Asim yaqoo
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2009 Topic: 33 Post: 59 Age:
29
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 4:24pm |
|
|
21st December 2012? Whether Predictions Are True? What Are Your Comments? what is this cramp 2012? kia yeh jo sab kuch keh rahey hain kia yeh waqiae such hey mujhey to yeh sab jhoot lagta hai aur yaqenan jhoot he ho ga. aik film ko hit kerwaney key liye yeh sab drama kia ja raha hey aur mayan koi is duniyan key mamay nahi lagtey jo un ka calender khatum ho raha hey to dooms say appear hojaye ga angraize sub bakwaas ker rahey hain.app log kia kehtye hain
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 4:55pm |
|
|
hmmmm hum sb loog yhi kehain gy k iss naam sy aik thread chal rha hey app usi main apny hiyalaat share krain na issi mqsad k liye aik nia thread start krny ki kia zroort hey....app ko agr smj ageye hey to reply na krain wrna ye thread delet hony main dair nhi lgy gi...... |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 5:07pm |
|
|
21 December 2012 mujhe kal aik sms aaya tha, jis ke mutabiq 21 December 2012 ko Friday aur 10 Moharram hai.
Note: mera khayal hai keh iss topic per abhi kuch din qabal discussion huyee hai. aik hi topic per multiple thread start kerne ki bajaye purane thread per discussion kerni chahiye. |
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6560 Age:
36
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 7:58pm |
|
|
21 Dec 2012 as muslim tu ap log en bato py zura sochin k islam meh eski keya ehmiyaat hy yaa islam es k bary meh keya kehta hy, ye sub joot hy,
jo raat Qubar meh hy wo baher ni |
DOST_YAR
|
Group: Members Joined: 18th May, 2009 Topic: 16 Post: 124 Age:
26
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 8:00pm |
|
|
Bewaqoof Agar aap ye kehna chahte hain ke is tareekh ko 10 muharam hoga aur Qayamat Ajae ge!
To aesa hergiz hone wala nahi. Hazrat Essa A.S ke door main Mominon ke hakoomat chalees saal tak rahe gi pher qayamat aane ke aasaar honge. Aur jab duna se sare momin Allah ke hukum se Aalam-e- arwah muntaqal kerdye jaenge.
Humain unhi batoon per yaqeen hona chahye jo Islam main hain. 2012 kafiron ki chaal hae. Wo tamam dunya main hijaan peda kerke apne maqasid hasil kerna chahte hain. Take sab log is janib mutawaja hojaen aur wo khamoshi se apni sazishen kerte rahen bil khasoos musalmanon ke khelaf.
Please also read:
Conquest Of India: The Ultimate Destiny
|
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:5th Dec 2009, 8:27pm |
|
|
about 2012 may ney phley bhi appney topic may kaha tha key 2012 key bare may key yeh aik prediction hey or har prediction sach ho zarori nahi
or app log yeh bat ku nahi samjh rahey key yeh prediction yeh nahi key dunya khatam ho jai gi,bat yeh hey key Mayans(jo key aik qoom thi 8th century may un ka khna yeh hey key earth par 6 million sal key baud kuch desaster ata hey,means key geological changes ati haien or earth aik age say nikal kar dosri age may jati hey,jase aik era tha mesasoic era,ice age ect ect,tu un key mutabiq key ho sakta hey key earth par kuch desaster aii or earth aik change say guzrey
plz 2012 key bare may bat karney say phley atleast kuch research kar key bat karien key yeh bat ku or kis liya samney aii hey
and aik muslim honey key nate hummey dooms day key bare may wo hi aqeeda rakhna chyea jo humey Islam may batay gaya hey
or Maryam ki aik bat bhout achi lagi key qayamt say phley humey appni moat key bare may sochna chyea ku key zindagi ka aik pal ka bahrosa nahi hey,2012 may tu phir bhi 3 sal baqi haien |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:6th Dec 2009, 3:15am |
|
|
Moot se Darnee Waloo Tamam behes kee jar sirf etne hai k
Qayamat ka Waqt ALLAH aur uss ka Rasool Sallallaho Alahe wasallam jaante hai...
