ke hemmat na kee ess ko kya samjha jai??????
1 he farishta 1 waqt mein beshumar loogo ke jaan qabz karta hai!!!
2 farishte 1 waqt mein ketne loogo ke qabroo mein sawalat kar rahe hote.
1 he faraishte ko rizq k zimme lagaya hua hai...
Akher enhee q 1 se zeyada jaga per mojood hone ka aqeede ko shirk nahi kaha jata kya farishto ko Anbiya se afzal samjha ja raha hai????????? |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 3:28pm |
|
|
Wahabi ka amal Wahabi k aqeede se q takraata hai... (Part 4)
اِذْ قَالَ اللہُ یٰعِیۡسَی ابْنَ مَرْیَمَ اذْکُرْ نِعْمَتِیۡ عَلَیۡکَ وَعَلٰی وَالِدَتِکَ ۘ اِذْ اَیَّدۡتُّکَ بِرُوۡحِ الْقُدُسِ ۟ تُکَلِّمُ النَّاسَ فِی الْمَہۡدِ وَکَہۡلًا ؕ وَ اِذْ عَلَّمْتُکَ الْکِتٰبَ وَالْحِکْمَۃَ وَالتَّوْرٰىۃَ وَالۡاِنۡجِیۡلَ ۚ وَ اِذْ تَخْلُقُ مِنَ الطِّیۡنِ کَہَیۡـَٔۃِ الطَّیۡرِ بِاِذْنِیۡ فَتَنۡفُخُ فِیۡہَا فَتَکُوۡنُ طَیۡرًۢا بِاِذْنِیۡ وَتُبْرِیُٔ الۡاَکْمَہَ وَالۡاَبْرَصَ بِاِذْنِیۡ ۚ وَ اِذْ تُخْرِجُ الْمَوۡتٰی بِاِذْنِیۡ ۚ وَ اِذْ کَفَفْتُ بَنِیۡۤ اِسْرَآءِیۡلَ عَنۡکَ اِذْ جِئْتَہُمْ بِالْبَیِّنٰتِ فَقَالَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا مِنْہُمْ اِنْ ہٰذَاۤ اِلَّا سِحْرٌ مُّبِیۡنٌ ﴿۱۱۰﴾
جب اللّٰہ فرمائے گا اے مریم کے بیٹے عیسٰی یاد کر میرا احسان اپنے اوپر اور اپنی ماں پر (ف۲۶۴) جب میں نے پاک روح سے تیری مدد کی (ف۲۶۵)تو لوگوں سے باتیں کرتا پالنے میں(ف۲۶۶)اور پکّی عمر کا ہو کر(ف۲۶۷)اور جب میں نے تجھے سکھائی کتاب اور حکمت (ف۲۶۸) اور توریت اور انجیل اور جب تومٹی سے پرند کی سی مورت میرے حکم سے بناتا پھر اس میں پھونک مارتا تو وہ میرے حکم سے اُڑ نے لگتی (ف۲۶۹) اور تو مادر زاد اندھے اور سفید داغ والے کو میرے حکم سے شفا دیتا اور جب تو مردوںکو میرے حکم سے زندہ نکالتا(ف۲۷۰) اور جب میں نے بنی اسرائیل کو تجھ سے روکا(ف۲۷۱) جب تو ان کے پاس روشن نشانیاں لے کر آیا تو ان میں کے کافر بولے کہ یہ (ف۲۷۲) تو نہیں مگر کھلا جادو
Ess ayate kareema se saaf zaheer hai k ALLAH k hukum se uss ke ataa se wo jese chahe qudrat se nawazta hai aur wo qudarat ataai hote hai zati nahi jab k wahabi ka aqeeda ahi k Gariullah se madad shirk hai.
agar koi sunni kahe k ALLAH ke ata se ALLAH k Nabi madad karne per qadir hai tu wo shirk aur jab Rab keh dee k mere ijazat se koi aur murda zinda karne per qadir hai ya mere ataa se Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ko waseela banai unn se madad talab kar aur dar haqeeqat sab ke madad ALLAH he ke taraf se hote hai aur asal maqsad aur madad karne wala ALLAH he hota hai yeh sab zarai aur waseele hote hai tu shirk ka fatwa deya jata hai...
