sonia89 |
Group: Members Joined: 30th Mar, 2011 Topic: 6 Post: 73 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 3:50pm |
|
|
Financial Problems Solutions - Different Ways and Wazeefa
AOA bros n sis
Im a house wife ... i've done b.com ....
mera problem ye hay k pichlay kuch months se mere hubby ki job ka masla bna hua hay.... hum logon nay baby ka b plan kia hay but financial halaat dekh kr boht pareshani hoti hay .... mein ab khud koi aisa kam start karna chah rahee hun k jis kee madad say mein apnay financial halaat mein kuch behtari la sakoon. mein nay kuch jaga job b talaash krnay ki koshish ki but finally mujhai yehi result mila k its not appropriate for me. Mujhay dress desiging ka boht shok hay ... even k ye meri studied se hat kr kaam hay but i know k mein is kaam ko achay tareekay se kar loon gi.... Plsss ap log mujhay ye bataein k mein kesay ghar se ye kam start kr skti hoon? I mean ghar mein dress tayar kr k market mein rakhwa doon or wahan se sale ho kr mujhay kuch aamadni ho jaey ... Is kaam ko start krnay k liey mujhay kitna minimum investment chahiye hogi? or kis kis cheez ki zaroorat hogi? Plz mujhay reply zerror kren coz m in big financial problem these days. Sath hi agar koi wazeefa ho parhnany k liey to i will be grateful..
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 5:13pm |
|
|
sonia89 aajkal yeh beemari aam hai paksitan main bhi india ki terah k baby plan kiya jata hai
abhi shadi hui hai enjoy kerna hai is liyay bay plan nhn kiya/ abhi financial condition sahi nhn is liyay babay plan nhn kiya etc
insan jab khud aqalmand banta hai to yeh bhi ho sakta hai
ap kon hain babay plan kernay walay yani Allah per bharosa nhn khud per apni job per tah na to allah ne dikhaya k main yeh bhi ker sakta hunjo bhi hai pehlay to Allah se muafi mangain
aur jahan tak bat hai kam ki to woh to ap jahan rehty hain usi hisab se kerna ho ga
karachi aur lahore ki market main feraq hai islamabad bhi alag hai
hum yahan per aisay koi mashwera nhn de saktay
is k ilawa ap k husband market research kerain k kesay ap ki help ker saktay hain
hum muslaman reh gai hain wazeefon tak
SURA FATIHAA ki ayat perhain
IYYA KANAABUDU WA IYYA KANAASTAEEN
Allah behtar keray ga
Allah ap ki problems door keray
aameen
|
sonia89 |
Group: Members Joined: 30th Mar, 2011 Topic: 6 Post: 73 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 5:50pm |
|
|
Janab Wehshi bhai pehlay to shukria k ap nay jawab dia ,,, jesa bhi dia
2nd ye k plan ka matlab yahan ye tha k we just want baby or hamari shadi ko abi 6 month b nahi huey ..we trying from the start ... . hum nay kabi nahi socha k enjoy kro ya financially set ho jao tab baby ho.... but ap ko ye bat smjhni chahiye k insan ko fikar hoti hay k agar hamara guzara mushkil se ho raha hay to baby ko kesay achi trha paalein gey .. ap baat ko kahan se kaha le kr ja rahey hain mujhay nahi smjh aa raha.... is lecture ki zaroorat mujhay nahi thi . agar aisa hota to hum pehlay din se hi baby ki dua na kr rahey hotey.... so plz correct it.
n thx for ur PRECIOUS advice ....
