Tehseen
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2007 Topic: 53 Post: 386 Age:
31
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 5:11pm |
|
|
Kabaron Ko Sajda/chumna
salam kuch log darbaron pe jatey hen jis ki bohat bari tadaad hoti hey ,,,, dykeney mein ata hey k kuch log ALLAH k naik bando k kabar ko chumtey yaa apney sir ko sajdy mein rakh kar aus ko bosa deytey hen jis sey asaa lagta hey k wo shahid sajda kara hy hoon kia yey cheez sahi hey ???? sajda to kisi b sorat mein jaiz nhi hey , Hazoor SAW ney farmaya k mery wasaal k bad meri kabar ko samjda gaa na bana leynaaaa sawal yey hey k kia chumnaa , yaa jhuk kar bosa deynaa sahi hy???
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 5:26pm |
|
|
apne maslak ki baat kare aap ka yeh post yaha per fasad aur fitna phailane ki koishish hai.
kisi bhi mazhab aur maslak per tanqeed kerne ki bajayee apne mazhab aur maslak ki baat kare. abhi aap qabar ki baat ker rahe hai, phir kahe ge ge ke kuch log maatam kio kerte hai? phir pooche ge ke log mandir aur church kio jaate hai?
bhai har aadmi apne mazhab aur maslak ke mutabiq chalta hai. aur har mazhab doosre mazhab se mukhtalif hota hai. isi tarah islam mai 72 maslak hai, jo keh aik doosre se mukhtalif hai. lehaza agar koi baat aap ke maslak mai nahi hai tu iss ka yeh matlab nahi keh woh doosre maslak mai bhi nahi ho ga.
aap apne maslak per amal kare aur doosro ko bhi on ke apne maslak per amal kerne de.
mera khial hai keh aap per shaitaan haavi ho gia hai, aur aap isi liye yaha forum per maslak ka fitna le ker aaye hai.
|
booji93
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 8 Post: 54 Age:
52
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 5:42pm |
|
|
Qabron ka sajda ya chumna waisay to sajda swaye Allah ke kisi ko bhi jaez nahin. Ab sajda karne wale ki niyyat par ha k woh kis ko sajda kar raha ha. choomna aik aqeedat ha aur agar ehtram ka pehloo ho to koi muzaiqa nahin ha. laikin jukna aur sajde ki haalt min bosa dena mere khyal mein theek nahin ha.
bewaqoof swal ko samajh kar jawab dein. is main maslak ka koi pehloo nahin ha. Tahseen ne aap se simple question kikya ha. aap us ka jawab doosray rang main de rahe hain.
Tahseen ki bayan karda hadeeth main hi jawab ha. |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 6:04pm |
|
|
rE:Kabaron Ko Sajda/chumna Appne khud hi sawaal karkay khud hi jawaab de diya hai jo k bilkul durust hai
Kabar ko sajda karna sarasar jahiliyat ki nishani hai, aesa nahi karna chahiyai.........likin chomnay main koi harj nahi....
|
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 6:08pm |
|
|
Kabaron Ko Sajda/chumna agreed with hitman..
Allah ne farmaya hai ke meri abadat karo aur mere agey he sajda karo..to phir kisi aur ke agey sajda karna bhut galat aur shirk hai. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 6:32pm |
|
|
i agree to booji Hitman and Veer
Kabron par sajda karna sahi nahi hai....Allah talah ke ilwah kisi ko sajda jaiz nahi hai....
|
ashy
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 50 Post: 383 Age:
33
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 8:39pm |
|
|
my point of view jee han qabroon ko sajda karna ya choomna ya koi bhi aisi harkat karna jis say aam insaan ko aisa shubha ho k sijda kia jaa raha hay sab haram or ghalat hay |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 9:41pm |
|
|
ham kisi ke aqeeda per tanqeed kerne wale kon hote hai? ham log tu yahi kahe ge ke sajda nahi kerna chahiye, kio keh hamara aqeeda yahi hai. lekin jo log sajda kerte hai, wahi sahi bata sakte hai keh woh aisa kio kerte hai? on ke paas bhi on ke aqeeda ke mutabiq koi na koi logic zaroor ho gi. woh log iss waqt is forum per nahi hai, agar hote tu aap log onhai kafir kehte, jawab mai wo aap logo ko kafir kehta. maslak ke ikhtelaf mai aisa hi hota hai.
har mazhab aur maslak ke paas apne apne aqeeda ki logic hoti hai, lehaza ham yahi keh sakte hai keh hamare maslak ke mutabiq qabar ko sajda kerna aur choomna jaiz nahi, lekin saath mai aap ko yeh manna pare ga keh jo log aisa kerte hai on ke maslak mai aisa kerna sawab ka kaam hai.
agar woh aisa kerna gunah samajhte tu yeh kaam kabhi bhi nahi kerte. woh tu sawab samajh ker aisa ker rahe hai, on ke aqeeda ne on ko yahi samjhaya hai. ham kisi ke aqeeda per tanqeed kerne wale kon hote hai?
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 10:27pm |
|
|
mere khayal se yahan sab apne apne maslik ke hisab se jawab de rahe hain....
