aslamaslam |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2009 Topic: 65 Post: 108 Age:
25
|
|
Posted on:8th Apr 2010, 9:00am |
|
|
Hazir O Nazir: Nabi Karim (Saww) Ka Hazir O Nazir Hona
main aksar logon say sunta hoon k AAP (P.B.U.H) mehfil -e- naat pay aaye thay aur log to AAP (P.B.U.H) k pao k nashan b dikhatay hain iss main kitni sacchi hay?
thanks.
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6265 Age:
53
|
|
Posted on:9th Apr 2010, 12:52am |
|
|
Hazir o Nazir: Hayat un Nabi PBUH ka maslah
aik hadees ka mafhoom hai k dunyaa maiN jahaaN kaheeN darood shareef paRha jata hai, woh mujh (PBUH) tak pahonchaya jata hai ... aur jo darood shareef meray (PBUH) rozay par paRha jata hai, woh maiN khud suntaa houN. aik aur hadees ka mafhoom hai k qayamat ki nishaniyouN maiN say aik nishani meri (PBUH) maut hai... yani jab tak maiN (PBUH) wafaat nah paa jaaouN, tab tak qayamat nahi aasakti ... quran ki aik ayat hai k kullo nafsin zaa.e.qatul maut... yaani har zindah nafs ko maut aani hai lehaza yeh to tay hai k jiss khaki soorat maiN hazrat Muhammad PBUH paida howay thay woh wafaat paachukay haiN aur apnay roza.e.aqdas maiN 'madfoon' haiN. aik martabah yahoodiyouN nay onkay qabar e aqdas tak tunnel banaa kar apki qabar tak pahonchna chaahaty thay to aap PBUH nay hakimay waqt k khaab maiN aan kar iski nishandahi ki. chunaanchay haakim nay apki qabar k ird gird gahri khodayee karkay mazboot cementing kardi. lekin in sab haqaaiq k bawajood ummat e muslimah k aik qaleel groh ka "aqeedah" hai k ap saw zindah haiN aur meelaad ki har mahfil maiN maujood hotay haiN...... meelad ki mahfilaiN to poori dunyaa maiN aik makhsoos auqaat /din maiN hoti haiN... goya yeh aqeedah rakhnay walay yeh "samajhtay" haiN k nabi kareem saw bayak waqt sab jagah maujood hotay haiN.......... yeh SIFAT sirf Allah taa'laa ki hai k woh bayak waqt har jagah maujood hota hai......... lehaza above aqeedah haqeeqatan Allah ki sifat maiN Allah k rasool ko shareek karnaa hai yaani yeh shirk hai. yeh aik motanaa'zea issue hai... jo last chand sadyouN ki ejaad hai... sahabah karaam, taabe'een o tabba taabe'een tak yeh aqeedah maujood nah thaa nah hi tab tak meelad waghairah EJAAD howa tha. wallaho aalam bissawab
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3214 Age:
35
|
|
Posted on:9th Apr 2010, 9:49am |
|
|
Re:Hayat un Nabi PBUH ka maslah (Hazir o Nazir)
Myrizvi bhai main aap ki baat sy agree nahi karta..
Nabi Pak (s.a.a.w) hazar nazir hasti hain aur har jaga mojood hain ..main apni iss baat ki chand misaloon sy wazahat krny ki koshish karta hoon
- Quran Majeed main irshad-e-bari ta'ala hy (mafhoom) "Shaheed zinda hain aur inhain murda tasleem mat karo laiken tumhain iss baat ki khabar nahi aur wo apny hissy ka rizaq wasool kar rehy hain"
Nabi(s.a.a.w) ka ummti to shaheed ho kar zinda reh sakta hey aur Quran Majeed k mutabiq hum sab ka iss baat pr emaan b hey laiken jis Nabi(s.a.a.w) k hum sab ummtti hain un(s.a.a.w) k barey main yeh gumaan karain k wo(s.a.a.w) ab zinda nahi hain aur Hazir Nazir nahi hain to yeh baat munasib nahi lagti
- Quran Majeed main irshad hey k (mehfoom) "Pus shaitan ko qiyamat tk ki muhlat di gaye"
aaj hum bahasiyat-e-musliman yeh baat brry josh sy kehty hain k ji mujy to shaitan ny behka diya , bura ho iss shaitan mardood ka jis ki waja sy main ny yeh ghalti kar li..waghaira waghaira...