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:6th Dec 2009, 4:07pm |
|
|
21 December ko Qayamat Aa sakta hai mujhe aik sms yeh bhi aaya hai keh NASA walo ne kaha hai keh har 26000 saal ke baad zamin aur aasman ka milap hota hai, aur 21 Dec 2012 ko poor 26000 sal complete ho rahe hai. aur iss tareekh ko zamin aur sooraj ka milap hoga.
waise sms maik milap ki wazahat nahi ki gayee hai, lehaza mujhe nahi maloom ke milap se kia murad hai. lekin etni baat samajh mai aayee keh NASA point of view se bhi 21 December 2012 aik important din hai.
waise agar zamin ka temperature normal se 25-50 degree centigrade ziadah ho jaaye tu zamin per tamam jaandar ka inteqal ho jaaye ga. lehaza agar 21 December 2012 ko agar zamin ka temperature 25-50 degree ziadah ho jaaye tu qiamat zaroor aaye ge.
lehaza agar NANA ki report ke mutabiq agar 21 December 2012 ko zamin aur sooraj ke darmian faasla kam ho gaya tu yaqeenan zamin ka temperature barh jaaye ga, aur agar yeh temperature sirf 25-50 degree bhi barh gaya tu samajh le keh os din jaandar ashya ke liye qayamat ka din hoga.
mera zaati khayal hai keh 21 December 2012 ko qayamat ke chances (not 100%)ziadah hai. hami qayamat ki tayyari kerni chahiye. |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:7th Dec 2009, 4:42am |
|
|
bewaqoof app itney aqalmand ho kar aik sms ki bat kar rahey haien
sorry to say key sms aik credible source nahi hey,bhetar hey app kisi sahi source say maloomat karien |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:7th Dec 2009, 12:29pm |
|
|
2012: Qayamat zaroor aaye gi re: "bhetar hey app kisi sahi source say maloomat karien"
agar aap agree nahi kerti tu phir aap koi authentic proof de ker ise ghalat saabit kare. hamai jetne bhi sms milte hai woh more than 90% sahi hote hai, aur ham log aik doosre ko jo bhi sms kerte ose tasdeeq kiye beghair hi yaqeen ker lete hai; yeh mumkin hai keh os mai se 1-2 sms ghalat bhi ho sakte hai.
doosri baat yeh keh sms ya phone zaria hai koi reference nahi. lehaza sms sahi hai ya ghalat os ka daromadar iss per hai keh sms kon ker raha hai, agar sms kerne wala koi reliable shakhs hai tu sms ke reliable hone ke chances ziadah hai, aur agar sms kerne wala reliable nahi hua tu os sms ke urreliable ke chances ziadah hai. mujhe jis ne sms kia hai woh meri nazar mai reliable hai.
mujhe tu yaqeen hai keh 21 December 2012 ko Qayamat aane wali hai. ab agar na aaye tu mai samajh loo ga keh mujhe ghalat yaqeen tha. filhal tu yahi yaqeen hai. |
DOST_YAR
|
Group: Members Joined: 18th May, 2009 Topic: 16 Post: 124 Age:
26
|
|
Posted on:7th Dec 2009, 5:51pm |
|
|
Its True About 21 December 2012?What Is Your Comments mujhe aik sms yeh bhi aaya hai keh NASA walo ne kaha hai keh har 26000 saal ke baad zamin aur aasman ka milap hota hai, aur 21 Dec 2012 ko poor 26000 sal complete ho rahe hai. aur iss tareekh ko zamin aur sooraj ka milap hoga.
Answer: I want to ask from you that if you got that sms, did you confirm or investigate the truth? No! Why?
Reality: What goes on after every 26000 years let me explain? Our galaxy is moving and it has a plain. Similarly the solar system has also a plain which is perpendicular to the plain of our galaxy. The earth is rotating over its axis. The axis of the earth is tilted not straight and it makes 60 degrees angle with the plane of solar system. In other words, the earth is tilted 60 degrees against the sun. Therefore; with the rotation of the earth some times, some region goes near to the sun, while at other times, other region goes near to the sun and hence we get different climates at the different regions of the world through out the year. Also the orbit of the earth in the solar system is not circular, it is oval and at one time in the year, the earth reaches near to the sun, while at the other times, it goes away. Therefore; we get different seasons in the year.
After every 26000 years, a time reaches, when the plane of the galaxy, plane of the solar system and the axis of the earth gets a single alignment. This alignment is now going to happen on 21st December 2012. By the next day that is on 22nd of December, according to the Maya Calender, a new era will occur. Perhaps, it is said that the earth has completed a full rotation with respect of the alignments with the planes of galaxy and solar system. In other words, after every night, a new day starts, similarly, after every 26000 years, a new journey of the planets starts. This is the reason why that date is important in the history of mankind. There is no proof that after 26000 years the earth and the sky meet together.
waise agar zamin ka temperature normal se 25-50 degree centigrade ziadah ho jaaye tu zamin per tamam jaandar ka inteqal ho jaaye ga. lehaza agar 21 December 2012 ko agar zamin ka temperature 25-50 degree ziadah ho jaaye tu qiamat zaroor aaye ge.
