doctorpk
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 25 Post: 591 Age:
42
|
|
Posted on:9th May 2008, 12:42pm |
|
|
Zeb: List Of Dishes (Continued)
This thread is continued from: LIST OF DISHES THAT I CAN MAKE zeb Posted on : Wednesday, 30th April 2008, 3:56pm LIST OF DISHES THAT I CAN MAKE mujhey bht sari dishes banani ati hain, us ki list main ne start mein di thi….ab main apko wohi list bata raha hun jis mein ye mention hai k main ne kon si dish ki recipe bata di hai (click link) Link wali recipes to main bata chukka hun….jo nai bataiyin un mein se agar ap ne koi puchni hai to main hazir hun :-)
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:9th May 2008, 12:52pm |
|
|
Zeb uncle aab aap yaha per sab ko mazedaar mazedaar khane pakana seekhayen...lol
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:9th May 2008, 9:35pm |
|
|
re: list of dishes Red Chili: zeb naraz hai, ab mazeed khana pakana nahi sikhaye ga.
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:9th May 2008, 11:42pm |
|
|
Zeb uncle kyun naraz hain is ki koi khas wajha??????
|
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:10th May 2008, 4:07am |
|
|
Members....... yaar ap sab khali pakaein gee ya kisi roz hum sab ko kheilaein gaey bhi...???
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:10th May 2008, 4:14am |
|
|
zeb bhai Zeb bhai aap ne waqai kamal kar diya hai.. aap or recipes bhi plz jaldi se likh daalein... :) |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:10th May 2008, 8:54am |
|
|
:-) my list of dishes doctorpk: thank u so muchhhhhhhhhhhhhh...main bi bilkul aisa hi chahta tha k meri purani recipes zaya na hon.... thanks againnnnnn
red chilli and seemi: dear ap bata deyn, is list mein se jo kaheyn gi sikha dun ga ap ko
bewakoof: main kisi se bi naraz nahi hun dear |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:10th May 2008, 7:59pm |
|
|
zeb bhai. sab se pehlay Chikcen Tandoori and Chicken Biryaani sikha dein... seekhni tu aap se sab hi hein.. but one by one..:) |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:12th May 2008, 12:32am |
|
|
Zeb uncle aap bas paka deyn main kha lungi..... lol
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:12th May 2008, 1:30am |
|
|
zeb bhai Aap kahan gaye zeb bhai.. Recipes tu bata dein plz..
@Red Chili.... Mein bhi aap ko join kar loon gi.. :) |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:12th May 2008, 1:50am |
|
|
Seemi aap pehle ye batain aap moti hai yaa patli ....agar aap moti hui to mere hissay ko bhi kha jayen gi..jaldi jaldi aur main to munh dekhti reh jaoun gi....mere hisse mein to kuch nahi aaye ga....lol
|
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:12th May 2008, 1:52am |
|
|
agar aap moti hain to main aap ko sab kuch de duon gi..khud bukhi reh jauon gi.. lol
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:12th May 2008, 2:03am |
|
|
ALLAH na karay ALLAH na karay k mein moti hoon.... :) Aap bhooki na rahein, hum mil jul k kha lein ge. |
lilly swee
|
Group: Members Joined: 17th Mar, 2008 Topic: 24 Post: 177 Age:
29
|
|
Posted on:12th May 2008, 5:37am |
|
|
plz do recipies or bata dey aik to chicken chowmin or chicken chowmin with cheese
balqay sari chinese dishes ki recipe bata de muj se koi b achi ni banti. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:12th May 2008, 9:00am |
|
|
hmmmmm seemi: most welcome dear sis...aj hi main ap ko ap ki ek dish ki recipe bata dun ga note ker lijiye ga aur phr bana k mujhey bataiye ga zaroor k kesi bani ... ok :-)
lilly swee: dear sis main ne apki dishes note ker li hain....seemi ki 2 recipes bataney k bad main ap ko apki dono recipes bata dun ga....us k bad ap jo kaheyn gi wo bi bata dun ga...ok :-) |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:12th May 2008, 9:30am |
|
|
seemi...ur dish 1 CHICKEN BARIYANI
sub se pehle 1-1/2 glass rice boil pani mein namak dal ker boil ker leyn....
phir 1 chiicken ley aur usey achi tarha dho leyn...ab sub se pehle pan mein 2 bareek katay huye pyaz leyn aur usey halki aanch per gala leyn...jub gal jayen aur light brown honey lageyn to us mein 1 spoon ginger paspte aur garlic paste bi 1 spoon daal deun phir is k light brown honey per is mein tomatoes (3-4...slices mein katey huye aur bareek) aur chicken daal deyn aur in sub cheezon ko achi tarhan se is mein bhooneyn .....
phir is mein salt, red chilli half table spoon, half spoon sookha dhaniya daleyn phr 1 cup dahi add ker deyn...dahi achi tarhan phaint k dalna chahiye takey bhonney mein asani ho......phir chicken ko galnay k liye rakh deyn jub half gal jaye to is mein NATIONAL ka bariyani masla daal deyn....
phir chicken ko dahi mein achi tarhan bhooneyn...sath hi is mein 5-6 green chillies daal deyn....jub bhun jaye to isey utar leyn....
ab ek alag bartan mein sub se pehle ek layer boiled rice ki lagayen, phir us mein chicken wala jo masala pakaya hai us ki ek ;layer daalyen...phir rize ki ek layer, phir chicken ki ek layer phir akhir mein rice ki ek layer laga leyn.....phir sub se uper thora sa pudeena aur hara dhaniya kat ker daalyen.....sath hi ek pinch of zarday ka rung thorey se pani mein (3-4 tablespoons only of water) ghol key is k uper chirek deyn....
phir is ko dum per rakh deyn....2-3 minute k bad khubsurat dish mein nikal leyn aur raita aur salat k sath serve kijiye....
yummmyyyyyyyyyyy ;-p |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:12th May 2008, 6:37pm |
|
|
Zeb bhai.. Zeb bhai... so nice of you... you are really great... I am really thankful to you that you wrote it for me... :) |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:13th May 2008, 7:40am |
|
|
seemi u r always welcome dear
its my pleasure k main kisi ne kisi tareekay se ap logon k kaam to aa rha hun :-) |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:13th May 2008, 9:48am |
|
|
seemi...dish 2 CHICKEN TANDOORI
Is k liye ap chicken lijiye not bonesless....pieces waley hon to ziada behter hai...best yahi hai k charghay ki tarhan ek chicken k 4 pieces karwa leyn...aur us per kantay aur churi se halkay halkay se kahin kahin per cut laga leyn
us k bad ap 1 cup dahi leyn us mein namak to taste, black pepper 1 spoon, thora sa sookha dhaniya....
choti red chillies 7-8 sabit leyn aur sath 2-3 spoon pani leyn in dono ko grinder mein dal ker achi tarhan piece leyn takey paste bun jaye....ye paste bi dahi mein dal deyn aur sath hi thora sa chinese salt aur soya sauce 1 spoon dal deyn .....
ab is mixture ko chicken per achi tarhan laga ker 2-3 hours k liye frige mein rakh deyn...takey masala achi tarahn chicken mein jazb ho jaye....
phir oven mein is ko bake ker leyn....
ap chaheyn to is ko chooley per bi steam dey sktay hain....
lekin asal tareeka oven mein pakanay wala hai
garam garam tandoori chicken raita, salad aur garam roti k sath serve keryen... yummmyyyyyyyyyyyyyyyyyyy ;-p ;-p |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:14th May 2008, 5:19am |
|
|
Seemi aap ne kuch pakaya hai yaa nahi?
|
|