|
DOST_YAR |
Group: Members
Joined: 18th May, 2009
Topic: 17
Post: 125
Age: 22
|
|
Posted on:30th Apr 2010, 11:47pm |
|
|
Muhabbat Kia Hai? What Is Love?
Muhabbat ek esa jazba hai kay jis per bohot kuch likha gaya hai. Shayad ye jazba her zamanay main aam raha hai. Allah nay bhi Insaan ko muhabbat say paida kia. Muhabbat wo shay hai ki jis ki mukamal tareef nahi hosaki. Mera forum members say sawal hai kay:
1. Muhabbat kisay kehtay hai? 2. Muhabbat ki kitni iqsaam hain, jaisay, Allah say muhabbat, Rasool SAWW say muhabbat, mehboob say muhabbat, dunya say muhabbat waghara 3. Pakeeza aur ghair pakeeza muhabbat main kia farq hai? 4. Kia ye kehna durust hai? Muhabbat aur jang main sab jaiz hai? 5. Islam main ishq -e- majazi ki kia gunjaish hai? 6. Ye baat kahan tak durust hai kay Aurat Muhabbat Ka Doosra Naam Hai? 7. Muhabbat ki Inteha Kia Hai?
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 153
Post: 4165
Age: 32
|
|
Posted on:30th Apr 2010, 11:55pm |
|
|
Muhabbat Kia Hai?
Mohubat ek Juzbaa hy , ek feeling jisky bot saary rung hen Jis relation meah bhe ye rung na-payid ho jay wo Relation, relation he ni Rehta , Relationship meah Mohubut zurori onsur hy
|
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 84
Post: 1931
Age:
|
|
Posted on:1st May 2010, 1:21am |
|
|
Mohabbat kya hai 1. Muhabbat kisay kehtay hai? ess ka jawab usse waqt sahi se samaj asakta hai jab yeh kese ko ho. Mohobaat mein apne Gumaa YA ILAHE na pao main apna pata YA ILAHE.
2. Muhabbat ki kitni iqsaam hain, jaisay, Allah say muhabbat, Rasool SAWW say muhabbat, mehboob say muhabbat, dunya say muhabbat waghara Asal mohabbat wo hai jo deen karne ko kehta hai baqi apne ghar waloo se mohabbat aur deegar se mohaabat ke qisme hai jes mein sharait pai jate hai...
3. Pakeeza aur ghair pakeeza muhabbat main kia farq hai? Jaiz mohabbat pakeeza aur najaiz mohabaat ghair pakeeza hai.
4. Kia ye kehna durust hai? Muhabbat aur jang main sab jaiz hai? jab ese shaks ke khud ke jaan per aaparee ge aur samne wala use kahee ga k mohabbat main tu sab jaiz hai ab tu bhi bach kar bata de mujhe se tab wo khud bool uthe gaa k kya jaiz hai aur kya nahi :))
5. Islam main ishq -e- majazi ki kia gunjaish hai? Ishq-e-majazi geer muslimoo ka tareeqa hai jen ka koi deen iman nahi hum muslim ka deen iman hai aur jo rohani lazzat pata hai iman ke wo essa kaam nahi kar sakta ya kar k sache toobat kar chuka hota hai...
6. Ye baat kahan tak durust hai kay Aurat Muhabbat Ka Doosra Naam Hai? ess ka jawab previous jawab main he mojood hai...
7. Muhabbat ki Inteha Kia Hai? yeh tu mohabbat per depend karta hai pakeeza mohabbat hai tu inteha bhi pakeeza hogaa aur agar geer pakeeza hai tu inteeha bhi esse he hogee. !!! |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:1st May 2010, 10:02am |
|
|
mohabbat ki intehaa? yehi sawaal kissi nay allama iqbal jaisay baRay mofakkir say poocha tha k ishq ki intehaa kia hai? apnay jawab dia thaa k iqsh ki koi intehaa nahi... poocha ayaa kphir apnay yeh kiyouN kahaa k .... teray ishq ki intehaa chaahtaa houN.... allama nay moskoraa kar jawaab dia k aglaa misra bhi to dekhiyeh ... meri saadgi dekh, maiN kia chaahtaa houN :) |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:1st May 2010, 10:18am |
|
|
mohabbat 1. Muhabbat kisay kehtay hai? A: yeh aik jazbaati lagaa'o /kashish ka naam hai jo kissi aik fard ko kissi doosray fard, hasti, cheez, kaaam, mission etc say hota hai jo oski no.-1 tarjeeh ban jata hai
2. Muhabbat ki kitni iqsaam hain,
jaisay, Allah say muhabbat, Rasool SAWW say muhabbat, mehboob say