iss ka matlab yeh hey k hum shaitaan ko to hazar nazir samjtey hain aur apny har gunah / ghalti ka zimey dar b ussy hi thehratey hain aur humary nazdeek shaitan mardood ka wajood to har jaga mujood hey laiken hum kaisy Muslim hain joo yeh baat tasleem karny ko tyaar nahi hain k Aqa-e-Dojahan Sarkar-e-Doalim (s.a.a.w) zinda-o-jawaid hain aur hum sab k darmiyaan mujood hain
dosri baat yeh hy k aya AAP (s.a.a.w) Zinda-o-Jawaid hony k sath sath har jaga tashreef laty hain ya nahi aur agar tashreef latey hain to aik wajood k sath buhat si jaghoon pr bayak waqt kaisy puhanch sakty hain..?
yeh baat unn logo k zahan main ati hey jo aap(s.a.a.w) ka ikhtram apny barry bhai k ikhtram jitna samjtey / kartey hain.. jin logo ka yeh man'na hey k jaisy hum bashar hain aur jaisy hamary mahdood ikhtiyaraat hain aur jaisy hamari zindgi ki zarooryaat hain waisi hi shaid aap (s.a.a.w) ki hain
nahi mery dost aysa nahi hey jis Nabi(s.a.a.w) ka ummti hony ki du'aa taqreeban "123999" ambiya karam(peace be upon them) karty hoon un k bary main yeh aqeeda rakhna ghalt hey
hum umtiyoon k paas khuda ny halan'k mahdood wasail dy rakhey hain laiken phir b behasiyet-e-aam insan hum main aysy kamalat mujood hain ...aur wo (s.a.a.w) zat k jis ko rahmt-e-alameen(s.a.a.w) bana kar baija geya kia un k paas hum sy b ziyada kamalat nahi hoong...yaqeenan hain
iss baat ko samjny k liye aap aj k internet ka wajood hi daikh lain aik aam insan aik tarf baitha duniya k har har kony main jahan internet mujood hey main lakhoon logoon sy bayak waqt chat kar sakta hey baat kar sakta hey na sirf baat kar sakta hey bulky bayak waqt un ko apna chehra dikha sakta hey aur un ka chehra daikh sakta hey (video conference)
aap aik jaga pani sy bharey howey 100 piyaley (Cups / Bowls) rakhain aur un main ghore sy daikhain aap ko sab cups main sy soraj / chand bayak waqt hi nazar aye ga halan'k soraj / chand to aik hi hain
issi trah beyshumaar misalain hain jinhain hum sab umtiyoon aur aam insano main to hona mantey aur tasleem karty hain laiken aap(s.a.a.w) ki zat-e-garami-e-qadar main inn mujazat-o-kamalat ka wajood tasleem karny ko tayar nahi.....!!! WHY.??
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6265 Age:
53
|
|
Posted on:9th Apr 2010, 10:18pm |
|
|
Hazir o Nazir
Diplomate Bhai
maiN nay pahlay hi arz kia hai k ummat maiN hayaatun Nabi saw aik motanaazeaa issue hai...... yeh etni zeyadah sanjeedah aur ilmi topic hai k iss qism k forum maiN iss par kamaa qahu guftagoo mumkin nahi ... har 2 school of thought par books maujood haiN. hum dounouN nay dounouN schools ko briefly bayaan kardia hai. now its upto readers (jo abhi tak iss mauzoo k baray maiN kissi nazarya k haamil nahi) k woh kiss nazaryah ko haqeeqat say qareeb samajhtay haiN... dounouN nazarya durust ho nahi saktaa nah hi dounouN ghalat hosakta hai... aik k nazdeeq doosra ghalat hai.... lehaza iss par mazeed bahas bay kaar hai. dilchaspi rakhnay walay viewers iss mauzoo par ulemaa ki tahreeraiN tafseelan paRhaiN aur haqeeqat tak rasayee hasil karaiN.