Answer: Yes it is, if the temperature of the earth is risen to such an extend then there would be no creature that would survive. However; the world is going to assume the things on hypothesis. Just previously in the era of Greeks it was believed that the earth has been taken up by the some on his horn. And whenever, he changes the horn, the earth quake happens.
lehaza agar NANA ki report ke mutabiq agar 21 December 2012 ko zamin aur sooraj ke darmian faasla kam ho gaya tu yaqeenan zamin ka temperature barh jaaye ga, aur agar yeh temperature sirf 25-50 degree bhi barh gaya tu samajh le keh os din jaandar ashya ke liye qayamat ka din hoga.
Answer: God knows better what would be going to happen. Suppose if the world population is going to end, or disasters will be arriving, then it will certainly not due to Yoom –ul-Qayyama about that Allah has promised in Quran. Since there are still many signs that have to be fulfilled. However; it might be possible that some other event would happen due to which disasters would arrive. Even after that the universe would not go to the end and it would continue to survive up till the will of Allah.
mera zaati khayal hai keh 21 December 2012 ko qayamat ke chances (not 100%)ziadah hai. hami qayamat ki tayyari kerni chahiye.
Answer: If it is your personal opinion then you may have it, since it is your personal opinion and this is not necessary that every one would agree with your personal opinion.
mujhe aik sms yeh bhi aaya hai keh NASA walo ne kaha hai keh har 26000 saal ke baad zamin aur aasman ka milap hota hai, aur 21 Dec 2012 ko poor 26000 sal complete ho rahe hai. aur iss tareekh ko zamin aur sooraj ka milap hoga.
Answer: Zameen aur sooraj no hoe Mian Bivi hogae ke unki shadi hone wali ho aur Milap hone wala ho.
mera zaati khayal hai keh 21 December 2012 ko qayamat ke chances (not 100%)ziadah hai. hami qayamat ki tayyari kerni chahiye.
Answer: I am agreed with your personal opinion. We must be prepared always for the Dooms day. |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:7th Dec 2009, 10:39pm |
|
|
bewaqoof may ney app ko galat sabit karney key liya yeh nahi kaha,merey khney ka maqsad sirif yeh hey key aik sms ki base par app kisi bhi bat par yaqeen nahi kar saktey,lakin jesa key app ney mention kiya key jahan say app ko sms ata hey uss par yaqeen kar saktey haien
lakin agar may app ki jgha hoti tu sms key baud bhi appni research bhi khud karti key bat kahan tak sahi hey
ab jese meri aik friend ney mujhey 2012 key barey may bataya,tu may ney uss ki bat suni zaror par appni research bhi ki key kiya sach hey or kiya jhoot
ku key log kahi say suntey haien or jab bat app tak pohanchti hey tu bat kuch or hi ban jati hey tu bhetar hey key hum kisi sahi source say malomat hasil karien
ab jese humey har bat media key zaryea pata chalti hey,or hum uss par hi yaqeen kar lete haien lakin yeh nahi dekhtey key jis media key zariya hume bat pata chali hey wo kitna strong hey
ab jese misal key tor par New York times aik American mediya hey may agar ussey read karon tu shyad itna yaqeen na karon news ka jitna mujhey BBC par yaqeen hoga ku key wo aik global media hey |
ZAmalik
|
Group: Members Joined: 01st Feb, 2010 Topic: 0 Post: 7 Age:
33
|
|
Posted on:9th Feb 2010, 7:03am |
|
|
PART-1 (2012) PART-1 (2012)
Salaam Mere Aziz Pyarey Doosto... Main pichle 1 saal se eski tasdeek main hoon mayan calender main 21,Dec,2012 calender our duniya ka hatma hai.. Aj main esi baat ko clear kerna chahta hoon.. Itna to ap jantey hain Qiyamat zoher ki nimaz our maghreeb ki azaan se pehle aye gi.. our mayan calenderk mutabik yehi time benta ha.. her 26800 saal k baad zameen suraj our siyarey ak seedh mainatey hain jiski waja se zameen main gravity bherti ha yeh itni powerful ho jati ha k zameen se allawa bahir ajata ha.. bohat zulzale, tufaan our sunami atey hain jis main humko kahin bhagne ka moka nahi milta..