muhabbat, dunya say muhabbat waghara A: yeh sab mohabbat ki halataiN (forms) haiN, aqsaam (kinds) nahi ... jiss tarah energy ki sirf 2 aqsaam haiN kinetic n potential energy... aur baqi sari forms of energy haiN like light, heat, etc etc issi tarah mohabbat ki bhi 2 aqsaam haiN, ishqay haqeeqi aur ishqay mijazi...... baqi sab forms of ishq haiN
3. Pakeeza aur ghair pakeeza muhabbat main kia farq hai? A: ishqay haqeeqi pakeezah hai aur ishqay mijazi ghair paakeezah
4. Kia ye kehna durust hai? Muhabbat aur jang main sab jaiz hai? A: g nahi balkay aik baRay scholar ki roy maiN (jinka naam abhi yaad nahi) yeh kahnaa durust hoga k jang aur mohabbat maiN jo kuch bhi woh sab jaaiz ho
5. Islam main ishq -e- majazi ki kia gunjaish hai? A: bilkul gunjaish hai... magar oss waqt tak / oss had tak jab tak ishqay mijazi say shariyat k kissi qanoon ki khilaaf.warzi nah ho rahi ho
6. Ye baat kahan tak durust hai kay Aurat Muhabbat Ka Doosra Naam Hai? A: asal main aurat aik "jazbaati makhlooq" hai... lehaza yeh mohabbat karay yaa nafrat, yeh dounouN jazbouN k izhaar maiN "shiddat-pasandi" ka mozahera karti hai... aurat chouNkay "takhleeq" bhi karti hai... lehaza har "khaliq" ki tarah iss "khaliq" ko bhi apni "makhlooq" (aulaad) say shadeed mohabbat hoti hai aur chouNkay aurat ki zindagi issi takhleeq k mahwar k gird ghoomti hai, lehaza yeh aam halaat maiN mohabbat ka sar.chashmah hoti hai aur mard ki nisbat zeyadah mohabbat nichawar karti nazar aati hai issi liyeh kaha jata hai k... aurat mohabbat ka doosra naam hai???? waisay aurat ka aik doosra naam aur bhi hai.....kissi nay kia khoob kahaa hai k ay kamzori! tera doosra naam aurat hai :)
7. Muhabbat ki Inteha Kia Hai? A: mohabbat ki koi intehaa nahi, yeh iqbal ki nazar maiN laa.intehaa hai
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 153
Post: 4165
Age: 32
|
|
Posted on:1st May 2010, 11:40pm |
|
|
Eshq o mohubat Yeh Eshq o Tul-lub kay mut-waly bay-kaar ki batin kurty hen.........payal kay Ghum-mo kaa Elm nahi Jhenkaar ki batin kurty hen |
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 29
Post: 4680
Age:
|
|
Posted on:1st May 2010, 12:18pm |
|
|
Re: : ishqay haqeeqi pakeezah hai aur ishqay mijazi ghair paakeezah
ishqay haqeeqi tou Allah pak aur Nabi pak salalaho alehay wasallam se hi hota hae aur zahir hae pakeeza bhi hae lekin ishqay mijazi maiN bhi aulad ki mohabbat, parents ki mohabbat, shohar ki mohabbat, biwi ki mohabbat, behan bhaiyoN ki mohabbat, watan ki mohabbat shamil hae kuch logoN k liye ishq ki had tak bhi ho (may be) tou kiya yeh bhi ghair pakeeza hae ?
A: mohabbat ki koi intehaa nahi, yeh iqbal ki nazar maiN laa.intehaa hai
mera khayal hae k sirf ishqay haqeeqi laa.inteha hae baqi duniya ki koi bhi mohabbat mehdood hae woh ishq nahi kehlai jasakti . aap ka is baray maiN kiya khayal hae ? |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:1st May 2010, 7:45pm |
|
|
hmmmmm asal maiN :mijazi ishq"jetnay bhi haiN, woh sab k sab "ilawaT zadah" haiN. kissi maiN khud.gharzi ki milawaT hai, kissi maiN shahwaniyat ki milawaT hai to kissi maiN kuch, kissi maiN kuch......... mijazi ishq maiN sab say bar.tar ishq aik maaN ka oski aulaad say hota hai... aik maaN apni aulaad k ishq main jahaaN tak jaasakti hai, wahaaN tak koi aur mijazi ishq nahi pahonch saktaa........... magar iss sab say bar.tar ishq ka bhi yeh haal hogaa k rozay hasher maaN apnay doodh peetay bachay tak ko apnay say door kardegi...... yehi maaN apnay oss aulaad ko "aik adad naiki" denay say bhi inkaar kardegi, jiski kami k baaes woh jahannam maiN jaa raha hogaa...
