s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:10th Apr 2009, 5:25pm |
|
|
5 chezo ki 5 jagah per hifazat kerna
1- Mehfil me zuban ki.
2- Bazar me ankh ki. 3- Namaz me dil ki. 4- Dastarkhuwan mein pait ki. 5- Nigah me hayya ki. ~:(HAZRAT ALI R.A):~
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:10th Apr 2009, 5:37pm |
|
|
Aqwaal e Zareen "Kesi ko apni
safai bayan na kro kiu k jo shaks tumko pasand kerta hai osko safai
ki zaroorat nahi aur jo tumse nafrat kerta hai wo kabhi yaqeen nahi
karega
~:(HAZRAT ALI R.A):~
|
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
24
|
|
Posted on:11th Apr 2009, 9:01am |
|
|
Re. (Aqwaal-:E:-Zareen) Teen cheezain kabhi mat karna: 1. Intizaar 2. Etibaar 3. Izhaar Kamyab raho gay.
Teen baatoon par amal karo: 1. Quraan 2. Sunnat 3. Nasihat Zindgai behtreen guzaro gay.
Teen cheezain sanbahal kay rakhna: 1. Raaz 2. Zuban 3. Haya Kabhi na pachtao gay.
Teen kaamon main jaldi karo: 1. Farz 2. Qarz 3. Shadi Sukoon milay ga.
Teen dost bana lo: 1. Nek aamal 2. Husn-e-akhlaq 3. Kitaab Kabhi tanha na raho gay.
Teen admi ban kay dekhao: 1. Mukhlis 2. Sachay ummati 3. Farmanbardar Jannat milay gi.
|
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
24
|
|
Posted on:11th Apr 2009, 9:20am |
|
|
Re. (Aqwaal-:E:-Zareen) Din ki roshni main rizq talash karo aur raat ki tarikhi main usay talash karo jo tumhain rizq dayta hai. ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo apnay dost ko kisi gunah ka taana day woh is gunah ka murtaqib hony say pahlay nahi maray ga.
Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apnay app ko aisa zahir karo jaisay tum ho yah waisay ban jao jaisa apnay app ko zahir karna chahtay ho.
Hazrat Ba Yazeed Bustami (R.H) ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apni souch hamesha musbat rakho har ek kay baray main kyun kay tum jis nazariye say kisi ko dekho gay woh tum ko waisa hi nazar aye ga. ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ansu aur muskurahat 2 anmol khazanay hain pahlay ko apnay tak mehdud rakho aur dosray ko logo par nichawar kardo
Hazrat Ali (R.A) ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|
sensible |
Group: Members Joined: 25th Mar, 2009 Topic: 1 Post: 25 Age:
29
|
|
Posted on:11th Apr 2009, 3:13pm |
|
|
mera khayal aik orat ko apne kirdar main itna buland hona chahiye k us tak kisi mard ki gandi nighah na pohanch sake
|
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
24
|
|
Posted on:12th Apr 2009, 4:28pm |
|
|
Re. (Aqwaal-:E:-Zareen) Khuda ki 4 rahaamatian aisi hain jo insaan say bardaasht nahi hoti. 1 Beti 2 Mehman 3 Barish 4 Bemari ===============================================
Ustaad ki maar baap kay pyaar say achi hai. Hazrat Luqman (A.S) ===============================================
Chaand kay baghair raat bekar hai aur ilm kay baghair zehan. Hazrat Abu Bakar (R.A) ===============================================
Jo tujhai teri khamiyaan bataye woh tera dost hai. Hazrat Umer (R.A) ===============================================
Ghareeb woh hai jis ka koi dost na ho. Hazrat Ali (R.A) ===============================================
|
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
24
|
|
Posted on:14th Apr 2009, 8:38am |
|
|
Re. (Aqwaal-:E:-Zareen) Aazmaye huay ko azmana bewakufi Hai. Hazrat Ali (R.A) ---------------------------------------------
Apnay dushman ko 1000 dafa moqa do kay woh tumhara dost ban jaye par apnay dost ko 1 bhi moqa na do kay woh tumhara dushman banay. Hazrat Ali (R.A) ---------------------------------------------
Sab say ziyada kamzor aadmi woh hai jo dost ko haasil karnay main naakaam ho aur us say bhi ziyada kamzor woh hai jo haath aai huay dost ko gawa day. Hazrat Ali (R.A) ---------------------------------------------
Acha dost kitni dafa hi kyon ba ruth jaye usay mana layna chahiye kyon kay tasbi kay danay kitni dafa hi kyon na bikhrain chun liye jatay hain. Hazrat Ali (R.A) ---------------------------------------------
Kisi ki madad kartay waqt us kay chehray ki janib mat dekho ho sakta hai us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharroor ka beej bo dain. Hazrat Ali (R.A) ---------------------------------------------
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:16th Apr 2009, 12:14am |
|
|
very nice thanks 4 sharing
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:4th May 2009, 12:12am |
|
|
Aqwaal e zareen Apni sochon ko pani k qatro se ziyada shafaf rakho
kiu k
Jis tarha qatron say dariya banta hai usi tarha sochon say EMAAN banta hai
(Hazrat Ali R.A)
|
avsum_eyes |
Group: Members Joined: 02nd May, 2009 Topic: 2 Post: 24 Age:
28
|
|
Posted on:4th May 2009, 1:19am |
|
|
Aqwal-e-zareen Hazrat Ali R.A said:
dere r 2 ways to live a happy life:
1. Get whateva u love or like in life.
2. Start loving whateva u have in life. |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:13th May 2009, 12:14am |
|
|
Aqwaal e zareen
1. ALLAH ki zaat pe bharosa kerne wala kabhi nakaam nahe hota. 2. Kisi ka raaz talash na kero or maloom ho to fash mat kero. 3. Koi bhi mousibat perne per mout ki tamana mat kero. 4. Kisi ko apna acha dost banana ALLAH ka tohfa hai 5. Kisi ko khush kerna naiki hai.
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:13th May 2009, 12:20am |
|
|
Aqwaal e Zareen...(nafrat)
"Jab tumhare dil me kisi k lie nafrat paida hone lage to foran uski achaiyon ko yaad kerne lago."
HAZRAT ALI R.A
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:13th May 2009, 12:23am |
|
|
Haqeeqi Tasveer
"Koi aaina insan ki itni haqeeqi tasveer paish nahi ker sakta jitni us ki guftogo paish kerti hai."
HAZRAT ALI R.Z
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:13th May 2009, 12:28am |
|
|
Dosti
1. Dosti kerne se pehle soorat ko nahi seerat ko dekho. 2. Acha dost wo hai jo tumhein khush dekh ker khush ho. 3. Asal dost wo hota hai jis se door reh ker bhi mohabbat ho. 4. Dost ki qadar karo kion k dosti buhot azeem rishta hai. 5. Dost ko naseehat akele me kero aur uski tareef mehfil me.
|
Bhimji |
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1837 Age:
30
|
|
Posted on:13th May 2009, 1:11am |
|
|
Faith In Allah Some times Allah Upset ur plans to set up His own plans,
Allah's plans are perfect
So,
never get upset when Ur plans upset
HAVE A STRONG FAITH IN ALLAH... |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:25th May 2009, 5:12am |
|
|
aik khoobsurat aitbaar
Agar KHUDA tumhari Duaien puri kar raha hai to wo tumhara "Yaqeen" Barha raha hai,
Agar Duaien puri karne mein dair kar raha hai to tumhara "SABAR" barha raha hai.
Agar tumhar Duaoon ka jawab nahi de raha hai to wo tumhy aazma raha hai
|
made4u |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2008 Topic: 11 Post: 439 Age:
|
|
Posted on:25th May 2009, 11:27pm |
|
|
Aqwaal e Zareen.. 1):Bekari aur susti insan ko halak kar deti hai.
2):Jab tak tum dunyan ke talab raho gay,wo tum par galib rahe gi,Jab is se moun pher lo gay wo tumhare matehat ho jaye gi.
3):dusron ke ayb poshida rakh ta keh Allah tere ayb bi poshida rakhe.
4):Khaliq ka muqarb ban-na chahta hai tou makhlooq par shafqat kar.
5):Nafs ki tamana puri na kar warna tabah ho jaye ga. |
made4u |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2008 Topic: 11 Post: 439 Age:
|
|
Posted on:25th May 2009, 11:48pm |
|
|
Aqwaal e Zareen 1):moti agar kichar mai gir paray tou phir bi moti he rahe ga.
2):apne ap ko kabi kisi ki nazron mai girne na do kyun keh log tou gire howe makan ki intain bi utha kar lay jate hain. |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:5th Aug 2009, 1:06am |
|
|
Made4u bhai
nice sharing.....
Dost ki muhabbat per us waqt tak bharosa na kero jub tak 3 baar usey naraz na ker lo, Ager is ke baad bhi muhabbat qaim hai to wo apka Dost hai warna nahi. Ehbab me se jo 3 baar ap se naraz ho or tab bhi apki burai na karey to esey Dost ko apne lie mehfooz rakho
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:5th Aug 2009, 1:16am |
|
|
:::Aqwaal-E-Zareen:::
Aik Buzurg nay 50 saal books ka mutaliya kia or un may say sirf 4 Sunehri batain apne liye muntakhib kein. 1- ALLAH ke diye howe se razi reh warna koi or maalik talash ker jo us se bhi ziada day. 2- Jin batoon se ALLAH ne mana Farmaya un se ruk ja warna Uski kainat say bahir chala ja. 3- Ager gunah kerna chahta hai to aisi jagah talash ker jahan ALLAH na dekh sakay warna mat ker. 4- ALLAH ki ibadat ker warna Uska dia howa Rizk bhi mat kha.
|
|