|
saad awais |
Group: Members Joined: 24th Jan, 2010 Topic: 3 Post: 64 Age:
28
|
|
Posted on:10th Apr 2010, 3:58am |
|
|
Hazir Nazir
salam
bat ye hain main myrizivi k bat sy agree ho jo on ny likha hain dorst likha k hamry nabi har jaga majood nai hain wo appny roza mubarak main aram farma rahy hai .or jo log ye samjhty hain hamry nabi har jaga majod hain mujy on logo par hrnagi hoti hain k kesy jahel log hain k keya soch rakhtyhain keya hamry nabi saw itny amm sy hain jo har jaga cahly jaty hain mujy ye bat baty mujy 1 b hasdees sy sabt kar do k keya asi koi hadees melti hain k appny kaha ho main falani jaga majood tha app life main asy asy waqyat hoy hain hoy jo apko maloom nai thy tu jabreel asalam akr batya karty thy 1 waqya bat cahlo jab hamri amma hazart ayesha par ilzam laga tha jis ka zekar sorah noor main hain tu ap on sy naraz ho gay thy keya appko os time nai pata cahla k wo paka seert hain ye on par ilzam lagya hain jabreel asalam ny akar ony batya tha k ALLAH k rasool wo paka hain is tahra k or b waqeyat melty hain ab main kon kon ca beyan karo or jo bat appny ki hain quran ki k saheed zenda hain mager ALLAh K PAS tumy onki zendigi ka shaoor nai haseel ye quaran pakb hain ager tum ye bat ko socha kar kehty ho k wo dunya main har jaga majood hain tu nabi pak k jany k bad sahaba akram keyo roya karty thy or hazart bilal ji na ro ro ka bora hal tha on logo ko malom nai tha k nabi pak dunya main majood hain or wo har jaga majood hain on logo sy bahr kar b koi peyra karta tha appsy k onsy zeyada b koli deen isalam janta tha jo aj app logo utha kar tahra ki baty karhy ho keya ho geya hain ALLAH K NABI K BARY MAIN SY SOCHTY HO MELAD KARWATY OR PERH KEHTY HO sona hain k app har asheeq k garh tashreef laty ho hamry gahr b ujla ho jay ya RASOOLALLAH o ALLAH K BANDO dekho keya kehy rehy ho sona hain paki bat nai hain k aty hain sona hain tum mujy 1 b hadees sabt kar do kis sahabi ny ya kis pegambaer ny melad karwaya ho ya koi mehfely karwai ho tum kabi b sabit nai kar saqty paki hadees j sath bukahri sahreef ya koi or hadees wali ketb sy ALLAH K BANDO APNI ISLAH KARO is ko hi bolty hain bidata karna jo k islam main apny sy izafa karna
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:10th Apr 2010, 3:57pm |
|
|
Hazir o Nazir quran ke ayat wo zamana agaya jes mei quran ke ayaat ko irrelevent kaha gaya aur delet kar deya gaya...
ess se baree gumrahe kya ho sakte hai???
Nabi Hazeer Nazir kese hai???
Ahlesunnat ka aqeeda hai
Duniya ka har zarra Nabi k peshe Nazar hai...
1 waqt mein kahe bhi kese jaga ko mulaheeza kar sakte hai...
Roohani toor per ketne he jaga ko mulaheeza kar sakte hai...
Jismaane toor per kese bhi jaga aa aur ja sakte hai...
ketne he jaga per aa aur jaa sakte hai...
tabhe tu app bhi namaz mein apne Nabi ko hazeer nazir maan kar unn per salam bhejte hai aur kehte hai Assalam-o-Alaika Aiyuu Han Nabi (Salam ho ai Nabi app per)
1 waqt mein beshumar muslim foot hote hai aur sab ke qabroo mein 1 waqt sawal jawab sirf 2 farishte kar rahe hote hai 2 farishte 1 waqt mein etne saree qabroo mein kese pohoch sakte hai???? Rooh qabz karne wala farishta kese ke rooh pak mein qabz kar raha hota hai keese ke hind mein kese ke america main 1 waqt mein 1 farishta etne saree jaga kese??????
jab farishto ko yeh taqat haseel hai tu Nabi tu kahi barh kar hai ess se.
1 waqt mein ketnee loogo ko qabar k andar 3rd question yani Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ka chera mubarak dekha kar pocha jata hai yeh koon hai tu etne saree qabroo mein yeh kese mumkin hogaya?????
abhi bhi zehen mein waswasa aii tu yeh goor kar lejea k 1 sharabi bhi tv per beth kar duniya k kese bhi koone mein apne awaz pohocha raha hota hai...
|
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:10th Apr 2010, 5:35pm |
|
|
Hazir o Nazir
i agreed with paroot...
aap ny buhat achi wazahat ki hey..Jazzak Allah..!!