u r rite... sirf ishqay haqeeqi hi laa.intehaa hai.......ishqay haqeeqi bhi chouNkay ishq hi ki aik qism hai lehaza yeh kahnaa bhi durust hai (iqbal k ilfaaz maiN k) "ishq laa.intehaa hai"....... jab hum 2 alag alag type k ishq ko define karengay to phir faraq karengay k mijazi ishq ki aik limited ishq hai jaisay maaN ka rozay hashar apni aulaad say 'behaviour' ishqay mijaazi k 'end' ko zaahir karta hai... jabkay ishqay haqeeqi, iss dunyaa maiN, rozay hashar, aur baad az hasher hamesha hamesh jaari o saari rahegaa i.e. laa.intehaa of Iahqay haqeeqi |
DOST_YAR |
Group: Members
Joined: 18th May, 2009
Topic: 17
Post: 125
Age: 22
|
|
Posted on:1st May 2010, 9:48pm |
|
|
Isq -e- Illahi Vs Isq -e- Majazi Logon ki aara jan ker khushi hui. Mera zati khayal hai kay:
1. Sachi muhabbat sirf Allah Ta'ala ki taraf say hoti hai. Agar koi kisi fani shay say bhi ishq kerta hai to wo isleye kay ye jazba usay Allah ki taraf say milta hai. Muhabbat aur ishq main mubtala kerkay Allah insaan ki Aazmaish kerta hai. Misaal kay toor per main yaha do isq kay waqyat bayan keron ga jo asal main isq-e-majazi thay:
- Pehla waqaya Hazrat Zulekha ka Hazrat Yousuf say bepanah isq. Ziada tafseel main nahi jaonga. Hazrat zulaikah aur Hazrat Yousuf ki azmaish Allah nay kesay ki. Ye sab Quran main mojood hai.
- Hazrat Yaqoob A.S ka isq jo unhain apnay kamsin baitay Hazrat Yousuf A.S say tha kay uskay ghum main ro ro ker nabeena hogaye
Pakeeza aur ghair pakeeza ishq main bada bunayadi ferq hai. Jo isq rooh ka rooh say ho wo pakeeza hai. Jo ishq jism ka jism say ho wo ghair pakeeza hai.
Jahan tak Isq-e-Illahi ka ta'aluq hai wo her kisi ko naseeb hota nahi. Lekin jis kisi nay bhi Ishq-e-Illahi ka maza chakha wo Fana hogaya.
Isq agar fani shay say hoga to uski inteha faqat itni hogi jitni us fani shay ki apni zandagi. Iskay baad sirf hasrat aur khayal baqi rahay ga. Ek maan apnay baitay say nahi balkay uski rooh say isq rakhti hai. Aur ye baat sab ko maloom hai rooh mout kay baad bhi zinda rehti hai. Isleye main ki muhabat us rooh kay saath la mutanahi hojati hai.
Isq-e- Illahi Allah ki zaat ki terah la mutanahi hota hai. Insaan Isq-e-Illahi main fana hokar khod bhi la mutanahi hojata hai.
|
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 72
Post: 2443
Age:
|
|
Posted on:2nd May 2010, 8:28am |
|
|
DOST_YAR hmmm
baqi sab to Theek hai... agar (fani insaan k) rooh ka (doosray faani insaan ki) rooh say ishq pakeezah ishq maiN shamil hai ... aur maaN ka aulaad say ishq issi ziman maiN aataa hai to baad az marg yeh ishq bar.qarar kiyouN nahi rahtaa rozay hashar aik maaN ka ishq oski aulaad say kaisay "khatam" hojata hai k woh apnay doodh peetay bachay ko bhi apnay say door kardegi aur single naiki ki kami wajah say jahannam maiN jaanay wali apni aulaad ko apnay toshay maiN say aik naiki denay ko tayyar nah hogi......... ahadees k zakhheray say to yehi baat saabit hoti hai k rozay hasher koi bandah kissi doosray banday ki fikar nahi karegaa sirf nafsi nasi pokaaregaa... woh aik doosray ko pahchaannay k bawajood aik doosray ka khayaal kiyouN nahi karengay k ishq maiN to apni zaat ki nafi ki jaati hai aur jiss say ishq hota hai, woh tarjeehay awwal qarar pata hai.... yahaaN rooh ka rooh say ishq kahaaN ghaib hojayegaa???
|
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 29
Post: 4680
Age:
|
|
Posted on:2nd May 2010, 10:12am |
|
|
Re: rozay Mehshar sab nafsi nafsi kar rahay hoN.gay aur apni aik bhi naiki apni aulaad tak ko nahi daiN.gay . tamam Anbiya AS bhi us din sirf apnay liye sawal karaiN.gay sirf Nabi pak salalaho alehay wasallam apni ummat ka sawal karaiN.gay aur ya ummati ya ummati pukaraiN.gay isliye Allah pak aur Nabi pak salalaho alehay wasallam se ishq haqeeqi hae.
jab k duniya ka koi bhi rishta ya mohabbat isliye mijai k zumray maiN ati hae k hum log mashroot mohabbataiN kartay haiN . aaj kal tou parents aur bachoN ki mis.aa.laiN bhi samnay haiN jab bahay nafarmaan hojatay haiN tou maan bhi unhaiN dhut.kaar deti hae .isliye duniya k rishtoN ki mohabbataiN mijazi haiN . |
|