Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

How To Get Better Job In Pakistan?

Career and Success   >>   Job
 
 
irfan123 Group: Members  Joined: 22nd Aug, 2009  Topic: 17  Post: 115  Age:  30  
Posted on:21st Apr 2010, 5:51am
 

How To Get Better Job In Pakistan?

Assalamu Alaikum,   kya haal hai aap ka umeed kerta hon kay aap theek ho gay.
 Main aik problem aap logo say share kerna chahta hon thora bhoot iss baray main guide ker dain.
1.  Main  aik factory main office main computer operator 
     ki job kerta hon lekin main ya job bhoot majboori say ker raha hon mera dil
     nahi chahta ya job kernay ko, 1 year say zaida ho gya hai lekin main kabhi
     bhi khush ho ker nahi gya job per, pahlay main sochta tha kay kisi or
     factory main job dhoodh lon lekin factories ka maahool deikh ker abb mera
     dil nahi chahta iss sector ki taraf aanay ko, meri khwahish hai kay mujhay
     choti moti koi government ki job mil jai, abb age bhi 25 saal say upper ho
     gai hai or mera dil bhi nahi chahta kisi kay pass 8-9 ghantay job kernay ko,
     main apnay future kay baray main bhoot parashan hon or factory say nikl 
     kay koi aisi job
     chahta ho jis main pressure kam ho or duty bhi, kya mujhay government ki
     job mil sekti hai kyun kay government ki job main duties bhi kam hoti hai or
     kaam bhi itna nahi kerna perta, private sector main koi aisa shooba hai jis 
     main pressure or duties kam ho.
     Take care.





myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:21st Apr 2010, 9:19am
 

masla job ka

kuch points apki nazar kartaa houN... shayad apko iss say faislah karnay maiN asaani ho....

1.pooray mulk maiN job crisis hai... bilkhasoos sarkari naukri to nah honay k baraabar hai aur jo hai woh yaa to party workers ko taqseem hoti hai yaa phir kaseer raqmouN say bik jaati hai. lehaza sarkari job haasil karnay k liyeh bhari raqam ki rishwat +risk ko qabool karaiN yaa kissi iqtedaari party ko join karaiN...

2. private sector + factories main kuch nah job beghair rishwat /safaarish say mil jaati hai... magar iss sector maiN sakht kaam + tension /pressure k ewaz hi tankhaah milti hai. phir industries ka environment bhi saaf suthra nahi hotaa... magar yahaaN issi cheez k paisay miltay haiN

3. apko maujoodah kaam pasand nahi to iss job ko (majbooran sahi) kartay howay doosri job talaash karaiN. aik job ko choR kar doosri job kabhi nahi milti albattah aik job k hotay howay agar search ki jaa.ay to doosri job mil jaati hai

4. job search karnay k liyeh local akhbaaraat, specially sunday edition zaroor dekhiyeh... apni income ka at least 5% next job ki searching par lagaa daiN jiss maiN CVs tayyar karkay bhejnaa, akhbaraat dekhnaa... internet par bhi local yaa bairoonay mulk ki job search ki jasakti hai

5. apnay tamaam jannay walouN, dost ahbaab say bhi kahna shooroo kardaiN k apko koi achi job ki talaash hai... basaa auqaat ahbaab achi job ki nishandahi kartay haiN

6. job search karna, CV bhejna, interview dena..... yeh teenoun kaam bayak waqt jari rakhaiN aur jab tak monaasib job nah mil jaa.ay. yeh kaam jari rakhaiN. fori response nah milnay par pareeshaan hokar yeh kaam nah choraiN.

7. yeh yaad rakhiyeh k hum nay saari omer job hi karni hai, yahaaN yaa wahaaN... aur har job maiN mushkilaat zaroor hoti haiN. koi job bhi "mazay" ki nahi hoti... doosr k dhol sohaanay ki tarah doosroun ki job achi lagti hai aur apni kharaab..... iss baat ko girah maiN baandh laiN aur ab shooroo hojayaiN next job ki talaash maiN....hamari duaa'ain apkay saath haiN. Allah apko kaamyaab karay. aameen

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:21st Apr 2010, 10:40am
 

how to get better job in Pakistan?