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:11th Apr 2010, 2:58am |
|
|
Hazir o Nazir YA RASOOL ALLAH
Hum sab Namaz mein najaane ketne baar Apne Nabi ko harf-e-Nida "YA" se pukarte hai.
jo Ya Rasool Allah kehte hai wo bhi jo nahi kehte wo bhi pukarte hai aur agar jo naa pukaree tu uss ke namaz he mukammal nahi hoteee.
dekha app ne 1 chota se grooh jes ka wajood 150 saal qabal aya hai wo kehte hai yeha na kaho wo na karo yeh shirk wo shirk agar shirk hai tu wo khud he namaz mein shirk kar raha hai
esse loogo ko apne aqaid ka quran aur hadees ke roshne mein ellm nahi hota ess leye gumraahe aur badmazhabe pheelate hai
Namaz mein YA k sath pukarne per tafseele maloomat k leye yeh thread study kejea ess mein Inshallah app satisfaction ho jaingee.
http://www.forum.noorclinic.com/thread.php?topic=18863 |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
38
|
|
Posted on:11th Apr 2010, 3:47am |
|
|
sirf Allah hazir o nazir hae
myrizvi bhai ne bohat detail se is pe baat ki hae aor main un k reply se agree karta hon.
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:12th Apr 2010, 12:26pm |
|
|
Hazir o Nazir
choole daman ka sath
choole
daman 1 sath hote hai ess ko agree karne ke kese ko zaroorat he nahi
jaha cholee hogee waha daman bhi hogaa. yeh sab ko pata hai!!! Saad awais
agar Quran ke sahi taleemat app ko samajhne ke taufiq meelte tu hargeez esse kaleemat adaa na kartee.. khair sab k naseeb mein hidayat bhi nahi lekhe hai !!! kabhi tarjuume ke sath quran parhna naseeb ho tu zehen khool kar parhea gaaa. taake dosroo per tanqeed se phele apna geeraban app dekh loo. Anbiya aur aam insan yeh wo loog hai jen hoo ne abhi tak Anbiya ke tareef he nahi samjhe Nabi ko kuch barhtar ya bara bhai ka darja dee kar samajhte hai hum ne apna farz poora kar deya jab k esse loog badmazhab aur gumraah aur azaabe naar k haq daar hai... agar nabi bhi sirf wo he karne per qadir hai jo app tu phir app mein aur uss mein kya farq raha???? Anbiya ko anbiya ka rutbaa dee na k apne jesa samjhee wo bahut kuch kar sakte hai jes ka insan taswwar nahi kar sakta... wo apne hathelee per poore kainat ko dekh rahe hote hai... unn ko zarre zarrre ka ilm hota hai chahe duniya se parda he q na farmaale... ALLAH k nabi ke shan ko samajhne k leye apne bateel aqaid ko dimag se nikal kar saaf kejea taake saaf pani apne dimag tak app pohocha sakeee. warna gandee pani mein jetna saaf pani milao wo ganda he ho jai gaa meel kar... ALLAH app ko hidayat dee.
|
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1793 Age:
27
|
|
Posted on:12th Apr 2010, 3:08pm |
|
|
Hazir o Nazir
re: "main aksar logon say sunta hoon k AAP (P.B.U.H) mehfil -e- naat pay aaye thay aur log to AAP (P.B.U.H) k pao k nashan b dikhatay hain iss main kitni sacchi hay?"
agar AAP (PBUH) inssan thay tu phir aisa mumkin nahi hai. Yaqeenan AAP (PBUH) insaan the, jis tarah insaan ki paidaish hoti hai osi tarah AAP (PBUH) ki paidaish huyee aur insaan ki tarah hi AAP (PBUH) ki death huyee. jab AAP (PBUH) aik insan thay tu Inteqal ke baad AAP (PBUH) kisi mahfil mai kaise aa sakte hai.