Surah Maida Ayat 110 |
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
26
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 3:52pm |
|
|
Re: Behas bohat taweel hoti ja rahi hai or interesting bhi.. Tamam shamil e behas members se guzarish hai k tahamul ka daman haath se na choura jaye or tasali or daleel k sath baat ki jaye..
Kisi k aqeeday ko ghalat kehna bazaat e khod ghalat hia. Taham, islaah k liye bahami behas mein koi harj nahin....
Jis mozoo per behas ki ja rahi hia yeh masla Khatam un Nabiyeen Mohammad Mustafa S.A.W k duniya se parda farma janay k foran baad shoroo ho gaya tha.. Kuch logon ka yeh maanna hia k NABI S.A.W is duniya se tashreef le gaye or ab un ka is duniya se koi rabta nahin or bas ab roz e qayamat hi un ka deedar naseeb honay ki umeed hai... Jabke bohat se loug yeh samajhtay hien k Hamaray Aaqa Hazrat Muhamad S.A.W tamam insaanon se afzal hein or unhoon ne sirf is zahiri duniya se parda famaya hai. Mein bazaat e khod dosri baat ko follow karti hon or yeh aqeeda rakhti hoon k pyaray Nabi S.A.W ne sirf apnay zahiri jism k saath is duniya se parda farmaya hai.. mein yeh mehsoos karti hoon k jab mein apnay pyaray NABI per darood bhaijti hon to woh usay qabool famatay hien. Aik aam insaan ki tarah un ko mout nahin aayi k qabar mein dafan kiya or jism ko hashraat ul arz kha chaat gaye.. ALLAH k mehboob ko aap insaanon se mushaba qaraar dena meray khayal mein ghalat hai...
Diplomate bhai ne daleel k saath aik baat ki hai... Mein bhi apni baat k aik daleel deti hon k kyon meray khayal mein Pyaray NABI S.A.W ko mein zinda tasawur karti hon...
ALLAH mian Quraan Pak mein farmatay hien...
وَمَا كَانَ لَكُمْ أَن تُؤْذُوا رَسُولَ اللَّهِ وَلَا
أَن تَنكِحُوا أَزْوَاجَهُ مِن بَعْدِهِ أَبَدًا ۚ إِنَّ ذَٰلِكُمْ كَانَ عِندَ اللَّهِ
عَظِيمًا
(
سورة الأحزاب , Al-Ahzab, Chapter -- , Verse -- )
اور تمہارے
لیے جائز نہیں کہ تم رسول اللہ کو ایذا دو اور نہ یہ کہ تم آپ کی بیویوں
سے آپ کے بعد کبھی بھی نکاح کرو بے شک یہ اللہ کےنزدیک بڑا
گناہ ہے (۵۳)
ALLAH Taala ne musalmanon ko saaf mana farma diya k Rasool ALLAH S.A.W ko dukh or takleef na pohanchao.... Yahan yeh baat kahi ja sakti hai k yeh hidayat sirf Rasool ALLAH S.A.W k zinda honay tak k liye hai. Lekin aagay ALLAH Pak farmatay hien k tumharay liye jayiz nahin k tum NABI S.A.W k baad NABI ki biwion se nikah karo... Is hukam ka kya matlab howa...? Islaam deen e fitrat hai.. Jab Islaam ne aik Bewah se shaadi karnay ko mustehsan qaraar diya hia to Nabi S.A.W ki biwion se nikah kyon nahin ho sakta...? Islaam mein aik Murda shakhsh ki biwi se shaadi karna afzal hai lekin aik zinda shaksh ki biwi se shaadi bohat bara gunah hai.. or agar kisi zinda admi ki biwi se koi dosra nikah kar k beth jaye to us admi ko zehni takleef ho gi ya nahin? Is ayat se to yehi pata chalta hia k hamaray aaqa Hazrat Mohammad Mustafa S.A.W ne sirf is duniya se parda farmaya hai..