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 10:38pm |
|
|
sunehri: mai aap se agree nahi kerta yaha per woh log mojood nahi hai jo qabar ko choomte hai, woh mojood ho tu ham log on ka point of view sune. 72 firqa mai se sirf chand firqa ke log yaha mojood hai. agar yeh log apna apna firqa ka nam batai tu aik nayee larai shuru ho jaaye gi, balkeh aik firqa per tu yeh bhi kaha jaaye ga keh yeh firqa nahi balkeh alag mazhab hai ...............
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 10:42pm |
|
|
nahii agar hum yahan ye kahain ke humare maslik ke mutabik ye sahi nahi hai.to koi ladayi nahi hogi...kyunke hum unhe galiyan nahi de rahe,...bas apne maslik ke hisab se keh rahe hain ke ye ghalat´hai---- |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 10:42pm |
|
|
Agreed to all Kabaron per Sajda nahi kerna chahye..
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 10:45pm |
|
|
Sajda سجدہ صرف اللہ کی ذات کا حق ہے۔ کسی انسان کا نہیں، چاہے وہ کوئی نبی ہو یا ولی۔ کسی کو نہیں۔ |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:13th Jun 2008, 10:50pm |
|
|
sunehri: doosro ke aqeeda per tanqeed achchi baat nahi ji haa yeh baat sahi hai keh ham yeh kahe keh ham apne maslak ke mutabiq keh rahe hai. lekin topic start kerne wale ne doosre ke maslak ke aik aqeeda ko tanqeed ka nishana banaya hai. hamai koi haq nahi pohonchta keh doosro ke aqeeda per tanqeed kare.
agar mai aik topic shuru ker doo ke Qadiani kafir hai. tu kai member meri himayat mai reply dene lage ge. lekin mere iss statement se kisi qadiani ke dil per kia guzre gi? woh aik qadiani hi samajh sakta hai.
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:14th Jun 2008, 6:43am |
|
|
kabron ko chumna Kabron par sajda karna sahi nahi hai....Allah talah ke ilwah kisi ko sajda jaiz nahi hai....
albata chumna ya us ko hath laga ker baithna...ye sub ker sktey hain,,, koi herj nahi
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:14th Jun 2008, 7:09am |
|
|
Bewakoof Topic Starter ne kisi dusre aqida rakhne wale pe tankid ki.... ya kis pe ki...ye mai nahi samajh saki..
maine sirf natural ho kar replay diya hai...aur mai ye bhi nahi janti ke ye kisi dusre aqeede me jaiz hai/ya nahi...yes u right..humain koi haq nahi pohanchta kisi dusre aqeede pe tankeed karain... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:14th Jun 2008, 7:13am |
|
|
Sajda
Wo Aik Sajda Jisse Tu Girran Samajhta Hai
Hazar Sajdon Se Deta Hai Admi Ko Nijat.
|
SOFI
|
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
30
|
|
Posted on:14th Jun 2008, 8:02am |
|
|
KABRO KO SAJDA KARNA JAEZ NAHE KESE MASLAK MA Assala moalikom
Kabro par Sajda karna aur Chomna jaiz nahe Sajda serf Allah ko karna hai jis na sawal keya onhona he ose sawal ma kaha
MARE KHABAR KO SAJDA GAH MAT BANOO
Jab Allah ka Nabi AMBIYA KA EMAM aysa kahraha hai to pher is donya ma on sa bhar kar koe hai ap he khod faisla kegeya.
Hades : AGAR ALLAH KA BAAD KESE KO SAJDA KA HOKOM HOTA TO WHO BIWI KO HOTA APNA SHOHAR KO SAJDA KARA.
Har cheez ma Allah ke maslahat hote hai ya hokom nahe howa keyo ka fitna ka dar tha is leya Allah ka sewa kon bhatar jan sakta hai os ke maslahat ko. |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:14th Jun 2008, 8:17am |
|
|
bewaqoof bhai sab say pahley to yeah key app ney sawal goor sey read nahi kiya uss ney likha hey key bhoot sey log sajda kartey haien magar yeah theak nahi hey to phir uss ney pocha key kiya cumna theak hey uss ney kisi maslak ki bat nahi ki it,s a simple question.Han yeah bat theak hey sunehri ki key sab appney appney maslak key hisab sey jawab daien gey ku key jo ,jo believe karta hey wo wo hi batie ga.
tahseen
mujhey jaha tak pata hey to qabroon key agey ja kar sajda karna ya un sey mangna galat hey ku key,sajda sirif or sirif ALLAH ko kiya ja sakta hey or bhoot sey log qbroon par ja kar un sey mangtey haien to wo bhi galat hey ku key jab 1 insan dunya sey chala jata hey to uss ka iss dunya sey koi talluq nahi rahta or na wo hum ko sun saktey haien or may app sey yeah zaror kahoon gi key app tafseer wala quran parhain ya kisi alim sey bat karien. |
rafaz
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2007 Topic: 20 Post: 939 Age:
|
|
Posted on:14th Jun 2008, 10:06am |
|
|
TANQEED Hum log kisi k aqeeda per tanqeed neehen ker rahey bulkey ye keh rahey heen k yee emal saeeh neehen ha yee shirk ha aur shirk buth bara gunnah ha ,agar aap kisi ki galat cheez ki islaeh kareen to yee koi galat bat neehen ha
Qabroon ko sijda ga banana intihai galat kam ha hum ko ALLAH say mangna chayee Sirf aur sirf ALLAH say Yaqeen k saath Eeman k sath |
|
For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 >> |
|