Inteqal ke baad agar AAP (PBUH) ko kahi dekha gaya hai tu phir yeh bataye dekhne wale ne AAP (PBUH) ka jism dekha hai ya rooh. jism kis tarah dekh lia, agar AAP (PBUH) insaan the aur insaan ki tarah hi AAP (PBUH) ki death huyee tu phir AAP (PBUH) ke jism ka kahi aur aane jaane ka sawal hi paida nahi hota.
aur agar AAP (PBUH) ki rooh aati hai tu phir rooh ko kaise dekha jaa sakta hai, aur rooh ke pao ka nishan kaise ho sakta hai. nishan tu matter ka hota hai jab keh rooh matter nahi hai. aur agar koi rooh ko matter kehta hai tu hamai samjhai keh rooh matter kaise hua.
mera zaati khayal hai keh AAP (PBUH) aik insaan thay, inssan ki tarah paidaish huyee aur insaan ki tarah death. insaan ki tarah woh khana khaate the insaan ki tarah hi woh apni zindagi guzarte the. lehaza aik insaan ke liye yeh mumkin nahi keh woh death ke baad kahi nazar aaye aur on ke pao ke nishan dekhe jaaye. Insaan ki death huyee aur story khatam. death ke baad insaan ki yaad aur ahkamat tu rah sakte hai lekin insaan nahi.
AAP (PBUH) ki mohabbat mai milaad shareef kerna meri nazar mai ghalat nahi hai, aisi mahfil mai shareek hona bhi ghalat nahi hai. lekin yeh samajhna keh os mahfil mai AAP (PBUH) mojood hai logically bilkul ghalat hai.
Note: mera jawab mazhabi point of view se nahi balkeh logical point of view se hai
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 183 Post: 6275 Age:
34
|
|
Posted on:12th Apr 2010, 3:59pm |
|
|
Hazir o nazir
agree with kali zuban reply , Serf Allah hur jughaa hur mkaam pur mojood hy, wo Zaat jo Hur cheez pay Qadir hy, Ghyib ka elm b Allah ko he puta hy , ye sub Khodaai sifaaat hen
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:13th Apr 2010, 2:52pm |
|
|
Badmazhaboo k rang ajj tu pata chal gaya k ketne quran hafiz ho
sirf arabi raatne se quran ka haq ada nahi hota sharaiat mein quran hafiz usee kehte hai jo quran ko saamaj kar apne seene mein mehfooz karta hai...
tumhe tu quran hafiz ke asal definiation samaj nahi aii tu hazir nazir ka masla kya khaak jaante hooo.
aur ha namaz mein attaheyaat mein salam q bhejte ho haf-e-nida YA se yeh tu app k aqeede se takraata hai..
kya kal se bageer salam bheje namaz parhoo gee???
agar esaa karo gee tu kya tumhare namaz mukammal ho jai gee
nahi tu apna bateel aqeeda choor doooo.
ya phir Namaz mein Salam behjo hazir nazir jaan kar...
tum ketne namaz parhte ho yeh tu ab pata chal jai gaaa. |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 183 Post: 6275 Age:
34
|
|
Posted on:13th Apr 2010, 3:02pm |
|
|
Hazir o Nazir Allah ny ek lakh 24 huzaar ubiyaaa logo ki hudayit , whaaz o nussiyaat k leye or khaas kur Shirk ko jur say khutam kurny k leye bhejy hen or Allah ki jo sifaat hen on meh koi shureek ni esi tura hazir o nazir ka akeeda bhe hy jo serf Allah ki sift hy wo he hur jughaa mojood hy hazir or nazir hy, Nabi pak ko elm-a-ghyib hasil ni thaa onko Huzrat gebrail wahi k zuriyee btaaty ty agur koi bat hoti thi ye sub batin Tareekh kaa hisaa hyn k nubi pak (ap pay lakho salam) ko Huzrat Jibrail ny inform kur dyea, esi tura apko elm-a-ghyb bhe jo ataa keya jataa taa wo bhe Allah pak os mokaa ki monasibat sy onko ataa kurty ty full elm-a-ghyb serf Allah ki seft hy esi tura serf Allah pak hen jo zumeen o asmaan hur makaan mojood hen,
en bhes o mobaissoo meh purna he ni chaiye es leye esy wo tomam topics jo firka wuraaiyaat payda kurin dilo meh kudoortyin or nufratyin payda kurin emaan ko damaa dol kurin ensy door rayin shataan hur wakat insaan ko oksaata hy or gomraah kurta hy, es bat ka khiyaal ray shirk esa gonaah hy jiski mugfarat ni Gonah kubeera hy so esky saay say bhe dour rehnaa chaiye,
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:13th Apr 2010, 3:20pm |
|
|
Ellme Gaib or hazri nazir ALLAH ke zaat mein koi shareek nahi uss ka ellme gaib zatee hai aur uss ke ataa se jes ko ellme gaib mela wo atai hai
jab zaate aur atai mein farq hogaya tu shirk kesa???