Yahan yeh baat wazeh karna zaroori hai k Shirk or Ishq e NABI S.A.W mein bohat farq hai.. Mangna ALLAH se hi hai, lekin agar waseela Nabi Pak S.A.W ko bana liya jaye to is mein kya burayi hai....
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 4:15pm |
|
|
Seemi Behen sirf app he nahi maante balkee har musalmaan maanta hai yeh alag baat hai k kuch sadee pehel jen firqo ka wajood aya hai wo Ishq-e-Nabi khatam karne aur khud ko musalmaan kehelwahan chahte hai...
jo Sarkar Sallallaho Alahe Wasalllam se zarra bhar bhi mohabbar rakhta hogaa wo kabhi nahi kahee ga k wo aam insan ke tarha thee.
Apne Aqa se ishq uss waqt he barhee ga jab unn ke taleemat ka mutalla kareenge khawa hadeeso se karee buzagaane deen ke kitaboon se karee leken kareengee tu Inshallah badaqeeda loogo k dilo mein Ishq-e-Mustafa ke shama roshan hogee tu zaroor haq ko tasleem-e-kham kareengeee.
رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم فرماتے ہیں : لایؤمن احدکم حتی اکون احب الیہ من ولدہ و والدہ والناس اجمعین۔ رواہ احمدوالبخاری ۱؎ ومسلم ونسائی وابن ماجۃ عن انس بن مالک رضی اﷲ تعالٰی عنہ۔
تم میں کوئی مسلمان نہیں ہوتا جب تک میں اسے اس کی اولاد اور ماں باپ اورتمام آدمیوں سے زیادہ پیارا نہ ہوں۔ (امام احمد، بخاری، مسلم، نسائی اور ابن ماجہ نے حضرت انس بن مالک رضی اﷲ تعالٰی عنہ کے حوالے سے اسے روایت کیاہے۔ت)
(۱؎ صحیح البخاری کتاب الایمان باب حب الرسول من الایمان الخ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/ ۷) |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 4:16pm |
|
|
Suhubat
اسی لئے مولوی معنوی قدس سرہ، فرماتے ہیں: ؎ صحبت صالح تراصالح کند صحبت طالح تراطالح کند۲؎
دورشواز اختلاط یارِبد یارِبد بدتر ازمارِ بد۳؎
مارِ بد تنہا ہمیں برجاں زند یارِ بد برجان وبر ایماں زند۴؎
(اچھے آدمی کی مجلس تجھے اچھاکردے گی، اور بُرے کی مجلس تجھےبرا بنادے گی
جب تک ہوسکے برے ساتھی سے دور رہ کیونکہ براساتھی برے سانپ سے بھی براہے
کیونکہ براسانپ صرف جان کوڈستاہے جبکہ براساتھی جان وایمان دونوں پرضرب لگاتاہے۔ت)
(۲؎ مثنوی ولوی معنوی منازعت کردن امراء با یکدیگر نورانی کتب خانہ پشاور دفتراول ص۲۲)
(۳؎ گلدستہ مثنوی بکھرے موتی نذیرسنزاردوبازار لاہور ص۹۴)
(۴؎ مثنوی مولوی معنوی دفترپنجم نورانی کتب خانہ پشاور ۵ /۶۷)
رسول اﷲ صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم نے صاف حکم فرمایا ہے کہ ایاکم وایاھم لایضلونکم ولایفتنونکم۱؎
بدمذہبوں سے دوررہو اور ان کو اپنے سے دورکروکہیں وہ تمہیں فتنے میں نہ ڈال دیں کہیں وہ تمہیں گمراہ نہ کردیں،
(۱؎ صحیح مسلم مقدمۃ الکتاب قدیمی کتب خانہ کراچی ۱ /۱۰)
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 9:10pm |
|
|
Re:
Nabi pak salalaho alehay wasalam pe jo Darood Parha jata hae woh Nabi pak salalaho alehay wasalam ko paish kiya jata hae aur Nabi pak salalaho alehay wasalam us ka jawab bhi detay hain. is ummat ka amaal nama bhi Nabi pak salalaho alehay wasalam ki khidmat main paish kiye jatay hain . agar Nabi pak salalaho alehay wasalam humsab k darmiyan hon tou daroo pak paish karnay ki zaroorat hi kyun ? Nabi pak salalaho alehay wasalam ki biwiyan tamam ummat ki mayen hain . maan bewah ho bhi jaye tou us se nikkah jaiz nahi hojata . ummulmoineen jannat main bhi Nabi pak salalaho alehay wasalam k hi aqad main hongi . Allah pak ne Nabi pak salalaho alehay wasalam k liye islam pasand farmaya aur rehti duniya tak ab koi naya Nabi ayega na hi koi naya deen. Nabi pak salalaho alehay wasalam apni har sunnat main zinda hain . main koi alim nahi na hi deen ka itna ilm hae k doosron ki baat ko jhutla don lekin Allah pak ka hi farman hae k jab do banday ikatthay hotay hain tou un k darmiya teesra main hota hon . 