Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Kabaron Ko Sajda/chumna

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
 
* Noor Clinic *
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:16th Jun 2008, 6:19am
 

dua with waseela.

seemi apnay jo waseelay wali baat ki hai us par tamam muslims ittefak nahi kartay... kuchh logo kay khayal say aisa karnay ki zaroorat nahi kyonkay Allah ka aur insan ka direct contact hai,, Allah tala khud kehtay hain k jab banda meri taraf 1 qadam ata hai to Allah ta'ala uski taraf 10 kadam agay/kareeb atay hain... isi tara jitni ziada akeedat , ehtaraam aur inkasaari say insan Allah say dua karay ga , to Allah uski sunay ga bi... Allah sunta hai, har aik ki sunta hai.. Allah ta'ala ko intezar hota hai k kab mera banda meri taraf laut kar aye ga aur mujsay mangay ga, aur banda sahab us time idhar udhar mazar dhoond raha ho k mai mazar par ja kar hazri bi lagva lon aur maang bi lon..

ye koi dunyavi insan nahi hai jiskay pas sifarshain lay kar jaana paray. Allah aur insan ka direct contact hai, Allah insan ki sheh-rag say bi ziada kareeb hai. Tahajjad ki namaz k time (late night) farishtay Allah k hukam say atay hain aur kehtay hain k koi hai jo Allah say mangna chahay.... 

to in sab baton say pata chalta hai k Allah tala to khud dhoondtay hain k kon hai jo meri madad chahta hai, aur Allah tala insano ki madad kar k khush hotay hain...

kisi zinda insan say kehna k mere liye bi dua karna, ye aik alag bat hai,, kyonkay ye bat ahadees say sabit hai k wo dua bi jaldi Qabool hoti hai jo 1 muslim dosrey muslim k liye karta hai.

so in my opinion, agar koi zaroor hi kisi ka reference dena chahta hai to sirf Nabi Muhammad (SAW) ka keh sakta hai.

Tehseen Group: Members  Joined: 20th Feb, 2007  Topic: 53  Post: 386  Age:  31  
Posted on:16th Jun 2008, 7:19am
 

mushkil mushaa siraf ALLAH ki zat hey

kon k mushkil mushaa siraf ALLAH ki zat hey  mushkil kushaa karney wali siraf hakei zaat hi siraf wahid ALLAH ki zat hey  aur ALLAH ki Wali jo humari madad kartey hen wo ALLAH ki aata sey humari madad kartey hen  beyshaak ALLAH ki wali huamri madad kartey hen  leyken ALLAH ki aata sey humari madad kartey hen kakeki zaat siraf huarmi madad karney wali siraf ALLAH TALAA

yani k ALLAH k wali jo huamri madad kartey hen wo ALLAH k chaney sey madad karety hen  ager ALLAH na chahey to koie madad nhi kar skataaa

 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 7:22am
 

Tehseen

aap ko khud patta hai k aap kiya keh rahe ho?
Tehseen Group: Members  Joined: 20th Feb, 2007  Topic: 53  Post: 386  Age:  31  
Posted on:16th Jun 2008, 7:29am
 

mushkil mushaa siraf ALLAH ki zat hey

mujey pata hy k mein kai keyra hon aur is bat sey baat saaf hey, aap bachon wali bat na karoo... ager nhi to phir kaam sey kaam replay na karoo,,,,
Tehseen Group: Members  Joined: 20th Feb, 2007  Topic: 53  Post: 386  Age:  31  
Posted on:16th Jun 2008, 7:32am
 

mushkil mushaa siraf ALLAH ki zat hey

mujey pata hy k mein kai keyra hon aur is bat sey baat saaf hey, aap bachon wali bat na karoo... ager nhi to phir kaam sey kaam replay na karoo,,,,
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 7:34am
 

Tehseen

to aap yahan mashware kiyon mangte ho jab jawab nahi chahiye tooooooo?
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:16th Jun 2008, 7:36am
 

Tehseen..

mere bhai bari ghuma phira k batain kar rahay ho..

jab Allah ki marzi k bina kuchh nahi ho sakta, aur insan ka direct link Allah k sath hai, to phir itna ghoom phir k mazaar par ja kar apnay liye sifarish ki talash karnay ki kia zaroorat hai ???

Qayamat walay din sirf Nabi Pak Hazrat MUHAMMAD (SAW) muslims k liye ALLAH ki ijazat say sifarish karaingay...

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 7:42am
 

josh bhai

aap bilkul theek keh rahe hain lekin jinhen ALLAH PAK hidayat na de unhen koi nahi de sakta:)
SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 7:45am
 

TAHSEEN SAHABA

yani k ALLAH k wali jo huamri madad kartey hen wo ALLAH k chaney sey madad karety hen ager ALLAH na chahey to koie madad nhi kar skataaa

Janab Tahseen Sahaba jab ap ko pata hai Allah ka sewa koe nahe sonta aur ya bhe pata hai os ke he marze sa sab koch hota hai to pher Qabro par jakar ap on sa keyo mang te hai woh khod mohtaj hai is Dara Fane sa jana ka baad jo bhe tha woh Allah ka Wali ka ya Buzrog sab Donya ma rahna tak jab yaha sa koe bhe jata hai to koe kese ka leya koch nahe karsakta.