( NASA SE MALOMAAT) maine Nasa se aik report li jo 21-Dec-2012 se munsilak ha. Nasa ne clear likha ha 21-Dec-2012 ko duniya hatem nahi hogi our na he koi bari tabahi hogi.. zalzale aye ge sunami aye ga per itna nahi jitna logo ne samjha ha.. jese aj kal zalzale a rahe ha sunami a raha ha bas esme thora izafa hoga per apko darne ki zarorat nahi... Yeh Tha Nasa Ka Jawab...
(ISLAMIC POINT OF VIEW SE) Ager hum humare pyarey deen islaam k mutabik sochte hain to esme bohat si esi nishaniya hain qiyam ki jo abhi honi hain... HAZRET IMAAM MEHDI KABA se zahoor, HAZRET ESSA A.S ki Aamed unke hathon jujal our ajooj majooj ka hatma.. yeh sub hona ha.. |
ZAmalik
|
Group: Members Joined: 01st Feb, 2010 Topic: 0 Post: 7 Age:
33
|
|
Posted on:9th Feb 2010, 7:04am |
|
|
PART-2 (2012) PART-2 (2012)
(AlIMO K TAJZIYE) Pakistan main kuch saal pehle aik baba ne kaha Pakistan 2012 k nakshey main nahi.. yeh sub to takreeben sub he ne suna hoga.. Kisi ne Ak ESSAI ALIM kaha DUNIYA HATEM HOGI phir Kiya HAZRET ESSA nahi aye ge..? Jawab diya yeh such ha duniya hatem hogi per yeh haqeeqaten qiyamat ahi hogi.. kyu k qiyam eske baad aye gi..
ak our ALIM ka kehna ha.. Hazret ESSA ALLAH k PEGHAMBER HA Jub unki zahoor hoga to us zamaney main jadeed technology nahi hogi infect cycle tak nahi hogi.. hum sub es waqt dark age main hain.. eske baad ager hum buch gai to golden age main chale jai ge jisme HAZRET IMAAM MEHDI OUR HAZRET ESSA A.S ka zahoor ha..
Ak ALIM ne kuch saal pehle yeh bhi kaha tha ak waqt esa ayega ak movie suchai per bunai jai gi per loog usko ak movie he samjhe ge per wesa haqeeqat ben jai ga..
AK ALIM se pocha geya ager yeh haqeqat hai to hum buch kese saktey ha.. unho ne jawab diya yeh sub ALLAH ki qudret ha hum eska mukabla nahi ker saktey per eska hal ROHAANI ha yani hum apne imaan ko paka kare our deen ki taref rukh ker l nimaz rozey our ALLAH ki ibadat kerne lag jai wohi sub ko apne hifz-o-imaan main rakhe ga..
Dosto mere pas jitni information thi ap tak pohancha di. ab app achi terha perhe our soche humare liye kiya behter ha kiya nahi.. jo hona ha woh ho ker he rahe ga koi bhi qudret ko jhutla nahi sakta..
kuch loog nahi mantey our kuch loog mantey ha per yeh faisla apko kerna ha ALAH se maafi mang ker uski ibadat karey ya phir apna aqt yehi sooch ker guzarey k yeh such ha ya jhoot.. ager ziada tention ho rahi ha to ak mashwara do ga.. KHANA KABA chale jana woh ALLAH ka gher ha usko kabhi kuch nahi ho sakta kyu k qiyamat se pehle HAZRET IMAAM MEHDI ka zahoor wahan se hai...
OK doosto dua main yad rakhna koi buri baat lage to maafi chahta ho... per hum muslim ha humara imaan paka ha humko ALLAH k siwa kisi ka dur nahi... FEE IMAAN ALLAH.. |
ZAmalik
|
Group: Members Joined: 01st Feb, 2010 Topic: 0 Post: 7 Age:
33
|
|
Posted on:9th Feb 2010, 7:24am |
|
|
Ak peghaam Sub Pakistani K Liye Dosto Salam arz hai...
Aap ak baat batai sub kiya aap main itni samjh our itni takat hai...?
maine sub masseges nahi perhe per kuch zaror parhey..
ak sms apko kisi ne send kiya our eski tehqeek kerne internet per agey..
our kisi ne kaha usme likha ha NASA walo ne yeh ka Nasa walo n woh kaha... yeh kiya bewakofi hai..?
apna dimag lagai our ager shak ha to direct NASA se contact kare unki internet per website bhi available ha..
Humesha baat woh kare jisme dum ho our logic ho.. kisi ko jhoota kehna ya sucha kehna chorey apni base per thori himat karey our search kare.. werna ALLAH se maafi mange apne gunaho ki..
Shukriya.. |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|