Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Dua Ki Adam Qabooliyat Main Kia Dua Karna Tark Kar Daina Chahiye?

Religion and Culture   >>   Pray and Dua
 
 
 
 
naaz1330 Group: Members  Joined: 27th Jan, 2010  Topic: 4  Post: 22  Age:  24  
Posted on:17th Mar 2010, 2:28pm
 

Dua Ki Adam Qabooliyat Main Kia Dua Karna Tark Kar Daina Chahiye?

 Assalamu 'Alaykum wa Rahmatullahi wa Barakatuhu.
muje aap sab se ek sawal karna he .. agr humara koe masla he or uske bare me hum koe padhe ikhe inshan yane (molvi) jise bhot knowledge ho use kuch puchte the fir agr wo bolde ke apka kam nahi hoga to hume kya karna cheye yane hume humari duwa fir bhi aalah tala se mangni cheye ya nahi. kya hum duwa kare namaz or sab to agr kisine kaha ho ke masla hal nahi hoga to bhi ho jata he kya plzz reply me

Dua Ki Adam Qabooliyat Main Kia Dua Karna Tark Kar Daina Chahiye?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:17th Mar 2010, 3:52pm
 

dua aur os ki qabooliyat

molvi: koi insaan nahi jaantaa k kissi insaan ka koi kaam hosakta hai yaa nahi... yeh sirf Allah ko maloom hosakta hai.... agar apka kaam jaiz hai to ap Allah say zaroor dua karaiN... woh apki dua zaroor poori karega... dua woh kaisay poori karta hai, yeh Allah par munhasir hai... apka kaam dua kartay rahna hai.. dua karna bhi aik ibadat hai...
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:17th Mar 2010, 4:05pm
 

Dua aur os ki qabooliat

Masha'allah Good Explained By Myrizvi Bhai...Jzzak Allah

agreed
naaz1330 Group: Members  Joined: 27th Jan, 2010  Topic: 4  Post: 22  Age:  24  
Posted on:18th Mar 2010, 6:45am
 

Dua Ki Qabooliyat

MYRIZVI thanks aapne meri confusing dur kardi.. AALAH HAFIZ..

Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 31  Post: 2016  Age:  48  
Posted on:18th Mar 2010, 6:56am
 

dua aur os ki qabooliat

naaz wessy to myrizvi bhi ne aap ko bohat clear reply de diya albata Allah apny bandhoon ko kubi mayoos nahi kerta ye allah ko bi putta he k mera bundha mery siwa jaye ga kahan aur kiss se mangy ga iss liye allah pak apni rehmat se bundhy ko kubi bi mayoos nahi kerty ye allah ka wadha bi he ub dekhna ye he k aap allah mian se jaiz mangty hein ya na jaiz
saad awais Group: Members  Joined: 24th Jan, 2010  Topic: 3  Post: 64  Age:  30  
Posted on:18th Mar 2010, 8:56am
 

Dua ki qabliat

salam g
g naaz bat ye hain k ALLAH PAK appny bandy ki boht qareeb ho kar sonta hain

 or quran pak 1 jaga ALLAH PAK NY FARMYA HAIN

2 spara hain k

                 K JAB KOI PUKARNY WALA HAMY POKARTA HAIN TU MAIN OSKI

                 PUKAR KO SONTA HO

                  OR ALLAH NY KAHA HAI

                MAIN HI TUMAHR DOST OR MADGAR HO

             TU BAT YE HAIN JO APP MANG RRAHI HAIN WO SAB SON B RHAA HAIN

             OR DEKH B RHA HAIN TU OS SY MANGTY JAY WO

             APPKO ATA KAR DY GA INSAHALLAH

             HAFIZ HATIB

naaz1330 Group: Members  Joined: 27th Jan, 2010  Topic: 4  Post: 22  Age:  24  
Posted on:18th Mar 2010, 2:45pm
 

dua aur os ki qaboolyat

saad awais thnx aapne bhot sahi tarike se samjaya ab jab bhi meri duwa inshaalah qabul hogi me aapko zarur bataungi ok AALAH HAFIZ
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7702  Age:  55  
Posted on:19th Mar 2010, 3:48am
 

dua kabhi rudd nahi hoti

1. dua aik ibadat bhi hai... lehaza har haal maiN aur zeyadah say zeyadah dua maangtay rahna chahiyeh. balkay yahaaN tak kahaa gaya hai k jo log Allah say dua nahi maangtay Allah unn say naraaz hojata hai