3 ka 4, 4 ka 5, 5 ka 6 Allah hae . jab humara yeh manna hae k Allah pak humaray har achay buray amaal ko dekh raha hae tou is ka matlab hae k Allah pak har jagah hazir O nazir hae.Allah pak e kahin bhi yeh nahi farmaya k Hum hazir O nazir hain .Allah pak ne apnay namo se 2 naam apnay Nabi pak ko bhi diye lekin is tarah k darja Allah pak ka hi buland raha poora poora shareek nahi kiya .kiya Nabi pak sirf mailad ki mehfilon main hazir hotay hain ? abb jo shakhs mailad karnay ki qudrat nahi rakhta tou kiya Nabi pak salalaho alehay wasalam us k paas hazir nahi hongay ? beshak Nabi pak salalaho alehay wasalam humaray liye waseela hain . jab kisi insan se hi koi hajat ho tou us k mehboob ka wasta diya jata hae . isi tarah Allah pak s mantay huwe bhi Nabi pak salalaho alehay wasalam ka wasta diya jata hae . lekin Nabi pak salalaho alehay wasalam se dirct nahi manga jata k atta karnay wala Allah pak hae . Nabiyon k jism khak main nahi mil jatay aam insanon ki tarah . yeh gunnah hotay hain jis ki wajah se insani jism matti main mil jata hae aur khatam hojata hae. bohat se aise log guzray hain jinki qabar kisi wajah se khuli tou un ka jism sahi salamat tha balkay kafan bhi maila nahi tha tou Nabi tou hotay hi masoo hain isliye un k jism bhi salamat hain . matti mai matti nahi hotay .
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 9:32pm |
|
|
islami issues jab koi islamic topic start kiya jata hae us ka maqsad yeh hota hae k us k mutaliq sab apa apna nazriya batayen Quran aur hadees ki rosni main . ya jo ilm un k paas hae . agar behas moahisa se kisi ki dil shikni nahi hoti tou well n good us k baad topic starter ki marzi k jo baat us k dil ko lagay woh maan lay kyun k har sect k nazriyat O aqaid main farq hae hae .
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 183 Post: 6265 Age:
34
|
|
Posted on:17th Apr 2010, 10:48pm |
|
|
Hazir o nazir es topic py kisi nay motafik hona he ni hy , ye sary essy topics jo paroot bai start kurta hy sary kay sary motanaaza hen or en he topics ko disucss kurty kurty aj islam meah 72 firqy bunay howy, islam meah jub entre ho jayin tu sub say phali cheez jo islam ki boniyaad hy or jis kay leye Allah ny etny nubi or rusool bhejy wo Sherrk hy or esi tummam bato sy dour rehna chaiye jaha sy zura sa bhe shobaa ho sherk ka ku kay ye esaa gonah hy jiski bukshesh be ni , es topic ko muzeed discuss ni keya jay,
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:18th Apr 2010, 6:22am |
|
|
App ka amal tu app he k aqeede se takrata hai!!! Nabi pak salalaho alehay wasalam pe jo Darood Parha jata hae woh Nabi pak salalaho alehay wasalam ko paish kiya jata hae aur Nabi pak salalaho alehay wasalam us ka jawab bhi detay hain. is ummat ka amaal nama bhi Nabi pak salalaho alehay wasalam ki khidmat main paish kiye jatay hain .
