Kia Gham-e-Hussain Manana Ghalat hai???
Meri tamam members se guzarish hai (mein janta hoon k meri tehreer kafi taveel hai) meri guzarish hai k iss poori post ko baghor parhein aur fesla karein k gham e Hussain manana ghalat hai ya sahi ?? Aur jo gham mananey ko ghalat kehte hein wo kis tarha Rasool (SAW) se ikhtelaaf karte hein .....
Shahadat e Syed ul Shohada , Hazrat Imam Hussain (AS) tareekh ka aik ghair mamooli waqia hai k Nabi Kareem SAWW k naam nihad perokaron ne Rasool Allah k nawasey ko kis bedardi se shaheed kar k iss ka Sar e Aqdas naizey par sajaya......Yahi nahi Khaandan e Rasool SAWW k shehzadon aur Ashaab e Hussain (AS) ko b apne inteqaam ka nishana bana kar inhein shaheed kar dia...
Inn ka jurm kia tha???Jurm ye tha k wo aik faasiq o fajir ki be'at kar k deen mein tehreef k murtakib nahi huve thay....Unhoon ne asoolon par batil k sath samjhotey par saaf inkar kar dia tha , unhoon ne Aamriyyat aur Malookiyyat k aagey sar tasleem kham karne se inkar kar dia tha ....Unhoon ne insan k bunyadi haqooq k ghasibon ki hakoomat toseeq karni ki buzdili nahi dikhai thi.Hussaein ibne Ali (AS) aur inn k 72 jaan nisaaron k khoon se karbala ki rait surkh nahi hui , balke iss surkhi ne har cheez ko apni lapait mein le lia......
@
Fazail e Syed u shuhada Hazrat Imam Hussain AS
Motabar tareen Hadees hai Aap SAWW ne farymaya :
- "Hussain muj se hai aur mein Hussain se hoon"
@
- "Hazrat Ans Bin Malik RA farmatey hein Huzoor Halat namaz mein sajdey mein thay k Hassan AS aur Hussain AS pusht mubarak par charh gaye , pass aap ne (inn ki khatir) sajda taveel kar dia (nimaz se faraghat k baaad) arz kia gaya.Aey Allah k nabi kia sajda taveel karne ka hukm aa gya???Farmaya nahi mere dono BETEY Hassan aur Hussain meri pusht par charh gaye thay mein ne ye na pasand kia k jaldi karoon..."
Masnad Abdullah bin shaddad 495:3
Iss hadees se ye zahir hota hai k Imam Hussain(as) wo azeem hasti hein jin k liye rasool apna sajda taveel karte hein ..Allah o Akbar...
@
Kia Gham mana ghalat hai ??
Yom e Ashoor Umm ul Momineen Hazrat Umme Salma(RA) ka khwaaab ....
- "Hazrat Umme Salma(RA) ne farmaya mein ne Rasool Allah SAWW ko khaab mein dekha k aap SAWW k Sar e Anwar aur Daarhi Mubarak par Gard o Ghubaar hai ....mein ne arz kia ya Rasullah kia bat hai ?? (ye gard o ghubar kesa hai ? ) aap ne farmaya mein ne abi abi hussain(AS) ko shaheed hotey dekha hai"
Sahih Termizi, abwaab e munaqib.
Iss hadees se zahir ho raha hai Rasool khud shahadat e hussain par sogwar hein aur naam nihaad musalman isse biddat kehte hein Ab apne girebanon mein jhaank kar dekhein k wo kitne pani mein hein ....
