Indian Kargil Dam And Pakistan
"kia india ke paas iss dam ko banane ka legal right hai?"
India main iss sy pehly ban'ny waley dams k liye b India k paas legal rights nahi thy laiken uss ny bana liye ....q k India "Asia" ki super power ban'ny k khuwab daikh raha hey aur super powers ka yeh shuroo sy hi wateera raha hey k wo apni man mani karny sy kabi guraiz nahi karty ta'k duniya ko pata to chaly na k super power kia hoti hey...
"kia ikhlaqi tor se ose yeh dam banani chahiye?"
jahan tak Pakistan ya Pakistanio'n k liye india ki tarf sy ikhlaqyaat ka muzahira karny ki bat hey to iss bat ki parwa karna India k liye zarori nahi hey..jisy Sindh Taas Mu'ahida ki parwa na ho uss sy mazeed kisi ikhlakiyaat ki kia towaqqo rakhi jaskti hey...
"agar woh yeh dam banata hai tu Pakistan ko kis had tak problem hoga?"
India k kargil dam ban'ny sy Pakistan ko pani ki tarseel k hawaly sy kafi problems ho sakti hain laiken iss sy pehly "baglehaar dam" "bhasha dam" waghaira sy jo Pakistan ko problems hain abb tak Pakistan uss ka koi hal nahi kar saka..iss liye agar kargal dam bana liya jata hey to nateejy main hony wali problem ka b koi hal ya tadarak nahi kiya ja saky ga...
"Kargil Dam mansooba ko rokne ke liye Pakistan ko kia kerna chahiye?"
Pakistan iss silsly main kuch nahi kar sakta q k almi adalat iss mu'amly main ana nahi chahti...khud India ny sindh taas mu'ahdy ki dajhiyaan bakhair di hain ..uss waqt iss mu'ahida ka main shreek kar aur salis "WORLD BANK" b abb to iss mu'ahida k khatam hony pr khamosh hey...Khity main India ki jo position banti jarehi hey uss ko madd-e-nazar rakhty howy yeh kehna ghalt nahi ho ga k India kargil dam to kia kai aur dams b bana ly to ussy koi rokny wala nahi hey..
mazeed yeh b hey k India apni awam sy mukhlis hey aur awam dosti main wo dosrey mumalik ki dushmini lainy ko b tayar hey aur India ko iss bat ki parwa nahi k uss ki awam ki khushhali ki rah main agar koi parrosi mulik mutasir hota hey to ho....
laiken yahan Pakistan Govt ko yeh manzoor nahi hey k iss mulik ki khush hali b mumkin hosky....yahan to kai arab ki khteer raqam kharch karny k bawjood kala bagh dam ka mansooba khatam kiya ja chuka hey ...iss baat sy b Pakistani awam ko mushkilaat aur takleefat hain aur agar India koi dam banata hey to uss sy b Pakistani awam k liye mushkilaat hi hain....
|