agar Nabi pak salalaho alehay wasalam humsab k darmiyan hon tou daroo pak paish karnay ki zaroorat hi kyun ?
Wahabi firqe ka aqeeda hai k Nabi bhi aam musalmaan ke tarha maar chuke hai unn ka tu jism bhi salamat nahi raha (Ma'azallah Summa Ma'azallah) tu phir Nabi kese ummatio ka amal dekhengee??????????????????
Agar app ne ess topic mein mojood kahe qurani ayar last mein jo diplomat ne bhi coat ke uss ko ya tu maan lee ya phir inkar kar deee.
Agar app maante hai uss qurani ayat ko tu hazir nazir ko manna paree ga aur agar inkar karte hai tu beshak hazir nazir ko naa maane q k jo quran ke ayat ka inkar kar dee uss se behes nahi karnee.... |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:18th Apr 2010, 6:26am |
|
|
Hazir nazir Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam apne qabree anwar mein hayat hai aur farishte rooze bhi pohochate hai... aur roohane toor per qabre anwar mein mojood jo dekhna chahe dekh sakte hai ALLAH ke ataa se... Aur jimani toor per jaha jana chahe jetne jaga jana chahe ja sakte hai...
Yeh tareef hai Hazir nazir ke.
Akhir Mehfile milad se q takleef hai. kya apne bachoo ke birthday nahi manate kya sahaba ne ess ke taleem dee kya sunnat hai esse taqreeb karna jese ajj ho rahe hai??????????????????????? |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:18th Apr 2010, 6:28am |
|
|
Doctor Sahab ka FATWA Wah doctor sahab app ne tu apne doctoree ellma ka bakhoobe result deya...
App ne Ahle Haq ko mushrik kaha aur yeh kaha k yeh thread shirk phela rahe hai...
Apne batel aqaid ko nahi chorr sakte ess ka matlab yeh nahi k haq ko shirk kaha jai..
Yaad rakhe muslaman ko mushirk kehne se insan khud mushrik ho jata hai kehne wala ka imana barbad ho jai aur use pata bhi na chalee.
Barahe karam thoda khayal se boole. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:18th Apr 2010, 6:38am |
|
|
Hazir Nazir Hadees se Sabit hai kya????????? Sahi Bukhare aur Muslim ke Hadees k mutabiq
Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ne jab apne chacha Abu Talib ko aag ke gehrai main paya tu usee (Abu talib ko) aag k uper wale tabqee mein laya...
(Sahi Muslim j1 Hd#419)
ess hadees se app ka mushkil khusa hona door daraaz ke musafat se dekhna Hadeeso se sabit huaaa.
Malika Bilqis ka takhta lane k leye Hazrat Sulemaan Alahe salam ne ALLAH se madad q na talab farmayen q apne sahabe se kaha k palak jhapakte mein takht le aoo wo takht jo 2 month ya uss se bhi zeyada door ke musafat per para tha.
Kya hazrat Sulemaan Alahe salam k ess hukum per kya fatwa jaree kareenge???
kya Hazrat Sulemaan Alahe salam ess per qadir na the jo unn ke sahabi ne kya ya Shetanee waswasoo ko door karne k leye aur Badmazhaboo k gumraah aqeedo se bachane k leye unhho ne palak jhapakte mein hukum poora kar deya??
Ab sawal yeh uthta hai k wo hazir nazir nahi the tu kese waha pohoch kar le kar agaye?????????? |
|