2. dua kabhi rudd /mustarad nahi hoti... dua ki qabooliyat k kai tareeqay haiN... for details pls see below link

Possible Out Comes Of Pray (Dua)

Possible Out Comes Of Pray (Dua)

Allah (swt) always has three replies to our Dua,

 

1.     Yes

2.     Yes, but not now

3.     I have a better Plan for you

 

There is never a NO … Just have faith and keep praying.

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:18th Dec 2010, 4:29pm
 

Dua aur os ki qabooliat

I was reading an article on "Dua" couple of days ago which I want to share with other members.
.
Imam Jaafer Sadiq (A.S) ki khidmat main aik shakhas hazir hua aur poocha ke kya aksar aisa b ho jata hae ke insan dua mangay aur wo qabool b ho jaye mgr uss ke asar main takheer waqeya ho? Aap ne farmaya ke haan agr aik bnda dua krta hae tau Khuda 2 frishtoon se kehta hae ke main ne iss ki dua ko qabool kia mgr iski hajat bar laane main der kro q ke main iski awaz sun'na bht pasand krta hun. Aap ne yeh b farmaya ke qabooliyat e Dua main 20 saal ki takheer b waqeya ho skti hae aur Imam Jaafer Sadiq (AS) ne Quran ki Surah e younas ki yeh aayet (89:10) b beyan farmai "Aye Moosa O Haroon, tum dono ki duayen qabool ho gaieen" (Iss ke aur Faron pr azab aane main 40 saal lag gye means qabooliyat e dua main 40 saal ka arsa beet gya)
.
Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke koi momin aisa nahi jo Khuda se aisi dua mangay jis main na tau qata e rehmi ki darkhwast ho aur na gunah ka hasool ho tau Khudawand e Mutaal usay 3 khislatoon main se aik zaroor ata krta hae
.
1). Ya tau uski dua qabool ho jati hae
.
2). Ya uss momin ke liye akhirat main zakheera kr li jati hae
.
3). Ya uss se iss tarah ki koi museebat door kr di jati hae jo uss pr nazal hone wali ho

syedaa Group: Members  Joined: 22nd Nov, 2009  Topic: 1  Post: 143  Age:  30  
Posted on:19th Dec 2010, 1:16am
 

dua

hmmm,i agee with u
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:5th Dec 2013, 9:37pm
 

Dua ki qabooliat

dua insaan ko hamesha maangna chahiye, os ki qabooliat ke chakkar mei nahi perna chahiye. Hota wahi hai jo insaan ke muqaddar mei hai, lekin dua maangne se aik sakoon sa milta hai. lehaza dua ki qabooliat na ho tab bhi dua mantay rehna chahiye.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:6th Dec 2013, 6:10pm
 

dua mangny k bary main

dua insan aur allah k darmiyan rishta / taluq / rabta ka name hay , yeh dua hi hay jo abd ko mabood sy mumasak karti hay , agar dua ki facilty majood na ho to aik abd apny mabood sy kabi b rabta na kar saky jab k islam , quran , allah aysa nahi chahty k aik abd ka apny mabood sy rabta tooty ...lehaza dua karty rehna chahiye ta k abd wa mabood ka rishta / rabta / taluq bana rahy ..:)

qaboliyat ya adam qabooliyat hamri tarjeehaat hain , allah ki tarf sy sab behtar hay kuch b ghalt nahi hay . agar kisi naimat par hum allah ka shukar ada nahi kar sakty to phir naimat k chin jany ya naimat k na milny par allah sy shikwa ka b humain koi haqq nahi
 
 
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to find job in Dubai  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014