Parrot Kafi interesting behas hoti rahi meri gher mojodgi mein.Informative aur ilmi behas honi bhi chahiye.eik aisi behas jo soch ko nia rukh dey aur ap k knowledge ko update bhi karay.Magar ifsos ka mukam hai k hamara muashra abhi tak ilmi behas ki rooh ko hi na samajh saka.ikhtalaf-e-rai ko taraki ka rasta samjhney ki bajay hum isey apni toheen aur apne nazriat pe hamla o jarihiyat karar daney lagey aur yehi waja ha k hum to pastiyon mein hain aur ehl-e-maghrib bulandiyon pe. Parrot ahab ne behas ka aghaz to achey aur mohazzab tareekey se kia magar ahista ahista patri se utar gaye.Agar wo zabt se kam letey to ilam aur thos dalail ki roshni se hum jason ko qail ker letey aur ain mimkin tha k behas achey mahol mein jari rehti magar mohtram apni daleel ko defend karne ki bajaye firka bandi mein ulajh gaye.Is se mamla ghambeer ho gia. Is mein koi shak ki bat nai k hazoor(pubh) sayyed ul ambia hain yani tamam nabiyon k sardar to yeh to bat kabil e behas hi nai k jab wo tamam ambia karam se behter hain to hamari kia majal k hum un ki brabri ka sochein bhi magar yeh zehan mein rahey k wo bashar hain magar ''afzal ul bashar'' hain aur Allah k khas banday.Allah khaliq ha aur banda us ki makhlok to dono brabar kesy ho saktey hain. Isi tarah jo khasosiat,sifat khaliq ki ho sakti hain wo makhlok ki nai.Nabi (pubh) ko jo khsosiat di gain wo rab ki taraf se wadiat karda then aur imanat thin.Yehi waja ha k ap ka laqb ameen tha.Jis zaat ney deein us ney wapis bhi ley leen.Ap (pubh) ko zindgi kia Allah ki amanat nai thi?Yeh Allah hi hai jo her jaga hazir o nazir ha aur jis ko her zarrey ki khabar ha aur jo guzrey aur aney waley wakt k baray mein janta ha.Chalain maan letey hain k nabi bhi her jaga hazir o nazir hain wo sab kuch suntey hain wo sab kush jantey hain tb phir makhlok o khalik mein kia fark reh gia?Ap surah ikhlas ka mutalia krain kia likha ha us mein?Rab ki wahdaniyat nai to kia ha k rab apni her khasosiat mein yakta ha.Jab nabi(pubh) deen mein ghallu (ziadti) karney se mana farma rahey hain to hum kon hotey hain ziadti karney waley?Yeh ziadti nai to aur kia ha.Mein kehta hon mujha nabi se bohat ishk ha chalo aj fajar k 2 farz ki jaga 4 farz parhta hon to kia meri namaz kabil-e-kabool ho gi?mein ney to apni taraf se theek hi kia k ziada sawab miley magar kia nabi ney yeh kaha? Kia nabi(pubh) k intekal karney k bad kisi eik sahabi ney un ka milad manay ho k ji yeh bara swab ka kam ha ya nabi ney is kam ka hukm dia ho k isey meri wafat k bad zarror manana?agar nai manaya to bohat sakht gunah ho ga.To jis kam ka nabi ney hi hukam nai dia kia akal mein yeh bat ati ha k nabi us ki taeed krain gey nauzo billah.aur to aur us ghar mein bhi tashreef lain gey k jis mein milad ho ga.(Allah ki panah) To pehley to yeh clear ho jae k Hazoor- Akram(pubh) ney yeh hukam dia tha ki nai baki behas phir ho gi...... Baki rahi bat her jaga hazir o nazir honey ki to chalain un ki zindagi se hi kuch misalain pesh e khidmat hain.......... Agar nabi(pubh) her jaga hazir o nazir they to phir un ko is hakeekat ka ilam kyon na hua k Amman Ayesha (ra) pak daman hain? Abdullah ibn e ubai munafik ko k jis ne ap ki pak daman zoja pe tohmat lagai kyon na jan paye? Ap(pubh) ko khaney mein zehar diya gia ap ney tanawal farmaya kyon? Ghazwa e badar k moka pe agar ap ko pehley se ilm tha k musalman fatah yab hon gey to ap ney rab k darbar mein rikat amaiz dua farmai kyon? Hazrat usman bin affan ki shahadat ki jhoti itla pe ap ne suhaba karam se bait li k ap (ra )k khoon ka badla lia jaey ga kyon? aur bohat si misalon se jo yad thin naqsh ker deen.Hazoor akram(pubh) per ilam ka khazana yani quran bazariya e wahi utra.yeh rab ki hikmat thi.Hazrat e jibrael a.s is kam pe mab 'us they.rab ney ap ko alim banaya takey ap muashrey ki islah ker sakain.Ap (pubh) ney wohi ilam suhaba e karam ko muntakil kia yaha tak k yeh ab hamarey pas imanat hai aur is ko imanat samagh k hi hamein aagey phelana hai.Apna marzi ko deen nai banana.jis kam se Allah k nabi ney mana kia ha us kam ko nai karna.Irrelevant baton aur quran o hadees ki man mani tashreeh ka maksad hi koi nai. Sachi bat to yeh k ap to apne ap ko nabi ka ashik keh saktey hain magar mein yehi kahon ga k Aey merey nabi mein sharminda hon.mein to ap ki eik bhi sunnat pe sahi tarah amal na ker paya to ishk kesa....................... Wassalam....
|