Dear brother

 Employment is better then unemployment , 

apko job satisfaction ni hy or ye apka akyala problem ni hy so mera apko mushwara hy kay ap apny skill ko muzeed improve kurin or jahaa kam kur ray hen waha he aagy burny or apna muqaam bunany ki koshish kurin esky sath sath achi job ki koshish bhe jari rukhin pakistan meh surkaari job ki misaal esi hy ek anaar so beemaar so wo Qismat sy he mil jay alag baat hy ap apny under confidence payda kurin or apny under hidden talent baher layin or apni job or career ko muzeed behtur bunayin baki tufseel pher nex time.,

irfan123 Group: Members  Joined: 22nd Aug, 2009  Topic: 17  Post: 115  Age:  30  
Posted on:21st Apr 2010, 11:40pm
 

Re:

AOA, myrizvi or qasim bahi aap ka sukhriya kay aap nay meri post ka reply kya,
Mujhay aik baat or bhi batai kay private sector main factories etc kay elawa koi or shobha hai jahan ka mahool acha hon aisa na ho jaisa kay factories main hota hai,
kya private sector main her jagha duty 8 ghantay hi hoti hai kya koi aisa sector hai jahan duty kam ho chahay kaam zaida ho,
kya pakistan main aisi koi company hai jis main week main 2 chotiya hoti hon.
kya kisi ki naukri say apna kaam acha nahi hai,
kya koi aisa kam hai jo kam investment say start kya jaa sakta hai.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:21st Apr 2010, 1:14pm
 

how to get better job in Pakistan?

apki salary kitni hy? dosri bat hur jugaah apko esaa he mahool mily gah, meah khod ek bottling factory meah job kurta hon, lakin insan ko apni jugah apny skills or abilities ki wajaa say bunana purti apko meah ny phaly bhe kaha hy ap apni education ka silsillaa ni khutam kurin bulky apny skill ko muzeed improve kurin, ap apni salary btao pher apko koi or mushwara daty hen, kay ap ko kesaa business start kurna cahiye, duty hours private companies meah some time ziyada hoty hen meah jub apni es company meah aya taah tu mera agreement 10 hours ka ta without over time lakin abi 8 hours hy, any how dont wory, ap apni job bhe jari rukhin or dosri job ki tulaash b lakin job chorni ni hy, agur meah apko apni story apny career ki sonao tu ap haraan ho jao,  apna future bnany ky leye ketni mehnut kurna purti apko es bat ka puta hona chaiye, 



irfan123 Group: Members  Joined: 22nd Aug, 2009  Topic: 17  Post: 115  Age:  30  
Posted on:22nd Apr 2010, 6:00am
 

Re:

AOA, Salary 7000 hai or 2 year honay walay hai, abb batai kay kon sa
 business ho sakta hai,
english main M.A kernay ka kya faida hota hai or ya kis kis field main
kaam aata hai, private M.A kerna chaiya ya regular,
kya mera id name change hosakta hai, main apna id change kerna
chahta hon.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:22nd Apr 2010, 6:18am
 

hmmm

1. agar ap MA english ki bajaa.ay computer hi main koi technical course (hardware or software related) kar laiN to apko zeyadah behtar aur achi income ki job milakti hai.... non-industrial environment main bhi yaani kissi company /business k dafaataar main bhi

2. agar apko 'technical line' pasand nahi to MA english ki bajaa.ay MBA kar laiN. iss say apko marketting line ki job mil sakti hai. jiss maiN daftar maiN 8/10 ghantay baiThna bhi nahi paRtaa... indoor /out door dounouN hota hai au salary bhi achi mil jati hai

3. agar teaching /english journalism ka shauq ho to MA english karlaiN... english akhbaraat /media maiN easily job mil jati hai MA english waloun ko... private /govt sector main lecturership bhi karsaktay haiN

4. ID change karnay k liyeh suggestion section maiN new request par mabni new post karain aur at least 3/4 alternate IDs likhaiN.... agar woh IDs already kissi ki nahi howi to apko mil sakti haiN... magar iss maiN waqt lagegaa 8/10 din lag saktay haiN

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:22nd Apr 2010, 10:19am
 

how to get better job in Pakistan?

agreed with myrizvi brother reply,
irfan123 Group: Members  Joined: 22nd Aug, 2009  Topic: 17  Post: 115  Age:  30  
Posted on:22nd Apr 2010, 11:01pm
 

Re:

AOA, qasim bhai aap nay kaha tha kay apni salary batao phir batai gay
kay kon saa business sahi rahay ga,ab batai mujhay iss baray main.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6560  Age:  36  
Posted on:22nd Apr 2010, 5:48pm
 

how to get better job in Pakistan?

apki salary computer operator ky hisaab say baot kum hay etni tu ek choki daar lay lataa hy abi Pakistan meh, lakin Hosila ni haarty kubi kubi kum salary py bhe kam kurna purta hy meah ny apko khaa ta kay employment is better then unemployment so koch na hony say khoch hona behtur hy ap apny skill ko improve kurin , ap agur computer ko sumajty hen tu ap auto cad or Grafics designing seekh sukty hen ap A+ computer Hardware ca course or diploma kur layin tu part time ap apni workshop bunaa sukty hen computers laptops ki instalation or repairing ka kam jis kay sath ap mobile shop bhe chulaa sukty hen or computer accessories bhe rukh sukty hen,meah ny khod apna start esy leya tah 1997 meah meah ny DAE -Electronics keya tah or esky sath sath computer harware bhe or esi kay sath sath morning time college jata ta or evening ko meah kam kurta ta, 1998 meah meah ny pher Homoeopathic medical college meah admission leya tah  os time bhe meri rotine esi thi morning college or sham ko kam kurta tah so brother life meah bot hardwork kurna purta hy, apny time ko manage kurin or esy fayda othayin, 

koi bhe education ho kisi kissum ki osy ek din fayida zuroor milta hy, lakin agur ap apny career sy attach apny ap ko apny skill ko improve kuro gay tu ye ziyada achi bat hy,



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:23rd Apr 2010, 9:47am
 

irfanrhd aur kaarobaar

agar ap kissi baRay city like karachi, lahore, sukkur, pindi etc main rahtay houN to karoobaar ki kami nahi...sirf himmat, jur'at aur ibtedaa karnay ki zaroorat hai... chouNkay apki salary iss waqt khasi kam hai lehaza ap koi baRi investment to nahi karsakengay ... lehaza kam paisouN maiN ap zel maiN say koi saa bhi karobaar shooroo karsaktay haiN... bus yeh nah sochiye gaa k log kia kaheNgay :)

1. fast food ka kaarobaar ajkal zoroun par hai... ap kissi qareebi school maiN canteen khol laiN... dopahar tak farigh bhi hojayengay aur rozanah 500 taa 1000 rs bachaa bhi lengay...kissi dafatar walay zone maiN fruit chaaT yaa burger ka stall lagaa laiN... yaa jahaaN zeyadah ghareeb labor kaam karti ho, wahaaN biryaani ki deGh lagaa lain.... zaroori nahi k yeh kaam ap khud karaiN... kissi bhi 'zaroorat.mand' ko iss kaam pay baTha dain... funding ap faraham karaiN, supervise karaiN aur cash gintay jayaiN :) roz ki achi amndani hjati hai

2. agar parhnay likhnay ka shauq hai to tution centre khol laiN... ajkal parhay likhay log bahoot sastay mil jatay hain... jagah ap arrange karaiN qareebi schools k teachers main say science, math, english k teachers ko shares ki bunyaad par saath lagaa laiN... shaam k shaam 4/6 ghantay lagayiN aur achi amdani kamayaiN... karachi maiN meray aisay kaii dost hain jo NEDian hain, 10/15 saal job bhi ki... magar ab job choR kar tution paRha rahay hain aur khoob kamaa rahay haiN

3. aap supply ka business bhi karsaktay haiN... bah shartekay apkay pass apni sawaari motor bike ho....... masalan hi city maiN general stores /pan shop ka survey karaiN aur aisay shops ko select karain jo apni zaroorat ki ashyaa lenay khud market jatay houN.... ap onhaiN yeh ashyaa zaroorat k motaabiq onki shop par provide karnay ki offer karaiN..... jin dokaandaaroun k pass man-power ki shortage hoti hai woh apni dokaan band karkay (2/3 ghantouN tak)... 100/200 rs kharch karkay whole sale market say zaroorat ki ashyaa laatay hain... ap onsay yehi fare wali margin khud lay kar whole sale rate par onhain yeh ashyaa naqad faraham karain to woh khushi khushi raazi hojayengay... iss tarah onhaiN shop band nahi karni paregi aur aanay jaanay ki pareeshani say bhi bachengay... agar aap daily 10 shop ki bhi supply karain aur har shop say 100 rs fare ka laiN to goya apki daily bachat 1000 hogi... agar iss main fuel, lunch etc k 300/400 rs pay nikaal bhi lain to daily 600 rs ki bachat hogi jo at least 20 days /month k hisaab say bhi rs 12000/- income hogi... ye to start hai... saal 2 saal baad kaam barhta jayegaa to ap monthly 25,000/30,000 easily earn kar sakengay... tab apko bike ki jagah rent pay gaRi waghairah leni hogi

