Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 12:07pm |
|
|
2009 Ka Suraj Gharoob Ho Chuka........!
meri request hey k iss thread main 2009 k barey main aur aney waley naiy saal 2010 k barey main apney tasrat ka izhaar krain...shukriya
meri trfsy izhaar 2009 pakistan k liye theek nhi reha 2010 allah kry pakistan k liye theek hoo ...
|
mun
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2009 Topic: 4 Post: 39 Age:
28
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 12:59pm |
|
|
AAMIN MAY THIS COMING NEW TEAR BRINGS LOT OF HAPYNESS 4 EVERY 1 |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 7:17pm |
|
|
new year Happy New Year
New year start ho gaya hai |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 8:29pm |
|
|
New year Allah pak pakistan ko apni hifzo amaan main rakhay aur naya saal sab muslims k liye khushi aur azadi aka saal sabit ho (ameen) |
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 76 Post: 1346 Age:
35
|
|
Posted on:31st Dec 2009, 9:04pm |
|
|
new year happy new year to everyone. |
Azfar-K
|
Group: Members Joined: 01st Mar, 2009 Topic: 3 Post: 767 Age:
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 12:36am |
|
|
Happy New Year to all forum members. |
eagle fly
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 74 Post: 2109 Age:
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 4:56am |
|
|
We will open the book of 2010 We will open the book. Its pages are blank. We are going to put words on them ourselves. The book is called Opportunity and its first chapter is New Year’s Day. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 9:17am |
|
|
New Year??? 1. mosalmaanoun ka new year to 1st Miharramul haraam ko shoroo hochuaka. 1st jan wala new year christians ka hai, muslims ka nahi.
2. 2009 ka sooraj??? yeh sab poetry aur luffazi hai. har saal ka new sooraj paida nahi hotaa... jo sooraj 2009 maiN tha, wohi 2010 maiN bhi hai aur taa.qayamat yehi sooraj rahega lol
3. sooraj nah to "gharoob" hota hai, nah "taloo" hota hai. yeh bus raat-din gardish main hota hai.... sooraj k doobnay /taloo honay say hamari qismat /halat nahi badalti. nah hi naya /porana saal hamari halat badalta hai...jab tak hum khud apni halat badalnay ki koshish nahi kartay, new saal say tawaqqat laganaa...... bewaqoofi hai aur yeh bewaqoof logouN ka kaam hai. :)
|
sedra Ali
|
Group: Members Joined: 24th Dec, 2007 Topic: 8 Post: 89 Age:
27
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 10:03am |
|
|
re Hamri zindagi ka ek sal or kam hogia hai is may khush hony ki kai baat hai |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7702 Age:
55
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 10:11am |
|
|
wellsaid sedra Ali zindagi ka aik saal kam hogaya, hum maut say mazeed qareeb tar hogaye aur phir bhi khush horahay haiN....wow hum bhi ketnay "aqalmand" hain |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 1:35pm |
|
|
????????? main ny to nai saal k mutabiq apney apney tasraat aur gaye saal k barey main tasraat likhney k liye ye thread start kiya hey ...mubarik baadain dainey k liye nhi..
|
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 2:25pm |
|
|
Tabahee New Year Happy new year baanane waloo mein 1 Tadad bel khossos nojawan nasal ke 1 Tadaad ess phele raat ko Happy ke jaga tabahe new year banate hai tarha tarha ke ALLAH ke nafarmaniooo walee kaam kar k....
ess din apne amal ka muhaseeba karna chahe k ajj tak zindage kese guzaare aur ab agee kese guzaaarne chahe.... |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:1st Jan 2010, 4:39pm |
|
|
new year per khoosh hona chahiye insaan ko har waqt khoosh rehna chahiye, aur khoosh rehne ka bahana talash kerna chahiye. lehaza jo log 1st january ko khooshi ki tor se manate hai woh masbat zindagi guzarte hai, aur jo log os din iss soch ke saath guzarte hai keh on ki zindagi ka aik saal kam ho gaya tu woh manfi zindagi guzarte hai. zindagi ketni hai yeh kisi ko nahi maloom, lekin jetni bhi hai ose khooshi khooshi guzarni chahiye.
re: "2009 pakistan k liye theek nhi reha
2010 allah kry pakistan k liye theek hoo ... "
khooshi aur gham zindagi ka hissa hai, gham se takleef hoti hai aur khooshi se sakoon. lehaza 2009 mai jo khushi haasil huyee hai os per jashan manaye aur jo gham mile hai ose bhool jaaye. yahi zindagi hai .......... warna gham manane ke liye tu kuch logo ko bahana chahiye aur woh ose bahana bana ker saari zindagi gham manate hai, jo keh meri nazar mai ghalat hai. meri nazar mai sahi yeh hai keh khoosh rahne ka bahana talash kia jaaye. |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:2nd Jan 2010, 1:40pm |
|
|
hushi vs gham...2009 vs 2010 kisi k gham main shreek hoona b apney app main khushi hi hey
koi kisi k gham ki prwa na krtey howey hushiyaan mnata phirey aur yeh logic pesh krta phirey k zindgi kam ho ya ziyada iss ko hansi hushi guzarna chahiye....to ye baat theek nhi hey
insani aur bshri taqaza yhi hey k gham ko gham smja jaye aur hushi ko hushi laiken kisi k gham main hushiyaan talaash na ki jaein khowa iss k peechey koi b logic hoo.
baqi rehi baat 2009 k guzreney ki to iss saal main b logo ny hushiyaan b manai aur gham b manaya...laiken kisi ny kisi k gham main hushi mana'ny ka drs nhi diya issi trh 2010 b guzrey ga hushiyan b manai jaien gi aur gham b laiken kisi k gham main kisi ko hushiyaan mana'ny ka mashwara koi nhi dy ga...insha'allah |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:2nd Jan 2010, 5:45pm |
|
|
Ultee Patree 1 Saal kaam hogaya essa sochne se Zindagee manfee nahi balkee Positive bhi nahi balkee bahut bahut ache jaate hai q k esse soch se Insan khud ko gunaaho se bachata hai aur Faraiz aur sunnato mein dheen barhata hai
aur joo loog badmast ho kar khushiyaa manate hai wo loog shayad he apne maqsad ko samaj sakte hai warna ess raat apne poore saal ka ainaa pesh karte hai k poora saal bhi yehe karna hai aur khush hote jana hai jab khushia zeyada hote hai tu Insan apne Raab ko bhool bhi jata hai....
Musalmaan ko har waqt apnee Amal ke fikar karne chahe na kk angreezoo k saal ke khushiya mananee kee. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Jan 2010, 7:16pm |
|
|
angrez kis ko kehte hai? re: "na kk angreezoo k saal ke khushiya mananee kee."
kia angrez musalman nahi hote? hindu, muslim sikh, eesayee sab hi angrez hote hai.
1st Janurary ka taluq Hazrat Esa (AA) se nahi hai, balkeh on ki paidaish se qabal se hi Janurary Februrary ..... hota tha. aur 1st january un se kafi qabal se aata tha. lehaza yeh kaise kaha jaa sakta hai keh 1st january sirf angrezo ka ha. waise angrez ka matlab sirf eesayee nahi hota, balkeh muslim sikh hindu yahoodi bhi angrez hote hai.
re: "laiken kisi k gham main hushiyaan talaash na ki jaein khowa iss k peechey koi b logic hoo."
aisa tu koi bhi nahi kerta, bhala doosro ke gham mai khooshi kaise manayee jaa sakti hai. koi bhi kisi ke gham mai khoosh nahi hota. |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|