Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Youm e Adl o Insaaf Mubarak!

Politics   >>  General News
 
 
* Noor Clinic *
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:16th Mar 2009, 1:42pm
 

Youm e Adl o Insaaf Mubarak!

Tamam Ahl e Watan ko 16th March 2009 ka din Mubarak ho. Aaj ke din ko Pakistan mein judiaciary ki independence ki janib pehla qadam qaraar diya ja sakta hai.  Pakistan mein Judiaciay ko hakoomat ki ghlaam bananay ka jo silsila pichlay 62 saal se chala aa raha hai, InshaALLAH ab yeh khatam ho ga.

InshaALLAH, aglay 10 20 saalon mein Pakistan mein bhi waisay hi Independent Judiaciary or Mazboot Idaray hoon ge jaisa ke Modern world mein mojood hein.

Let's hope for the best and Pray for a better future of Pakistan.
Sherdil Group: Members  Joined: 07th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 69  Age:  24  
Posted on:16th Mar 2009, 3:33pm
 

Khair Mubarak

Puri Pakistani nation mubarak baad ki mustahiq hy.Judiciary ki movement jo 2 saal se chal rahi thi wo Ab Allah taallah kay fazal o karam se kamyab ho chuki hy.Lawyers,Civil society,Political parties,Media,Pakistani public sab nay milkar bharpur hissa lia is movement main.Pakistan zindabad. Seemi apnay jin naik khuwihishat ka izhaar kia hay pakistan kay liay inshallah aisa hi hoga.Allah pakistan ko Salamat rakhay.

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  26  
Posted on:16th Mar 2009, 4:23pm
 

Mubarak Mubarak Mubarak

judisary tu azad hogaye per Jinab Musin Pakistan  PERVAIZ MUSHRAFE ka kia hoga ,,mujy tu is baat ki fikar hai,,,,,,,,,,,,,,,,

hahahahahahahahahahhah

kher meri DUAIYAIN un k saat hai

sahib ji Group: Members  Joined: 22nd Feb, 2009  Topic: 4  Post: 38  Age:  32  
Posted on:16th Mar 2009, 9:10pm
 

go in hell

ye sb chor hen jo ajkel maseeha nay hue hen nawaz sharif ne khud suprem court p hamila kerwaya tha aur chodhri iftikhar ne mushraf ko taqtwer kia usko do uhdy rakhny diye soo baat ki ek baat sindhi president aur sindhi ch,justice kisi se baradasht nahi hota
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:17th Mar 2009, 1:16am
 

sahib ji

aapki har post qabl e tareef kiu hoti hain?

wese ab Insha Allah Pakistan me kafi badlaow ae ga.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:17th Mar 2009, 1:50am
 

khair mubarik

beshak pakitan se hi hum sab ka mustaqbil wabasta hae chahay hum log duniya k kisi bhi khitta main rahein pehchan to pakistan se hi hae. agar mulk main haqeeqi buniyadon pe insaf ka hasool mumkin ho jaye to yaqeena yeh bohat khushi ki baat hae kyun k agar islam ko aik lafz main define karna ho to woh lafz Adal hae. adal agaya to islam bhi ajayega inshaAllah:)

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:17th Mar 2009, 7:30am
 

Insaaf

Maryam Baji, InshaALLAH Pakistan mein insaaf or Adal aa jaye ga aik din. 16th March 2009 ka din aik mile stone sabit ho ga is raah mein. Pakistan k awaam ab bashooor ho rahay hien. Yeh alag baat hai k Pakistan k awaam mein yeh shaoor 2007 mein jaga jo China mein 1938 mein jaag gaya tha. Sawat mein Nizaam e Adal qayam ho chuka hai or InshaALLAH ab Pakistan ki adlatein bhi kisi pressure ya lalich k baghair insaaf karein gi.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:17th Mar 2009, 7:31am
 

seemi ji

inshaAllah Allah pak aap ki zuban mubarik kare:)
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:19th Mar 2009, 7:30am
 

Let celebrate

Haan yeh acha sign hai lekin picture abhi baqi hai mere dost. Let see aanay waalay chand din main kon kon sa manzar nama clear hota hai.

Bomb blasts, Non-state actors ke aagay hath khharay krna aur shareeat ke naam par unke aagay hakoomti jhukao, Balochistan main Taliban ka munazzam hona aur American bombari ka imkaan, Khud kush hamlay, Firqa waaariyat, Iss khittay ke liay new American Policy ka ilan jis se Pakistan mazeed khisaaray main chala jaayega.

Sab se bharr ka hamari hakoomti policies aur international reputation (which is touching its nadir). Yeh baat bht hi kam logoon ko maloom ho gi ke hamray President jab China sarkari doray par gye tou unka istiqbaal China ki State ke naayeb governor rank ke bnde ne kia tha aur usi ne inhain Dunia ke barray barray daimoon ki ser krwa ke wapis bhijwa dia. China ke President aur Prime Minister ne zehmat hi nahin ki hamaray President ko milne ki. I m unable to know ke hamari foreign ministary kia kar rahi hai. Bad qismati ya khush qismati se yeh seat aise sahib ke paas hai jin ki education b wajbi c hai aur jo bechaarey press ke saamnay saara zor hi English jhaarne par laga detay hain.

