Baa Bahoo Aur Baby: Best Family Play Of Star Plus
Star Plus per mai kafi dino se Baa Bahoo aur Baby dekhta hoo, yeh aik behtareen family drama hai. India aur Pakistan ke tamam logo ko yeh drama baqayedgi se dekhna chahiye. Iss drama ke andar sabaq hi sabaq hota hai. Last episode mai baby ki mother Baa ne jo kirdar ada kia woh Indian Pakistani mother ke liye behtareen sabaq hai, aur isi tarah baby ki saas ne jo role (positive) ada kia woh bhi sabaq amoz hai. kaash hamare maashre ki mother aur saas bhi haqeeqi zindagi mai aisa hi role play kare.
|