Bande ko jo ellme gaib mela wo atai tha yani ALLAH ke ata se aur yeh sifat ALLAH ke nahi hai q k uss ka zaate hai kese ne ALLAH ko nahi deya
esse tarha hazir nazir jo ALLAH ke ata se hai wo ALLAH ke sifat nahi q k yeh shan ALLAH ne makhsoos aur apne mehboob ko dee hai aur ALLAH ke yeh sifat atai nahi hai balke zatee hai aur bande mein mojood yeh shan atai hai zaate nahi tu shirk kesa???
app bhi tu kehte hai fala ke nookri se mera ghar ka karch chalta hai yeh q shirk nahi hua????
Allah k bando ko hum maleek kehte hai aam zindage mein yeh shirk q nahi hua???
esse loogo jo Badmazhaboo ke sahubat mein reh kar badmazhabiyaat yaha phela rahe hai unhee chahe k apne islah kare warna khud tu azaabe naar ka haq daar ho rahe hai aur dosro ko bhi gumraahe mein daal kar jahanuum ke taraf le jaa rahe hai...
Maslak-e-Ahlesunnat k jumlaa aqaid quran aur hadees se sabit hai unhee kam ellm loogo ka darmiyaan disscuss kar k phasana maqsood hai agar samajhne maqsood hai tu aii Darul ifta Ahlesunnat mein aur waha ulama aur muftian se behes karee wo app k aqaid ko tatool kar quran se dekha dee gee k app ketne haq per hai. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6265 Age:
53
|
|
Posted on:14th Apr 2010, 4:23am |
|
|
jazak Allah Kali Zuban and 'welcome back' :)
logically apki baat dik ko lagti hai... nabi saw aik insaan thay... anaa bashrekum mislokum... maiN aik bashar houN, tumhari tarah kaa ... aur 'bashar' hotay howay ap saw Allah k nabi aur rasool bhi thay... ap saw saray insaanouN k liyeh aik 'role model' bhi thay ... role model k liyeh zaroori hai k woh "hum maiN say hi ho".... koi 'maafooqul-bashar' hamaraa role model kaisay hosaktaa hai ... aap saw sau jo mojazaat quran o hadees say 'sabit' haiN woh sab k sab 'min jaanib Allah' thay taakay aam logouN ko yeh batlaayaa jasakay k woh Allah k 'muntakhib nabi' haiN
jahaan tak namaaz maiN darood shareef maiN "Yaa Ayyohannabiyo" kahnay ki baat hai to iss say yeh saabit nahi hota hai k har namaaz paRhnay walay k saamnay nabi saw maujood hotay haiN... kia hum nabi saw ko saamnay maujood samajh kar onki saw ibadat kartay haiN ... Yaa namaaz maiN hum khud ko Allah k hazoor /darbaar main pesh hokar Allah ki ibadat kartay haiN...... amaaz maiN "Yaa Ayyohannabiyo" hum iss liyeh kahtay haiN k hamaiN Allah k RTasool saw nay aisaa hi sikhlaya hai......... doosri baat yeh k zubaan o adaab o ash'aar maiN "yaa" ka lufz ghaibanaa bhi use kia jata hai. it is not must k koi saamnay maujood ho tab hi "yaa falaaN" kah kar kuch kaha jaa.ay jaisay....
Ay Quaid.e.Azam! yeh tou nay kaisaa pakistan banayaa jis maiN ..... etc etc...(pakistani awaam ka shikwah).... ab apnay quaid say yeh shikwah karnay walay yeh kabhi nahi "samajhtaa" k quid onkay saamnay maujood haiN yaa onki baat direct sun bhi rahay haiN...