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 6:02pm |
|
|
sonia89 jo kuch likha gay asirif ap k liyay nhn tah balkay un sab k liyay tah jo ais asochtay hain
aur ap ne nhn likha tah k ap ki shadi ko kitna arsa huwa hai
is liyay corection ki zaruret nhn
|
sonia89 |
Group: Members Joined: 30th Mar, 2011 Topic: 6 Post: 73 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 6:03pm |
|
|
.. and my hubby was doing a good job but he had an accident and couldnt join the job for 3 months so he lost the job ...also bcoz of his illness we couldnt try for baby. so in total this is our 3rd month trying for baby.
|
sonia89 |
Group: Members Joined: 30th Mar, 2011 Topic: 6 Post: 73 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 6:05pm |
|
|
thxx thxx ... shadi ko ktna arsa hua is se mere question ka kia taaluq hay? mein nay isi liey baby/shadi ka time/ nahi bataya k is se merer problem pr koi asar nahi pr raha tha ..... its totally off-topic thing that u started...
|
sonia89 |
Group: Members Joined: 30th Mar, 2011 Topic: 6 Post: 73 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 6:06pm |
|
|
thxx thxx ... shadi ko ktna arsa hua is se mere question ka kia taaluq hay? mein nay isi liey baby/shadi ka time/ nahi bataya k is se merer problem pr koi asar nahi pr raha tha ..... its totally off-topic thing that u started...
|
sonia89 |
Group: Members Joined: 30th Mar, 2011 Topic: 6 Post: 73 Age:
27
|
|
Posted on:27th Jun 2011, 6:09pm |
|
|
any female member? if any female member can give me any allowed tips about my question i will be thankful
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:28th Jun 2011, 4:25am |
|
|
sonia sister w salam . aap ki baat main aachi tarha samajh chuki hoon or jin halat ka aap ne tazkira kia main us waqt ko b jheel chuki hoon to mujhay aachi tarha andaza hai kay aap kia soch rahi hon gi or zahir hai jab naya baby aanay wala hota hai to 1 maa kitna kuch dil main sochti hai main us lay lihay ye karoon wo karoon yahan tak kay us ki schooling ki b planing karti hai or jab halat behtar na hon to dil dukhta hai per sister 1 baat p eeman lay aahain kay jaisay hi allah pak aap ko bay se nawazay ga inshallah taala us ka rizq us ki zaroriat allah pak khod ba khod pori kar day ga is tarha kay aap hairan reh jahain gi kay waqai kia ye sab itna aasan tha .................or ham sab ki duahain b aap kay sath hain or sab se aachi baat kay aap ne himmat nahi hari aap apni koshish jari rakhain ab aatay hain aap kay work ki taraf 1) aap ko kam az kam 15 to 20 thousand chahiye starting main 2) aap ko i room apnay ghar ka use karna paray ga jahay aap hangers laga sakain 3) aap kapra lay kar dress design kar kay ek exhibition karain apnay hi area main (us say aap ki publisity ho gi ) 4) different markeets ka survay karain ( kia trend chal raha hai latest fashion kia hai ) 5) or aap different botiques se b contact kar kay kam un ko supply kar sakti hain
ye meri zati rahay hai shayad aap kay kam aa sakay thank u
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:28th Jun 2011, 12:02pm |
|
|
very useful tip by glamour bhai kamaal k mashwaray diyeh haiN apnay to... agar aap issi tarah apna "mashwarah clinic" kaamyaabi say chalaati raheeN to maiN to phir yahaaN "bay.roz.gaar" hojaouNga... mera kia banegaa glamour :) |
yasir_123 |
Group: Members Joined: 11th Feb, 2011 Topic: 4 Post: 380 Age:
29
|
|
Posted on:28th Jun 2011, 4:45pm |
|
|
Dear Sonia.