Chand aur ahadees paish e khidmat :
sahih Bukhari Jild 1 kitaab al janaiez
baab 826 , hadees 1219 , safha 499
- Rasool (SAWW) khud Roye b aur noha b parha :
"Ans bin malik (RA) rivayat karte hein ham Rasool Allah k hamraah Abu Yusuf lohar k ghar gaye jo janab Ibraheem (farzand e rasool) ki anna ka shohar tha Rasool(SAWW) ne Ibraheem ko lekar pyar nahi kia inhein soongha baad aza'n Abu Yusuf lohar k pas gaye aur Ibraheem dam tor rahey thay, Rasool ki aankhon se aansu ravan ho gaye , Abd ul Rehman ibn e Aof boley Allah k Rasool aur ro rahey hein ?? , farmaya aey aof k betey ye tou rehmat o shafqat hai , phir aaye tou Rasool ne faryamaya aankh ashkbar aur dil ghamzada hai magar zuban se wahi kahein ge jis se hamara rab razi hai aur aey ibraheem ! tumhareu hijr mein ham ghamgeen hein "
///Muftiyan e biddat iss rivayat ko parhne k baad ya tou wo qalam tor dein jis se Imam hussain as par rone ko biddat kaha hai ya apni aankhein phar dein jis se ye rivayat dekhi hai aur ya sahih bukhari ko ghalat keh dein ,,, ya imam hussain (as) ki bargah mein muafi talab karein warna Hashr mein azab e jahannum inn ka muntazir hai kyoon k iss rivayat par sirf yehi nahi k peghambar apne farzand par ro rahey hein balke Ibn e Aof k tokne par GIRYA ko rehmat aur shafqat keh rahe hein .....Subhan Allah ! Rasool roney ko rehmat kahein aur mufti roney ko biddat keh rahey hein ....
Iss hadees mein mazeed k rasool farmatey hein "aey ibraheem tumharey hijr mein ham ghamgeen hein" yani apne farzand ko pukar kar gham ka muzahira kia "issi ko tou noha kehte hein"!!!!!! Aur ham noha parhte hein tou usse biddat qarar dia jata hai .....///
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Sahih Bukhari, jild 2, baab 378 , hadees 832, safha 368
- Rasool e Khuda(SAWW) ka Girya:
"Ans bin malik se rivayat hai k Nabi kareem SAWW ne Hazrat jafar aur Hazrat Zaid ki khabar aane se pehle inn ki shahadat k barey mein bata dia aur aap ki aankhon se aansu jari thay ..."
///Ye rivayat munkareen ilm e ghaib aur munkireen girya bar Hussain dono k moonh par tamacha hai...iss rivayat se sabit hai k Nabi ne jafar aur zaid ki shahadat se pehle inn ki shahadat ki khabr de di thi (Jese imam hussain ki shahadat ki khabar hazrat umme salma ko di thi) jo k iss bat ki daleel hai k nabi k pas ilm e ghaib tha , aur mazeed ye k aankhon se aansu jari hona b iss bat par dalalat karta hai k jab shahadat se pehle Rasool ro rahey hein aur rona jaiez hai tou hazrat hussain ki shahadat k baad rona haram aur biddat kese ho sakta hai ???///
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
sahi bukhari jild 3,kitab altalaq ,baab 204 , hadees 311 , safha 146
- Gham mein rangeen kaprey ka mana kia jana:
"Umme Atya se Rivayat hai k Nabi kareem ne farmaya k kisi aurat k liye halal nahi hai jo Allah aur qayamat par iman rakhti ho k teen din se ziada kisi ka sog karey sivaye khawand k , pas na wo surma lagaye , na rangdar kapre pehne , magar jo pehle se ranga hua ho ..."
///kam se kam iss rivayat se ye tou sabit ho sakta hai k sog manaya jaa sakta hai , aurat apne shohar ka 3 din se ziada sogh mana sakti hai aur ye b sabit hai k gham , muzahira e gham k liye khushbu ka tark karna , rangeen kapron ka tark karna , surmey ka tark karna mutabiq e hadees e Rasool hai ...Wazeh rahey k tabai mout aur shahadat mein fark hai ...jab tabai mot par gham ki ijazat hai tou shaheedon par rone ko kyoon roka jata hai ??? /// |