Mareyam baji ap Naraz mat hoeya sab ko haq ha sawal karna ka manna ya na manna woh alag baat hai ap Gussa mat hoeya.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 7:50am
 

sofi bhai

nahi mai ghussa nahi kar rahi mujhe albatta hansi zaroor arahi hai . jo baat insaan ki apni marzi ki na ho wo usse sunna bhi pasand nahi karta :)
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:16th Jun 2008, 9:34am
 

Waseela kaisa

Jab Allah har cheez ka khaliq aor malik hae aor insan ki sheh rag se bhi qareeb hae aor Allah Insan ko khud mangne ki targheeb deta hae to phir beech main kisi waseela ki kya zaroorat hae ??? Allah ki misal dunya ke kisi badsha jaisi nahi hae ke jis tak ponchne ke liye kisi waseele ki zaroorat ho, Allah ke maqam ko samjhne ki zaroorta hae woh to aisa sakhi hae ke jis se mangain to khush hota hae na mangain to naraz hota hae.
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:16th Jun 2008, 9:41am
 

Tehzin

apne kaha

phir  mang to mein ALLAH sey hi raha hon bas inta keyra hon k wo mery haaq mein b duwa karyn k ALLAH meri is duwa ko kabool kary yey sub matlab hey mery words ka

 

ALLah se ap Ghar me baithe bhi mang sakte hain..Allah har jaga apki sunegaaa..iske lye apko Qabron pe jana zaroori nahi hai

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:16th Jun 2008, 9:52am
 

josh

i agree with you...humara khuda se direct link hona chahye...Zinda insan ko dua ka kehna aur bat hai,

also agree to babar bhai

SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 9:56am
 

Babar bhai

BOKHARE SHAREEF GILD NO 1 HADES - 147

Ya Hades dakh legae Wasela par keyo ka is ma Hazrat Umar RZ na Wasela leya tha aur ya Hades Zaeef nahe hai baz ko mai na dakha jo samajh nahe ate matlab ke nahe hai Zaeef kahdata hai ham Hades ka inkar to nahe kar raha hai Zaeef hai Hades aysa to nahe hai na bhai ka jo samajh nahe ate hamara matlab ke nahe osa ham Zaeef kahda kher bahas nahe is kar raha mai.
 Is Hades par Tamam Aalama Islam ka Mufteyo aur Aulma ka Iktafa karta hai ya Zaeef nahe hai.

SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 10:06am
 

Soory

Hades No mai na galat lekha send karna ka baad dakha sorry

BOKHARE SHAREEF GILD NO 1 HADES - 137

Nadeem Ali Group: Members  Joined: 02nd May, 2008  Topic: 2  Post: 5  Age:  33  
Posted on:16th Jun 2008, 10:52am
 

meet one person

Dear all,

I meet one person and ask him this qustion. he advise me,

First, Faristo nay sajjda kia Hazrat Adam (A.I). bertri and fazilat ki bana per. ye Quran sharif main majud hai,

Dosra jawab, Sajjda main hum subhana rabi alla pertay hai ya khuda say koch mangtay hai jab k kabro ko sajjda wo ihtraman or bertri ki bunyaad per kertay hai.

 

SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  30  
Posted on:16th Jun 2008, 11:02pm
 

Nadeem Ali Bhai

ap ko jis na bhe bataya galat bata ya ap kese sahe Alema Deen sa meleya woh ap ke rahbare karanga ap jis na bhe bataya ya galat hai aur ap ka jawab sa aysa lagta hai ap na aysa insan sa pocha jo khod ya karta hai to ap ko bhe ose tarah jawab deya Allah ap ko aur moj ko Haq bata na aur Haq sona ke Tofeeq da AMEEN.

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:16th Jun 2008, 12:28pm
 

Sofi

Ye baat to yahan pe Maryam aor JOsh ne bhi kahi hae, main bhi kehta hoon ke Allah ke qurbat waloon se, Allah ek naik bandoon sedua karwai ja sakti hae. baat to yahan pe ye ho rahi hae ke jo log qabr main aaram farma rahe hain kya woh hamari taqdeer ke malik hain ya nahi.
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2285  Age:  37  
Posted on:16th Jun 2008, 1:22pm
 

Farishto nay sajda ALLAH k hukam ki waja say kia.

sofi sahab ap kia pahelian bujha rahay ho, agar koi hadees parh li hai to khud hi idhar likh do. ta k ham sab bi dekh sakain...

Nadeem Ali apko us banday nay ye baat kahi "First, Faristo nay sajjda kia Hazrat Adam (A.I). bertri and fazilat ki bana per."

mere zehan k mutabik to uski ye baat hi ghalat hai,, Farishto nay hazrat Adam (A.I) ko sajda, bartari ki waja say nahi kia , balkay ALLAH k hukam ki waja say aisa kia... farishto nay ye nahi dekha k ye mitti ka insan hai ya ham say kam takatwar hai ya kam / bara namazi hai, aur ham kyon isay sajda karain, unho nay ye dekha k hukam day kon raha hai...  aur jis 1 farishtay nay Allah ka hukam na maana, wo nuksan mai raha...

BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3586  Age:  27  
Posted on:16th Jun 2008, 1:46pm
 

Qabroon ko Sijdah Karna (Haram & Shirq)

Qabroon ko Sijdah karna "Haram" hai aur "Shirq" hai... ALLAH Subhanahoo Taa'lah k ilawah iss jahan ma kisi ko Sijdah nahi kiya ja sakta hai... chahey woh Hamare Prari Nabi (S.A.W) ki hi Qabar-e-Mubarak kyun na hoo....!

Agar Islam ma ALLAH k ilawah (NaazubilALLAH) kisi ko sijdah karne ki ijazat hote tou Bivi apne Shohar ko karte... aur issi liyah Shohar ko Mazaji-Khuda se tashbeeh dey jaate hai... Magar ALLAH k ilawah kisi ko sijdah karna Haram hai aur yah Shirq hai... Shirk ko Dajjal k Fitne se bhi zayadah Khatarnaak qarar diya gaya hai.
For Detail Click On Page No: 1 2 3 4  >>
 
 
 
 
Pakistani Driver Honesty In Dubai  How To Get Visa For Japan  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014