Aap ki post parhi tu afsos hi hua k kuch mushkil ya muflis waqto ki waja say aap ko mushlkil hay or olad ka silsila bhi isi waja say aap nahi rakhna chathi, yeh tu rakh lijiyay muflisi main ek yehi tu free entertaintment hoti hay :) ..........Kidding dear plz dont mind. Dekhiyay aap Tutions parhana shruu karain or bohat hi mehnat k saath yeh kaam karain takay aap ko recognization milay log apnay bacho ko aap say parhwain. Dekhiyay aap Matric say lekar bcom tak k studets ko parha sakti hain. Specially agar aap kisi apartment main rehti hain tu bohat faida hoga kyu k bohat saray flats hotay hain tu log bohat xiada hotay hain. Pakistan main teen kam esay hain jin main boaht paisa hay, teaching-Eating-Cheating........... Aap khud koi acha Beautician ka course bhi kar sakti hain, or apnay ghar main hi yeh kaam bhi shruu kar sakti hain phir, ilakay ki females aap k pass ana pasand karain gi zaroor..........as u know already bohat c khuateen esa kaam kar rahi hain. aap kapro k kaam main interested hain, lakin khayal rakhiyay ga k uss main bohat huner chaiyay hota hay. khud ko recognized karan bhi mushkil hay. Mujhay nahi maloom ap kis city main rehti hain. Lakin baray shehar main khud ko recognize karana mushkil hay. agar aap khud yeh kaam nahi kar pain tu phir aap ko koi worker hire karna hoga woh salary bhi lega offcourse.,
Allah per bharosa rakhain, soorat wakiya parhain rozana raat ko. Namaz k baad kasrat say dua karain, Allah say umeed rakhain. InshAllah aap k husband ko job mil jaigi. Un say kahain k woh sirf city main job na talash karain, woh out of country bhi CV apply karain through websites, kismat ka kuch pata nahi hota, insaan ki kismat chamaknay per aiey tu esi chamakti hay k woh jiss cheeze ko haath lagata hay woh sona bun jati hay hehe.......... Wish u all best of luck dear.
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:29th Jun 2011, 5:06am |
|
|
rizvi bhai as salam o likum kia howa aap kia keh rahay hain .kia main nay koi galat mashewara dia hai plz batahain ????????
|
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:29th Jun 2011, 6:05am |
|
|
@Glamour
Glamour jee rizvi bhai aapki tareef kar raye hain.. aur keh raye hain k unka ab kia baneiga.. aap nay unkay clinic k saath e apna clinic khol lia hai.. aur pehlay tau colony me sirf rizvi clinic ka e charcha tha.. ab tau glamour clinic k charchay shuru ho jayengay ;) |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:29th Jun 2011, 7:43am |
|
|
hahahaha aray nahi na .................rizvi bhai to bas mashallah .un ka kia mukabla kisi se or main nay apna clinic thori khola hai un kay hi clinic ko join kia hai ...........itni meri himat kahan ...............hai na rizvi bhai ;-p
|
goodmorals |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2012 Topic: 0 Post: 93 Age:
28
|
|
Posted on:26th Oct 2012, 10:20am |
|
|
sonia89 Hazrat Ali (r.a) ki quotation (farman hai) hai, mafhoom. "jab tangdast ho jao jo sadqa kar k Allah say tijarat karo" aap bhi aisa he karain. zaroori nahi k sadqa sirf paisey say kiya jaye ya ziada maal day kar kiya jaye, aap apni hesiat k mutabiq karain, oar sirf aik daffa nahi kuch arsa jari rakhain. insan ki niyat bohot matter karti hai, Allah bhi niyet ko daikhta hai, omeed hai masla hal ho jaye ga.
|
huda shah |
Group: Members Joined: 19th Aug, 2012 Topic: 9 Post: 289 Age:
27
|
|
Posted on:26th Oct 2012, 5:34pm |
|
|
sonia im replying very late..... bcz i was not here dat time..anyways..
ap preshan na hun..ub tak ap k halat bht bhetar ho chuke hungy.ik hadis e pak ka mahfoom hai..... ik bar ik sakhas neh AP SAWW se akhar apni muflasi ka zikar kya tou Ap saww ne fermaya k..jab ghar ma enter ho tou phele salam kro chahe ghar ma koi ho ya na ho..second..surah IKHLAS pharo or phir mujhe pa darood e pak... us sakhs ne aisa he krna shuru kar dya or Allah pak ne use bht nawaza...
SECONDLY..ap dress designing ka business apne ghar se start kren..or isk lye ap faisal abad se kapara mangwayen aapko bht cheap parega..as compare to Karachi isb n Lahore... or..or..ik way ye hai k..ap sample different shops pa b dekhay..usi apki desings ki marketing hogi or..log apko hire kren gy for that work... mere mind ma yhe ideas ayin hain..may b it would b helpful for u... thanks.... |
|