ab ap apna comments /rujhaan batlayaiN k ap kiss qism k karobaar ki taraf interested hain aur aghaaz maiN ketnaa sarmayah laga saktay hain...?

irfan123 Group: Members  Joined: 22nd Aug, 2009  Topic: 17  Post: 115  Age:  30  
Posted on:24th Apr 2010, 6:19am
 

Re:

AOA, qasim bhai and myrizvi bhai thanks for very nice advices,
myrizvi bhai main M.A english ka is liay poch raha thaa kay m.a english
kernay kay baad tuition bhi perha sektay hai or dosro ki naukri say
chotkara hasil ker sektay hai, or aap nay kaha thaa kay M.A english walon
ko akhbarat or media main bhi easily job mil jati hai, media or akhbarat main
job ki koi age limit hoti hai or kya experience bhi hota hai, akhbarat main
M.A english walon ko sirf column or article hi likhnay hotay hai ya koi or bhi
kaam liay jaata hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:24th Apr 2010, 6:33am
 

M.A. English & Akhbaraat

akhbaraat main job ki koi age limit nahi hoti aur nah hi woh 'degree' ko zaeyadah ahmiat detay haiN.......... albattah agar M.A. karkay apni english ko behtar karsakaiN k ap tezy say har qism k required matter ko easy english maiN likh sakaiN to apko english akhbaraat maiN job mil sakti hai jahaaN start hi maiN +20,000 rs say aghaaz kia jasakta hai... english akhbaraat k new desk par yeh kaam hotay haiN

1. urdu maiN aanay wali khabroun ko english maiN tarjuma karnaa (with right spelling n grammer)

2. english maiN aanay wali taweel matter ko 'short stories' main convert karna

3. 'short stories' ko zaroorat k motaabiq detail main likhnaa

4. english akhbaraat k motaabiq news item par caption (heading) laganaa

5. news agencies say mausoolah english khabrouN ko re-write karnaa, meyari banaanaa... akhbaar ki policy k motaabiq likhnaa

6. radio /tv say (urdu /english) maiN kuch bhi sunkar (jissay news editor select karay)... ossay news item banaa kar likhna

7. tezy say durust english likhnaa.... juniors ki likhee howi ghalat english ko durust karnaa etc etc

irfan123 Group: Members  Joined: 22nd Aug, 2009  Topic: 17  Post: 115  Age:  30  
Posted on:30th Apr 2010, 7:39am
 

Re:

AoA, myrizvi sahib m.a english regular karo ya private, regular tu main ker
nahi sekta kyun kay main job kerta hon isliay private hi kerna chahta hon,
dosri baat ya hai kay main nay english shorthand ka bhi course kiya howa
hai or stenographer ki jobs tu sirf government sector main hoti hai, ya course
main nay isliay kiya thaa kay mujhay kisi tarah government ki job mil jaiy, aap
nay kaha kay government ki job sifaarish kay baghair nahi milti, tu kya
stenographer ki job bhi sifaarish say milti hai.


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:30th Apr 2010, 1:37pm
 

steno ki job

ab taqreeban khatam hoti jarahi hai... lehaza ab iska scope bhi nahi rahaa... sarkari sari jbs yaa to safarish say milti haiN yaa rishwat say ...illah masha Allah... ap agar M.A private kar saktay haiN to zaroor karaiN... MA english ka ab bhi bahoot see jaghouN par demand hai
samina1230 Group: Members  Joined: 28th May, 2011  Topic: 0  Post: 5  Age:  24  
Posted on:14th Jun 2011, 5:19am
 

jobz.pk

thank you brother to share such a great and informative sharing, i really like this and i hope that it will give help to those who are job less and want to find a job



For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to find job with no work experience  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014