Iske ilawa bharrti hui mehngaai, load shedding, sukarrtay huay businesses, Investors ka mulak se bhag jana aur sports team par attack. Justice sahib ki bahali se tou abhi sirf pooshal (Dumm) hi nikli hai poora hathi baqi hai (lols).

 

Kia baat karun main apne shehr-e-tamanna ki?

Kia manzar pesh karun iss chaman-e-zar ka?

Mousam, hawayen,panchhi, geet, gull, khushboo, titliaan

Sab paband-e-silaasal…

Zameen, aasman, sooraj, chand, sitaaray, jugnoo

Sab rehan

Roshni aseer

Hadd-e-nazar ganghor andheray, Moheeb sanatay

Shehar par qaabiz khof ka afrait

Har soo khofzadah sehmay chehray

Baatan, Aqal, Dil, Muhabbat, Shaoor

Sab masloob

Jazbay aatasheen, aankhhain lawa

Gali koochun main chhapay maarti weh-shat

Fiza main ajal ki sargoshiaan

Bissat-e-waqt par bichha surakh khhel

Insaan khud tamasha aur tamashai

Kia shehar aise hotay hain?

Agar shehar aise hotay hain

tou phir

jungal kese hotay hain?

 

Oh ho, very sorry main tou bhool hi gya k hum yahan Iftikhar-e-Pakistan ki bahali ka jashan mana rahe hain. So, continue to celebrate guys….

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:20th Mar 2009, 7:18am
 

Chale-chalo ke vo manzil abhi nahin aai

(Chief Justice Sb. ki bahali par aik article main yeh Chand lines parrheen. So share kar raha hoon.)

 

 

Ye dagh dagh-e-ujala, ye shab-gazidah-e-sehar,

Vo intizar tha jis-ka, ye vo sehar to nahin,

Ye vo sehar to nahin jis-ki arzu lekar

Chale thay yar ke mil-jaegi kahin na kahin

 

Falak ke dasht main tarun ki akhiri manzil,

Kahin to hoga shab-e sust mauj ka sahil,

Kahin to ja ke rukega safina-e-gham-e-dil.

 

Jawan lahu ki pur-asrar shahrahon se

Chale jo yar to daman pe kitne hath pare;

Diyar-e-husn ki be-sabr khwabgahun se

Pukarti-rahin banhein, badan bulate-rahe;

Bahut aziz thi lekin rukh-e-sehar ki lagan,

Bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman,

Subuk subuk thi tamanna, dabi dabi thi thakan.

Suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-o-nur,

Suna hai ho bhi chuka hai visal-e-manzil-o-gham;

Badal-chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur,

Nishat-e-vasl halal o azab-e-hijr haram.

 

Jigar ki aag, nazar ki umang, dil ki jalan,

Kisi pe chaara-e-hijran ka kuchh asar hi nahin.

Kahan se aai nigar-e-saba, kidhar ko gai?

Abhi charagh-e-sar-e-rah ko kuch khabar hi nahin;

Abhi girani-e-shab main kami nahin aai,

Najat-e-dida-o-dil ki ghari nahin aai;

Chale-chalo ke vo manzil abhi nahin aai.

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:21st Mar 2009, 6:49am
 

Bhaimji bhai

Nice posting.. Waqai abhi woh manzil nahin aayi.. Kisi shayir kya khoob kaha tha k
  Har shakh pe ullo betha hai
  Anjaam e gulistan kya ho ga

Pakistan ka bhi yehi haal hai. Hamara poora system corrupt ho chuka hai. Lekin Rule of Law ki is movement se yeh faida howa k aam admi jaag gaya hai. Pakistan ko aik inqalaab ki zaroorat hai, ab chahay yeh soft revolution ho ya France ki tarah pur-tashadud. Lekin inshaALLAH ab Pakistan mein rule of law qayam ho ga, tabhi hamaray tamam problems resolve hoon ge..
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:21st Mar 2009, 7:34am
 

Seemi

 main aap se agree karta hon, aam admi ko bhi abb ihsas hae k apna haq kaise liya jata hae , is tehreek main jis jis ne hissa liya tareef k laiq hae aor 15th March ko Nawaz Sharif ne jo kuch kiya pakistan ki history un ko hamesha yad rakhe gi, agar Nawaz Sharif nazarbandi ko bahana bana k ghar baitha jata to kuch bhi na hota,

Awam ko apnay haqooq ka eik to pata hona chahye aor doosra ye k un ko apnay haqooq lene ka bhi pata hona chahye , yahan pe kabhi foj ne awam pe zulm kiya to kabhi jageerdar hukmrano ne , i hope abb behetri aaye gi insha Allah

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:21st Mar 2009, 5:37pm
 

Dogar

The Unconstitutional and Disgraced so called Chief Justice of Supreme Court of Pakistan, Abdul Hameed Dogar has finally left the Supreme Court.

Paksitani nation is feeling bit relaxed...
For Detail Click On Page No: 1
 
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to give interview on skype  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014