iskay baraks ... agar koi quaid.e.Azam say sanjeedgi say youN mokaahtib ho k .... Ay Quaid.e.Azam! tou hamaray maujoodah hukmaarouN ko aqlay saleem day, inhaiN seedha raastah dikha,... hum awaam ki mushkilaat door farmaa ..... tab yeh Ay Quaid.e.Azam! kahnaa SHIRK hogaa coz 1) kahnay walaa yeh samajh kar Ay Quaid.e.Azam! kah raha hai k woh meray saamnay maujood haiN, meri baat sun rahay haiN aur yeh taqat bhi rakhtay haiN k maujoodah hukmraanouN par asar andaaz ho saktay haiN aur awaam ki help bhi karsaktay haiN etc etc......... in tamaam mafaaheem k saath Yaa falaaN! kahnaa shirk hai k yeh sab khasoosiyaat sirf aur sirf Allah ki haiN k woh har jagah aur har waqt maujjod hota hai aur sab ki suntaa hai aur sab par asar andaaz honay ki ahliat rakhta hai
Allah hum sab ko aqlay saleem day aameen summa aameen |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6265 Age:
53
|
|
Posted on:14th Apr 2010, 4:39am |
|
|
ghair Allah - ko maalik kahnaa yaa - ghair Allah say madaad maangnaa... shirk kiyouN nahi aur kab nahi.
example-1: maiN abhi NCF admin say ... aik post likh kar, onhaiN email karkay, phone karkay yaa onsay milkar apnay liyeh koi see bhi help maangouN to yeh shirk nah hogaa k koi bhi zindah shakhs jo mujh say kissi bhi maamlay maiN bartar /afzal ho meri help karsakta hai..... lekin agar maiN above source of communication maiN say kissi ko use kiyeh beghair ghar baiThay youN kahouN k.... Ay forum admin meri help karo, mera falaaN maslah hul kardo etc etc to yaqeenan yehi baat ab shirk hojayegi.
aik insaan doosray insaan ka MAALIK bhi hosakta hai... jab tak woh oskay 'milk' maiN ho.... oskay maatehat houn, oskay taa'ee houN.... ghulaam /launDi ka aaqaa oska maalik hi hota hai.... officer apnay sub-ordinate ka aik tarah say malik hi hota hai... issi tarah husband biwi ka maalik hota hai... parents kidz k maailk hota hain.... lekin yeh 'milkiyat' kulli nahi hoti balkay Allah ki milkiat k taabee hoti hai............ jaisay aik immediate boss hota hai. yeh bhi maalik hota hai magar company owner (asal maalik) k taabee hota hai. immediate boss 'maalik' honatay howay 'asal maalik' (company owner) ki policy, hedayaat ko nazar andaaz karkay apni marzi nahi chala saktaa...
awaam Vs muftiyaan .... yahaan koi bhi aalim, molvi, mufty nahi... sab ordinary muslim hotay howay deeni maamlaat main aik doosray say mokaalmah kartay haiN... baham ikhtelaafay roy rakhtay haiN aur apnay apnay mauquf ki hemayat maiN daleel pesh kartay haiN.......... lekin iska yeh matlab hargiz nahi k hum maiN say koi member apnay aqeeday k mokhalif aqeeday k kissi bhi aalim /mufty ka moqaablah karnay pahonch jaa ay:) yeh to wohi baat howi k agar kidz apas maiN laR rahay houN aur koi shikasht khanay lagay to yeh kahay mujhay maardia to kaun saa teer maar lia...meray ghar aan kar zaraa meray walid sahab ko to maar kar dikhaa'o lol |
Seemi |
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3829 Age:
26
|
|
Posted on:15th Apr 2010, 4:38am |
|
|
Re: Aqayid or nazariyaat per behas achi baat hia lekin batameezi karna koi ziada achi baat nahi. Baat logic or daleel se ki jaye to ziada behtar hai or tamam logon ka point of view suna jana chahiye. Molvion k afkaar se bahar nikal kar khod apni aqal se sochna chahiye.
Or jahan tak baat Pyaray NABI SAW k duniya se parda farmanay ya wafaat pa janay ki hai to is per daleel k sath behas ki ja sakti hai. |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2010, 6:42am |
|
|
Re:
jab Nabi pak Salalaho alehay wasallam inteqal farma gaye to hazrat Umar RA talwar lekar kharay hogaye . sadmay se un ka yeh haal tha k AAP RA ne farmaya k jo koi yeh kahega k Nabi PAk Salalaho alehay wasallam is duniya main nahi rahay main us ka sar qalam kar donga tou sayedena Hazrat Abbu Bakar RA ne aik ayat parhi jis ka mafhoom hae " har ze rooh ne maut ka maza chakhna hae "Ala Qulle Nafsin Zaiqatul maut. jo yeh mantay k NAbi pak Salalaho alehay wasallam mehboob thay MAbood nahi woh jaan lain k AAp Salalaho alehay wasallam is duniya se rukhsat hogaye hain . har jumeraat ki shab is ummat k amaal Nabi pak Salalaho alehay wasallam ko paish kiye jatay hain jo daroodo salam Nabi pakSalalaho alehay wasallam par parha jata hae woh AAp Salalaho alehay wasallam ko farishtay paish kartay hain jin ka aqeeda hae k Nabi pakSalalaho alehay wasallam hazir o nazir hain woh tou apnay bazurgon ko bhi hazir o nazir samajhtay hain , un se duayen mangtay hain , aise hi logon k naam peeran ditta, peer bakhsh waghera hotay hai . is duniya main kisi ka bhi ilm kamil nahi Quran e pak main ata hae k" tum baray zalim aur baray jahil ho" yahan chotay ka nahi balkay baray ka lafz istemal kiya gaya hae . tou koi alime deen bhi yeh dawa nahi karsakta k woh bara alim hae ya us ka ilm hatmi ya mukamal hae . isliye khud ko sucha sabit karnay k liye doosron ko ghalat sabit karna bhi baray zalimon aur baray jahilon ka kaam hae . Allah pak hi har jagah hazir O nazir hae . Allah pak ne apni sift main kisi ko shareek nahi kiya .
|
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:15th Apr 2010, 3:17pm |
|
|
Wahabi ka amal Wahabi k aqeede se q takraata hai... Wahabi Deobande hameesha se yeh prove karne ke khoshees karte hai k Auliya Anbiya se mangna shirk hai q k wo maar chuke hai aur eese maar chuke hai k maar kar khak mein mil chuke yani jes ka hukum quran nai deya k shaheed zinda hai aur ess mein Anbiya sahaba auliya bhi shameel hai uss ka mutlaqaan inkar karte hai
Maarne ka koi inkar nahi karta moot har jaandaar ko anee hai leken Nabi ke moot 1 aan k leye hote hai ess k baad wo hayat ho jate hai..
Khair ess baat ko jo wahabi 150 saal se na samaj paya ab kya samjhe gaaa.
Wahabi ka aqeeda hai k mutlaqan Gairullah se madad mangna shirk hai yani koi Nabi Wali ALLAH ke ataa se bhi madad nahi kar sakta yani ALLAH usse madad karne ke quwaat dee tab bhi nahi kar sakta...
Saare wahabi jaante hai k Mustanad Hadeeso se sabit hai k ess ummat per 50 Namazee farz hue the aur Hazrat Moosa Alahe salam ke madad se 5 namaze baqi reh gaye
Ab sawal yeh hai k Hazrat Moosa Alahe salam ko ess duniya se parda farmayen us waqt tu 2500 saal guzar chuke the unhoo ne kese madad farmayeen???
kya yeh madad nahi tu aur kya hai???
ess ko ghooma pheera kar koi naam app ke zehen meiin ataa hai???
Agar app ess madad ka inkar karte hai tu app ab ess mooqe per kes per shirk ka fatwa jaare kareenge...
aur Madad ka ab bhi inkar hai tu phir app ko 5 nahi 50 Namazee parhne chahe... q k app k jesa tahueed ka qail tu ess duniya main hai he nahi shayad app akeele hai i think...
Wahabioo ka dosraa bara aqeeda loogo mein fitna phelaane wala yeh hai k jo maar gaya wo pukaar nahi sunta yani Auliya se maat mangoo shirk hai yani jo maar gaya wo nahi suntaa.
enn wahabio se sawal hai k Qabar per jaa kar salam q karte hooo.???
kya qabroo k ander zinda loog hai ya murdaa???
agar murda hai tu salam kesaaa?
yeh tu shirk kar deya app nee!!!!.
aur app ka salam saree qabroo tak kese pohoch gaya qabrastaan tu 1000 gaaz tak bhi pheela hua hota hai murdee tu sunn he nahi sakte phir salam kesa???
aur jab murde nahi sun sakte tu esse jaga salam karna sunnat q hai kya yeh hadeeso se sabit nahi???
ab kes per fatwa jaare kareengee??? |
|